Zinda rahein to kyaa hai jo Mar jaien ham to kyaa
Duniyaa mein Khaamoshii se Guzar jaien ham to kyaa
Hasti he Apani kyaa hai Zamaane ke saamane
Ek Khwaab hai jahaan mein Bikhar jaien ham to kyaa
Ub kaun Muntazir hai hamare liye Wahan
Shaam aagai hai LauT k Ghar jaien ham to kyaa
Dil ki Khalish to saath rahegi Tamaam Umr
Dariya-e-Gham ke Paar utar jaien ham to kyaa