-
Content count
58 -
Joined
-
Last visited
Content Type
Profiles
Forums
Calendar
Blogs
Everything posted by Nayab007
-
Mahbadolat ki Psychology ki roshni may . .Coolyar ki boring girl? Ayeshaaaa hai 2.Coolyar ka boring boy? Amaan 3.Coolyar ki ajeeb si larki? koi bhi nahi hai ajeeb 4.Coolyar ka ajeeb sa larka? Mahbadolat khood . 5.Coolyar ki chupo girl?(jo chup rehti ho ya rehta ho) Lharkiya kabhi chup nahi rah sakti 5.Coolyar ka chupo boy? amaan 7.Coolyar ki heroine girl? Guriya Sleeping star 8.Coolyar ka hero boy? Wo tu sab ko he pata hai koon hai yani kay may he hon 9.Coolyar ka chipko larka?(jo piche hi par jata hey ya par jati hey) koi bhi nahi 10.Coolyar ki chipko girl? koi bhi nahi Thnx Babar Nayab The Graduate of Psychology
-
boht khamosh or gahray sakoot ko toorti hovi muhababt zindagi may kaisay dhakil ho jati hai insan soch bhi nahi sakta kuch jazbay dill may aisay halchal machatay hain itnay bay karar ho jatay hain itnay pukhta ho jatay hain kay zamanay kay tuffan zamanay kay pahaat bhi chotay ho jatay hain in may say he aik jazba muhabbat ka hai kuch loog isay fazool kahtay hain kuch loog isay jeenay ki manzil kahtay hain har aik cheez muhababt ki talabgar hai chahay wo insan ho ya janwar muhabbat say he os say shansaye paida ho jati hai muhabbat say he aik dosray kay liay jeenay marnay ki arzow paida ho jati hai lakin waqat kay sath sath muhababt aik lafz ban gia hai lakin muhabbat ki gahrye os ki kadroo keemat say Na AShna loog osay aik khail samjhtay hain or phr wo khail khail kar bhool jatay hain har aik muhabbat ko apnay andaz may karnay ki kushish karta hai magar wo bhool jata hai muhabbat kise kay andaz may dhalnay ka naam nahi hai yai tu wo jazba hai jo sirf yai chahta kay osay sachay mann say phailay jaye har aik may banta jaye har ko bay tahasha dia jaye wo bhi bagiar kise lalach bagair kise matlab kay fizzow may geet gati muhabbat insaniyat say piyar karti muhabbat logow may muskan or kahkow ko tawalat bakashti muhabbat ajj tarp rahi hai ajj os kay naam par khoon kia ja raha hai os ki tazleel ki ja rahi hai os kay jazbow ko kuchla ja raha hai kia insan jadeed taleem kay manow may itna agay bhar gia hai kay muhabbat osay shid aik khali khookla alfaz ban gaye hai muhabbat he tu aihsas paida karti hai muhababt he tu insan ko jeena sikhati hai ajj nafratain kion hai kion aik dosray kay liay hasad janam lay raha hai os ki waja yahi hai kay hum muhabat kay khobsort jazbay say Na ashna ho chokay hain sirf muhababt laina jantay hain daina nahi agr muhabbat day bhi dain tu phr os ka sila talb karnay ki kushish kartay hain or yai bhi nahi jantay muhababt apna sila nahi mangti muhababt apna qarz nahi mangti wo tu sirf itna mangti hai kay os ka ruswa na kia jaye os ko banawat na banye jaye os ko jhoot or dhookay may na badla jaye bas muhababt yai chahti hai kay muhabbat ko amar kia jaye or amar karna tab he ho sakta hai jab hum muhababt kay sachay jazbow say ashna hon gaye or apni zindagi ko khobsort aisay he bana saktay hain jab muhabbat kay jazbow ko har tarf bantain gay or koi talab nahi rakhain gay thnx Tahreer-o-Tarteeb Babar Nayab from Minchin abad ap sab ka mukhlis
-
