Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
Talaash

Amjad Islam Amjad

Recommended Posts

meri raatain teri yaadon se saji rehti hain

meri saansain teri khushbu main basi rehti hain

meri aankhon main tera sapna saja rehta hai

haan merai dil main tera aks basa rehta hai

is tarah merai dil ke pass ho tum

jis tarah pas hi sheh rag ke khuda rehta hai

tum ko maaloom bhi shayed ye kabhi ho ke na ho

meray aangan main lagay phool gawahi dain ge

main ne ursay se kisi phool ko dekha bhi nahin

tujh ko socha hai to tujh ko hi socha hai faqat

terai siwa or kisi ko socha bhi nahin

tum ko maaloom bhi shayed ye kabhi ho ke na ho

Share this post


Link to post
Share on other sites

تم سچے برحق سائیں

سر سے لیکر پیروں تک

دنیا شک ہی شک سائیں

تم سچے برحق سائیں

اک بہتی ریت کی دہشت ہے

اور ریزہ ریزہ خواب مرے

بس ایک مسلسل حیرت ہے

کیا ساحل ، کیا گرداب مرے

اس بہتی ریت کے دریا پار

کیا جانے ہیں کیا کیا اسرار

تم آقا چاروں طرفوں کے

اور مرے چار طرف دیوار

اس دھرتی سے افلاک تلک

تم داتا، تم ہو پالن ہار

میں گلیوں کا ککھ سائیں

تم سچے برحق سائیں

سر سے لیکر پیروں تک

دنیا شک ہی شک سائیں

کچھ بھید ازل سے پہلے کا

کچھ راز ابد کی آنکھوں کے

کچھ حصہ ہجر سراپے کا

کچھ بھیگے موسم خوابوں کے

کوئی چارہ مری پستی کا

کوئی دارُو آنکھ ترستی کا

بس ایک نظر سے جُڑ جائے

آئینہ مری ہستی کا

ازلوں سے راہیں تکتا ہے

اک موسم دل کی بستی کا

اس کی اور بھی تَک سائیں

تم سچے برحق سائیں

سر سے لیکر پیروں تک

دنیا شک ہی شک سائیں

تم سچے برحق سائیں

میں ایک بھکاری لفظوں کا

یہ کاغذ ہیں کشکول مرے

ہیں ملبہ زخمی خوابوں کا

یہ رستہ بھٹکے بول مرے

یہ ارض و سما کی پہنائی

یہ مری ادھوری بینائی

کیا دیکھوں ، کیسے دیکھ سکوں

یہ ہجر کی جلوہ آرائی

یہ رستہ کالے کوسوں کا

اور اک مسلسل تنہائی

مانگوں اک جھلک سائیں

تم سچے برحق سائیں

سر سے لیکر پیروں تک

دنیا شک ہی شک سائیں

تم سچے برحق سائیں

Share this post


Link to post
Share on other sites

labon pe phuul khilte hain kisi ke naam se pehle

dilon ke diip jalte hain chiraagh-e shaam se pehle

kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahi paata

kahaani khatam hoti hai kabhi anjaam se pehle

yahi taare tumhaari aankh ki chilman mein rehte the

yahi suuraj nikalta tha tumhaare baam se pehle

dilon ki jagmagaati bastiyoN pe raaj karte hain

yahi jo log lagte hain nihaayat aam se pehle

hui hai shaam jungle mein parinde lauTte hoan ge

ab in ko kis tarah roken navah-e-daam se pehle

ya saare rang murda the tumhaari shakl ban_ne tak

ya saare harf mohmal the tumhaare naam se pehle

hua hai voh agar munsif to Amjad ehtiyaatan ham

saza tasliim karte haiN kisi ilzaam se pehle

Share this post


Link to post
Share on other sites

Excellent Zaini.....

