Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Zaini

Write A Shair Daily

Recommended Posts

Mjh say Kon hai is duniya main

Jo khwabOn main dekhay khwaab

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hum us k Husan ko taskheer ker kay dekhain gay

Jabeen pay Kon shikan ka khiraaj rakhta hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

Raaz dil ka dil mein chupate hai woh,

Samne aate hi nazar jhukate hai woh,

Baat karte nahi, ya hoti nahi,

Par shukar hai jab bhi milte hai muskurate hai woh.

Share this post


Link to post
Share on other sites

barh gaye kuch aur uljhaan rabta krny k baad

Khud say b shikwa raha us say gila karay k baad

Is say berh k aur kai hm py sitam hoga saba

Mashwara manga ha us ny faisla karny k baad

Share this post


Link to post
Share on other sites

Mut pochiye k paish kashain kis qadar Huain

baicha nahi zameer zaroort k bawajOod

Share this post


Link to post
Share on other sites

yeh khamosi ka razz hum jante hain

yun chup rahene ka andaz hum jante hain

yakeen nehi ata to apne dil se pucho

app se bahetar app ko hum jante hain

Share this post


Link to post
Share on other sites

phr youn hua k raastay yukja nahi rhy

wO b ana parast tha main b ana parast

Share this post


Link to post
Share on other sites

Jaane kya Mujhse zamana chahta hai ,

mere dil tod kar mujhe hasana chahta hai ,

jaane kya baat jhalakti he mere chehre se,

har saks mujhe aazmana chahta hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

kab say tum nay apnaya iss terha ka Ho jana

shab Ko jagtay rehna din main thak k so jana

sheher main to Mjh jesi bayshumaar ankhain hanin

tum b khair say jao tum na in main kho jana

mere baad ka rasta tum say kat na paaye ga

Jo bhi ajnabi dekho ab usi kay ho jana

Share this post


Link to post
Share on other sites

Wo mila to sadiyon ke baad bhi mere lub pe koi gila na tha

Usay meri chup ne rula diya jisay guftugu mey kamal tha

Share this post


Link to post
Share on other sites

Bas aik tujh he ko nahi khona chahtay thay lakin

Hum nay bas tujh he ko ganwaya aur gawaya kuch bhi nahi

Share this post


Link to post
Share on other sites

Pani Se Tasvir Kaha Banti He

Khwabo Se Takdir Kaha Banti He

Kisi Ko Chaho To Sacche Dilse

Kyunki Ye Zindgi Phir Kaha Milti Hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

Judaai zehar hoti hai

Magar hai qurbaten ghamgheen

Dhali jaati hain raatain youn

Jyun aansu ho koi namkeen

Falak par kyun nazar thehri ?

Kyun kagaz aanch dete hain

Na lafzon me hai ab garmi

Chalo koi baat karte hain .....

Share this post


Link to post
Share on other sites

Mujhe apne zabt pe naaz tha, sare bazm raat ye kya hua

Meri aankh kaise chhalak gayi mujhe ranj hai ye bura hua

Meri zindagi ke charagh ka ye andaaz koi nayaa nahin

Kabhi raushni, kabhi teergi, kabhi jalaa hua kabhi bujha hua

Mujhe raaste mein pada hua kisi badnaseeb ka khat mila

Kahin khoon-e-dil se likha hua, kahin aansuon se mita hua

Jo nazar bacha ke guzar gaye, mere saamne se abhi abhi

Ye mere sheher hi ke log the mere ghar se ghar mila hua

Mujhe humsafar bhi mila koi, to shikasta haal meri tarah

Kahin raaston ka lutaa hua kahin manzilon ka thaka hua

Share this post


Link to post
Share on other sites

oonchi emaraton sey makan mera ghir gaya

kuch log mere hissey ka suraj bhi kha gaye

Share this post


Link to post
Share on other sites

rat phaili hai tere surmayi aanchal ki tarah

chand nikla hai tuje dhoondhnay pagal ki tarah

khushk patton ki tarah log uray jatay hain

shehr b ab tau lagnay laga jungle ki tarah

phir khyalon main tere qurb ki khushbu phaili

ankh phir se barasnay lagi badal ki tarah

Share this post


Link to post
Share on other sites

Tu nay Chup saadh Li MoZoO e Mohabat day ker

Guftagoo tuj say Jo honi thi zamanay say Hui !!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Maqdoor hou tou khaak say poochoon keh ay laiimmm

tuu nay woh ganj-haye-graan-maayaa kia kiye

Share this post


Link to post
Share on other sites

Wo to pani ki boond hai jo ankho se bah jaye,

ansu to wo hai jo tadap ke ankhon me hi reh jaye,

wo pyar hi kya jo lafzo me byan ho,

pyar to wo hai jo akho se nazar aaye.

Share this post


Link to post
Share on other sites

Chamak rahi hai paroon mein uraan ke khushboo

Bula rahi hai bohat asmaan ke khushboo

Share this post


Link to post
Share on other sites

janay iss ka kiya sabub tha aj tak smjha na main

Jhoot bola aap nay sharmindagi Mujh ko Huii

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kharay hain khwab hathaili pe rakh kar

Aur us main band hain wo jugnu lamhay

Tumhari dastakain gum ho rhi hain

Na aanay k bahanay dhoondhtay ho

Samajhna hai, samajh jao

Jo jana hai chalay jao......

Magar ye dil q ab tak keh rha hai

Zara thehr jao......zara thehr jao

Share this post


Link to post
Share on other sites

muskil bohat tha Ishq ki bazi ka jeetna

Hum jeetnay k Shoq main haaray chaly gaye

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ajeeb Shesha Gar Hain Taray Shaher kay Log Faraz

Muramat Kanch ki Kartay hain Pather kay Auzaron say

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.