Pata nahi hum apni choti choti kushiyow ko choti choti muskarraht ko hasil karnay kay liay kitnay zulm ka pahar daha daitay hain or hamay on ka aihsas tak nahi hota aisa he aik zulm azeem hum masoom or bay zuban prindow par bhi kartay hain onhay apnay khilona jan kar on say mahzoz hotay hain or onhay azadi ki naymat say mahroom kar kay kaid ki sakhat zindagi guzarnay par majboor kartay hain hum itnay safak kion ho jatay hain kabhi hum aik din aik room may kaid ho kar guzarain kabhi hammara khana aik banday kay zamay ho or wo app ko day ya na day os ki marzi kabhi aik din room may band ho kar guzarain to ap ko pata chal jaye ga kay kaid kia hoti hai hum khood ko insan kahwalana zaror pasand kartay hain magar afsos insanow wali baat ajj hum may nahi rahi hum sirf bay his ho chokay hain khod par zulm ho to asman sar par utha laitay hain hazarow gilay shikway hazarow ahain bad-doyain daitay hain lakin kise ka sakoon kise ki azadi ko cheen kar hum kitnay kush ho rahay hotay hain yakeenan yai aik aisa zulm hai jis ki mafi sirf on masoom or bay zuban prindow ko azad karnay kay bad bhi nahi milny chaiya Hum pharay likhay honay kay badjood bari bari namwar degree lainay kay bawjood shayoor rakhnay kay badjood baray bayhis ho jatay hain or aisy bay hisy may apnay mashray may bay chaniy say mahsos kar raha hon or isay bay chaniy say tang a kar may apnay alfazow or tahreer kay zariya apnay dill ka kabhi kabhar ghubar apnay articals may karta rahta hon Khudara inansow kay baad in masoom prindow bay zuban janwarow par rahm karna seekhna chiya kionkay wohe rahm kay kabil hota hai jis kay dill may rahm hota hai jo sirf apni kushi ki khatir kise ki azadi ki zindagi ko pamal karta hai wo boht bara zulm karta hai ajj may prindow ki hamiyat may awaz uthatay hovay yahi kahoon ga kay zindagi zaror kushiyaow say abarat hai magar yai na ho kay app ki kushi kise ki saza ban jaye is liay pls apni kushi ko sirf sachi kushi ka naam dain na kay zalmana or insaniayt say giry hovi kushi app ko taskeen day thnx app sab ka mukhls Tahreer-o-Tarteeb Babar Nayab From Minchin Abad
-
type of girls Mahbadolat ki nazar may Shookh Chanchal Lharkiya: Aisy lharkiya khood ko haseena Alam samjhti hain bat bat par muskarana or buland kahkay lagana in ki adat hoti yai dill ki to achi hoti hain lakin dosrow ko bolnay ka moqa nahi daity patar patar in ki zuban chalti hai jaisay he kise masoom ko daikh na lain phr os ki shamat a jati hai ghar may tu aksar yai cow ki tarh shareef hoti hain lakin bahir kise joker ki tarh lateefay banati rahti hain kabhi kabhar bari sensative ho jati hain choti choti batow par magar kabhi bari bari batow ko bhi khatir may nahi laty aisy lharki jis becharay bhalay mans mere tarh kay lharkay kay paish par jaye bas os ki shamat a jaye Sanjeeda Lharkiya: Aisy lharkiya khood ko Aflatoon samjhti hain bat bat par apna lecture shrow kar daity hain har waqt sanjeedgi ka labadha ohray rakhti hain ta kay dosrow ko pata chaly kay wo kitne samjhdaar ,bashyoor ,danishwar wagaira wagaira or apni omar say bari bari batain karti hain koi bat chahay kitne bhi hansnay waly kion na ho yai sirf muskuranay par he iktafa karti hain agr muskarain ge be to wo bhi aihtiyat say zaida