Din raat kay anay janay mein

dunya kay ajaib khanay mein

kabhi sheshay dhundle hote hain kabhi manzar saaf nahi hote

kabhi suraj baat nahi kerta

kabhi taray aankh badalte hain

kabhi manzil pechay rehti hai

kabhi aasein tor nahi charhtein

kabhi khoshay pure hote hain

kabhi aankhein dekh nahi saktein

kabhi khwab adhoore hote hain

yeh sab to sahi hai lekin

aashob kay manzar khanay mein

dunya kay ajaib khanay mein

kuch saya kerti aankhon kay pemaan to dikhai dete hain

hathon say agarchay dur sahi imkaan to dikhai dete hain

haan ret kay us darya kay paar

ik peron wali basti kay unwaan to dikhai dete hain

manzil say koson dur sahi

pur dard sahi ranjoor sahi

zakhmon say musafir choor sahi

per kis say kahein aay jaan-e-wafa

kuch aisay ghao bhi hote hain jinhein zakhmi aap nahi dhote

bin roye huay aansoo ki terha senay mein chupa ker rakhte hain

or sari umr nahi rote

neendein bhi muhaya hoti hain, sapne bhi dur nahi hote

ab kis say kahein aay jaan-e-wafa

yeh ahl-e-wafa

kis aag mein jalte rehte hain

kyun bujh ker rakh nahi hote...!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

JAISAY MERI NAZAM KI LERKI....

woh chanchal albeli lerki meri nazmain yun perhti hai

jaisay un nazmon ka mehwar

us ki apni zaat nahi hai,

(yani itni sundar lerki aur koi bhi ho sakti hai!)

jaisay us ko ilm nahi hai yeh sari batain ,us ki hain

sari ghaatain us ki hain

her aahat hai us ki aahat, sab saaye hain us kay saaye

sarey mehmal us k hain

her khushbu hai us ki khushbu, sab chehray hain us kay chehray

saarey aanchal us kay hain

jaisay us ko ilm nahi hai us lerki kay saarey kaam

saarey naam usi kay hain

her khirki hai us ki khirki, sarey baam usi kay hain

us lerki kay naam say jo kuch main nay apnay naam likha hai

us say hi mansoob hua hai

(shayed mera waham ho lekin main nay yeh mehsoos kia hai)

jab main nazam sunaata hoon woh aankh churaney lagti hai

mujh say nazrain mil jaayen to wo shermaney lagti hai

kuch lamhay woh chanchal lerki gum sum si ho jati hai

lekin thori der main phir say pather ki hojati hai

jaisay meri nazam ki lerki!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ishq aesa ajeeb darya hai

jo bina sahilon ke behta hai

Hain ghanemat yeh char lamhey bhi

Phir na hum hain, na yeh tamasha hai

Zindagee ek dukaan khilonon ki

Waqt bigra hua sa bacha hai

Aey sarabon main ghoomney waley

Dil ke ander bhi ek rasta hai

Iss bharee kainaat ke hotey

Aadmi kiss qadr akela haii

Ainey main jo aks hai Amjad

Kiyun kissi aur ka lagta hai..

