Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
Talaash

Amjad Islam Amjad

Recommended Posts

Thanks Emaad

Mohabbat

Mohabbat oas ki surat!

Piyasi pankhari kay hont ko sairab karti hai

gulon ki asstinon men anokhay rang bharti hai

Seher kay jhutputay mein, gungunati, muskurati, jagmagati hai

Mohabbat kay dinon mein dasht bhi mehsoos hota hai

Kisi firdous ki surat

Mohabbat oas ki surat

Mohabbat abr ki surat!

Dilon ki sarzameen per ghir kay aati aur barsati hai

Chaman ka zarra zarra jhoomta hai, muskurata hai

Azal ki benamu matti mein sabza sir uthata hai

Mohabbat un ko bi abaad aur shadaab karti hai

Jo dil hain qabr ki surat

Mohabbat abr ki surat

Mohabbat agg ki surat!

Bujhay seenon mien jalti hai tou dil baidaar hotay hain

Mohabbat ki tapish mein kuch ajab israar hotay hain

K jitna bharakti hai, uroos-e-jaan mehekti hai

dilon kay sahilon pay jamma hoti aur bikharti hai

Mohabbat jaag ki surat

Mohabbat agg ki surat

Mohabbat khawab ki surat!

Nighaon mien uterti hai kisi mahtaab ki surat

Sitaray aarzu kay is tarah say jagmagatay hain

K pehchani nahi jati, dil-e-be-taab ki surat

Mohabbat kay shajar pay khawab kay panchi utertay hain

Tou shakhain jaag uthti hain

Thakay haaray sitaray jab zameen say baat kartay hain

Tou kab ki muntizir ankhon mein

Shammein jaag uthti hain

Mohabbat un mein jalti hai, chiraagh-e-aab ki surat

Mohabbat khawab ki surat

Mohabbat dard ki surat!

Guzishta mousomon ka istaara ban kay rehti hai

Shaban-e-hijr mein roshan sitara ban kay rehti hai

Mundairon per sitraron ki loain jab thartharati hain

Nagar mein na-umeedi ki hawaein sansanati hain

Gali mein jab koi aahat, koi saaya nahi rahta

Dukhay dil kay lia jab joi bi khoka nahie rahta

Ghamon kay bojh say jab tootnay lagtay hain shanay tou

Yah un pay haath rakhti hai

Kisi hamdard ki surat

Guzar jatay hain jab saray qaaflay jab dil ki basti say

Fiza mien tairti hai dair tak

Yah gard ki surat

Mohabbat dara ki surat!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Thanks Emaad

Mohabbat kay Mousam

Zamanay kay sab mousomon say niralay

Bahar-o-khizan in ki sab say juda

Alag in ka sokha alag hai ghata

Mohabbat kay khittay ki aab-o-hawa

Marwa hai un anasir say jo

Zamanay kay taghayyur ki bunyad hain

Yah zameen-o-makaan kay kam-o-baesh say

Aisay azaad hain

Jaisay Subh-e-azal

Jaisay sham-e-fanaa

Shab-o-roz-e-alam kay ahkaam ko

Yah mohabbat kay mousam nahie mantay

Zindigi ki musafat kay anjaam ko

Yahmohabbat kay mousam nahie mantay

Rifaqat ki khusboo say khali ho jo

Yah koi asa manzar nahie mantay

Wafa kay elwa ksi kam ko

Yah kay mohabbat kay mousam nahie mantay

Share this post


Link to post
Share on other sites

Jan-e-jaan yah jahan, yah zameen asmaan

yah maray raat din, khak hain taray bin,

yah mari zindigi, dosti dushmani,

Rasatay, wasatay sab tumharay liya hain,

Sab tumharay liya hian,

Tum jo dekho tu maray shab-o-rooz ko,

koi matlab milay,

Tum jo pocho maray her eik harf ko,

koi rutba milay, koi mansab milay,

Tum jo socho maray wasatay kuch b,

Mein sitaron ko muthi mein bhar laoon ga,

Tum agar eik din muj ko awaz do,

Mein jahan per b hooon, loot kay aaon ga,

Yah maray jism-o-jaan, maray shair-o-sokaan,

Mari tanhaiyaan,

Bazm-e-Araiyaan,

Abb tumharay liya hian,

Sub tumharay liya hain.........

