Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
  • entries
    41
  • comments
    12
  • views
    29,951

About this blog

WelCum To My World

Entries in this blog

 

ہمیں آوازدے دینا

ہمیں آوازدے دینا ہمیں آوازدے دینا اگر دکھ زندگانی کے تمہیں آزار پہنچائیں کوئی جلتی ہوئی ساعت ، کوئی بجھتا ہوا لمحہ تمہارے دل پہ دستک دے تو ہم کو یاد کر لینا ہمیں آواز دے دینا ابھی زندہ ہیں ہم اس زندگی کی بیکرانی میں ابھی تک دے رہے ہیں امتحاں اس کار گاہ امتحانی میں ابھی تک مُبتلا ہیں ہم اسی خوابِ جوانی میں تم اپنا دُکھ ہم سے نہیں تو کس سے بانٹو گے کسے آواز دو گے تُم ۔۔۔

Zaini

Zaini

 

Dastak

Dastak kisi ki hai ke guman, dekhnay tou de Darwaza humain tez hawa kholnay tou de Souda hai umr bhar ka, koye khail tou nahi Ae chashm-e-yaar, mujh ko zara sochnay tou de Apnay lahu ki taal pe khawahishon ke mor ko Ae dasht-e-ehtiyat, kabhi nachnay tou de Yeh saat aasman kabhi mukhtasir tou hon Yeh ghoomti zameen kahin thairnay tou de Us harf kun ki ek amanat hai mere paas Laikin yeh kaiynat mujhay bolnay tou de Shayed kisi lakeer mein likha ho mera naam Ae dost, apna hath mujhay dekhnay tou de Kaisay kisi ki yaad ka chehra banaoon ga Amjad woh koye baat mujhay bhoolnay tou de

Zaini

Zaini

 

December Tum Mat Aaya Karoo

December tum mat aaya karo Suno k Jab bhi tum aate ho Udasiyon ki undeikhi BARISHON MEIN DIL KO BHIGHO DEITE HO Tum aate ho to... Barfeeli si tanhaiyon ki Sard hawa kantton ki tarah Rag-e-jaan mein chubhne lagti hai Aur akayle pan mein Dukh jaag kar Neendon ko nigel jate hein Aur jo apne.. Judaai ki dhund mein.. Kho gaye hein Hum se buhat door ho gaye hein Unki yaad.. phir se aane lagti hai "Suno December" Tum mat aaya karo!!!

Zaini

Zaini

 

Ansoo

Meri banjar see aankhon se, Koi dhoka nahi khao, K tum kub dekh sakte ho...? Mere dil main chhupe ghhao, Ae mere kum-sukhan saathi...! Tumhain shayad khabar ho gi...? UdaasI main jo behte hain, Wo aansoo khusk hote hain...!!!

Zaini

Zaini

 

Faisla

Insan ki zindagi main fasla karnay ki ahmiyat sub say zaida hai, Magr afsoos tou ye hai k woh aik fasla karnay k bajaye faslay he karta rehta hai, Fasloon k dam sy he urooj hasil karta hai aur fasloon k dam sy he zawal, Ye ajeeb baat hai k humari zindagi ko mutasir karnay waalay faslay aitafaaqan he hojatay hain.Bas aitafaqan jaisy nazar sy nazar mil jaye aur phr zindagi bhar saath hans kar ya roo kar.... Lakin zindagi bhar!! Baaz dafa yehi fasla itna mushkil hota hai, insan k samnay bht say rasty hotay hain, woh sochta hai kon sa rasta bethr rahay ga, Ye soch un ko kisi faslay pay pohchnay nhi daitii, aur phr ye loog apni tanhaiion main apnay mazi k mumkinaat ko dohratay rehtay hain. Jazbaat bhara dil jazbaat sy mehroom ho chuka hota hai, Ab wapis jaana mumkin nhi hota aur aagay janay ka hosla nhi hota,phr apnay aap ko daikhty hain kabhi ghusay sy kbhi reham say. Apnay kaam Allah k sapurd karnay waalay mutmian rehty hain, jo ho so ho humain apnay faslay Allah k hazoor paish karty rehna chaiea, takay hum behak na jayen Zindagi k faslay karty karty insan ki apni raffat k fasla suna dia jata hai aur phr sub faslay aakarat.........Sub Hasil ...LaHasil...............!! Wasif Ali Wasif

Zaini

Zaini

 

Tumhari Yaad

Udasi k ufaq pya jub tumhari yaad k jugnoo chamaktay hain Tou meri rooh pay hijr ka rakha hau pathar Chamakti bruf ki surat pighalta hai Aa'garcha youn pighalnay say ye pathar sang'raiza tou nhi banta Magar aik hosla sa dil ko hota hai K jaisay sar'basar tareek shab main bhi Agr aik zard'roo sehma hua taara nikl aaye Tou qatil raat ka bay'ism jadoo toot'ta hai Musafir k safar ka rasta tou kam nhi hota Magar taaray ki chilman say Koi bhoola hua manzar achanak jug'magata hai Sulagtay paoon main aik aabla sa phoot jata hai .....!!