Share this post


Link to post
Share on other sites

un jheel si gehri ankhon main

ik shaam kahin aabaad tou ho

us jheel kinaaray pal dou pal

ik khwaab ka neela phool khilay

woh phool baha dain lehron main

ik roz kabhi hum shaam dhalay

uss phool kay behtay rangon main

jis waqt laraztaa chaand chalay

uss waqt kahin un ankhon main

uss basray pal ki yaad tou ho

un jheel si gehri ankhon main

ik shaam kahin aabaad tou ho

phir chahay umar samandar ki

har moj preshaan ho jaaye

phir chahay aankh dareechay say

her khwaab guraizaan ho jaaye

phir chahay phool kay chehray ka

her dard numayaan ho jaaye

uss jheel kinaray pal dou pal

woh roop-nagar iijaad tou ho

din raat kay iss aaieenay say

woh aks kabhi aazaad tou ho

un jheel si gehri ankhon main

ik shaam kahin aabaad tou ho

Share this post


Link to post
Share on other sites

mohabbat kay mosam

zamanay kay sub mosmon say niralay

bahar-o-khizaan in ki sub say judaa

alag inka sookha alag hai ghata

mohabbat kay khittay ki aab-o-hawa

maawraa un anaasir say

jo mosmon kay taghyyur ki bunyaad hain

yeh zamaan-o-makaan kay kam-o-baish say

aesay aazaad hain

jaisay subh-e-azal, jaisay shaam-e-fanaa

shab-o-roz-e-aalam kay ehkam ko

yeh mohabbat kay mosam nahin mantay

zindagi ki musaafat kay anjaam ko

yeh mohabbat kay mosam nahin maantay

wafa kay ilawa kisi kaam ko

yeh mohabbat kay mosam nahin maantay

Share this post


Link to post
Share on other sites

Zindagi kay melay main

Khawishon kay rele main

Tum say kiya kahian janaan

Is qadar jhamelay main

Waqt ki ravani ha

Bakth ki garani ha

Sakht bay bezamini ha

Sakth lamakani ha

Hijar kay samandar main

Takht aur takhtay ki

Aik hi kahani ha

Tum ko jo sunani ha

Baat go zara si ha

Baat umar bhar ki ha

Umar bhar ki batain kub

Do ghari main hoti hain

Dard kay samandar main

An ginat jaziray hain

Bay shumar moti hain

Aankh kay darichay main

Tum nay jo sajaya tha

Baat is gilay ki ha

Baat us diea ki ha

Jo lahoo ki khulwat main C

hoor ban kay aata ha

Lafz ki fasiloon par T

oot toot jata ha

Zindagi say lambi ha

Baat rat jagay ki ha

Rastay main kaisay ho!!

Baat takhaliye ki ha

Takhliye ki batoon main

Guftugu aizafi ha

Piyar karnay waloon ko

Aik nigah kafi ha

Ho sakay tu sun jaoo

Aik din aikalay main

Tum say kiya kahain jaanan

Is qadar jhamalay main

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kal hum ne sapna dekha hay

Jo apna ho nahee sakta

Uss shakhs ko apna dekha hay

Woh shakhs ke jiss kee khatir hum

Iss des phirain uss des phirain

Jogi ka bana ker bhes phirain

Chahat ke niraay geet likhain

Jee mohnay walay geet likhain

Dhartee ke mehektay baghon se

Kaliyoon kee jholi bher laein

Anber ke sajeelay mandal se

Taroon kee doli bher laein

Haan kis ke liye

Sab uss ke liye

Woh jis ke lab per tesoo hain

Woh jis ke nainaa aahoo hain

Jo khar bhee hain or khushboo bhee

Jo dard bhee hay or daroo bhee

Woh alher see woh chanchal see

Woh shair see woh pagal see

Loog aap hee aap samajh jaein

Hum naam na unka batlaein

Ay dekhnay walo tum ne bhee

uss naar ee peet kee anchoon me

iss dil ka tapna dekha hay

kal hum ne sapna dekha hay

Share this post


Link to post
Share on other sites

Bay nigah aankhoon say deakhtay hain parchay ko

Bay khial haathoon say

An bunay say lafzoon pay ungliyan ghumatay hain

Ya sawal namay ko deakhtay hi jatay hain

Har taraf kan aankhioon say bach bacah kay chaltay hain

Dosroon kay parshoon ko rahnuma samajhtay hain

Shayad is tarhan koi rasta hi mil jiea !!

Bay nishan jawaboon ka kuch pata hi chal jiea !!

Mujh ko deakhtay hain tu

Youn jawab kapi pay hashiea banatay hain

Dieray banatay hai

Jaisay unko parchay kay sub jawab aatay hain

Is tarhan kay manzir main

Imtahan gahoon main,deakhta hi rehta tha

Naqal karnay waloon kay

Nit niea tarikon say

Aab luft laita tha

Kis taraf say janay ya

Aaj dil kay aangan main

Sakroon sawalon sa aik sawal aaya ha

Waqt ki aadalat main

Zindagi ki soorat main

Ya jo teray haathon main,Aik sawal nama ha

Kis nay ya banaya ha !!

Kis liya banaya ha !!

