Wise_Guy 44 Posted July 20, 2010 Jagti raat k hontoon pay fasanay jaisay it's very special Zaini Share this post Link to post Share on other sites
Zaini 22 Posted July 21, 2010 Thx Naveed, Anabia, Wise n Amaya Dear :flower4u: Share this post Link to post Share on other sites
Zaini 22 Posted July 21, 2010 Tum kahoo kia rastay youn badalna acha hai ? Umar bhar k har pal Sochnay agar baithain Tou khabar ye hoti hai umar kitni choti hai Choti choti batoon pay umar ko gunwa daina Tum kahoo kia acha hai? Zindagi ko ghar samjhain Rasta badalnay say Saath chooth jaye ga Saans toot jaye ge Tum kahoo mohab'batin youn b chooth sakti hain Tum kahoo kia acha hai ? Zindagi ko ghar samjhain Rasta badalnay say Saath choor dainay say Woh agar na mil paaya Satah chooth jaye ga Saans toot jaye ge Tum khaoo mohab'batin youn b chooth sakti hain Jo banay hoon sadioon main Rishty toot sakty hain Wah'hamoon main phr apni Umr ko mita daina Tum kahoo kia acha hai? Share this post Link to post Share on other sites
Zaini 22 Posted July 21, 2010 Mery paoon chalni hue magar Kahin ruk sala na mera safar Meri naar'saiee k haath main Na chiraag hia na koi hunar Kisi rasty ki taalash main Hai lahoo lahoo meray chashm-e-tar Meri bay'basi k hisaab main Ey meray khuda meray mou'tabar!! Koi hum'safar, Koi hum'safar !! Share this post Link to post Share on other sites
Amaya 3 Posted July 22, 2010 Mery paoon chalni hue magar Kahin ruk sala na mera safar Meri naar'saiee k haath main awsome Share this post Link to post Share on other sites
naveedmkhan 1 Posted July 23, 2010 Mery paoon chalni hue magar Kahin ruk sala na mera safar Meri naar'saiee k haath main Na chiraag hia na koi hunar Kisi rasty ki taalash main Hai lahoo lahoo meray chashm-e-tar Meri bay'basi k hisaab main Ey meray khuda meray mou'tabar!! Koi hum'safar, Koi hum'safar !! nice one :clap: Share this post Link to post Share on other sites
Zaini 22 Posted July 24, 2010 Us Simt Chalay Ho, Tou Bus Itna Usay Kehna Ab Koi Nahi Harf-e-Tamana Usay Kehna!!! Dunya To Kisi Haal Main Jeenay Nahi Daiti Chahat Nahi Hoti..Kabhi Ruswa..Usay Kehna!! Us Nay Hi Kaha Tha To...Yaqeen Main Nay Kiya Tha Umeed Pay Qaem Hai Yeh DUnya Usay Kehna!!! Zarkhaiz Zameenain Kabhi Banjar Nahi Hoti Darya Hi Badal Letay Hain..Rasta..Usay Kehna!! Wo Meri Rasaae Mein Nahi Hai..To Ajab Kia!!! Hasrat Bhi To Hai Ishq Ka Lehja Usay Kena!!! Kuch Log Safar k Liyay Mozoo'n Nahi Hotay Kuch Raastay Kat'ty Nahi Tanha Usay Kehna!!! Share this post Link to post Share on other sites
Zaini 22 Posted July 24, 2010 Khabar By karaan samandar hai Dil kisi ki yaadon ka Lakin Is talatum say Koi baykhabar kub hai ......!! Share this post Link to post Share on other sites
SimpleRayyan 4 Posted July 25, 2010 Us Simt Chalay Ho, Tou Bus Itna Usay Kehna Ab Koi Nahi Harf-e-Tamana Usay Kehna!!! Dunya To Kisi Haal Main Jeenay Nahi Daiti Chahat Nahi Hoti..Kabhi Ruswa..Usay Kehna!! Us Nay Hi Kaha Tha To...Yaqeen Main Nay Kiya Tha Umeed Pay Qaem Hai Yeh DUnya Usay Kehna!!! Zarkhaiz Zameenain Kabhi Banjar Nahi Hoti Darya Hi Badal Letay Hain..Rasta..Usay Kehna!! Wo Meri Rasaae Mein Nahi Hai..To Ajab Kia!!! Hasrat Bhi To Hai Ishq Ka Lehja Usay Kena!!! Kuch Log Safar k Liyay Mozoo'n Nahi Hotay Kuch Raastay Kat'ty Nahi Tanha Usay Kehna!!! ahan.nice one Share this post Link to post Share on other sites