dant bahir nahi niklain ge dosri lharkiyaow ko yai is tarh samjhain ge kay yai on ki Ammah dadi hai or wo sab is kay nazdeek bachiya hain Ranjeeda Lharkiya: Aisy lharkia bhi ajkal hammaray mashray may boht kam hain aisy lharkia har waqat ranjeeda rahti hain dosrow kay dukh ko apna dukh samjh kar ranjeeda ho jati ahin isy liay ghar walay .paroosi,Mahllay walay door kay rishtay dar wagaira apnay tammam tar dukh sirf in lharkiyow kay rubrow he paish kartay hain ta kay yai on ki tention ko apnai tention samjh kar do ya char ansow baha dain aisy lharkiya boht achi hoti hain magar ajkal mushkil say milty hain Larakow lharkiya: Asiy lharkiya bari larakow hoti hain aksar okkat gossay may aa kar ghar ki cheezain torti rahti hain kabhi kabhar apna cell phone ya phr apni he koi cheez toor kar apnay gossay ka izhar karti hain aisy lharkiya bari khatarnaak hoti hain chahay kise ki kitne bhi gahri friend kion na ho agar koi bat buri lag gaye tu phr bas ..... ghar may har waqat bhonchal macha rakhti hain kabhi apnay suits par lar rahi hoti hain kabhi apnay shoes par lar rahi hoti hain har aik cheez par larna marna in ki adat hoti hai Khobsort lharkiya: Aisy lharkiya to khod ko boht he acha samjhti hain or dosry sanwli lharkiyow ko yahi kahti hain kay banday ki inner beauty honi chahiya out of beatuy ka kia faida jab dill he acha na ho magar apni khobsorti par har waqt utrati rahti hain khod ko bara nazuk mazaj samjht hain agr dhoop ziada lag jayen to bay hosh honay ki bhi acting kar daity hain apni tareef ap kar kay he in ko bara maza ata hai agr koi or khobsort lharki in ko nazar a jaye tu os ki soo soo aeb nikalti hain kabhi kahti hain daikhow to sahi os nay kitna make up thappa hova hai inta make up ho to koi bhi khobsort lag jata hai magar khod ko os say zaida khobsort zahir kar kay he rahi hain yai thi kuch lharkiyow ki iksaam or bhi kafi kismay thi lakin may nay bas yahi paish ke hain i know kafi lharkiya mere is tahreer ka bura bhi manayen ge magar kia karon haqeeqt to haqeeqt he hoti hai na thnx App sab ka mukhlis Babar Nayab The Student Bachler,s of Psychology Minchin Abad
-
Thats good yai tu kafi good formula hai may nay azamya hai or boht he acha fark para hai thnx
-
When i will be prince 4 one day har aik say muhabbat banta jitna kuch hota logow may bant kar kush hota logow may nafrat hasad,keena,bugaz ko jar say khattam karnay ki kushish karta tammam logow par yai shart lagow kar daita kay har koi dukh sukh may aik dosray ki bhar chahr kar madad karay apnay khabow kay mahal say nikal kar kasamparsi ki zindagi guzarnay walow kay liay sachay man kuch karta har jaga apni amad say hansi kushi bakhair daita phr sab he kahtay aray yai tu waqia he Prince hai
-