Kuch samajh main aaya ha ??

Zindagi kay parchay kay

Sub sawal lazim hain,Sub sawal mushkil hain!

Baynigah aankhon say deakhta hoon parchay ko

Bay khial haathon say

An bunay say lafzoon per ungliyan ghumata hoon

Hashiea banata hoon

Dieray banata hoon,

Ya sawal namay ko

Deakhta hi jata hoon !!!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kisi kuch nigah si ankh ne Yeh kamal mujh pe karam kiya

Meri Looh-e-jaan pe rakam kiya

Woh jo ek chand sa hurf tha,Woh jo ek shaam sa naam tha

Woh jo ek phool si baat phirti thi derbadar

Usse ghulistaan ka pata diya

Mera dil ke shehar-e-malal tha,Usse roshni main basa diya

Meri ankh aur khuwab ko,Kisi ek pal main beham kiya

Mere ainoo pe jo gard thu maah-o-saal ki

Woh uter gai

Woh jo dhund thi mere char soo

Woh bikher gai

Sabhi roop aks-e-jamal ke

Sabhi khuwab sham-e-wisal ke

Jo ghubar-e-waqt main sar basar thay atay howe

Woh chamak uthe

Woh jo phool ki dhool thay

Woh mahek uthe

Le saat rang bahar ke

Chala main jo sang bahar ke!

To saja diye sabhi raste

Kisi dast-e-shabidah saaz ne

Mere naam

Mere waste

Meri beghari ko pana di

Meri justaju ko nishan diya

Jo yakeen se bhi haseen hai

Mujhe ek aisa gumaan diya

Woh jo rezah rezah wajood tha

Usse ek nazar main beham kiya ...............!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Dair tak khaloon main deakhtay hi rehtay hain

Band kar ki aankhoon ko soachtay hi rehtay hain

Mukhtalif aadaoon say aagahi k darwazay kholtay hi rehtay hain

Hurf k tilasmati bay hisab ismoon ko

Apni zindagi ka ghum sonaptay bhi rehtay hain

Apni aas k jugnoo apnay pass rakhnay ko

Itni lambi ratoon main jagtay bhi rehtay hain

Muntazir dareechoon k aik aik sapnay ko

Khoon ki hararat say seechtay bhi rehtay hain

Phir bhi is haqeeqat say ikhtalaaf kis ko ha

Aainoon ka apnay aks munjamid

Tahnion main lagtay hi apni khawishoon k phool

Zard honay lagtay hain

Tu meri zameenon k aur aasmanon ka

Malik-a-haqeeqi ha

Mujh ko in zameeno k aur aasmanon k

Bay kiran samandar ka humsafar nahi karta

Har tarhan k jazbay say bay khabar nahi karta

In udas ratoon ki aik sehar nahi karta

Meri zindagni ko mukhtasir nahi karta

Tu meri zameeno main aur aasmano main khool rasta koi

Takay deakh paoon main

Bay hisab khawabo main

Meray khawab kitnay hain

Bay shumar sansoo main

Meri sansain kitni hain

Khool rasta koi...!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ya jo raig-a-dasht-a-firag ha ya rukay agar

