Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
**LaLa_1**

Dars-e-hadis

Recommended Posts

ASSALAMOALIKUM mere mohtaram bhai aur behno.................. main ne decide kiya hai k DARS-e-HADIS k hawaley sey yahan ek topic shooroo kiya jaye..................oos k liye main ne ye tarteeb rakhee hai k rozana ek Hadis SIhah-e-Sitta sey bayan karoonga .........saath saath oos kee tashreeh bhee .............. AAP LOG BHEE IS MAIN HISSA LEY SAKTEY HAIN LEKIN KHIYAAL RAHAY K HADIS SIHA-E- SITTA SEY HO ........ TOU AAJ PEHLI HADIS BAYAN KERTA HOON.................

BISMILLAHI RRAHMAN IRRAHIM......................."SHOOROO ALLAH K NAAM SEY JO BARA MEHERBAAN ,NIHAYAT REHEM WALA HAI"

" Nabi Kareem (SAW) ne irshaad fermaya k tamam kaamo ka daroomadar niyaato per hai, aur her aadmi ko wahee mileya jo woh niyat karey.....pas jis ne hijrat kee ALLAH aur RASOOL (SAW) k liye tou oos ne hijrat kee ALLAH aur oos k Rasool( SAW) k liye aur jis ne hijrat kee dunya kamanay k liye tou woh oos ko haasil ker leyga ya kisi aurat sey nikaah kerne k liye tou oos sey nikaah ker ley ga , tou jis ne jis gharz k liye hijrat kee tou oos kee hijrat oosi gharz k liye hogee"

TASHREEH

---------------

HADIS KA SHAN-E-WOROOD:-

---------------------------------

JIS TARAH QURAN MAJEED KEE AAYATO KA SHAN-E-NUZOOL HOTA HAI TOU ISI TARAH AHADIS KA BHEE SHAN-E-WOORROOD HOTA HAI.............HADIS-E-BALA K BAREY MAIN 2 RIWAYATEIN MILTEE HAIN , EK RIWAYAT MAIN HAI K EK SAHIB NE HIJRAT KEE AUR PHIR EK AURAT SEY NIKAAH KER LIYE ..........DOOSRI RIWAYAT TIBRAANI MAIN IS AURAT KA NAAM UMME QAIS BATAYA GAYA HAI................ulama ne likha hai k is aurat ka naam Tauqila thaa kuniyat Umme qais thee....

HADIS KEE FAZILAT:-

------------------------

ye bohot he azeem usshan Hadis hai , is Hadis k barey main Imam Shafi (RA) fermatey hain k ye SULUS ILM hai ........

is kee wajah ye bayan kee gayee hai k insaan k kul aamaal kee 3 qismain hain, 1 - jiss ka taluq dil sey ho..2- jis ka taluq zaban sey ho..3- jis ka taluq aazaa sey ho.......is Hadis ka taluq in teeno he k saath hai ...................Imam Abbu Dawood fermatey hain k ye Hadis Nisf FIQA hai........................ aur Ulama amooman apni kitabo ko isi Hadis sey shooroo kertey hain taa k perhney waley apni niyato ko pehle he sey drust ker lein ...............................

tou isi liye main ne bhee is topic ko shooroo kerne k liye is Hadis ka intikhaab kiya ..........

NIYAAT:-

niyat kee Ulama ne 3 qismain batayee hain ......

1 - niyat k zarye sey ibadat ko aadat sey juda kerna ..maslan ek aadmi namaz kee haalat main khara hai........agar is ne niyat kee hai tou namaz werna woh waisa he khara hai.................oos k kharey honay sey kuch faaidah nahi......

2- niyat k zarye ek ibaadat ko doosri ibaadat sey juda kerna maslan niyat k zarye ZOhor aur Asar kee namaz main ferq kerna ...................

3- niyat k zarye sey ek mabood kee ibaadat sey doosrey Mabood kee ibadat ko juda kerna maslan koi namaz perh raha hai tou niyat sey maloom hoga k ALLAH k liye perh raha hai ya kisi aur ko dikhanay k liye.................................

Hadis ka matlab ye hai k ALLAH k haan wahee amal qabil-e-qubool hoga jo sahi niyat sey kiya gaya ho agar niyat sahi nahi tou woh amal fasid aur mardood hoga............................

LEKIN SAWAL YE PEDA HOTA HAI K HADIS MAIN DUNYA K SAAATH AURAT KO KHOOSOOSIAT K SAATH KION ZIKER KIYA GAYA???

tou is k Muhaddisseen ne kayee jawabat diye hain...................

1- choonkey Hadis ek aurat ka he waqia hai is liye khoosoosiat k saath is ko bayan ker diya.,......2- jub Muhajirin Madina Munawarra hijrat ker k aaye tou Ansaar ne oon k saath hamdardi kee k apni jaaidaad aur maal waghera oon ko dena chaha ..yahan tak k baaz Ansaar ne apnay Mahajir bhai sey ye kaha k meri beewion main sey jo tumhain pasand ho main oos ko talaaq deta hoon , tum oos sey nikaah ker lena tou is baat ka ihtimaal thaa k kisi k dil main khiyaal aajaye k Makka Mukarma main maal aur beewion ko chor dou , Madina main sub mil jayega , MAAL bhee aur AURAT bhee.....................tou isi wajah sey REHMATULLIL ALAMEEN (SAW) ne in dono ko he khooshoosiat k saath ziker fermadiya .................

ALLAH RABBUL IZZAT HUMARI NIYAT KO SAHI FERMAYE AUR HUMAIN IKHLAAS K SAATH DEEN PER CHALNEY KEE TOFIQ ATA FERMAYE............AAMEEN .............

