-
Content count
389 -
Joined
-
Last visited
-
Apni Aankhon Kay Sab Khowab Meray Naam Karo Apni Kaali Zulfo Ke Ye Siya Raat Meray Naam Karo Tumhari Aankhon Say Jo Behtay Hain Ye Aansoo Saaray Apni Aankhon Ke Ye Barsaat Meray Naam Karo Jugno, Tetli Yeh Ghata'en Or Baadal Apni Yaadon Ki Baraat Meray Naam Karo Main Zamanay Ke Sabhi Khushyaan Tujh Pay Nichawar Kar Don Bolti Aankhon Kay Yeh Nagmaat Meray Naam Karo Zindagani Main Teray Aaye Na Ghum Ay Rashid** Apnay Dukh Dard Ke Har Baat Meray Naam Karo
-
Na Janay Kyun Waar Kartay Hain Ak Naya Sa Rooz Wo Adawat Ka Un Say Tu Koii Silsala Hamara Nahi Hay
-
KABHI USAY BHI MERI YAAD AATI HOGI Kabhi Usay Bhi Meri Yaad Satati Hogi Apni Aankhon Main Mera Khowab Sajati Hogi Wo Jo Har Waqt Khayalon Main Basi Rehti Hay Kabhi To Meri Bhi Socho Main Kho Jati Hogi Wo Jis Ki Rah Main Palkay Bhichi Rehti Hain Kabhi Mujhay Bhi Apnay Paas Bulati Hogi Labon Per Rehti Hay Wo Har Pal Hansi Ban Kar Tasawer Say Meray Wo Bhi Muskurati Hogi Wo Jo Shamil Hay Meray Geet Maray Naghmo Main Kabhi Tanhai Main Mujh Ko Gun Gunati Hogi Jis Kay Liye Mera Dil Be Qaraar Rehta Hay Meray Liye Apna Chain Bhi Gawanti Hogi Jis Say Izhaar -e- Wafa Har Pal Karna Chahon Kabhi Iqraar Tu Wo Bhi Karna Chahati Hogi Jis Kay Liye Meri Har Raat Hay Karwat Karwat Kabhi Tu Usay Bhi Neend Na Aati Hogi Ghum -e- Firaaq Mera Hi Muqadar Hay Ya Phir Meri Judaii Usay Bhi Yoon Hi Rulati Hogi
-
Pather Tha Mager Baraf Kay Galon Ke Tarah Tha Ak Shaks Aandheron Main Ujalon Ke Tarah Tha Khowabon Ke Tarah Na Khayalon Ke Tarah Tha Wo Elm -e- Riyaazi Kay Sawalon Ke Tarah Tha Uljha Howa Aaisa Kay Kabhi Hal Ho Nahi Paaya Suljha Howa Aaisa Keh Misaalon Ke Tarah Tha Wo Mil Tu Gia Tha Mager Apna Hi Muqaddar ShatRanj Ke Uljhi Hoi Chalon Ke Tarah Tha Wo Roh Main Khushbu Ke Tarah Ho Gia Tehleel Jo Dorr Bohat Chaand Kay Haalon Ke Tarah Tha
-
Hame Jab Alwida Kehene Lago TO Muskura Dena Sitara Saath Kar Dena K Raaste Me Andhere Bhi Too Aiinge Kisi Hurf-e-Dua Ka Istaara Saath Kar Dena Hamey!!! Zaaad-e-Safar Ko Tumhari Yaad KI Soghaaat Kaafffi He Tumare Saath Guzara HUa Pal Bhi Ghaneeemat He Kahin Thehre Jo Raaaste Me Sunheri Yaad Ki Suurat Tumhen Hamraah Paainge To Hum Tanhaa Kaha Honge Magar Phr Bhi Hame Jab Alwida Kehene Lago To Muskura Dena Sitara Saath Kar Dena Kisi Hurf-e-Dua Ka Istaara Saath Kar Dena
-
*Picture Removed, Please post pictures carefully * * Topic Title Corrected*