Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar

rukh

5 Hearts Member
  • Content count

    7,295
  • Joined

  • Last visited

  • Days Won

    6

Everything posted by rukh

  1. rukh

    Commitment With Others

    what is commitment in yours eyes ? how much u feel care about yours commitment with others... ? do u think that when u ll feel comfortable then u will fullfill yours commitment? ,,,and you think that next party have not any authority to ask you about it ....and u dont care about their depression towards yours dominating behaviour ... is it commitment mean that every time weak party compromise with yours circumstances and do wait n wait that when u will be free or set to do it .?
  2. rukh

    Commitment With Others

    koi specific condition nahi ..just asking commitment ko kitna poora kertay hain or jis k sath commitment ki hay us kay nafa nuqsan ko kitna nazar main rakhtay hain ..her misal her condition per yehe do sawal bantay hain ...condition app nay khud lagaye hay k agar mere commitment ka muqabla rights say ho ga to rights ko poora keroon ga or app huqooq ul ibaad ko or commitment ko khud alag alag ker rahay hain .. halankay hadees main hay k waada kero to poora kero..haq to commitment kertay hee app per aa gya na ..ab yeh dominating behaviour hee to hay ...k app khud say rights or commitment ki alag alag class bana rahay hain look what u said sirf commitment per koi haq nahi jata sakta.. yehe to mere point hay k app jantay ho k kuch commitments aysee hain jis per qanoone tor per app ko koi pakar nahi sakta to app us k muamlay main kitna zimm-e-dar ho... ... ager to 2nd party ko nuqsan keye baghir app is ko khatam kero to yeh ik mufaahimat kehlaye ge ok both parties na mil jul ker commitment khatam ki app ki example ka case bhi aysa h k is qisam ki deal main both parties pehlay say jante hain k koi bhi part jub chahay na khareeday ..or for ur kind info jub app kisi say car khrednay ki bat kertay to app ko TOKEN daina hota yeh us nuqsan ki advance talafe hay k app baad main mukar jaao to yahan app ki example fit he nahi atee..kion k is main both parties is bat per agree hain .. busssssssss dats wat i am asking... ...yeh apnay apnay zameer ki bat hay ..k hum apnay waadoon main apnay app ko khud kitna bound kertay hain or commitment commitment hay khuah verbal ho ya official.... yeh to app khud say alag alag class bana rahay ho.... app ik chotay bachay say bhi kaho na k meray pass aoo main tofee doon ga yeh bhi commitment hay ..or bacha pp ka pass aya or app nay nahi dee ..to shareat app ko jhoota kehte hay or app ko is ka jawab dayna ho ga... or woh chota bacha us ka app nay aytmaad tora hay ... sobe....app khaamkha ulj rahay hain..baat bohat asan or saada thee : )
  3. rukh

    Commitment With Others

    commitment insan khud apne marze say kerta hay ...sooch ker samjh ker agar app ko lagta hay mere commitment say zyada rights imp hai or mujhay us k ley commitment ko peechay kerna ho ga to commitment kertay hee kion hain ? asal bat he yeh hay log yeh nahi soochtay commitment main ik dosra ferd involve hay //app ko huqooq ul ibaad ka itna khiyal hay to yeh bat sirf apnau say munsilik logoon kay huqooq tak kion ? second party woh animals main sahmil hai ? insan nahi hai ? i wouuld fulfil the rights rathern then commitement .. cuz their is no injustice in tht.. as long as we dnt alter the spefic rights to each individuals personal benefit lolzzz ..thats what i said dominating behvaiour .....
  4. rukh

    Shair Ka Jawab Shair Say

    tumharee baat lambi hay daleelain hain bahaanay hain mere bat ithe hay k mere arzoo tum ho
  5. rukh

    Commitment With Others

    amaan ki terah shaid app ko bhi samjh nahi atya.. i m asking questions ..jis per app ka apna koi jawab ho ga ..mainy koi ayse bat nahi ki jis per agre ya disagree ki bat ho *banghead*
  6. rukh