Edited by **LaLa_1**

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hazrat Usman (R A) sey riwayat hai (k oon ka ye haal thaa) k jub wo kisi Qabar k pass kharey hotey , tou bohot rotey , yahan tak k aansoon sey oos kee daarhi ter ho jati , oon sey poocha gaya ( ye kiya baat hai ) k jub aap Jannat aur Dozakh ko yaad kertey hain tou nahi rotay aur qabar kee wajah sey is qadar rotey hain ? Aap ( RA ) ne jawab diya k RaoolAllah ( S A W) fermaatey thay l “ Qabar aakhirat kee manzilon main sey pehli manzil hai , pas agar bandah is sey nijaat paa gaya , tou aagay kee manzilein is sey ziadah aasaan hain, aur agar Qabar kee manzil sey bandah nijaat na paa saka tou oos k baad kee manzilein is sey aur ziadah sakht hain ………..aur RasoolAllah ( S A W) ye bhee fermaatey thay k nai dekha main ne koi manzar magar ye k qabar ka manzar is sey ziadah khofnaak aur shaded hai………………â€

Edited by **LaLa_1**

Share this post


Link to post
Share on other sites

SHOROO ALLAH K NAAM SEY JO BARA MEHERBAAN NIHAYAT REHEM WALA HAI..

"DEEN SARASER NASIHAT HAI" ( Sahi Bukhari..Kitabul EEmaan)

TASHREEH:-

.........

matlab ye hai k nasihat aur kherkhoowahi afzal tareen amal hai......Allama Novi fermatey hain k ye Hadis tamam deen ka khulasa hai kion k nasihat k mani Ikhlaas k hain aur Ikhlass he tamam ibadaat kee jaan hai....is k baghair ibaadaat mardood hain..yani in ibadaat ka koi faaidah nahi.....Nasihat k maani ada kerne k liye kalam-e-arab main koi lafz nahi , ye Allama Ibn-e-Daqeeq ka qol hai...........magar baaz Ulama ne fermaya k ufr main Nasihat is ko kehtey hain k khooloos-e-mohabbat k saath kisi ko khair kee baat batayee jaye.......Urdu main is ka qareeb tareen tarjuma khair khoowahi k saath kiya jasakta hai.........tamam qisam kee kher khoowahi is main daakhil hai ,k koi salam karey tou jawab dey, koi beemar hojaye tou ayadat kee jaye, kisi ko dhoka na dey , choto per rehem aur baro ka adab karey , chughlee na karey , gheebat na sunay aur na karey waghera....ye tamam kaam kherkhoowahi main aatey hain........ lekin sub sey baree kher khoowahi ye hai k logo ko Deen kee taraf Mayel kiya jaye.... oos ko Neki ka hukum dey aur buraie sey mana karey...................jaisa k Allah Rabbul Izzat ne fermaya.."tum behtereen ummat ho jisy logo kee (Islaah) liye bheja gaya hai, tum nekion ka hukam kertey ho aur buraiyo sey mana kertey ho" .......isi tarah Ali (RA) sey ek din Nabi Kareem(SAW) ne irshaad fermaya k " A Ali agar tumhari wajah sey ek aadmi raah-e-raast per aajaye tou ye tumhari nijaat k liye kafi hai" .................. ...tou ab humara kaam ye hai k is DEEN ko jissey Nabi Kareem (saw) ne nasihat qarar diya hai, is ko doosrey logo tak pohonchana ab humara kaam hai ...... ALLAH RABBUL IZZAT humain bhee DEEN per chalney kee tofiq ata fermaye aur humain doosrey logo tak bhee is nasihat ko pohonchanay ka zarya banaye ...AAMEEN

Share this post


Link to post
Share on other sites

Jazakum-ul-Allaho khaira wa Ahsan-ul-jazaoo

app ki koshish bohat achee hay Lala ....:yes: is ko jaree rakhain .. Inshallah hum sub is main hisa lain gay ...waitting for next hadees :)

P.s > app ki post main ager likhay hoye koi ghaltee ho jate hay or post kernay kay bad app ko maloom ho to app apni us post kay top per dekhain wahan EDIt ka option hota hay .. us per click ker kay app apne post say mistakes remove ker saktay hain ..

jaysay app nay Sahye-sitta ki jo mistake batayee ..us ko apne first post main Edit ker kay theek kersaktay hain ..!

Share this post


Link to post
Share on other sites

ASSALAMOALIKUM

3 din beemari kee wajah sey aur kuch studies kee masroofiaat kee wajah sey main yahan aa nahi saka..tou is k liye mazrat khoowah hoon......

"SHOOROO ALLAH K NAAM SEY JO BARA MEHERBAAN AUR NEHAYAT REHEM WALA HAI"

"Anas(R.A.) sey riwayat hai k RasoolALLAH (SAW) ne irshaad fermaya k : tum main sey koi shakhs oos waqt tak Momin nahi hosakta , jab tak k oos ko apnay maa baap, apni aulaad, aur sub logo sey ziadah meri mohobbat na ho"

(BUKHARI, MUSLIM)

TASHREEH

matlab ye hai k eemaan kee takmeel jub he mumkin hai aur ek musalmaan poora Momin oosi waqt ho sakta hai, k dunya k tamaam doosrey logo , yahan tak k maa baap, behen bhai, aur apni aulaad sey bhee ziadah RashoolALLAH (SAW) kee mohobbat ho.....