Ya rukay agar tu nisahn milay ya nishan milay

Ya jo fasloon ki salaib ha Ya garhi hwee ha kahan kahan

Meray aasman say kidhar gaiee teray iltfaat ki kah kashan

Meray bay khabar meray bay nishan

Ya rukay agar tu pata milay

Main tha kis nagar tu raha kahan K zaman-o-makan ki woosatain

Tujhay deakhnay ko taras gaiee Woh meray naseeb ki barishain

Kisi aur chat pay baras gaiee

Meray chaar so ha ghubar-a-jan,Woh fishaa-a-jan

K khabar nahi meray haath ko meray haath ki

Meray khawab say meray baam tak

Teri raah guzar ka tu zikar kia

Nahi zoofishan tera naam tak

Hain dhuwan dhuwan meray istakhawan

Meray naksh-a-gar meray naksha--ajan

Is raig-a-dasht-a-firag main rahay muntazir teray muntazir

Meray khawab main jin k fishar main

Rahi meray haal say bay khabar teri rah guzar

Teri rah guzar ka jo naksh ha meray haath par

Magar is bala ki ka targi

Woh jo chashm-a-shobada saaz thi woh uthay agar

Meray istakhawan main ho roshni

Isi aik lamh-a-deed main teri rah guzar

Meri sharh-a-jan main chamak uthay

Meray khawab say teray baam tak

Sabhi manzaroon main damak uthay

Isi aik pal main hi jawada

Meri aarzo ha k bay ka'ran

Meri zindagi ha k mukhtasir

Ya jo raig-a-dasht-a-firaq ha ya rukay agar ..........!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Jitnay mousam teray saath guzray

Na janay teray wastay unki soorat ha kia!

Jo tujhay yaad kartay hain,Un k liya

Ab khizan k siwah koi mousam nahi

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kehnay ko us say mera koi waasta nahi

Amjad magar woh shakhs mujhay bhoolta nahi

Darta hoon aankh kholoon to manzar badal naa jayey

Main jaag to raha hoon magar jaagta nahi

Aashaftagi say uski usay bay wafa naa jaan

Aadat ki baat aur hay dil ka bura nahi

Tanha udaas chaand ko samjho naa bay khabar

Har baat sun raha hay magar bolta nahi

Khamosh ratjagoun ka dhuwaan tha chahar soo

Nikla kub aaftaab mujhay to pata nahi

Amjad woh aankhain jheel see gehri to hain magar

Un main koi bhi aks meray naam ka nahi....

Share this post


Link to post
Share on other sites

Aye waqt gawahi day,

Hum log na they aisay,

Hein jese nazar aatay,

Aye waqt gawahi day,

Hum log na they aisay,

Yeh shehar na they aisay,

Yeh log na they aisay,

Deewar na they rastay,

Zindaan na thee basti,

Aazad na they rishtay,

Aashob na thee hasti,

yoon maut na thee sasti,

Yeh aaj jo surat he,

Haalaat na they aisay,

Yoon ghair na they mausam,

Din raat na they aisay,

Tafreeq na thee aisi,

Sanjog na they aisay,

Aye waqt gawahi day,

Hum log na they aisay...........

Share this post


Link to post
Share on other sites

حسابِ عمر کا اتنا سا گوشوارا ہے

تمہیں نکال کے دیکھا تو سب خسارا ہے

کسی چراغ میں ہم ہیں کسی کنول میں تم

کہیں جمال ہمارا کہیں تمہارا ہے

وہ کیا وصال کا لمحہ تھا جس کے نشے میں

تمام عمر کی فرقت ہمیں گوارا ہے

ہر اک صدا جو ہمیں بازگشت لگتی ہے

نجانے ہم ہیں دوبارا کہ یہ دوبارا ہے

وہ منکشف مری آنکھوں میں ہو کہ جلوے میں

ہر ایک حُسن کسی حُسن کا اشارا ہے

عجب اصول ہیں اس کاروبارِ دُنیا کے

کسی کا قرض کسی اور نے اُتارا ہے

کہیں پہ ہے کوئی خُوشبو کہ جس کے ہونے کا

تمام عالم ِموجود استعارا ہے

نجانے کب تھا! کہاں تھا مگر یہ لگتا ہے

یہ وقت پہلے بھی ہم نے کبھی گزارا ہے

یہ دو کنارے تو دریا کے ہو گئے ، ہم تم!

مگر وہ کون ہے جو تیسرا کنارا ہے

Share this post


Link to post
Share on other sites

Karo jo baat karni hai

Agar is aas par baithay kay duniya

Bas tumhain sunay ki khatir

Gosh bar awaz ho kay baith jai gi

To aisa ho nahin sakta

Zamana aik logon say bhara foot path hai jis par

Kisi ko aik lamhay kay liyay rukna nahin milta

Bithao lakh tum pehray

Tamasha gah-e-aalam say guzarti jai gi khalqat

Bina daikhay bina tahray

Karo jo baat karni hai....................