Aslam-o-Aleikom Sawaat or deegar alakow may Taliban kay khalaf optaion jari hai yai Taliban jo apnay app ko muslaman kahtay hain or islam kay ilmbdar bantay hain maagr khud kush dhammakow ko kabool kartay hovay fakhar karaty hain is ki jitny mozamamt kar sakain magar afsos kay ajj ham boht khood garz ho chokay hain kise ko khoon may lat pat or tarpa marta daikh kar ham osay just aik khabar samjhtay hain or phir waqat kay sath osay bhool jatay hain ajj hammara zameer or insaniyat baraye naam he rah choki hai jin kay gharoo kay charagh in dahshat gardi ki waja say bujhay hain on say pochain to hamay pata chalay gaa dahshat gardi ki jitne mozammat ki jaye otni kam hai islam kay naam par khud kush hamloo ki tahreek nay hamay kofar kay andheroo may dhakkail dia hai ajj agr ham nay in kay khalaf awaz nahi othiey to on may or ham may koi fark nahi rah jaye gaa ajj hamay hosh kay nakhun lainay hon gay jab bhi koi aisa waqia ronma hota hai gis may masoom or bay zarrar logoo ko khooon ki wadi kay andheroow may dhakkaila jata hai har pakistni ka dill khoon kay ansow roota hai Khuda kay wastay islam kay naam par masoom logoo ko kuchalnay waloo bas karoo kab tak yunhe apnay intkaam ki aag ko ham par mosallat kartay rahoo gay akhir kab tak kia bigara hai in masoom logoo nay tumahra jin ko tum maar rahay hoo bas karo yai na ho kay phir yahi loog tum logoo kay khalaf aik seesa palye hovi deewar ki tarh kharay ho jain to tum bach nahi sakoo gay khattam karoo is nafrat ki dewar ko jo tum logoo nay baana rakhi hai Babar Nayab From Minchin Abad The Student Bachler,s of Psychology
-
Well jab app kise par blame lagain or wo guftagow karain jo tahzeeb kay dairay may nahi ati phr ap ko 3 bar warn bhi kia jaye lakin app apni guftagow ka moral zara bhi tabdeel na karain tu mujhay majboora band karna para becoz is tarh app chatroom ka mahool kharab karnay ki kushish kar rahay thay agr next time ap ko yahan ana ho tu pls apna behaviour chang kar kay ayen apnay may manners or aticates paida kar kay ayen ta kay app ki waja say say kise ki izzat nafas majrooh na ho thnx
-
Mere Tammam tar doyain on kay sath sath hain Allah onhay Sahat yaab farmaye Zaini app ghabrana nahi bemar hona koi bari bat nahi banda bemar hota he rahta hai on ko sab say zaiada apni olad ki compny ki zarorat ho ge ap bharpor say bharpor compny dain or sath may hamari doyain bhi hain InshAllah jalad he sahat yabi ki naveed app kay mune say sonay gay Thnx App sab ka Mukhlis Babar Nayab
-
Hum soch rahay hain kay kise par zaida tawakkoyat lagaanay ki bajye kise ki tawakoyat par pora utarnay ki kusish karoon
-
When we learn all the answers ,they chang the questions . What lies behind ourselves and what lies ahead of ourselvs are small matters compared to what lies within ourselves. Thnx Babar Nayab The Student Bachelor,s of Psychology The Bright future of Pakistan From Minchin Abad
-
Mujhay yai sab daikh kar dukh or gossa aa raha hai kay kahan gaye ummat musalma kia sirf muzammat kar dainay say yai thek ho jaye gaa kahan gaye OIC kia yahi islamic countries ka haal hai kay kise ko parwa nahi Khudara Hosh kay nakhun loo ajj Pori donia kay malik ko is tarh Pairoo may ronda jaa raha hai Ya Bari Tala jis nay teray naam kay sath bay huramti ki hai hamay itne takat Ata farma kay ham onhay Nest Nabood Kar sakain Kash kay may aisa kar pata kash Babar Nayab The Student Bachler,s of Psychology From Minchin Abad
-