baat ye hai k ALLAH aur Rasool (SAW) kee mohobbat main baham aisa taluq hai k ye ek doosrey sey alag ho ker hergiz nahi payee jasakteen, ALLAH TALA sey aur Islam sey sahih mohobbat baghair RasoolALLAH( SAW) kee mohobbat k namumkin hai , aur isi tarah ALLAH keee aur Islam kee mohobbat k baghair Rasool(SAW) kee mohobbat ka tasawwoor nahi kiya jasakta, kion k ALLAH k Rasool (SAW) sey jo mohobbat bahisyat RASOOL k hogee woh haqeeqat main ALLAH he kee wajah sey aur ALLAH sey taluq kee bina per hogee aur is ka nateeja ye hoga k ISlam sey bhee mohobbat hogee, is liye is Hadis main kamal-e-eemaan kee shert k tor per sirf RASOLLALLAH (SAW) kee mohobbat ka ziker ker diya gaya hai ..lekin matlab wahee hai k eemani anwaar sirf oon he khoosh nasibo ko hasil hosaktey hain jin k dilon per ALLAH aur Rasool (SAW) kee aur Islama kee mohobbat ka aisa ghalba ho k doosri tamam mohobbatein is sey dabee hoowee hon....

mohobbat ek maroof lafz hai aur is k mani bhee maroof aur maloom hain aur wahee yahan bhee muraad hain, albatta ALLAH aur Rasool(SAW) k saath jo ahl-e-eemaan ko mohobbat hotee hai woh maa baap aur beeewi baccho kee tarah khooni rishto ya doosrey tabai asbaab kee wajah sey nahi hotee bal k woh roohani aur aqli wajah sey hotee hai..aur jab woh kamil hojateee hai tou iskey siwa doosri woh tamam mohobbatein jo tabai ya nafsaani asbaab kee wajah sey hotee hain oos sey maghloob ho jatee hain aur is baat ko her woh shakhs samajh sakta hai , jis ko ALLAH ne is ka koi hissa naseeb fermaya ho..........gherz is Hadis main mohobbat sey muraad wahee khaas dilee kefiat hai jis ko mohobbat k lafz sey ada kiya jata hai aur isi ka hum sey yahan mutaalba kiya ja raha hai aur wahee humarey eemaan kee jaan hai jaisa k Quran Majeed main fermaya gaya hai k ...." EEMAAN WALEY SUB SEY ZIADAH MOHOBBAT ALLAH TALA SEY KERTEY HAIN" ( AlBaqara) .doosri jaga irshaad fermaya gaya hai k " A PEGHAMBER! AAP IN LOGO SEY SAAF SAAF KEH DEEJIYE K AGAR TUMHARAY MAA BAAP, TUMHARI AULAAD, TUMHAREY BHAI, TUMHAREY BEEWION , AUR TUMHARA KUNBA , QABEELA AUR TUMHARA WOH MAAL O DOLAT JIS KO TUM NE MEHNET SEY KAMAYA HAI , AUR TUMHARI WOH CHALTEE HOOWEE TIJARAT JIS KEE KASAAD BAZARI SEY TUM DARATEY HO, AUR TUMHARAY REHNE K WOH ACCHAY MAKANAAT JO TUM KO PASAND HAIN ( pas agar dunya kee ye meboob aur marghoob cheezein) ALLAH, ALLAH K RASOOL AUR ALLAH K DEEN KEE RAAH KEE JADDOJEHED SEY TUM KO ZIADAH MEHMOOB HAIN , TOU INTIZAAR KARO ,YAHAN TAK K ALLAH TALA APNA HUKUM AUR FAISLA NAAFIZ KAREY, AUR YAAD RAKHO K ALLAH NAFERMAAN QOM KO HIDAYAT NAHI DETA HAI"..............(Toba)

tou in AAYAAT aur Hadis sey ye baat wazih hotee hai k jis ko bhee ALLAH aur ALLAH k RASOOL (SAW) kee mohobbat naseeb ho jaye oos k liye deen per chalna bara aasaan hojata hai bal k ALLAH kee raah main jan tak denay main eemaan waley ek lazzat mehsoos karengey....is k berkhilaaf jis k dil main ALLAH aur RASOOL(SAW) kee mohobbat ka aisa ghalba na hoga , oos k liye deen per chalna , ALLAH k ahkaamaat ko , RASOOLALLAH (SAW) k mubarak tareeqo ko apnana namumkin hojayega....aur agar jitna kuch woh karey ga bhee tou oos kee hesiat mehez ek qaanooni pabandee kee si hogee.......isi liye fermaya gaya hai k jab tak ALLAH aur Rasool(SAW) kee mohobbat doosri saari chahaton aur mohobbato per ghalib na hojaye , eemaan ka asal muqaam nasib nahi hosakta ............

ALLAH RABBUL IZZAT HUMAIN RASOOLALLAH (SAW) KEE MOHOBBAT NASEEB FERMAYE AUR HUMAIN POOREY K POOREY DEEN PER CHALNAY KEE TOFIQ ATA FERMAYE.............AAMEEN

Edited by **LaLa_1**

Share this post


Link to post
Share on other sites

ASSALAMOALIKUM aur WALIKUMOSSALAM RUKH

jee bilkul mein bhee yahee chahtaa hoon k aap log bhee is main participate karein....................... umeed hai aap meri help kerti rahengee........ :yes:

Edited by **LaLa_1**

Share this post


Link to post
Share on other sites

"Hazrat Abbu Huraira (RA) sey riwayat hai k RasoolALLAH (SAW) ne fermaya k : dunya momin k liye qed khana hai aur kaafir k liye jannat hai"

(MUSLIM)

TASHREEH

qed k hanay kee zindagi kee baree khoosoosiat ye hai k qedi apni zindagi main aazad nahi hota..bal k her cheez main doosro k hukum kee pabandi kerne per majboor hota hai, jo khanay ko diya gaya, khaa liya, jo peenay ko diya gaya pee liya, jahan bethney ka hukum diya gaya , beth gaya, jahan kharey honay ko kaha gaya , bechara khara hogaya, algherz qed khanay main apni merzi bilkul nahi chaltee, bal k chaaro nachaar her maamley main doosro k hukum kee taamil kernee pertee hai , isi tarah ek doosri khoosoosiat qed khanay kee ye hai k qedi is sey jee nahi lagata, aur is ko apna ghar nahi samajhta , bal k her waqt oos sey nikelne ka khoowahish mand rehta hai...aur oos k ber aks jannat kee khoosoosiat ye hai k wahan jannation k liye koi qannooni pabandi nahi raheygee aur her jannati apni merzi kee zindagi guzareyga aur oos kee her khoowahish aur her aarzoo poori hogee...,aur laakho baras guzerney per bhee kisi jannati ka dil jannat kee nemato sey nahi ooktayega..Quran Majeed main irshad fermaya gaya hai k :