Zaini 22 Posted August 5, 2010 Thx Rayyan , Neveed n Kamal Share this post Link to post Share on other sites
Zaini 22 Posted August 5, 2010 Baat niklay ge tu door talak jiea gie Loog bay waja udasi ka sabab poochain gain Ya bhi poochain gain tum itni parashan kyun ho Ungliyan uthain geen sookhay hwea baloon ki taraf Aik nazar deakhain gain guzray hwea saloon ki taraf Choorioon pay bhi kaiee tanz kiea jian gain Kaptay haathoon pay bhi fikray kasay jian gain Loog zalim hain har baat ka tana dain gain Batoon batoon main mera zikar bhi lay aaian gain Unki batoon ka zara sa bhi asar mat laina Warna cehray k tasur say samajh jian gain Cahay kuch bhi ho sawalat na karna unsay Meray baray main koi baat na karna unsay Baat niklay gi tu door talak jiea gee Share this post Link to post Share on other sites
Zaini 22 Posted August 5, 2010 Titliyoon k mousan main nochna gulaboon ka Reet is nagar ki ha aur janay kub say ha Deakh kar parindoon ko bandhna nishanoon ka reat is nagar ki ha aur janay kub say ha Abhi tum niea ho an is liya parashan ho Aasman ki janib is tarhan say mat deakhoo Aafatain jub aani ho tootna sitaroon ak reat is nagar ki ha aur janay kub say ha Sehar k bashinday nafratoon ko boo kar bhi Intazar kartay hain fasal ho mohabbat ki Choor kar haqeeqat ko dhondna sarabon ka Reat is nagar ki ha aur janay kub say ha Ajnabi fizaoon main ajnabi musafir say Apnay har taluk ko daime samajh laina Aur jub bichar jana mangna duaoon ka Reat is nagar ki ha aur jnay kub say ha Khamoshi mera sehwa guftufu hunar unka Meri bay gunahi ko loog kaisay manain gain Baat baat pay jubkay mangna hawaloon ka Reat is nagar ki ha aur janay kub say ha Share this post Link to post Share on other sites
Zaini 22 Posted August 5, 2010 Kisi kuch nigah si ankh ne Yeh kamal mujh pe karam kiya Meri Looh-e-jaan pe rakam kiya Woh jo ek chand sa hurf tha,Woh jo ek shaam sa naam tha Woh jo ek phool si baat phirti thi derbadar Usse ghulistaan ka pata diya Mera dil ke shehar-e-malal tha,Usse roshni main basa diya Meri ankh aur khuwab ko,Kisi ek pal main beham kiya Mere ainoo pe jo gard thu maah-o-saal ki Woh uter gai Woh jo dhund thi mere char soo Woh bikher gai Sabhi roop aks-e-jamal ke Sabhi khuwab sham-e-wisal ke Jo ghubar-e-waqt main sar basar thay atay howe Woh chamak uthe Woh jo phool ki dhool thay Woh mahek uthe Le saat rang bahar ke Chala main jo sang bahar ke! To saja diye sabhi raste Kisi dast-e-shabidah saaz ne Mere naam Mere waste Meri beghari ko pana di Meri justaju ko nishan diya Jo yakeen se bhi haseen hai Mujhe ek aisa gumaan diya Woh jo rezah rezah wajood tha Usse ek nazar main beham kiya Kisi khush Nigah Si Ankh Ne Yeh Kamal Mujhe Pe Karam Kiya Share this post Link to post Share on other sites