( Friday 25 Septembar 2008 1:00 pm) Zindagi itne talkh kaisay ban jati hai is bat ka ilam mujhay ajj hova ,risthay natay,muhabbatain ,dosti yari ,doori nazdeeki milna bicharna sab he to zindagi kay lawazmat hain or yahi lawazmat he to kabhi hanstay hain to kabhi rulatay hain .har guzarnay walay waqat ki ahat kay sath aziyat bhara yadoo ka toffan meray dillow damag may nasthar choobata kionkay yadain he to zindagi ke wahid jeewan sathi rah jati hain ,haan mujhay pata hai sab risthay arzi hotay hain haan mujhay yai bhi pata hai kay Allah ka hokkam afzal hota hai haan mujhay yai bhi pata hai kay waqat sab say bhara marham hota hai magar baz okkat waqat bhi kise ke yadoo ko nahi mita sakta kis nay kaha hai meray dada abbo is donnia may nahi rahay nahi nahi wo to yaheen hain meray dill may amar hain meray ankhow may tassvor ban kar zinda hain ajj bhi motor cycle chalatay hovay mujhay aihsas hota hai kay meray dada abbo meray kandhay par hath rakhay hovay meray peachay baithay hain or hum dono long drive par jaa rahay hain ajj bhi akhbar phartay hovay mujhay meray dada abbo ki pukkar sonaye dati hai kay Babar Nayab kia mujhay khabrain nahi sonow gay haan ajj bhi mujhay on ki budhi sansain apnay bilkol pass he to mahsoos kar raha hon haan mujhay pata hai yai alfaz meray jazbat ko biyan karnay say kasir hain haan mujhay yai bhi pata hai kay yai ongliya bhi kise kay khoobsort daiyme aihsas ko likhtay likhtay toor jain ge magar may phir bhi dill kay hatoo majboor apnay jazbat ko tahreer ka namokammal labadha pahnanay ki nakaam kushish kar raha hon .Kis kadar on ka chahra chamak raha tha jab onhay dafnaya jaa raha tha lag raha tha jaisay wo rooz ki tarh gahree meethi nend soo rahay hain apni har bat apnay dada abbo ko share karnay ki aik adat par gaye thi or ab lagta hai kay apni batoo ko apnay aihsasaat ko apnay dill may he daffan karnay paray ga kion kay son nay wali or rahnamye karnay wali awaz door kaheen khoo gaye hai boht acha lagta tha jab zindagi ki hakeekato ko wo misaalow or tajorbow ki jhalsa dainy wali apnay door ki garmi ko baray khoobsort andaz may paish kartay thay kay lafaz lafaz dammag may otar jata tha kabhi kabhi kise kay bicharnay ka malal itna ranjeeda hota hai kay ankhow say nikalnay walay zaar kittar annsow bhi os ka diffa nahi kar saktay or ajj jab may tanhaye kay khoof say boht parayshan hon may batana chahta hon sab ko kay zindagi ke baharain or kushiyian inhe bazorgoo ki doyaon ka samar hoti hain Khudara in ki thandi chayoon ka aihtraam karoo or in ki khidmat ko har awwal masroofiyat samjhoo warna phir zindagi bhar ki sharmnaak nadamat har pal saanp ban kar dasay ge Jab meray Dada abbo ko dafnaya jaa raha tha to mujhay is tarh laga jaisay wo meray pass aa kar or meray kandhay par hath rakh kar kah rahay hain kay jisam zaror daffan ho jata hai magar kise ka khoobsort aihsas kabhi daffan nahi hota or haan ajj mujhay pata chal gia kay aihsas daffan nahi hota yaii to hameesha zinda rahta hai Faqat Apnay Dada Abbo ka sab say Ladla Pota :Babar Nayab From Minchin Abad (30 Septembar 1:50 AM 2008)
-