"JANNAT MAIN WOH SUB KUCH HAI JIS KO TUMHAREY DIL CHAHEIN AUR JISKEY NAZARAY SEY TUMHARI AANKHO KO LAZZAT HASIL HO , AUR TUM OOS MAIN HAMESHA RAHOGEY"

"JANNATI JANNAT SEY KAHEEN AUR MUNTAQIL HONA NA CHAHENGEY" (SURA KAHAF)

pas is Hadis main eemaan walo ko khaas sabaq diya gaya hai k woh dunya main qaanoon kee pabandi kee qed khanay wali zindagi guzarein aur dunya sey jee na lagayein kion k Quran Majeed main irshaad hota hai k :

"LEKIN TUM TOU DUNYA KEE ZINDAGI KO TERJEEH DETEY HO, AUR AAKHIRAT KEE ZINDAGI KHAIR WALI HAI AUR NA KHATAM HONAY WALI HAI" ( Sura Al A'ala)

aur is haqqeeqat ko peh-e-nazar rakhein k is dunya ko apni jannat samajhna , aur is sey apna dil lagana aur is k aish-o-aaraam ko he apna maqsad bana lena kafirana tareeqa hai..........................agar eeman waley k dil ka taluq is dunya k saath woh hai jo qed khanay k saath qedi ka hota hai tou woh poora momin hai , agar is ne is dunya sey apna dil aisa laga liya hai k isi ko apna maqsad bana liya hai aur aakhirat ko bhool betha hai tou is hadis sey pata chalta hai k is ka ye amal kafirana hai........................

ALLAH RABBUL IZZAT HUMAREY DILO SEY DUNYA KEE MOHOBBAT NIKAAL KER DEEN KEE MOHOBBAT NASEEB FERMAYE........AUR HUMAIN APNAY BAAD MAIN AANAY WALI ZINDAGI KEE FIKER NASEEB FERMAYE................AAMEEN.

Share this post


Link to post
Share on other sites

Aisa lag raha hai k jaisey log Dars-e-Hadis main interest nahi ley rahey :(

SHOULD I STOPT IT ???? :(

Share this post


Link to post
Share on other sites

lala bohat accha kam karrahy ho app Allah app ko is ka ajar day ameen

Share this post


Link to post
Share on other sites

Salam LaLa,

aisee koi baat nahi hai k log interested nahi hai aap aisa kahen gain ya sochaingain tau logon ka ia ho ga...aap apnee koshish jaree rakhen....

Allah Hafiz..

Share this post


Link to post
Share on other sites

"Hazrat Abdullah Ibn-e-Umer (RA) sey riwayat hai k RasoolAllah(SAW) ne mere dono mondhay paker ker irshaad fermaya k : dunya main aisey rah jaisey k too perdesi hai , ya raah chalta musaafir"

(Sahih Bukhari)

TASHREEH

.........................................

yani jis tarah koi musaafir perdes ko aur rahguzer ko apna watan nahi samajhta aur wahan apnay liye lambey chorey intizamaat nahi kerta , isi tarah momin sey bhee yahee taqaza hai k woh is dunya main aisey rahay jaisa k koi musaafir ya perdesi rehta hai ... aur is dunya kee fiker main aisa na parey k jaisey oos ko hamesha yaheen rehna hai , bal k oos ko ek perdes aur rehguzer samjhay.......

jaisa k Quran Majeed main bhee irshaad hota hai k :

"aur dunya kee zindagi kee haqeeqat is k siwa kuch nahi k bas ( chand dino ) ka khel tamasha hai, aur aakhirat ka ghar je behter hai oon logo k liye jo perhezgaari k saath zindagi guzaartey hain (afsos tum per!) kiya tum is baat ko nahi samajhtey?"

tou isi liye hum sey ye kaha jaraha hai k mot k baad wali zindagi ko asli aur mustaqil zindagi samajhtey hoowey hum is kee fiker aur tayyari main is tarah lagey rahein k goya woh zindagi humari aankho k saamney hai.....aur goya hum oosi dunya main hain...jin logo ne ye baat jis derjey main apnay ander peda ker lee , oon kee zindagi aur oon kee seerat oosi derjey main RasoolAllah (SAW) kee talim k mubatiq hogayee..aur jo log apnay ander ye baat peda nahi ker sakey..oon kee zindagi bhee woh nahi ban saki...........

ALLAH RABBUL IZZAT humain aakhirat kee fiker naseeb fermaye aur humain RASOOLALLAH (SAW) k mubarak tareeqo per chalnay kee tofiq ata fermaye...............AAMEEN......

Share this post


Link to post
Share on other sites

"Hazrat Amar Bin Aof (RA) sey riwayat hai k RasoolALLAh (SAW) ne irshaad fermaya k : main tum per faqar aur naadaari aanay sey nahi derta, lekin mujhe tumharey barey main ye der zaroor hai k , dunya tum per ziadah wasee ker dee jaye, jaisa k tum sey pehley logo per wasi kee gayee thee, phir tum oos ko bohot ziadah chahnay lago, jaisay k oonho ne is ko bohot ziadah chaha thaa ( aur isi k deewanay aur matwaley hogaye thay) aur phir woh tum ko berbaad ker dey, jaisey k oos ne oon aglon ko berbaad kiya"

(Bukhari , Muslim)

TASHREEH

...............

