Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
Zaini

Zaini's Collection

Recommended Posts

Nice Zaini Sis :flower4u:

Edited by kamal

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kaash koi samjhaa day

Log kiss tarha Dill ki Mazilain alagg karr k

Saath chorre daitay hain

Aaj aisa kartay hain

Bay-sabab bikharrtay hain

Zaat torr daitay hain......

ahannn buhhtt khoob dear

KEEP SHARING

Share this post


Link to post
Share on other sites

Din apnay chiragoon ki manaid guzartay hain

Har subha ko bujh jana har sham ko jal jana

Bachoon ki se fitrat hai hum ehl-e-mohabbat ki

Zid karna machal jana phr khud he sambhal jana

Woh shakhs bhala mera kia saath nibha paata

Mousam ki tarhan jis nay seekha hai badal jana .....

Share this post


Link to post
Share on other sites

Main k pur-shoor samandar thay meray paoon main

Ab k doona hoon tou sookhay hue dariyaoon main

Na-muradi ka ye aalam hai k ab yaad nahi

Tu bhhi shamil tha kabhi meri tam'mannaoon main

Din k dhaltay he ujar jati hain aankahin aisay

Jis tarhan sham ko bazar kisi gaoon main ....!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Roodad-e-Qafae yaad na andaz-e-gugan yaad

Jo beet gaye, beet gaye ab woh kahan yaad

Tum bhool gaye hum ko tu kia is main ta'ajub

Is door main karta hai kahan kon kisay yaad

Kafi thi tabahi k liya gardish-e-Dooran

Tum aisay main kahan aagaye Ey Jan-e-Jahaan yaad

Apnay say raqabat ka ye alam hai k Touba

Hum bhool gaye khud ko woh aaye hain jahan yaad

Maazi k dareechay say kabhi jhank k daikhoo

Shayad tumhay aajaye mera nam-o-nishaan yaad..........!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Bohat tooty howy hain hum

Abhi dastak nahi daona..

Hamri ankh hai pur nam...

Abhi dastak nahi daina..

Mere yaaro abi kuch din mere ahwaal na poucho

Abhi dil main uska ghum...

Abhih dastak nahi daina

Shab e tanhai.. main tarapna hai bohat mujko..

Abi dard hai kuch madham..

Abi dastak nahi daina..!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

ایسے خواب!

جن میں کوئی دکھ‘ کوئی پریشانی نہیں ہوتی

جن میں وصل کے رستے ہجر کی وادی سے ہو کر نہیں گزرتے

...

جن میں محبت ہمیشہ ادھ کھلے پھول کی طرح خوبصورت

اور بچے کی مسکان کی طرح پاکیزہ ہوتی ہے

ایسے خواب!

جہاں ایک مسکراہٹ کی قیمت ہزار آنسو نہیں ہوتے

میری پلکوں کی شاخوں پر کئی ایسے خواب بیٹھے رہتے ہیں

اُن کی گنگناہٹ مجھے جینے پہ اکساتی ہے

نئے راستوں کی اور لے کر چلتی ہے

نئی منزلوں کا پتا بتاتی ہے

مجھے اپنے خوابوں سے محبت ہے

اُن خوابوں میں رہنے والے ایک ایک شخص سے محبت ہے

اُن خوابوں میں دِکھنے والی ایک ایک شئے سے محبت ہے

کہ یہ سب میرا ہے‘ صرف میرا

میرے خواب میرے علاوہ کوئی نہیں دیکھ سکتا

جب تک کہ میں نہ انہیں دکھانا چاہوں

کوئی انہیں میری آنکھوں سے چرا نہیں سکتا

جب تک کہ میں خود نہ کسی کی آنکھوں میں سجا دوں

میرے خوابو!

آج میں یہ اقرار کرتا ہوں!

کہ میں تم میں زندہ ہوں

یہ سچ ہے کہ مجھے اِن آنسوؤں سے ڈر نہیں لگتا

مگر پھر بھی میں شاید اِس لئے رونے سے ڈرتا ہوں

کہ اِن آنکھوں میں تم رہتے ہو

تمہارا ہونا میرا ہونا ہے

اور میں تمہیں کھونے سے ڈرتا ہوں

Share this post


Link to post
Share on other sites

Thanx Amaya :)

Share this post


Link to post
Share on other sites

Suno Tum Kuch Nahi Kehna

Yahan Koi Nahi Sunta

Ya Dasht-o-Sahra Ke Matti

Yahan Koi Phool Nahi Chunta

Suno Tum Bass Sabar Kar laina

Un Saray Ghumoon Par

Yahan K Log Aaisay hain

Unhay Kisay Ka Dukh Nahi Dikhta

Suno Jab Bohat Toote Jaoo To

Tum Kuch Dair Ro Laina

Yahe Dastoor-e-Duniya Hai

k Yahan Per Dil Nahi Miltay

Wafa K Patay Nahi Khiltay

Sunoo Ab Bhi Sambhal Jaoo

Mayn Tum Say Durr Hon Kitna

Mujhee Abb Yaad Maat Karna

Meri Qismat He Aaise Hai

Suno Tum Kuch Nahi Kehna

Yahan Koi Nahi Sunta..!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Sitarey Banta Haii ,Woh Ziya Taqseem kartaa Hai

Suna Hai Habs-e-mousam Main Hawa Taqseem Karta Hai

Usi Ki Apni Beti Ki Hatheli Khushk Rehti Hai

Jo Boorha Dhoop Main Aksar Hina Taqseem Karta Hai

Koi Rokay Usayy Jaa Kar, Sarasr Hai Ye Paagalpan,

Jo Behron K Muhalle Mein Sadaa Taqseem Karta Hai

Usi say Mang Tu MOHSIN, Han Baaqi Chor Day Sab Ko,

Jo Patthar Main Bhi Keere ko Ghiza Taqseem Karta Hai...

Share this post


Link to post
Share on other sites

Suno Tum Kuch Nahi Kehna

Yahan Koi Nahi Sunta

Ya Dasht-o-Sahra Ke Matti

Yahan Koi Phool Nahi Chunta

Suno Tum Bass Sabar Kar laina

Un Saray Ghumoon Par

!

very nice

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.