Pakistan kion Bana? Aik aisa sawal jo may or app sab jantay hain kon say aisay makaasad thay jis ki waja say Pakistan ko banay gia tha ajj jab yai satoor may likhnay jaa raha hon mere rooh may aik aziyat barpa hai kay Barraay Sageer kay Muslamanooo nay Pakistan Bananay kay liay apni haddiya eentoo ki jaga ,ghoshat garay ki jaga khoon pani ki jaga istamal kia hazorow Pakdaman Maow bahnoo nay Pakistan ban nay ki qurbani daitay hovay apni izzotow ki qurbani dee .Ajj bhi meray Dado Abbo ki ankhow may wo gamoo ki Sayyah Raat aik khoof Naak yadain lay kar majood hain jab on kay saamnay he kahi Musalmano gharoo ko zindaa jala dia gia ajj bhi on ki budhi ankhain mujhay yai batatay hovay roo parti hai kay onhoo nay lashoo kay samandar ko par kar Pakistan may kadam rakha yai alfaz he nahi hain balkay aik aise talkh hakeekat hai jo wo kabhi nahi bhool saktay magar ham apnay he molak may rahtay hovay kia kar rahay hain ham khood he apas may khoon ki naddiya baha rahay hain wo Pakistan jis kay liay hamay moot say bhi larna para ajj osi Pakistan may ham wo dardnaak or khoofnak khail khail rahay hain jo batatay hovay meray kia pori Pakistan koom ka sir sharm say jhuk jaye gaa Akhir ham itnay sangdill kion hon gaye Pakistan ban gia ? Magar ham nay kiya kia ham to sirf yai kahnay waloo may say hain ham nay kia laina daina is Pakistan say aray kioon Laina daina nahi tumhay is Pakistan say kia tum nay is Pakistan may janam nai lia kia tum Azaad haawown may saansay nahi lay rahay agr wo Iqbal or Jannah bhi tumhari tarh Sochtay to ajj azadi ki zinda saasay na lay rahay hotay Ham wo Koom hain jis nay idhar ham or odhar tum ka nara laga kar apnay he Molak kay do tokray kar dalay Pakistab na gia magar ham nay kiya kia ajj bhi Jamiya hifza or Laal Masjid may wo Musalman masoom bachiyoo ki deewaroow par likhi hovi tahreerain hammari rooh ko jhunjhanoor rahi hain kay Abbo Ammi kuch gham na kejia gaa ham Allah ki rah may Shaheed ho rahay hain aray shaheed wo bhi apnay he Musalman bahi kay hatoo. ajj bhi on masoom Baciyoo ki rohain Azadi kay nagmay ganay waloo say poch rahi hain kay kia tum nay ise waja say Pakistan baniya tha kay Hindow say bhi badtar salook tum hammaray sath karoo gay.Pakitan to is waja say baniya gia tha jahan ham Sakoon or azadi say apnay mazhab or mashrati zindagi ko guzar sakain magar ham Pakistan kay ban nay kay baad he aisa khoofnak khail khainlay shorw kar dia Iktadar ki hawas lay kar Awam ka ghala ghoonta or on ki Zakhmow par namak phainktay hovay kahka laga kar kahtay hovay Ham tumhay daitay hain Pakistan may rahnay ki saza .Wo Quied jis ki rooh may bhi Pakistan ko banana ka azam racha basa hova tha jo Kise Moolvi ki tarh Ghala phar phar kar takreer nahi karta tha jo Lalach may aa kar Hidnow Muslamanoo ko bahi bahi nahi kahta tha jo Moot kay dar say Pakistan ko bhoolna ka tassvvor bhi nahi kar sakta tha ose nay kamzoor badan magar Taktwar azam kay Malik Insan nay Pakistan ko bana dia loo yai tumhara Pakistan ban gia or phir Pakistan ki Muhabbat may doba wo Shakas Jis nay Musalmanow may Baidari roshan ki wohe Iqbal jisay donia shaire Mashrak tasleem karti hai os nay apni shirye say Musalmanoo may aik naye rooh paida kee May Tareekh ki warkoo may nahi jana chahta kion Pakistan ki tareekh Mazi kay kise Kabarstan may daffan ho choki hai .Magar anay walay Azadi kay din hamay yai zaror sochna ho ga kay Khuda ra ham Pakistan ki salamti kay ilay sochain Pakistan kay amman kay liay sochian Apnay he hatoo say kise ka gala ghoontnay say pahlay itna yai