    Commitment With Others

    first two lines r very simple ,,i dont think so k us main na samjh anay wala kuch tha..khair here u go commitment yane kissi say kia gya koi waada ya muaahida ,,app ki nazar main kia ahmiyat rakhta hai or app khud ko apni commitment k ley kitna zimmay daar paatay ho? us kay baad mainy poocha hai k kia app jub kissi say kisi bhi terah k muamilay main koi commitment kertay hain to app us ko kia sooch ker kertay hain ? kia yeh k app second party k faiday ya nuqsan ko bilkul ik side per rakh ker sirf apni zaat ko agay rakhtay ho k theek hay mainy wada kia tha k falan kam keroon ga lakin jub mera dil chahay ga ya mere apnay jo masaail hain pehlay un ko dekhoon ga or jub mujhay feel ho ga k ab main set hoon to us commitment ko poora keroon ga or app kay is dair kernay say ya hakimaana raweye say dosre party jo is commitment ki wajah say app say bandh gayee hai us ka jazbati tor per ya maali tor per ya jis terah ka bhi muamila hay us ko nuqsan ho raha hay ..us ki app ko na perwah na hee app is ko pasand kertay ho k woh app say app ki commitment per sawal keray k jee app kub poore kerain gay ? or agar commitment main second party app say kamzor hai to bus woh sirf beth ker intizaar kerte rahay k app kub woh muaahida poora kertay hain yeh bohat saray sawalaat hain .... in ko discuss kerna hai k ....hum apne zindge main ke gaye commitments ko kis had tak or kis terah nibhaatay hain
  7. rukh

    Shair Ka Jawab Shair Say

    waaada wafa na kertay waada to kia hota!
  8. rukh

    Soch...

    main jis azaab say guzra hunn tu nahi guzra
  9. rukh

    Bait Bazi

    Yeh ajab qayamaten hain teri rahguzar main guzaari, Na ho ke mar mittain hum, na ho ke jee uthain hum
  10. rukh

    Design Urdu Poetry

    well said
  11. rukh

    Jab Ap Upset Hoty Haen To Kya Krty Haen?

    jis ki wajah say upset hote hoon us ka nam lay lay ker khoob bura bhala dil he dil main kehtee hoon..or phir us k ley dua ker k so jatee hoon : S
  12. rukh

    Shair Ka Jawab Shair Say

    maana k taghaaful na kero gay lakin hum khaak ho jaaingay tujhay khaber honay tak
  13. rukh

    Shair Ka Jawab Shair Say

    Ajab tamasha hay mit'ti say banay logoon ka sagar bay wafaaye kero to rotay hain , wafa kero to rulatay hain
  14. rukh

    Shair Ka Jawab Shair Say

    dekhe jo bayrukhe to hayrat hoye mujhay zamana to baywafa tha,tujhay kia hoa
  15. rukh