Zaini

Zaini

 

Maa

Main apni maa ki goud main Sar rakh k soya karti thi Wo pehle mujh ko takti thi Aur pyar se phir thapakti thi Khud wo jaag k ratoon main Mujh ko sulaya karti thi Beemar agar main ho jaon Wo sab ko nachaya karti thi Dawain mujh ko khilati thi Na khaoon tou Daant pilati thi College se jab main aati thi Din bhar ki ro'edad sunati thi Wo ghaur se mujh ko sunti thi Aur phir samjhaya karti thi Qissay wo mere sun sun kar Kabhi na uktaya karti thi Meri wo mehez maa na thi Wo meri aik saheli thi Nakhre main un ko dikati thi Wo laaD uthaya karti thi Baad main mujh ko haNsati thi Jab pehle rulaya karti thi Naraz wo mujh ko karti thi Aur khud he manaya karti thi Ghussay main agar main aa jaon Wo dheema dheema hansti thi Ghussay aaye jo un ko kabhi Tou aagay se main hansti thi Koi baat ho un ko manwani Kahaniyaan sunaya karti thi Kahaniyan sabaq amoooz aisee Jin se samjhaya karti thi Raatooon ko agar mai jagoon tou Saath wo mera diya karti thi Jaag k phir hum raton mai Qahwe piya karti thiin Kabhi kahaniyaan sunati thi Kabhi shayari mujh se sunti thi Perodiyaan jab wo sunti thi Hansti hansti na thakti thi Masoom bahut thi maa meri Masoom si baatein karti thi Har bachay pay apnay marti thi Aur sab par jaan chiRakti thi Bas pyar si pyar ki moorat ki Maa bhi kesi aurat thi Wo kitni achi lagti thi Jab duayen diya karti thi Wo aur bhi pyari lagti thi Jab ghussa kiya karti thi Wo kese mujh se latti thi Aur kese jhagRa karti thi Par baat bhi meri sunti thi Aur mashware liya karti thi Jaanay ka wo hamesha kehti thi Aur ik din achaNaK chali gayi Waapis kabhi na aane k liye Aur mujh ko hamesha rulane k liye Ab aati hai wo yaad bahut Aur aaNkhen ashk bahati hain Aanssoo tou beh jaatay hain Par yaad wahin reh jaati hai...............!!

Zaini

Zaini

 

Meri Zaat Zarr-E-Baynishaan

I luv this song, is ka music is k lyrics awsum :) http://www.youtube.com/watch?v=7TXyfNngS-c Tere siwa kya jaane koi, dil ki halat Rabba saamne tere guzri mujh par Kaisi qayamat Rabba Main wo kis tarahn se karun bayan, jo kiye giye hain sitam yahan Main wo kis tarahn se karun bayan, jo kiye giye hain sitam yahan Sune kon meri yeh daastan, koi hamnasheen hai na raazdan Jo tha jhoot wo bana sach yahan, nahi kholi maine magar zuban Yeh akela pan, yeh udaasiyan, meri zindagi ki hai tarjman Meri zaat zara e benishan Meri zaat zara e benishan Kabhii sooni subhun main ghoomna, kabhii ujri shaam ko daikhna Kabhii sooni subhun main ghoomna, kabhii ujri shaam ko daikhna Kabhii bheegi aankhun se jaagna, kabhii beete lamhun ko sochna Magar ek pal hai umeed ka, hai mujhe Khuda ka jo aasra Na hi maine koi gilla kiya, na hi maine di hain duhaiyan Meri zaat zara e benishan Meri zaat zara e benishan Main bataun kya mujhe kya mille, mujhe sabr hi ka silla mile Main bataun kya mujhe kya mile, mujhe sabr hi ka silla mile Kissi aaghi ki rida mille kissi dardgi ka silla mile Kiss gham ki dil main jagah mille, jo mera hai wo mujhe aa mille Rahay shaad yuhin, mera jahan, k yeh yaqeen main badle mera gumaan Meri zaat zara e benishan Meri zaat zara e benishan

Zaini

Zaini

 

December Ab K Aaoo Tou .......!

