Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
Zaini

Zaini's Collection

Recommended Posts

Gumsum hua aawaz ka derya tha jo ik shakhs

Pather bhi nahi ab woh, sitara tha jo ik shakhs

Shayed woh koi harf-e-wafa dhoond raha tha

Chehron ko barey ghor say perhta tha jo ik shakhs

Sehra ki tarah der say piyasa tha woh shayed

Badal ki tarah toot k bersa tha jo ik shakhs

Aey taiz hawa koi khabar us kay junoon ki!!

Tanha safar-e-shoq peh nikla tha jo ik shakhs

Ab aakhri satron main kaheen naam hai us ka

Ahbaab ki fehrist main pehla tha jo ik shakhs

Haathon main chupaye huye phirta hai kai zakham

Sheeshay kay khilonon say behalta tha jo ik shakhs

Murr murr kay usay dekhna chahain meri aankhain

Kuch door mujhay chornay aaya tha jo ik shakhs

Ab us nay bhi apna liye dunya kay qareenay

Saaye ki rafaaqat say bhi derta tha jo ik shakhs

Her zahan main kuch naqsh-e-wafa chor gaya hai

Kehnay ko bharey shehar main tanha tha jo ik shakhs

Munkir hai wohi ab meri pehchan ka mohsin

Aksar mujhay khat khoon say likhta tha jo ik shakhs

Share this post


Link to post
Share on other sites

awesome zaini. . .

keep it UP :yes:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ujaar lamhon ki daastanain ager kaho tou sunaain tum ko

Bohat sa hum jagtey rahey hain chalo zara sa jagaain tum ko

Tumhi ho jo rashni si ban ker humari aankhon mein aa basey ho

Jab apni aankhain hi keh dya hai tou phir bhala kyun rulain tum ko

Tum aaj kyun muztarib ho janan,tumharey lehjay mein toot kesi

Kaha na tha tum say waqt dai ga kadooraton ki sazaain tum ko

Tum aisa kerna k aik lamhay ko apni dharkan peh haath rakhna

Meri wafaain merey ye jazbay ager kabhi yaad aain tum ko

Ghubaar aalud raaston mein talaash ker ker k thak gaye hain

Kahan peh jaa k basay huye ho kahan se hum dhoond lain tum ko

Tumhain tou sukh aagay muyaser tumhain to hum yaad bhi nahi hain

Magr batao k hum jo chahain tou kis tarah se bhulaain tum ko

Tum apni baaton peh mutmain ho hamein bhi shermindagi nahi hai

Anaa ki diwaar ko gira ker nahi ye mumkin manaain tum ko

Kaho ae jazib ye jhoot hai naa k tum ne us ko bhula dya hai

Abhi talak jis ki shokh yaadein her aik lamha sataain tum ko

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ye pichlay ishq ki batain hain

Jab aankh main khawab damaktay thay

Jab dil main dagh chamaktay thay

Jab palkain sher ke rastoon per

Ashkoon ka noor lutati thi

Jab sansain ujlay chehroon ki

Tun mann main phool sajati thi

Jab chand ki rim jhim kirnoon se

Sochoon main bhanwaar per jatay thay

Jab aik tlatum rehta tha

Apnay be-ant khialoon main

Har ehd nibhanay ki kasmain

Khat khoon se likhnay ki rasmain

Jab aam thi hum dil waloon main

Ab apni ujri aankhon main

Jitni roshan se ratain hain

Us umer ki sab soghatain hain

Jis umer ke khawab khial hoay

Ye pichli umer thi beet gai

Ye umer bitaaye saal hoay

Ab apni deed ke rastay main

Kuch rang hai guzray lamhoon ka

Kuch ashkoon ki baratain hain

Kuch bhoolay bisray cheray hain

Kuch yadoon ki barsatain hain

YE Pichlay Ishq Ki Batain hain

Share this post


Link to post
Share on other sites

Thanx Diya :flower4u:

Suno!

Tum Azm Walay Ho

Bala Ka Zabt Rakhtay Ho

Tumhain Kuch Bhi Nahi Hoga

Magar Dekho

Jisay Tum Choray Jatay Ho

Usay To Theek Se Shayad

Bichharna Bhi Nahi Aata

Suno!

Tum Azam Walay Ho

Usay Matt Chor Ke Jao

Share this post


Link to post
Share on other sites

zaini last One ...Most fav !!!

i just lOve it :smile:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Mahi ye muje b bht zaida passand aye thi :smile:

tm b kuch share kro :smile:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hum tou woh loog hain jo

Jo na kisi dasht-e-shumar main hain

Na kisi ki nigaah k hisara main hain

Youn jaisay koi ho sadioon ka bay-ant safar

Sehra sehra phirta koi khaakh-basar

Kia pochtay ho k kon hain hum?