    2Nd Marriage

    shy zindge itne sedhe or asaan nahi hote k app isay ik option day ker hal ker lain ..is topic main aksar log yehe kehtay hain k app us ki madad kisi or tareqay say ker dain ...mera topic ik khaas condition per hay is bat per nahi k divorced or widow say 2nd marriage kerna umarried hazraat bohat he kam kisi bachay wale khatoon say shadi kertay hain ..kion k un ko aram say single girl mil sakte hai,, ? even k merd k apnay bachay bhi hoon tub bhi us ko singlle girl mil jate hay .. yeh koi aisa option nahi hay jo bohat aram say hamaray muashray main dastyaab ho werna ajj koi divorce or widow jis kay sath bachay hoon akylay zindgee nahi guzar rahee hotee..kisi dosray mard ki olaad ko tasleem kerna kisi bhi mard k ley bohat bara challenge hota hai ... mere apnay ird gird 100 main say sirf 1 % ayse examples ayse hain k divorced ya widow jin k sath kids hoon un ko bachoon k sath kisi mard nay accept kia ho or phir us 1% main say .5% aysee hain jin ki shadi k bad un kay bachoon k sath 2nd husband ka wohe bertaao raha ho aksar yeh batatee hay k bachay k sath bohat zyaadte hai .. k baqee 99 % apnay bachoon ko azmaaish main dalnay say behter tanha zindge guzaar dayte hain yeh kehna bohat assan hay us ka acha risshta dhoond do ...lakin kia mill bhi jata hai ? ..agar mil jaye to bohat ache bat hai lakin agar nahi milta to phir ?? or sub say ajeeb bat kia hai app ki post main k koi kissi ka naseeb nahi badal sakta agar divorced or widow k ley yeh bat hum kehtay hain k un ka nasseb tha koi badal nahi sakta to agar koi mard us say dosre shadi keray to yeh bhi us ka naseeb hee tha? kion k agar taqdeer main na hota to yeh shadi bhi na hotee? phir us merd ki 1st wife apnay naseeb per sabar kion nahi kertee ? kion itna fasaad or jhagra hota hai ? or yehe pehlee biwi agar is say olaad na ho to to aram say dosre shadi k ley maan jate hay k is ko apna ghar bachana hai kion..ab woh kaysay share kerte hai husband ko ? main is bat ko bhi maante hoon ajj kal merdoon main woh saleeqa tareeqa nahi k aik say zyada shadion ko sahe tareqay say nibha sakain lakin is say zyada mushkilat hum awrtain khare kertay hain ..k agar woh sahe sahe kerna bhi chahay to hum honay nahi daytay hum muslman han ..islam kay ahkaamat hum muslmanoo k he ley hain ...or her hukam main koi na koi hikmat hai agar us ko jaaiz or sahe neyat say her her fard ada keray to ..Allah apne nusrat zaroor ata kertay hain. dekhnay waloon nay agar yeh dekha hay k do biwioon ko koi merd khush nahi rakh paya..ya ik say zyadte ki ...to yeh bhi dekha hay woh achay tareeqay say bhi raheen baqee yeh koi farz wajib nahi k is per bohat taweel behas ho...apne apne soch ya yoon kaahin apnay apnay halaat hotay hain jo hamaray nazariyaat ko janam daytay hain ho sakta hay mere views bhi wohe hotay jo aksar k hain agar sahib-e-haal na hote : ) or jis ko kissi shaair nay yoon kaha koi phool hota hay kis terah ,koi dhool hota hay kis terah yeh waqt waqt ki bat hay ,tujhay zindgee bataye gee
  16. rukh

    2Nd Marriage

    jee haan ..koi kisi k naseeb ko badal ker usay gham say khushee nahi day sakta ..jaisay mernay walay ko zindge nahi day sakta lakin almiya yeh h kay hum aise koi koshish ker k us ko yeh ahsaas bhi nahi daina chahtay
  17. rukh

    2Nd Marriage

    hmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmmm u r right ..ajj kal yehe sooch hay sub ki ..or yehe practice...... na mard itnay jee daar hain na awrtain itne aala zarf ...phir kia faida ..pehlay say banay rishtoon ko kharab ker k naye rishtay banaana divorced or widow ko us k haal per chor do.. .. un ka naseb un k saath...
  18. rukh

    Shair Ka Jawab Shair Say

    mer bhi jaaon ga to kahan log bhula he dain gay mere lafz mere honay ki gawahe dain gay
  19. rukh

    Your Current Mood?

    baynam see thakan ..jo zindge k adhooray pan ko hadon say agay berha rahe hai
  20. rukh

    Shair Ka Jawab Shair Say

    taiz hawa na mujh say poocha rait per likhte rehtee ho
  21. My today's wish samunder k darmiyan ik jazeray main mera ghar hota !
  22. rukh

    Shair Ka Jawab Shair Say

    dil k dharknay ka sabab yaad aya woh tere yaad the ab yaad aya
×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.