Share this post


Link to post
Share on other sites

Talash u realy Rock with this thread :yes:

Share this post


Link to post
Share on other sites
Bay nigah aankhoon say deakhtay hain parchay ko

Bay khial haathoon say

An bunay say lafzoon pay ungliyan ghumatay hain

Ya sawal namay ko deakhtay hi jatay hain

Har taraf kan aankhioon say bach bacah kay chaltay hain

Dosroon kay parshoon ko rahnuma samajhtay hain

Shayad is tarhan koi rasta hi mil jiea !!

Bay nishan jawaboon ka kuch pata hi chal jiea !!

Mujh ko deakhtay hain tu

Youn jawab kapi pay hashiea banatay hain

Dieray banatay hai

Jaisay unko parchay kay sub jawab aatay hain

Is tarhan kay manzir main

Imtahan gahoon main,deakhta hi rehta tha

Naqal karnay waloon kay

Nit niea tarikon say

Aab luft laita tha

Kis taraf say janay ya

Aaj dil kay aangan main

Sakroon sawalon sa aik sawal aaya ha

Waqt ki aadalat main

Zindagi ki soorat main

Ya jo teray haathon main,Aik sawal nama ha

Kis nay ya banaya ha !!

Kis liya banaya ha !!

Kuch samajh main aaya ha ??

Zindagi kay parchay kay

Sub sawal lazim hain,Sub sawal mushkil hain!

Baynigah aankhon say deakhta hoon parchay ko

Bay khial haathon say

An bunay say lafzoon per ungliyan ghumata hoon

Hashiea banata hoon

Dieray banata hoon,

Ya sawal namay ko

Deakhta hi jata hoon !!!!!

AwSome !!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Karo jo baat karni hai

Agar is aas par baithay kay duniya

Bas tumhain sunay ki khatir

Gosh bar awaz ho kay baith jai gi

To aisa ho nahin sakta

Zamana aik logon say bhara foot path hai jis par

Kisi ko aik lamhay kay liyay rukna nahin milta

Bithao lakh tum pehray

Tamasha gah-e-aalam say guzarti jai gi khalqat

Bina daikhay bina tahray

Karo jo baat karni hai

(Amjad Islam Amjad)

Share this post


Link to post
Share on other sites

Amjad wo ankhain Jheel si gehri to hain magr

Un main Koi b Aks mere naam ka nahi

Share this post


Link to post
Share on other sites

About Amjad Islam Amjad

Amjad Islam Amjad (born August 4, 1944 in Sialkot) is a famous Urdu poet and lyricist from Pakistan.

He received his education in Lahore. His career started as a lecturer in M.A.O College Lahore. From 1975 to 1979 he worked as a director at Pakistan Television Corporation before returning to the College.

In 1989 he was appointed as Director General of Urdu Science Board. Currently he is the project director of the Children Library Complex. He is the author of over 40 books and received several national and PTV awards.

Amjad Islam Amjad is the writer of many drama series for Pakistan Television Corporation including the very popular "Waaris". He has written many columns, translation, criticism and essays whereas his main focus is writing Nazms. Among his most famous dramas are Waris, Dehleez, Samandar, Raat, Waqt and Apnay Loug.

In June, 2008 he joined Urdu newspaper Daily Express.

His Work Of Poetry:

*Fishar

*Barzakh

*Us par

*Satwan dar

*Zara phir say kehna

*Seher aasar

*Barish ke aawaz

*Itnay khwab kahan rakhoon

*Mairay bhe hain kuch khwab

*Hum us kay hain.

Share this post


Link to post
Share on other sites

اک نام کی اُڑتی خوشبو میں اک خواب سفر میں رہتا ہے

اک بستی آنکھیں ملتی ہے اک شہر نظر میں رہتا ہے

کیا اہلِ ہنر، کیا اہلِ شرف سب ٹکڑے ردی کاغذکے

اس دور میں ہے وہ شخص بڑا جو روز خبر میں رہتا ہے

پانی میں روز بہاتا ہے اک شخص دئیے اُمیدوں کے

اور اگلے دن تک پھر ان کے ہمراہ بھنور میں رہتا ہے

اک خوابِ ہُنر کی آہٹ سے کیا آگ لہو میں جلتی ہے

کیا لہر سی دل میں چلتی ہے! کیا نشہ سر میں رہتا ہے

جو پیڑ پہ لکھی جاتی ہے جو گیلی ریت سے بنتا ہے

کون اُس تحریر کا وارث ہے !کون ایسے گھر میں رہتا ہے!