December ab kay aao tou Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana Kay jis may jugnoo'n ki kehkashaain jhilmilaati hain Jahan titlee kay rangoo'n sey fazaain muskuraati hain Wahan chaaro'n taraf khushboo wafa ki hai Aur uss ko jo bhi pouron sey Nazar sey chhoo gaya pal bhar Mehek uthaa December ab kay aao to Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana Jahan per rait kay zarey sitaarey hain Gul-o-bulbul, maah-o-anjum wafa kay istiaarey hain Jahan dil woo samander hai , jiss kay kaee kinaarey hain Jahan qismat ki daive muthiyon mein jagmagaati hai Jahan dhakan ki lay per bey-khudi nagmein sunaati hai December hum sey na poocho hamaarey sheher ki baabat Yahan aankhoun mein guzrey kaarwaan ki gard thehri hai Labo'n per al-atsh hain, batan mein faaqey pinaptey hein Muhabbat barff jaisee hai yahaan Aur dhoop kay khaitoun mein ugti hai Yahan jab subah aati hai Tou shab kay saarey sapney Raakh kay aik dhair ki soorat mein dhaltey hein Yahan jazboun ki tooti kirchiyaan aankhoon mein chupbhti hain Yahan dil kay lahoo mein Apne Laikh'on ko dabo ker ham Sunehray khwaab buntey hein Phir unn khwaaboun mein jeetay hein Inhi khwaaboun pey martey hein Dareedah rooh koo lafzoon sey seena goo nahin mumkin Magar phir bhi December Ab KaY AaOoO Tu Tum uss shehr-e-tamanna ki khabar laana.....!!!

Zaini

Zaini

 

Apnaoon K Naam .......!

Hum ko louta hai usi shehar nay Ey jaan-E-Wafa Jis ki galioon main mohabbat ka kuch hisaab na tha Woh jo rehtay thay meray saath humesha din bhar Un k mazhab main wafaoon ka koi baap na tha Woh jo aankhon main mohabbat ko liye phirtay thay Un k dil main thi woh nafrat k kuch hisaab na tha Maine jis ko bhi museebat main maseeha jaana Jo diye us nay, Baray Us sy kuch azab na tha Mujhay khayaal tah ye loog meray apnay hain Magar wahan pay tou aisa kuch riwaaj na tha ..............!

Zaini

Zaini

 

Raat

Ki sargooshi karta hai Aadhi raat ko Danish Main sin k shoor main shab ki kahani yaad karta hoon

Zaini

Zaini

 

Anohther Day Has Gone But I M Still Alnoe......

Tumhari yaad aati hai Andheri raat ko jub aasman par Tajj’alian harf-e-mohabbat naqsh karti hain Kisi nakam sa’at jub Hamara dil shikasta hoslay ka noha gata hai Naee hijrat hamari zindagi ki taza majboori ke angan main Siyah khaima lagati hai Tumhari yaad aati hai Tumhari yaad aati hai Kabhi be abaad sarkon k kinaron par Kabhi maqtool jazbon ke mazaron par Kabhi banjar zameenon par Kinare shab zamen main dafan hote hue Raishmi suraj ki halat k ishare par Judai k kinare par Kahin mausam badal jaye Kabhi jo saaz mil jaye Kabhi jo geet ban jaye Kabhi sangeet chin jaye Mohabbat saaz lamhon main Bohat naraz lamhon main Zamanay k sawalon main Hifazat k khyaloN main Tumhari yaad aati hai Jub adhay rastay par ja k manzil bhool jati hai Tumhari yaad aati hai.........!!!

Zaini

Zaini

 