RasoolALLAh k saamney baaz agli qomon aur ummaton ka ye tajurba thaa, k jub oon k pass dunya kee doulat bohot ziadah aayee, tou oon main dunyawee hirs aur doulat kee raghbat aur chahat aur ziadah berh gayee, aur woh dunya he k deewanay hogaye,

aur asal maqsad-e-zindagi ko bhulaa diya ...aur phir isi kee wajah sey oon main hasad aur nafaaq bhee paida hoowa.....bilaakhir oon kee dunya parasti ne oon ko tabah-o barbaad ker daalaa......AAP(SAW) ko apni ummat k barey main isi ka ziadah der thaa.....id Hadis main AAP(SAW) ne ummat ko oos khatrey sey aagah kiya hai , aur fermaya hai k , tum per faqar aur naadaari k hamley ka mujhe ziadah der nahi hai bal k is ka beraks tum main bohot ziadah doulat mandi aajanay sey dunya parasti main mubtala ho ker tumharey halaak aur berbaad hojanay ka mujhe ziadah der aur khof hai.............

AAP(SAW) k is irshaad ka maqsad is khooshnuma fitnay kee khatarnaaki sey ummat ko khabardaar kerna hai taa k aisa waqt aanay per is k burey asraat sey apna bachao kerne kee woh fiker karey..........

ALLAH RABBUL IZZAT HUMAIN IN FITNO SEY BACHAYE AUR HUMAIN POOREY K POOREY DEEN PER CHALNAY KEE TOFIQ ATA FERMAYE .......AAMEEEN

Share this post


Link to post
Share on other sites

Assalamoalikum and walikumossalam Rosh and 4season

bas yahee soch ker k koi interest ley ya na ley humara kaam ALLAH ka peghaam pohonchana hai , main ne is silsiley ko jari rakhna hai .....aap logo ko ALLAH Pak is ka ajar zaroor dengey k aap logo ne is main interest liya.....ALLAH Pak humain in Ahadis kee sahi samajh ata fermaye aur humain in per amal kee tofiq ata fermaye .........AAMEEN>>>>>>>>>

Share this post


Link to post
Share on other sites

"Hazrat Abdullah Bin Amar(RA) sey riwayat hai k RasoolAllah (SAW) ne fermaya k 4 aadatein aisee hain k jis main woh chaaron jama hojayein tou woh khaalis munafiq hai...aur jis main in chaaron main sey koi ek khaslat ho tou oos ka haal ye hai k oos main nafaaq kee ek khaslat hai, aur woh isi haal main raheyga, jub tak k oos aadat ko na chor dey-----woh chaaron aadatein ye hain k jub oos ko kisi amanat ka ameen banaya jaye , tou oos main khiyanat karey, jub baatein karein tou jhoot boley, jub wada karey tou oos kee khilaaf werzi karey, aur jub kisi sey jhagra aur ikhtilaaf ho tou badzubani karey..."

(Bukhari, Muslim)

TASHREEH

...............

haqeeqi munafiq tou woh shakhs hai jis ne dil sey tou Islam qubool na kiya ho ( bal k dil sey is ka munker aur mukhaalif ho) lekin kisi wajah sey apnay aap ko momim o muslim zahir kerta ho, jaisa k RasoolALLAH (SAW) k zamanay main Abdullah Ibne OObayee waghera mashoor munafiqin ka haal thaa....nafaaq der asal badtareen aur zaleel tareen qisam ka kufar hai , aur in he munafiqin k barey main Quran Majeed main irshaad fermaya gaya hai, k:

"YE MUNAFIQIN ZAROOR BA ZAROOR DOZAKH K SUB SEY NICHLEY TABQEY MAIN DALEY JAYENGEY"

lekin baaz buri aadatein aisee bhee hain jin ko in munafiqin sey khaas nisbat hai aur woh derasal in he kee aadatein hain....aur kisi sahib-e-eemaan main in kee perchayein bhee nahi honee chahiye.....pas agar kisi musalmaan main in main sey koi adat payee jatee hai tou ye samjha jayega k oos main ye munafiqana aadat hai , aur agar kisi main badbakhti sey munafiqon wali woh sari aadatein jama hojayein , tou samjha jayega k woh shakhs apni seerat main poora munafiq hai......

algharz ek nifaaq tou eemaan aur aqeeday ka nifaaq hai , jo kufar kee badtareen qisam hai , lekin is k ilawa kisi shakhs kee seerat ka munafiqo wali seerat hona bhee ek qisam ka nifaaq hai, lekin woh aqeeday ka nahi bal k seerat aur kirdaar ka nifaaq hai, aur ek musalmaan k liye jis tarah ye zaroori hai k woh kufar aur shirk aur aiteqaadi nifaaq kee napaki sey bachey, oosi tarah ye bhee zaroori hai k munafiqana seerat aur munafiqana aamaal aur ikhlaaq kee gandagee sey bhee apnay ko mahfooz rakhey.........

ALLAH RABBUL IZZAT HUMAIN IN CHAARON AADATO SEY BACHAYE...AUR HUMAIN DEEN PER CHALNAY KEE TOFIQ ATA FERMAYE.....AAMEEN....

