Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Zaini

Write A Shair Daily

Recommended Posts

Pal bhar mein tamam umer ki sochein badal jati hain

jin rahon per chaltey hain, wohi, rahein badal jati hain

karney ko kia nahi kartey log MUHABBAT mein

sirf hamarey liye hi kyun? rasmein badal jati hain

Ye Teri Judai Ka Gham Nhi Ye Silsily To Hain Roz K,

Teri Zaat Es Ka Sabab Nhi Main Boht Dino'n Se UDAS Hon. . .IM

Share this post


Link to post
Share on other sites

Tujhe Udas B Kerna Tha Aur Khud B Rona Tha

Yeh Hadsa B Meri Jaan Kabhi To Hona Tha

Wo Mujhko Torr Ke Phir Jorta Raha Akser

Mein Uske Waste Jese Koi Khilona Tha

Share this post


Link to post
Share on other sites

Khud ko mehsoor kar baitha hoon apni zaat main

Manzilain charoon taraf hain rasta koi nahi

Share this post


Link to post
Share on other sites
Khud ko mehsoor kar baitha hoon apni zaat main

Manzilain charoon taraf hain rasta koi nahi

un say mill kar b kahan mitta ha dil ka iztarab,

ISHQ ki dewar k dono taraf saaya nahe. . . .IM

Share this post


Link to post
Share on other sites

Shikasta paara main khara hoon, gaye dinoon ko pukarta hoon

Jo qafla hum-safar tha mera, misaal-e-gird-e-safar gaya woh

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hansi Ko Apni Sun k Eik baar mein bi chonka utha Faraz

Yah Muj mein Dard Chupanay ka Kamal kasay aa giya

Share this post


Link to post
Share on other sites
Hansi Ko Apni Sun k Eik baar mein bi chonka utha Faraz

Yah Muj mein Dard Chupanay ka Kamal kasay aa giya

So Gai Aankh To Jagay Teri Qurbat K Nishan,

Bujh Gai Piyaas To Rasty Main Samandr Aya. . .IM

Share this post


Link to post
Share on other sites

Shab-e-Hijraan k jaagnay walOo

Kia kro gay agar sahar na Hui

Share this post


Link to post
Share on other sites

Bewaja nahie rota Ishq mein koi Mohsin

Jisay khud say bharh kay Chaho, Wo rulata zaror hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

Chand Suraj Aur Sitaaray Ajnabi

Ek Musafir Sab Nazaaray Ajnabi

Mojza Hay Gardish-e-Halaat Ka

Sheher Apna Loog Saaray Ajnabi

Ajnabiyat Ka Ta'aluq Bhi Khoob Hay

Hum Tumharay Tum Humaray Ajnabi

Jaan K Dushman Humaray Aashna

Aashna Saaray K Saaray Ajnabi

Zindagi Ki Talkhiyaan Hain Hum-Nasheen

Phool, Khushbu, Rang Saaray Ajnabi

Wo Jisay Hum Nay Apni Pehchaan Di

Aaj Wo Hum Ko Pukaaray Ajnabi

Share this post


Link to post
Share on other sites

Tanha Kahan Hoon ,Siskiyan Bharta Ha Ghar B Sath,

Ruswaion Ka Khoof Jo Dewar o Daar Main Hai.

IM.

Share this post


Link to post
Share on other sites

Go K Andaaz-e-Shahana hay Ameeron Jaisa

Meray Andar Ka Hay Insan Faqeeron Jaisa

HUm Nay Chehray Pay Saja Rakhi Hay Sheher Ki Ronaq

Magar Dil Ka Aalam Hay Veeran Jazeeron Jaisa

Us K Ausaaf-o-Khasaail Ne Mujhay Jeet Liya

Meray Mureedon Main Tha Shakhs Wo Peeron Jaisa

Is Se Pahle Thi Aseerai Bhi Rehaai Jaisi

Ab K Aazadi Mein Hay Haal Aseeron Jaisa

Us Ko "MOHSIN" Ganwa K Hain Khsaaray Ab Tak

Wo Jo Ik Shakhs Tha Meray Sath Heeron Jaisa.

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kabhi kabhi pather kay takranay say aati nahie kharaash

Kabhi eid zara si baat say insaan bikhar jata hai.........

Share this post


Link to post
Share on other sites

Tum Bicher Kar Bhi Meri Aankh Ki Putli Mein Rahay

Is Judaai Say To Achi Thein Mulaqaatein Hi

Share this post


Link to post
Share on other sites

Tum Bicher Kar Bhi Meri Aankh Ki Putli Mein Rahay

Is Judaai Say To Achi Thein Mulaqaatein Hi

Ye kashmakash alag ha, k kis kashmakash main hoon,

Atta nahe samjh main , Bohat sochta hoon main.

IM.

Share this post


Link to post
Share on other sites

Aik Sa MAnzar Hay Is Deewaar K Doono Taraf,

Gher Mein Veerani Hay Lekin Gher Bhi Veeranay Mein Hay

Share this post


Link to post
Share on other sites

....khali kitaab , koray kaaghaz hain iss k saary...

....'unwaan' pay likha hai sirf teri 'hayaat'....

Share this post


Link to post
Share on other sites

Apnay siwa humaray na honay ka ghum kisay

Apni taalsh main tou hum he hum hain dostoon

Kuch aj sham he say hia dil bujha bujha

Kuch shehar k chiraag bhi madham hain dostoon

Share this post


Link to post
Share on other sites

Raat Youn Dil Mein Teri Khooi Hui Yaad Aai,

Jesay Weeranay Mein Chupkay Se Bahaar Aa Jaey,

Jesay Shehraaon Mein Hoolay Se Chalay Baad-e-Naseem

Jesay Beemaar Ko Be-Wajha Qraar Aa Jaey

Share this post


Link to post
Share on other sites

unn say milay to Zom-e-Takallum k baawajood

jo soch kr gaye wohi aksar nahi kaha....

Share this post


Link to post
Share on other sites

Foot-Path Ki Deewaar Pay Chipkay Huy Pat'tay,

Ek Rooz Hawaaon Ko Drakhtoon Pay Milay Thay.

Share this post


Link to post
Share on other sites

Mumkin hia k tarteeb-E-Waqt main aisa waqt b ho

Dastak ko tera haath berhay mera dar na ho

Share this post


Link to post
Share on other sites

Waqt Karta Hay Parwarish Barsoon,

Haadsay Aik Dam Nahi Hootay.

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.