Lakin Teray Baghair

Tum yaad Ho To Naqsh Ho Merey Hawaas par Tum Ashk Ho To Merey Dukhon Ka ILaaj Ho Tum Khuwab Ho To Meri Aankhon Main Ho kahin Tum Wehem Ho To Mujh Ko Haqeeqat Say Ki Gharaz Tum Baiss-e-Safar Ho, Huner Ki Uraan Ho Tum Neend Ho To So K Guzarein Gay yeh Hayaat Tum Husn Ho To Merey Takhayyul Ki Jaan Ho Tum Raat Ho To Mujh Ko Nahin Subah Ki Talab Tum Noor Bun k DiL Main Samaey Ho Aaj kal Tum Khaak Ho To Kaak Nasheenon Ki Ho Talash Tum Dard Ho To Rooh Pay Chaey Ho Aaj Kal Tum Dasht Ho To Main Bhi Musafir Hoon Dasht ka Tum Chaand Ho To Talkh Andheron Ki Fiker Kiya Tum Bay Neyaz Ho To Zamanay Say Ho Alag Tum Rung Ho To Phir yeh Baharon ka Zikr Kiya Tum Bay Samar Ruton Main, Baharon Ki Ho Umeed Tum Rah Guzar-e-Shauq Main Jazba Junoon Ka Ho Tum Arzoo Ho, Ehl -e- Tamanna Ki Ho Khalish Tum Rut-Jagon Ki Bheer Main Lamha Sakoon Ka Ho Tum Bewafa Ruton Main Hawala Ho IshQ Ka Tum Baybasi Ho Phir Bhi Muheet-e-Hawaas Ho Tum Ik Kiran Ho Noor-e-Azal Main Dhali Hui Tum Taazgi Ho, Shabnami Phoolon Ki Aass Ho Tum Gehrey Paniyon Main Chupay Motiyon ka Lams Tum Maut K Safar Main Nishan -e- Hayat Ho Tum Meri Chashm-e-Num K Sitaron Ki Keh'kishaan Tum Husn-e-Bay'Missal, Meri Kayenaat Ho Tum Jab Say Ho Gaey Ho Meri Dastras Say Dour Main Jee rahi Hoon Kyun K Zaroori Hai Zindagi Saanson K Bojh Ko Bhi uhhaya hai Rooh Nay Lakin Terey Baghair...... Adhoori Hai Zindagi .........!!

Zaini

Zaini

 

Iqtibaas

Zindagi tanhai k samundar maiin ik jazeery ki se haisiiat rakhti hai.....Iss jazeery ki chataanain umeedon ka roop dhaar laiti hain.Is k darakht khwaab ban jatAy hain.Is k phool aman-o-sakoon ka namuuna hain.Is ki nadiyan sarap-e-tishnigi hain.................Zindagi ik aisa jazeera hai jo doosray jazeeroan se alag ho gaya haii..............Hamari zindgi ik alag thalag ghar ki maanind haii jo doposray logoan k gharoan se bilkul alaihda hai........Yeh woh ghar hai jahan koi hamsaya andar jhank k nahi daikh sakta agar yeh ghar tareeqioun main ghir gaya ho tou tumhary hamsiay ka chiraagh is main roshni nahi phaila sakta............Agar iss ghar main khany peeny ka saman khatm ho jaye tou tumhara hamsaaya tumhay kuch nahi day sakta......Agar yeh ghar shehra main waqya hai tou tum is ko dousrey logon k baag main nahi lay k jaa saktey......Agar yeh ghar kisi pahar ki chooti pay abad hai tou tum isay is wadi main abaad nahi kar saktay jahan aur log bhi abaad hain..............!!

Zaini

Zaini

 

Alvida

Kisi ko alwida kehna Bohat takleef daita ha Umeedain toot jati hain Yakeen pay bay yakeeni ka kehar kuch aisa charta ha Deakhiea kuch nahi daita,subhaiee kuch nahi daita DUA k lafz hontoon pay musalsal kapkapatay hain Kisi khawish k andashay Zehan main door jatay hain Gumaan kuch aisa hota ha K jaisay mil na pian gain Ya gehray zakham furkat k kisi say sil na pian gain Kabhi aisa bhi ho YARAB Duaian maan laita ha Tu koi mojza kar day tu aisa kar bhi sakta ha Meray haathoon ki janib deakh tu unko bhar bhi sakta ha Judai ki ya teekhi dhaar diloon ko khoon karti ha Judai ki aaziyat say Mera dil ab bhi darta ha Judai do ghari ki ho tu koi dil ko behliea Judai char pal ki ho tu koi dil ko behliea Judai umar bhar ki ho Tu koi chara karay koi K ab milnay ki hasrat main bhala kub tak jiea koi Meray mola karam kar day tu aisa kar bhi sakta ha Meray haathoon ki janib deakh tu unko bhar bhi sakta ha ....!!!