Share this post


Link to post
Share on other sites

Assalam-o-alaikum :hi:

lala ap ne bohat acha topic start kia.....jab naik kam shuru kia hai tou iss ko jari rakhaeyn...bohat se tou nahin laykin kuch tou ap ki post ko pasand krtay hain...so un k liye hi sahih...Allah hum sab ko sunnat-o-hadeeth pe amal krnay ki taufeek ata farmaye.....Ameen...ap apni posts submit krwatay raheyn..Allah ap ko iss ka ajar de ga..Ameen..

or haan Allah ap ko sehat-e-kamla ata farmaye....hum sab ki duayen ap k sath hain...:)

Share this post


Link to post
Share on other sites

"Hazrat Abbu Saeed Khidri (RA) sey riwayat hai k RasoolAllah (SAW) ne fermaya : jo koi tum main sey koi buri aur khilaaf-e-Shar'a baat dekhey, tou laazim hai k agar taqat rakhta ho, tou apnay haath sey (yani zor-e-baazo) sey oosey badalney (yani drust kerne kee) koshish karey, aur agar iskee taqat na rakhta ho tou phir apni zaban sey oos ko badalnay kee (yani roknay kee koshish karey) aur agar iskee bhee taqat na rakhta ho tou apnay dil he main (oos ko bura samjhay) aur ye eemaan ka kamzor tareen derja hai"

( Muslim)

TASHREEH

is Hadis main her burai aur shararat ko roknay aur oos ko badal daalney kee koshish ka aam hukam fermaya gaya hai .....aur ooper wali Hadis kee tarah yahan bhee is k teen derjey batlaye gaye hain......

1- agar taqat aur iqtidaar hasil ho , aur is k zarye is burayee ko roka jasakta ho tou ,tou taaqat istimaal ker k isko roka jaye...........

2- agar taaqat aur iqtidaar hasil na ho tou zaban sey is kee islaah kee koshish kee jaye...

3- agar haalaat aisey namuwafiq hain aur Musalmaan is qadar kamzor position main hain k is burayee k khilaaf zaban kholnay kee bhee gunjaish nahi hai, tou aakhri derja ye hai k dil sey is ko bura samjha jaye, aur is ko mitanay aur badal daalnay ka jazba dil main rakha jaye....jiska fitree nateeja kam sey kam ye hoga k dil ALLAH PAK sey iskey mitanay kee dua kerta raheyga...aur tadbeerein bhee socha kareyga...is akhri derjey ko Hadis main eemaan ka sub sey kamzor derja batlaya gaya hai..yani ye eeman ka woh derja hai k iskey baad eemaan ka koi kamzor derja hai he nahi..........is Hadis kee roo sey her musalmaan per lazim hai k jo burayian is k saamnay is qisam kee hon k oonhein haath sey roka ja sakta ho tou ooonhein haath sey roknay kee koshish karey...agar haath sey nahi roksaktay tou zaban sey oos ko nasihat karey ..aur agar zaban sey bhee nahi keh saktey tou kam sey kam dil main oosey zaroor bura samjhay ......yahee eemaan ka sab sey kamzor derja hai....

ALLAH PAK HUMAIN KHOOD BHEE NEKI KA HUKUM KERNE AUR BURAION SEY BACHNEY KEE TOFIQ ATA FERMAYE AUR HUMAIN IS BAAT KEE BHEE TAQAT DEY K HUM BURAION KO HAATH AUR ZABAN SEY ROKEIN AUR NEKI KERNE KA HUKAM KAREIN........... AAMEEEN.....

Share this post


Link to post
Share on other sites

SHOROO ALLAH K NAAM SEY JO BARA MEHERBAAN NIHAYAT REHEM WALA HAI..

[

COLOR=blue]Hazrat Abdullah Ibn-e-Ummer (RA) kehtay hein  Rasool Allah (SAW) nay irshaad fermaya;

"Jis shaks kay under Imanat ki sift nahi, iss kay under imaan nahi,,,,,,,aur uss shaks kay liyein Namaaz nahi jis nay Taharat nahi ki (Wazoo nahi kia) ,,,,,aur uss shaks kay pass Deen nahi jo Namaaz nahi perhta,,,,,,,,Deen-e-islam mein Namaaz ki vohi ehmiyat hay jo Jism-e-Insaani mein ser ki haisiat hay"

          ( TIBRAANI)

Tashreeh:

Imanat khayanat ki zid hay,,,Imanat ki sift jis shaks kay under hoti hay vo kisi sahib-e-Haq ka haq ada kernay mein kohtai nahi kerta,,,Chahey Khuda aur Rasool (SAW) ka haq ho chahey maa baap, azeez aur rishtay-daron vaghera ka ho aur Imaan aur Imanat dono ki asal aik hay,,, Momin ko lazman Imanat-daar hona chahiye.

Taharat aur wazoo kay baghair Namaaz na hogi aur jo log Namaaz nahi perhtay vo deen-daar kaisay ho saktay hein?,,,Jis terhaan ser kay baghair jism bekaar hay issi terhan jis nay Namaaz choar di uss nay poorey Deen ko dha diya.[/color]

Share this post


Link to post
Share on other sites

SHOROO ALLAH K NAAM SEY JO BARA MEHERBAAN NIHAYAT REHEM WALA HAI..

Hazrat Abdullah Ibn-e-Ummer (RA) kehtay hein Rasool Allah (SAW) nay irshaad fermaya;

"Jis shaks kay under Imanat ki sift nahi, oos kay ander imaan nahi,,,,,,,aur oos shakhs kay liye Namaaz nahi jis nay Taharat nahi ki (Wazoo nahi kia) ,,,,,aur uss shaks kay pass Deen nahi jo Namaaz nahi perhta,,,,,,,,Deen-e-islam mein Namaaz ki vohi ehmiyat hay jo Jism-e-Insaani mein ser ki haisiat hay"

(TIBRAANI)

Tashreeh:

Imanat khayanat ki zid hay,,,Imanat ki sift jis shaks kay under hoti hay vo kisi sahib-e-Haq ka haq ada kernay mein kohtai nahi kerta,,,Chahey Khuda aur Rasool (SAW) ka haq ho chahey maa baap, azeez aur rishtay-daron vaghera ka ho aur Imaan aur Imanat dono ki asal aik hay,,, Momin ko lazman Imanat-daar hona chahiye.