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kuch aise ghao bhi hote hain

jinhen zakhmi ap nahi dhote

bin roye huye ansuon ki tarah

Seene main chupa k rakhte hain

Aur sari umr nahi rote

Ninden bhi muhaiya hoti hain

Sapne bhi dur nahi hote

Kyun phir bhi jagte rahte hain

Kyun sari rat nahi sote

Ab kis se kahen ai jan-e-vafa

Ye ahal-e-vafa kis ag main jalte rahte hain

Kyun bujh k rakh nahi hote

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kisi haath nay kisi looh pay jo nahi likha

Wohi aik hurf-e-guman hain hum

Khat-e-gumshuda main likhi gaiee

Koi ajnabi si zuban hain hum

Kisi aur khita-e-dard par jo guzar gaya

Usi waqt ki tag-o-taaz ka

Koi be nishan sa nishan hain hum

Kabhi apnay wahimay say nikal k dunia ko deakhiea

Tu na khul sakay k kahan hain hum

Meri jaan humari ya dastaan

Isi aasmaan ki chat talay

Isi kahkashaan k darmiyan

Kaiee baar likhi gaiee kaiee bar suni gaiee

Ya hadees nagm-e-bay sada

Kabhi surkh phoolon ki taiz khushboon main ruk gaiee

Kabhi aansoon main rawan hwee

Ya woh shame-e-sham-e-wisal ha

Jo tamaam raat jali kabhi

Kabhi aik pal main dhuwan hwee

Kabhi roshni ka yakeen bani

Kabhi tarige ki gumaan hwee

Tu jo hogaya usay maan lay

K wo daag wo hain jo saath behroon

K panioon say na dhul sakain gain

Hwa k rastay main urnay walay udas lamhay

Na ruk sakay hain na ruk sakain gain

Tu jo hogaya usay maan lay

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kahan aakey Ruknay thaay Rastey,Kahan Morr thaa usey Bhool Ja

Vo jo Mil Gaya usey Yaad rakh,Jo nahin mila ,Usey Bhool Ja

Vo Teray Naseeb ki Baarishein kisi Aur chatt pay baras gaein

Dil-e-Bekhabar meri baat Suun,Usey bhool ja ,Usey bhool ja

Mein tou Guum thaa teray he Dihan mein,Teri Aas Teray Guman mein

Saba keh gaye hai Meray Kaan mein,Meray Pass aa usey bhool ja

Kisi aankh mein nahin Ashke gham,Teray baad bhi nahin hai Kamm

Tujhay Zindagi nay Bhula Diya,Tu muskura Usey bhool ja

Na Vo Aankh he teri aankh thee,Na Vo khwab he tera khwab thaa

Dil Muntazir hai tu kis liye Tera jaagna ,Usey bhool ja

Ye Jo Raat Din ka hai Khail sa,Usey daikh kay Uus pay yakeen na ker

Nahin Aks koi bhi Mustakil Sarr-e-Aaena usey bhool ja

Vo Jo Bisat-e-Jaan he ulat gaya ,Vo jo raastey say Palat Gaya

Usey rokney say husuul kiya ,Usey matt Bhula usey Bhool ja

Share this post


Link to post
Share on other sites

Jo tum nay thaan he li ha

Humaray dil say nikloo gay

Tou itna jaan lo piyaray

Samandar samnay hoga,Agar sahil say nikloo gay

Sitarae jin ki aankhon nay humay aik saath deakha ha

Gawahi dainay aaian gain

Puranay kaghazoon ki balkoni say bohat say lafz jhankain gain

Tumhain wapis bulain gain

Kaiee waday,fasadi qarz khawaan hoon ki tarhan rastay main rookain gain

Tumhain daman sau pakrain gain

Tumhari jaan khian gain

Chupa kar kis tarhan chahra

Phir mehfil say nikloo gay

Zara phir soach loo jaanan

Nikal tu jaoo gay shayad

Magar mushkil say nikloo gay...!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.