Zaini 22 Posted August 5, 2010 Aaziyatoon k tamaam nashta Meri ragoon main utaar kar woh Bari mohhabbat say pochtay hain Tumhari aankhon ko kia hua hai Kiis nay tou kuch nhi kaha hai Agar kaha hai mujhay bata do Qasam tumhari main poch lon ga Kyun us ny tum ko dukhi kia hai Tamaam batain woh is tarhan say Mujhay suna kar chal dia k Tamaam baton ka jaisay us ko Zara barabar b ilm nhi hai Mujhay kahan sy ye dukh mila hai Usay tou jaisay khabar nhi hai Woh sarii batoon ko jan kar k Na janay kyun janta he nhi hai Jo sach kahoon tou sunoo zara tum Mujhay usi sy ye dukh mila hai Usi k nashtar chubhay hain dil main Usi ki batoon sy dil dukha hai Woh sarii batoon ko jan kar b Mujh he sya ye kyn pochta hai Kisi nay tou kuch nhi kaha hai Agar kaha hai mujhay bata do Usi ki batoon nay aj mujh ko Jo sach kahon tou rula dia hai MUjhay, wafaoon ka us ny meri Bohat he acha sila dia hai Kisi k dukh ka hisaab rakha Aur apna nashra bhoola dia hai ..............!! Share this post Link to post Share on other sites
Zaini 22 Posted August 5, 2010 Woh shaks jo zeest ki nawa tha Jis ki khamoshi main bhi Rang-a-Sada tha Woh shaks kia tha? Kia Bad-a-Saba tha? Jo pal do pal thara aur chala gaya ha Woh sahayd aik dia tha jo bujh gaya ha Ab tu lafz bhi hain lahoo lahoo K zakham gehra aur dard sawa haii Ya kaisi sham-a-hijar hai aaiee K aangan soona hogaya haii Karb main doobi siskioon say Har aik phool murjha gaya hai Fiza bhi dukh say roo rahi hai K zakham gehra aur dard sawa hai Aay bay basoon k kaarsaaz Teri zaat ha bari bay niyaz Ab tujh say ha yahi iltaja Is ko day hoslay ka kinara Jo bahr-a-dard main dooba hwa ha K ya dard bhi tera dia hwa hai Sabar ka marham laga day is par K zakham gehra aur dard sawa hai....!! Share this post Link to post Share on other sites
Amaya 3 Posted August 5, 2010 Aaziyatoon k tamaam nashta Meri ragoon main utaar kar woh Bari mohhabbat say pochtay hain Tumhari aankhon ko kia hua hai Kiis nay tou kuch nhi kaha hai simply awsome Share this post Link to post Share on other sites
shahabi 23 Posted August 8, 2010 ahan nice collection zaini Share this post Link to post Share on other sites
Zaini 22 Posted August 24, 2010 Thx Amaya, Shahabi n Rayyan Share this post Link to post Share on other sites
Zaini 22 Posted August 24, 2010 Merey wahm-o-guman se bhi zyada toot jata hai Ye dil apni hadoon main reh kar itna toot jata hai Mein roaoon to daro dewar mujh pey hansney lagtey hain Hansoon to merey andar janey kya kya toot jata hai Main jis lamhey ki khawahish main safar karta hoon sadooon say Kahin paoon taley aa kar who lamha toot jata hai Merey khwaboon ki basti say janazey uthtey jatey hain Meri aankhein jisey choo lein who sapna toot jata hai Najaney kitni mudat se hai dil mein ye amal jari Zara si thees lagti hai zara sa toot jata hai Dil e nadan hamari to namo hi na muqamal thi Tou harrat kya jo bantey hi irada toot jata hai Muqadar main merey sagar shikast-O-rekhat itni hai Main jis ko apna keh doon who sitara toot jata hai.... Share this post Link to post Share on other sites
Zaini 22 Posted August 24, 2010 Guftagoo kay Lamhon main Deakh hi nahi Paataay Hum Tumhaaray Chehray ko Tum humari Aankhon ko Aaj aisa kartay hain Chashm-O-Labb ko parhtay hain Baat chorr daitay hain Jaanay kya Lamhaa hoga Jabb yeh Haath Haathon say garr kabhi judaa hoga Aaj aisa kartay hain Zabt-E-Jaan parakhtay hain Haath chorre daitay hain Kaash koi samjhaa day Log kiss tarha Dill ki Mazilain alagg karr k Saath chorre daitay hain Aaj aisa kartay hain Bay-sabab bikharrtay hain Zaat torr daitay hain...... Share this post Link to post Share on other sites