Jaan lo humain tou tumhain maloom ho

Hum tou woh log hain jo jeewan day kar bhi

Kisi k dil main kaskan na bana payen

Youn jaisay koi madham see kiran

Kisi rozan say ubhray aur doob jaye

Jaisay aik na-manoos se chub'han

Jo zindagi k seenay main sada dair tak

Chubhti he rahay

Dil ki dharkanoon say bagawat karay

Aur dar charhay

Kia batlayen hum k kon tahy hum aur kia hain ab?

Hum tou jugnu bhi nahi hain

K kisi ki aankh main chamktay

Kisi ko sanwartay

Hum tou ansoon ki tarhan hain

Ankh say tapkay aur doob gaye

Ghar say niklay aur

Bay-simat musafat main

Mohabbat ki aas main

Dar-badar phirtay hue

Kisi bay-naam sham ki nazar huea

Aik musalsal aur dukh raah ka safar huea

Aik Muslsal Aur Dukh-Raah Ka Safar

Share this post


Link to post
Share on other sites

Meray bas main ho tou kabhi kahin

Koi shehar aisa basaoon main

Jahan sach ko sach say ho wasta

Jahan jugno'oon ko hawa , deakhati ho rasta

Jahan chand ma'and na ho kabhi

Jahan khushbo'on say badalti rut ko hasad na ho

Jahan khawab aankhon main jugmagayen tou

Jism-o-jaan k sab-he dareechon main tairgi ka guzar na ho

Koi raat aise basar na ho

K bashar ko apni khabar na ho

Jahan daagh daagh sehar na ho

Jahan kashtiyaan hoon rawan rawan , tou

Samandaroon main bhanwar na ho

Jahan berg-o-baar say ajnabii, koi shaakh koi sha'jar na ho

Meray bas main ho tuo kabhi kahin

Koi shehar aisa basaoon main

Share this post


Link to post
Share on other sites

Good Collection zaini

Weldone

-----------------------------------

Phir aaj koi ghazal usk naam na ho jaye,

Aaj kahin likhte likhte sham na ho jaye,

Kar rahe hain intezar usk izhar-e-mohabbat ka,

Isi intezar mien kahin sham na ho jaye,

Nahi laite hain uska naam sar'e aam is darr se,

Kahin naam uska badnamam na ho jaye,

Mangtay hain dua jab wo yaad atay hain,

K judai mere pyar ka anjam na ho jaye,

Sochte hain aksar darte hain tanhai mien,

Usk dil mie kisi aur ka mukam na ho jaye....

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ankh ban jati hai sawan ki ghata shaam k baad

LOt jata hai agr Koi khafa shaam k baad

wo jo tal jati rahi Koi bala shaam k bad

Koi to tha k Jo deta tha dua shaam k baad

ankhain bherti hain shab e gham yateeMon ki trha

serd Ho jati hai her roz hawa shaam k baad

Shaam tak Qaid rha krty hain dil k ander

derd ho jatay hain saray reha shaam k baad

Log thak haar k so jatay hain lakin jaanan

hum nay khush Ho k tera derd saha shaam k baad

shaam say pehlay talak laakh sulaaye rakhain

jaag uthti hai Mohabbat ki ana shaam k baad

khwab takra k palat jatay hain band ankhon say

janay kiss Jurm ki kis ko hai saza shaam k baad

chand jab rOo k sitaron say galay milta hai

ik ajab rung ki hoti hai fiza shaam k baad

hum nay tanhai say Pocha k milo gi kab tak

us nay baychaini say Foran kaha shaam k baad

main agar khush b rahOn to b mere seenay main

Sogwaari Koi roti hai sada shaam k baad

tum gaye Ho to siyaah rang k kapray pehnay

phirti rehti hai mere gher Qaza shaam k baad

Koi bhoola hua gham hai Jo mjh Ko

Dil k pataal say deta hai sada shaam k bad

maar deta hai Ujr janay ka Dohra Azaab

Kaash Ho koi kissi say na Juda shaam k bad !!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Thanx Emaad bro

n thanx a lot Mahi k tm nay itni khubsurat poetry share ki :flower4u:

Share this post


Link to post
Share on other sites

OK miss Now happy :smile:

chaloO now Do put ur comments in PunjaBi :cool:

Share this post


Link to post
Share on other sites

yah now i m very happy :smile:

Oye panjabi main comments , tussi gr8 ko Mahi G :tongue:

Share this post


Link to post
Share on other sites

lolx Not 4 me :smile:

poetry pay...or 2 line to likho zara pta chaly k

Punjabi me comnts hain :tease:

Share this post


Link to post
Share on other sites

hay meri panjabi ini achi nhi ha main poetry pay kaisy comments doon ? :blush:

Share this post


Link to post
Share on other sites

:smile:

bus ji aik fermaish aap ki jo k mene Pori kr di

ab meri barii aap Pori karoo :smile:

Edited by Hmm

Share this post


Link to post
Share on other sites

Han tm nay meri farmish pori kia ha is k liya thanx :hug:

hmm poetry ki taref kron panjabi main okzi

Mahi tainu nay jo poetry share ki wo wadi sohni ha, ab thek na :tongue:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ur welcum :smile:

Hmm....wah jee wah !!! :cool:

wOt a PUnjab!!!!!! :flower4u: :flower4u:

Share this post


Link to post
Share on other sites

lol dekha meri panjabi kitni internatioanl ha :tongue:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Wo Kehti Ha......

Batao Be Sabab Kyn Rooth Jatay Ho?

Main Kehta Hoon..

Zara Mujh Ko Manaao...... .Acha Lagtaa Ha

Wo Kehti Ha

Mera Dil Tum Se Aakhir Kion Nahi Bhartaa?

Main Kehta Hoon....

Mohabat Ki Koi Hadd Hi Nahii Hotii....!

Wo Kehti Ha....

Batao...Main Tumhain Kion Bhaa Gayi Itna?

Main Kehta Hoon...

Merii jaan Hadsay To Ho He Jatay Hain!

Wo Kehti Ha...

Achanak Main Tumhain Yoon He Rulaa Doon Tu?

Main Kehta Hoon...

Mujhay Darr Ha K Tu Bhii Bheeg jaaye Ge...!

Wo Kehti Ha...

Batao..Baarishon Ki kiya Haqeeqat Ha?

Main Kehta Hoon...

K Yeh To Baadalon Ki Aankh Rotii Ha...!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ruksat Hua To Baat Meri Maan Kar Gyaa

Jo Is K Pass Tha Wo Muje Daan Kar Gya

Bichra Kuch Is Aada Say K Rut He Badal Gya

Aik Shakhs Sare Shehar Ko Weeran Kar Gya

Dilchahps Wakiya Ha K Kal Aik Aziz Dost

Apnay Mafaad Par Muje Qurban Kr Gya

Kitni Sudhar Gya Ha Judai Main Zindagi

Haan Wo Jafa Se Mujh Par To Ihsan Kr Gya

Khalid Main Baat Baat Pay Kehta Tha Jis Ko Jaan

Wo Shakhs Aakhir Muje Bay-Jaan Kr Gya

Share this post


Link to post
Share on other sites

Mohabbat Jaag Jati Ha

Suno aye chaand si larki

Abhi tum keh rahi thi na

Tumhe mujhse mohabbat ho nahi sakti

Chalo mana kay yeh such ha

Magar aye chaand si larki

Mujhe itna batao tum

Kay jab mosam badalte hain

Gulon main rang bharte hain

To phir kiun muztarib ho kar

Akele pan se ghabra kar

Hawa ko raaz deti ho

Mujhe awaaz deti ho

Suno aye chaand si larki

Tumhare saamne koi mera jab naam leta ha

To phir kiun chonk jaati ho

Chalo mana tumhain mujh se mohabbat ho nahi sakti

Magar itna samajh lo tum

Jahan chahat nahi hoti

Wahan nafrat k hone ka koi imkan nahi hota

Mera dawa hai chahat main

Jahan nafrat nahi hoti

Wahan aksar yeh dekha ha

Agar kuch waqt kat jaye

Samay ki dhool chat jaye

To wehshat bhaag jati ha

Mohabbat jaag jati ha

Share this post


Link to post
Share on other sites

کوئی موسم ہو دل میں ہے تمہاری یاد کا موسم

کہ بدلا ہی نہیں جاناں تمہارے بعد کا موسم

نہیں تو آزما کر دیکھہ لو کیسے بدلتا ہے

تمہارے مسکرانے سے دلِ ناشاد کا موسم

کہیں سے اُس حسیں آواز کی خوشبو پکارے گی

تو اُس کے ساتھہ ہی بدلے گا دلِ برباد کا موسم

قفس کے بام ودر میں روشنی سی آئی جاتی ہے

چمن میں آ گیا شاید لبِ آزاد کا موسم

میرے شہرِ پریشاں میں تیری بے چاند راتوں میں

بہت ہی یاد کرتا ہوں تیری بنیاد کا موسم

نہ کوئی غم خزاں کا ہے نہ خواہش ہے بہاروں کی

ہمارے ساتھہ ہے امجد کسی کی یاد کا موسم

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.