zaror soch lain kay yahi Makafat Ammal Kudrat hammaray sath bhi kar rahi hai Khuda kay liay ajj bas karain khoon ki dahkti hovi aag ko Muhabbato kay paaani say bujha dalay Khuda kay liay Muhabbato kay deep ko jalanay ban jain or sirf apnay Molak or deen ki Mukhlis Ban jain to he ham sakoon say rah sakain gay warna kal ko hamay Pakistan ka wajood sirf kagzi ban kar rah jaye gaa Pakistan ki muhababt may onchay geet ganay say pahlay is ki khatir kuch karoo yune nazray na phairoo Khuda raa Ajj hosh kay Nakhun loo aiy Quied ham ajj app ki rooh say shirminada hain kay Pakistan kion bana or ham nay app kay Pakistan kay baray may jazboo ki dhajjiya oda dee aiy Quied ham Sharminada hain..................................... Babar Nayab The Student Bachler,s of Pakistan Pakistan Zinda Baaad From Minchin Abad District Bahawalnagar
-
Aslam-o-Aliekom Iqbaal kay sachay Shaheen or iqbaal ke khoodi kay nashay may sarshar or apnay zameer kay sachay Insan Abdul Samad nay jo karnama sar anjaam dia hai yakeenan os nay wo tamancha mara hai Americoyee par jo kahtay thay kay Pak walay paisoo ki khatir apni maah ko baich daitay hain yai tamancha aisa tamancha hai jo dadiya tak nahi bhoolay gaa aik Nojwan gis kay hath may kalam or zahn may ilam samya hova hai onhay yai kia kahain gay Terrorist to kah nahi saktay Agr ise tarh har Pakistani nojwan wohe Abdul Samad giasa jazba rakhay to omeed hai kay Pakistani ki tarf koi maile Ankh say nahi daikh sakta or may users say request karoon ga jitna app is par comments day sakain dain or may os Nojwan ko Salute karta hon or kharaj Tahseen Paish karta hon agr wo meray saamnay hota to may os kay hath zaror choopta jo Hakoomat mune tooor jawab nahi day saki wo os Masoom or apni zameery kay pakay or sachay musalman nay kar dikhaya Babar Nayab The Student Bachler,s of Psychology From Minchin Abad
-
Aslma-o-Aleikom I hope kay sab thek hon gaye Asif mujhay bara afsos hai tum par kay may nay tum say bat bhi ke thi kay koi bhi galat step mat othana magr tum baaz nahi aia halankay waqas say mere bat hovi thi or osay may nay kaha tha kay asif mera boht acha dost hai or wo thora sa emotional hai may osay samjha doon ga magar tum nay mere bat ka bhi kaha nahi mana yai bilkol galat kia tum nay Waqas nay jo kaha i agree with all word of the waqas mujhay afsos hai kay Asif may tumhara sath nahi day sakta i am realy sorry to say you Babar Nayab The Student Bachler,s of Psychology The Bright Future of Pakistan
-
Zindagi or Sakoon (Life and Peace) (My new Artical ) Zindagi geenay kay liay mukhtalif dhang hain koi zinagi mahroomiyoo or lachariyoo may guzarta hai to koi zindagi pholoo or gulzaaroo may guzarta hai zindagi geenay kay liay chand saansay nahi hai balkay aik pora kathan raasta hai baray baray nasheeb o faraz hain gin may say guzarna parta hai baray baray tafanoow or andhiyoo kay agay nabar azma hona parta hai jab insan apni zaroratoo ko boht ziada bharha laita hai to phir on ko hasil karnay ki kushish may boht door nikal jata hai itna door kay phir wapise ka rasta nahi milta osay apnay liay bhi waqat nahi milta Koi khoo kar bay chain hai to koi paa kar bhi khush nahi ,itna kuch honay kay bawjood mazeed ki