Taharat aur wazoo kay baghair Namaaz na hogi aur jo log Namaaz nahi perhtay vo deen-daar kaisay ho saktay hein?,,,Jis terhaan ser kay baghair jism bekaar hay issi terhan jis nay Namaaz choar di uss nay poorey Deen ko dha diya.

Share this post


Link to post
Share on other sites

OOPer wali Hadis asal main shahwar khan ne yahan post kee thee lekin choonkay oon ka first experience thaa is liye woh sahi tor per yahan post na ker sakey ...is liye oon sey main ne woh Hadis leker yahan post ker dee..................

Thanks for participating here shahwar khan ................ :flower:

ALLAH AAP KO JAZAYE KHAIR ATA FERMAYE............AAMEEN

Share this post


Link to post
Share on other sites

Asslam-o-alikum

Thanks **lala** for encouraging me ,,,,I was looking for a forum on which i can work for Islam and infact u helped me by sharing information about this Forum,,,,,

May Allah bless u with the Guidness of truth and the enlighten ur way with knowledge of Islam,,,,,,,,,,,,,Once again Thankyou

SHOROO ALLAH K NAAM SEY JO BARA MEHERBAAN NIHAYAT REHEM WALA HAI..

Hazrat Abdullah Ibn-e-Ummer (RA) kehtay hein Rasool Allah (SAW) nay irshaad fermaya;

"Jis shaks kay under Imanat ki sift nahi, iss kay under imaan nahi,,,,,,,aur uss shaks kay liyein Namaaz nahi jis nay Taharat nahi ki (Wazoo nahi kia) ,,,,,aur uss shaks kay pass Deen nahi jo Namaaz nahi perhta,,,,,,,,Deen-e-islam mein Namaaz ki vohi ehmiyat hay jo Jism-e-Insaani mein ser ki haisiat hay"

( TIBRAANI)

Tashreeh:

Imanat khayanat ki zid hay,,,Imanat ki sift jis shaks kay under hoti hay vo kisi sahib-e-Haq ka haq ada kernay mein kohtai nahi kerta,,,Chahey Khuda aur Rasool (SAW) ka haq ho chahey maa baap, azeez aur rishtay-daron vaghera ka ho aur Imaan aur Imanat dono ki asal aik hay,,, Momin ko lazman Imanat-daar hona chahiye.

Taharat aur wazoo kay baghair Namaaz na hogi aur jo log Namaaz nahi perhtay vo deen-daar kaisay ho saktay hein?,,,Jis terhaan ser kay baghair jism bekaar hay issi terhan jis nay Namaaz choar di uss nay poorey Deen ko dha diya

May Allah bless all with the wisdom of Islam and with the power and courage to adopt Islam in our practical life.......Aameen

Share this post


Link to post
Share on other sites

"Hazrat Abbu Shareeh Khizai (RA) sey riwayat hai k RasoolALLAH (SAW) ne fermaya k : qasam ALLAH kee woh momin nahi , qasam ALLAH kee woh momin nahi, qasam ALLAH kee woh momin nahi," arz kiya gaya ya RasoolALLAH(SAW) kon momin nahi? Aaap ne irshaad fermaya, " woh aadmi jis k parosi oos kee shararaton aur aafato sey tang rehtey hon"

( Bukhari)

TASHREEH

yani apnay parosion k saath aisa husn-e-sulook aur aisa shareefana bertao ker k oon ko humari taraf sey poora itminaan rahay aur humari janib sey kisi zulm aur shararat ka andesha oon k dilo main na rahay......ye eemaan k oon sharaait aur lawazim main sey hai jin k baghair eemaan goya hai he nahi ...ek doosri Hadis main hai k:

" apnay parosi k saath accha sulook karo tab tum eemaan waley ho"

ek aur Hadis main hai k :

" jo ALLAH aur yom-e- aakhirat per eeman rakhta ho, (aur is liye ALLAh kee raza aur aakhirat main falaah chahta ho) tou oosey lazim hai k apnay parosio ko na sataye....."

isi tarah ek aur Hadis main aata hai k :

"Hazrat Abdullah ibn-e-Abbas (RA) sey riwayat hai k main ne RasoolALLAH (SAW) sey suna , APP( SAW ) fermatey thay k ," woh shakhs momin nahi jo khood pet bhar ker khaye sur iskey baraber main rehney wala oos ka parosi faqay sey ho"

Share this post


Link to post
Share on other sites

“Hazrat Abu Huraira (RA) sey riwayat hai k Nabi Akram (SAW) ne fermaya k dozakhion k 2 goroh aisey hain k jinhein main ne nahi dekha…ek groh tou oon logon ka hai jin k haatho main gaye kee dum kee maanind Korey hongey jis sey wo logon ko nahaq maarengey aur doosra groh oon aurto ka hoga k jo bazahir tou kaprey pehney hoowey hongi magar derhaqeeqat nangi hongee,,mardon ko apni taraf maail karengee aur khood mardon kee taraf maail hongee…..in k sir k baal bakhti oont k kohaan kee tarah hongey….aisee aurtein na tou jannat main daakhil ho sakengee aur na jannat kee khooshboo payengee, haalaan k jannat kee khooshboo itni itni musaafat ( yani bohot ziadah door) sey bhee aati hai….â€

(Muslim)

