Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
Amaya

~..`.. Muhabbat ..`..~

Recommended Posts

Muhabbat jin se hoti

Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai

Yaqeen ki akhri manzil pe akar bhi

Koi khadsha, koi shak, koi andesha

Buhat bechain rakhta hai

Muhabbat jin se hoti hai

Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai

Kahin ye visal ke lamhe

Badal jayain na furqat mai

Kahin ye qurb ki ghairiyan

Judai main na dhal jayain

Kahin aisa na ho k koi usko badgumaa kar de

Kahin aisa na ho k

Jis ko hum ne hasil-e-umr-e-rawa samjha

Jhatak kar hath wo bedard sab kuch raiga kar de

Kahin aisa na ho k

Wo meharbaan ankhain badal jayain

Kahin aisa na ho k

Ye garamjoshi sard par jaye

Tapaak-e-jaa’n se milne ki rawish

Yakh basta ho jaye

Ada’e dilbarana berukhi ka roop dhare

Aur dil ka dard ban jaye

Muhabbat jin se hoti hai

Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai

Kabhi mahfil mai sab ke samne wo ahtiyatan bhi

Agar nazrain churaye tou dil pe choot lagti hai

Ansoo’n ka mena barasta hai

Kabhi masrofiat mai, mahwiyat mai

Phone ki ghanti ka wo notice na le

Aur rabte ka silsila moqoof ho jaye

Dharak uthta hai dil

Kya janea kya ho gaya us ko

Tawajja mai kami kyun agai…?

Kyun us ki janib ik sannata sa chaaya hai….?

Jo apna is qadar apna tha

Akhir kyun paraya hai..?

Muhabbat jin se hoti hai

Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai

Edited by Amaya

Share this post


Link to post
Share on other sites

nice sharing amaya :flower4u:

Muhabbat jin se hoti

Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai

Yaqeen ki akhri manzil pe akar bhi

Koi khadsha, koi shak, koi andesha

Buhat bechain rakhta hai

Muhabbat jin se hoti hai

Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai

Kahin ye visal ke lamhe

Badal jayain na furqat mai

Kahin ye qurb ki ghairiyan

Judai main na dhal jayain

Kahin aisa na ho k koi usko badgumaa kar de

Kahin aisa na ho k

Jis ko hum ne hasil-e-umr-e-rawa samjha

Jhatak kar hath wo bedard sab kuch raiga kar de

Kahin aisa na ho k

Wo meharbaan ankhain badal jayain

Kahin aisa na ho k

Ye garamjoshi sard par jaye

Tapaak-e-jaa’n se milne ki rawish

Yakh basta ho jaye

Ada’e dilbarana berukhi ka roop dhare

Aur dil ka dard ban jaye

Muhabbat jin se hoti hai

Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai

Kabhi mahfil mai sab ke samne wo ahtiyatan bhi

Agar nazrain churaye tou dil pe choot lagti hai

Ansoo’n ka mena barasta hai

Kabhi masrofiat mai, mahwiyat mai

Phone ki ghanti ka wo notice na le

Aur rabte ka silsila moqoof ho jaye

Dharak uthta hai dil

Kya janea kya ho gaya us ko

Tawajja mai kami kyun agai…?

Kyun us ki janib ik sannata sa chaaya hai….?

Jo apna is qadar apna tha

Akhir kyun paraya hai..?

Muhabbat jin se hoti hai

Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

Very good poetry mashallah keep up the good work:)

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ajab Pagal Si Larki Thi

Mujhay Har Roz Kehti Thi

Batao Kuch Naya Likha ?

Kabhi Uss Se Jo Kehta Tha

k Main Ne Nazm Likhi Hay

Magar Unwan Dena Hay

Bohat Betab Hoti Thi

Vo Kehti Thi

Sunao...