ہر شام سُلگتی آنکھوں کو دیوار میں چُن کر جاتی ہے

ہر خواب، شکستہ ہونے تک زنجیرِ سحر میں رہتا ہے

یہ شہر کتھا بھی ہے امجد اک قصہ سوتے جاگتے کا

ہم دیکھیں جس کردار کو بھی جادو کے اثر میں رہتا ہے

Share this post


Link to post
Share on other sites

دل کے دریا کو کسی روز اُتر جانا ہے

اتنا بے سمت نہ چل، لوٹ کے گھر جانا ہے

اُس تک آتی ہے تو ہر چیز ٹھہر جاتی ہے

جیسے پانا ہی اسے، اصل میں مر جانا ہے

بول اے شامِ سفر، رنگِ رہائی کیا ہے؟

دل کو رُکنا ہے کہ تاروں کو ٹھہر جانا ہے

کون اُبھرتے ہوئے مہتاب کا رستہ روکے

اس کو ہر طور سوئے دشتِ سحر جانا ہے

میں کِھلا ہوں تو اسی خاک میں ملنا ہے مجھے

وہ تو خوشبو ہے، اسے اگلے نگر جانا ہے

وہ ترے حُسن کا جادو ہو کہ میرا غمِ دل

ہر مسافر کو کسی گھاٹ اُتر جانا ہے

Share this post


Link to post
Share on other sites

Na koi ghum khizaan ka hai na khawish hai baharoon ki

Humaray sath hai Amjad kisi ki yaad ka mousam

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hum log na the aise

Hain jaise nazar ate

Ai waqt gavahi de

Hum log na the aise

Yeh shaihr na tha aisa

Yeh rog na the aise

Deewar na the raste

Zindan na thi basti

Azar na the rishtey

Khiljan na thi hasti

Yoon maut na thi sasti

Yeh aaj jo soorat hai

Halat na the aise

Yoon ghair na the mausam

Din raat na the aise

Tafriq na thi aisi

Sanjog na the aise

Ai waqt gavahi de

Hum log na the aise ..........!

Share this post


Link to post
Share on other sites

wah talash and zaini nice poetry

Share this post


Link to post
Share on other sites

Khud apne liye baith k sochenge kisi din

yun hai k tujhe bhul k dekhenge kisi din

bhatake hue phirte hain kai lafz jo dil main

duniya ne diya vaqt to likkhenge kisi din

hil jayenge ik bar to arshon k dar-o-bam

ye khaknashin log jo bolenge kisi din

apas ki kisi bat ka milta hi nahi vaqt

har bat ye kahae hain k baithenge kisi din

ai jan teri yad k be-nam parinde

shakhon pe mere dard ki utrenge kisi din

jati hai kisi jhil ki gahrai kahan tak

ankhon main teri dub k dekhenge kisi din

khushbu se bhari sham main jugnu k qalam se

ik nazm tere vaste likkhenge kisi din

soyenge teri ankh ki khlvat main kisi rat

saye main teri zulf k jagenge kisi din

khushbu ki tarah ,asl-e-saba khak numa se

galiyon se tere shahar ki guzrenge kisi din

'Amjad' hai yahi ab k kafan bandh k sar se

us shahar-e-sitamgar main jayenge kisi din

Share this post


Link to post
Share on other sites

سادہ سے اِک چہرے پر کیا جادوگر سی آنکھیں ہیں

سادہ سے اِک چہرے پر کیا جادوگر سی آنکھیں ہیں

جو دیکھے اِن کا ہو جائے

جو اُترے وہ تھاہ نہ پائے

کتنے سپنے جاگ رہے ہیں

اِن پلکوں کے سائے سائے

شمع شجر سی، چارہ گرسی، نامہ بر سی آنکھیں ہیں

انجانی پہچانی بھی

اپنی اور بیگانی بھی

ایک ہی منظر کا حصہ ہیں

عکس بھی اور حیرانی بھی

ساحل جیسی لگتی ہیں وہ اور بھنور سی آنکھیں ہیں

سادہ سے اِک چہرے پر کیا جادو گر سی آنکھیں ہیں

امجد اسلام امجد

Share this post


Link to post
Share on other sites

Very nice Talash

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.