Zaini

Zaini

 

Bicharnay Waalay

Bicharnay walay Chalay jo ho tou bata k jao K kitni shaamain udaas aankhon main kaat-ni hain K kitni subhain akelay pann main guzaarni hain Bata k jao k kitne sooraj..azaab rastoon ko dekhna hai K kitnay mehtaab.............Sard raatoon ki wus-at-ton se nikaalne hain Bata k jao k chaand raatoon main waqt kaise guzaarna hai Khamosh lamhoon main tujh ko kitna pukaarna hai Bata k jao k kitnay lamhay shumaar karnay hain hijj ratoon k K kitnay mousam aik aik kar k judaiyoon mein guzaarne hain Bata k jao k panchiyoon nay akele pann ka sabbab jo poocha Tou kya kahoon ga? Bata k jao......Main kis se tera gilla karoon ga Bicharr k tujh se habbib kis se mila karoon ga Bata k jao k aankh barsi tou kon moutii chuna karay ga Udaas lamhoon main dil ki dharkan suna karay ga Bata k jao k mousamoon ko payaam dainay hain ya nahi hain Fallk ko,taroon ko,jugnooon ko salaam dainy hain ya nahi hain Bata k jao k kis pe hai aitebaar karna To kis ki baatoon pe be-niyazi k silsalay ikhtiyaar karna Bata k jao k abb ravviyoon ki chaal kiya ho Jawaab kiya ho,sawaal kiya ho Arooj kiya ho,zawaal kiya ho Nighah,rukhsaar,zulff,chehra, Nidhaal kiya ho Bata k jao k meri haalatt pe chaandani khikhila pari tou main kiya karoon ga Bata k jao k meri soorat pe tairgi muskara parri tou Main kiya karoon ga Bata k jao k tum ko kitna pukaarna hai Bicharr k tujh se ye waqt kaise guzaarna hai Ujaarna hai? nikhaarna hai? Chalay jo ho tou bata k jao K loutna bhi hai ya................????????

Zaini

Zaini

 

Maata-e-sham-safar

Maata-e-sham safar bastioon main choor aaye Bujhay chiraga hum apnay gharoon main choor aaye Bichar k tujh say chalay hum tou ab k youn bhi hua K teri yaad kahi rastoon main choor aaye Hum apni darbadri k mushahiday aksar Naseehatoon ki tarhan kam sanaoon main choor aye Khiraaj-e-sail bala is say berh k kia hai k loog Khulay makan bhari barishoon main choor aye Ghiray hain lashkar-e-aada main aur sochtay hain Hum apnay teer tou apni safoon main choor aye Hawa he din main parinday urati phirti hia Hawa he phir say unhain ghonslaoon main choor aye Kisi khabar hia k zakhmi ghaza'al kis k liya Nishaan lahoo k ghnaay jungaloon main choor aye Humaray baad bhi ronaq rahay ge maqtal main Hum ehl-e-dil ko baray hoslon main choor aye Urain gain kia woh parinday jo apnay rizq samait Safar ka shoq bhi tootay paroon main choor aye Sada sukhi rahain chehray woh hum jinhain Mohsin Bujhay gharoon ki khuli khirkioon main choor aye.......!!

Zaini

Zaini

 

Sunoo Pagal

SunOo pagal !! shajar jab sookh jain to parinday urr hi jatay hain So aisay Hi... kahin tum b chalay jana !!!

Zaini

Zaini

 

Use Kehna

Us simt chalay ho to bas itna use kehna Ab koi nahi hurf-e-tamanna use kehna Us ne hee kaha tha to yakeen mein ne kiya tha Umeed pe kaayeem hai yeh duniya use kehna Duniya to kisi haal mein jeene nahi deite Chahat nahi hoty kabhi ruswa use kehna Zarkhez zameenein kabhi banjar nahi hotien Darya hee badal leite hain rasta use kehna Who meri rasaayi mein nahi hai tow ajab kia Hasrat bhi to hai ishq ka lehja use kehna Us samt chalay ho to bas itna use kehna!!! Kuch log safar kae lie mozoo nahi hote Kuch raste kat-tae nahi tanha ........Use Kehna.

Zaini

Zaini

 

Aurat

Mujhe lagta tha wo abhi ro padegi, par wo royi nahi. Ya phir, shayad aisa rona royi jo kisi ko dikhaayi nahi diya. Dekha! Hum auratain kaisa rona ro sakti hain! kabhi kabhi mera dil karta hai, ki main bhi zor zor se ro sakoon, aur wo bhi zor zor se ro sakay.....

Zaini

Zaini

 

Lafzoon K Mooti

Wo aur us ki umr ik saath nahi chal rahi thi, kabhi use lagta ki wo kahin aage nikal aayi hai, aur umr bahut dheere dheere kadam badati aa rahi hai, Kabhi use lagta, ki wo wahin ki wahin khari hai, aur us ki umr na jaane kab use choor kar aage chali gayi.

Zaini

Zaini

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.