TASHREEH

Yani wo aurtein aisay kaprey pehnengi k is sey in k badan ka kuch hissa khula hoowa hoga, ya wo aurtein doopattey ko apnay pait aur seenay per daalney k bajaye gerdan ya peeth waghera per dalengee……….aur baaz Ulama ye bhee fermatey hain k wo aurtein dunya k mehengey sey mehengey kaprey pehnengee magar Taqwa aur Ammal-e- Saaliha sey khali hongi is liye aakhirat main wo libaas sey nangi hongi ……………….aisee aurton ko maail kerne wali kaha gaya hai k wo aurtein apna banao singhaar is liye karengee k mardon ko apni taraf maail ker sakein aur bazaat-e- khood bhee wo mardon kee taraf maail hongi …………..aur wo aurtein is tarah matak matak ker chalengee k logon k dilon ko apni taraf maaail karein………………….tou in aurton ko Nabi Kareem (SAW) ne tanbeeh ki hai k wo ALLAH sey darein aur aisa libaas hergiz na pehnein k jis sey log oon ki taraf maail hon aur ye aurtein jannat tou kiya jannat ki khooshboo sey bhee mehroom reh jayein………………bal k Taqwa ka libaas pehen ker wo apnay ALLAh ko razi karein………..……….jaisa k Quran Pak main Allah Rabbul Izzat ka ferman hai k :" A NABI! APNI BEEWION SEY AUR APNI SAHIB ZADION SEY AUR MUSALMANO KEE AURTON SEY KEH DOU K WO APNAY OOPER APNI SHANAKHT K LIYE CHADAREIN LATKA LIYA KAREIN, IS SEY BOHOT JALD IN KEE SHANAKHT HOJAYA KAREYGEE PHIR NA SATAYEE JAYENGEE, AUR ALLAH TALA BAKHSHNEY WALA MEHERBAN HAI" ( Al Ahzaab) Jalabeeb jilbabboon kee jama hai aur is ka matlab hai aisee chaadar jis sey poora badan dhak jaye.... apnay ooper chadar latkanay sey murad apnay chahray per is tarah ghoonghat nikalna hai k jis sey chehray beshter hissaa bhee chup jaye aur nazrein jhuka ker chalnay sey oosey raasta bhee nazar aata rahay......................... wazih rahay k chahray ka chupana bohot zaroori hai kion Sura Noor kee aayat main musalmano kee aurto ko apni zeenat chupa ker chalnay ka hukam hai, aur Aurton k jisam kee sub sey zeenat wali cheez chehra hai ......... agar chey baaz dafa aurton ko Chadaron main ya Burqon main garmi bhee meshoos hoti hai , lekin ye zera see takleef Shariyat k taqazon k muqabley main koi ehemiyat nahi rakhti..... aur agar Dozakh kee aag ko saamnay rakha jaye tou ye dunya kee thori see garmi oos aag k muqaabley main kuch bhee nahi.......................wazih rahay k perdey ka Hukam Ulama ka ijaad kerna nahi hai ...jaisa k aaj kal k akser logon ka khiyaal hai , bal K ye Allah Pak ka hukum hai.................

ALLAH RABBUL IZZAT HUM SUB KO DOZAKH KEE AAG SEY BACHAYE ………..aur humain JANNAT MAIN LEY JANAY WALEY AAMAAL KERNE KEE TOFIQ ATA FERMAYE…………AAMEEN……………

Edited by **LaLa_1**

Share this post


Link to post
Share on other sites

SHOROO ALLAH K NAAM SEY JO BARA MEHERBAAN NIHAYAT REHEM WALA HAI..

1. Hazrat Ans (RA) say rivayat hay kay un say Nabi Kareem (SAW) nay fermaya :

"Jis mein teen (3) batein hon-gi vo Imaan ka maza paye-ga ,,,,,aik ye kay Allah aur iss kay Rasool ki muhabat iss ko sab say ziada ho ,,,,,,,,doosray ye kay faqat Allah kay liyein kisi say dosti rukhey,,,,, teesrey ye kay doobara kafir bun-na iss ko gavar ho jaisey aag mein jhonka jaana."

(Bukhari)

2. Hazrat Muhammad (SAW) nay fermaya Allah ko vo Deen pasand hay jo sucha, seedha, aasaan ho--

Hazrat Abu-Hurera (RA) say Aan-Hazrat (SAW) nay fermaya bay-shak (Islam ka) Deen aasaan hay aur Deen mein jo koi sakhti karey ga to Deen iss per ghalib aaey ga iss liyein beech beech ki chaal chalo aur (afzal kaam na ker sako to) iss kay nazdeek raho aur savaab ki umeed rukh ker khush raho aur subah ki chahel kadmi aur shaam ki chahel kadmi aur raat ki kuch chahel kadmi say madud lo.

(Bukhari)

Share this post


Link to post
Share on other sites

SHOROO ALLAH K NAAM SEY JO BARA MEHERBAAN NIHAYAT REHEM WALA HAI..

Hazrat Abdullah Bin Masood (RA) say rivayat hay kay unn-hoon nay Aan-Hazrat (SAW) say poocha koan sa Klaam Allah Talah ko boaht pasand hay ,,,,,Aap (SAW) nay fermaya,,,,,,Namaaz ko iss kay waqt per perhna,,,,,mein nay poocha phir koan-sa kaam,,,,,,fermaya Maa Baap say acha salook kerna,,,,,,,mein nay poocha phir koan-sa kaam,,,,,,,,fermaya phir Allah ki rah mein jehaad kerna,,,,,,Ibn-e-Masood nay kaha Aan-Hazrat nay ye teeno batein biyaan kein-- Agr mein aur poochta to Aap (SAW) aur ziada biyaan fermatay.

(Bukhari)

Share this post


Link to post
Share on other sites

Thanks for contrbuting SHahwar Khan :flower:.................ALLAH TALA AAP KO IS KA AJAR ZAROOR DENGEY INSHAALLAH...........ALLAH TALA HUMAIN IN AHADIS KEE SAHI SAMAJH ATA FERMAYE AUR IS PER AMAL KERNE KEE AUR IS SEY IBRAT LENEY KEE TOFIQ ATA FERMAYE ............AAMEEN

Edited by **LaLa_1**

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.