talab osay khush rahnay nahi dati ,hasad ,keena ,bogaz nahi insan ko insan ka dushman bana dia hai apnay gaisay insanoo ko martay hovay hammaray hath nahi kaanpatay .Kise ki ankhow say bahnay walay ansoo hamay sirf pani lagtay hain kise kay armanoo ka khoon kartay hovay hamay bikol bhi dard mahsoos nahi hota.Ham khood muhabbat kay talabgar hain tawajoo chahtay hain phir dosroo ko yai sab kuch kion nahi day patay kion ham intay sangdill hain agar ham say koi galti ho jaye to hamamri yahi khish hoti hai kay hamay maaf kar dia jaye lakin ham dosroo kay liay aise Ala zarfi ka mozihra kion nahi kartay Khood kay liay hamdardi or dosroo ko liay Sazaa? Jab hamay koi takleef phunchti hai to lagta hai Zolam sirf ham par hova hai Ziadti sirf hamamray sath hovi hai ham kabhi yai sochnay kay zahmat gawara nahi kartay ho sakta hai os may kuch kasoor hammara bhi hoo phir bhi ham chahtay hain hamdardi sirf ham say ki jaye tawajoo sirf ham par dee jaye Chahray par muskarrahat sajaiey dosroo say miltay hain or diloow may nafrat hoti hai agr koi cheez nahi mil rahi to osay cheen loo lakin agar hammray sath aisa ho jaye to intakam ki aag may jaltay rahtay hain din raat ise soch may galtaa kasay osay noksan phunchaye jaya kay dobbara wo othnay kay kabil na rahay kitnay bay dard ho chokay hain kitnay bay hiss ho chokay hain ham ham apni zara see bhi kuchi kay liay dosroo kee ankhow may ansoo daikhna chahtay hain . Yai sab kuch kar kay bhi ham Na Kush hain zindagi may sakoon nahi zindagi may sakoon tab he aia gaa jab ham khoo kar bhi kush hon gaye kise kay ansow ko apnay daman may samaitay gay Insaniyat kay aihtraam hamaray dillow may ho ga jo ho choka kion na osay bhool kar maaf kar dia jaye or jin kay sath ham kuch galat kar chokay on say maafi maang lee jaye or agr Sachay dill say tooba ke jaye to Allah bhi maaf kar daita hai . Dosroo ki galtiyoo ko maaf kar kay daikhay app khood ko kitna halka pholka mahsoos karain gay Nafrat mat karain Nafrat say hasil kuch nahi hota mgar ham dosroo say door zaror ho jatay hain Apni is nafrat may ham sab kuch ganwa daitay hain to kia yai bahtar nahi hai kay ham apnay app ko saza dainay ki bajye sakoon say rahaain . Dosroo ko rola kar to boht daikha kion na kise kay hoontoo par muskarraht laa kar daikhain . Zindagi sakoon say Abarat hai Jab zindagi ka sakoon ham khood he apnay hatooo say tabbah karain gay to yai kitne ajeeb baat hai Hamay zindagi kay har moor say sabak seekhna chahiya apni zindagi may muhabbatow kay deep jalanay kay liay Maazi ki talkhiyoo ko khattam kar daina chahiya Aik naye Azam kay sath apni zindagi may muhabbato kay faroog kay liay jazboo ki omangoo kay liay Bahsiyyat aie Musalman Nafratoo ko door kar daina chahiya Zindagi may sakoon kay karab kay liay Allah ki ibadat or hakookal Abad ki har saye Kushish karni chahiya agr ham in cheezoow ko apna lain to apna ajj or kal ko mazeed khoobsort say khoobsort or payedaar bana sakain gay kabhi in cheezow ko apna kar daikhay phir lagay ga ajj tak ham nay in batoo ko maday nazar rakhtay hovay zindagi kion nahi guzari . (Tahreer o Tarteeb )Babar Nayab From Minchin Abad The Bright Future of Pakistan (The Student Bachler,s of Psychology )