Main Isay Acha Sa Ik Unwan Deti Hoon

Vo Meri Nazm Sunti Thi

Aur Uss Ki Bolti Aankhein

Kisi Missrey,Kisi Tashbeeh Par Yun Muskurati Thin

Mujhay Lafzoon Se Kiranein phootTi Mehsoos Hoti Thin

Vo Phir Iss Nazm Ko Acha Sa Ik Unwan Deti Thi

Aur Uss k Aakhri Missrey k Neechay

Ik Adaay Be Niazi Se

Vo Apna Naam Likhti Thi

Main Kehta Tha

Suno....

Yeh Nazm Meri Hay

To Phir Tum Ne Apnay Naam Se Mansoob Kar Li Hay ?

Meri Yeh Baat Sun Kar Uss Ki Aankhein Muskurati Thin

Vo Kehti Thi,Suno

Saada Sa Rishta Hay

k Jaisy Tum Mere Ho,Iss Tarah Yeh Nazm Meri Hay

Ajab Pagal Si Larki Thi...!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Suna hai

Zameen per wohi loog milte hain...jin ko

Kabhi aasmano k us paar

Roohon k meylay mein

Aik dosre ki mohabbat mili ho

Mager tum.........

K mere liye nafraton k andhere mein

Hansti hoi roshni ho

Lahoo mein rachi

Ragon mein basi ho

hamesha sakoot e shab e gham mein awaz e jaan ban k

chaaron taraf goonjti ho

Ager aasman k us paar

Roohon k maylay mein bhi mil chuki ho

Tu phir is zameen per

Meri chahton k khile mousmon se guraizaan

Meri dhoop chaaon se

Kuon ajnabi ho..????

Kitabon mein likhi hoi

Aur kanon suni

Sari batain galat hain...????

K TUM DOOSRI HO...??????????

Share this post


Link to post
Share on other sites

Suna hai

Zameen per wohi loog milte hain...jin ko

Kabhi aasmano k us paar

Roohon k meylay mein

Aik dosre ki mohabbat mili ho

Mager tum.........

K mere liye nafraton k andhere mein

Hansti hoi roshni ho

Lahoo mein rachi

Ragon mein basi ho

hamesha sakoot e shab e gham mein awaz e jaan ban k

chaaron taraf goonjti ho

Ager aasman k us paar

Roohon k maylay mein bhi mil chuki ho

Tu phir is zameen per

Meri chahton k khile mousmon se guraizaan

Meri dhoop chaaon se

Kuon ajnabi ho..????

Kitabon mein likhi hoi

Aur kanon suni

Sari batain galat hain...????

K TUM DOOSRI HO...??????????

Share this post


Link to post
Share on other sites

Suno aye chand si lerki

Abhi tum keh rahi thi na

Tumhain mujh se mohabbat ho nahin sakti

Chalo mana k yeh sach hai

Mager aye chand si lerki

Mujhe itna batao tum

K jab mousam badalte hain

Gulon mein rang bherte hain

Tu phir kuon muztrib ho ker

Aikele pan se ghabra ker

Hawa ko raaz deti ho

Mujhe awaz deti ho

Suno aye chand si lerki

Tumhare samne koi mera jab naam leta hai

Tu phir kuon chonk jati ho

chalo mana tumhain mujh se mohabbat ho nahin sakti

Mager itna samjh lo tum

Jahan chahat nahin hoti

Wahan nafrat k hone ka koi imkaan nahin hota

Mera dawa hai chahat mein

Jahan nafrat nahin hoti

Wahan akser yeh dekha hai

Ager kuch waqt kat jaye

Samay ki dhool jhat jaye

Tu wehshat bhag jati hai

Mohabbat jaag jati hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

کھولو کھولو اپنی آنکھیں

اور غور سے سنو

دینے کو تو بہت کچھ ھے

پر اپنا سا کچھ دینا چاہتی ھوں

ایک بوند سورج کی

اک قطرہ آسمان کا

کوئل کی آدھی کوک

اور کچھ جگمگاتے سپنے

اچھا لگے تو اور مانگو

دینے کو تو بہت کچھ ھے

پر اپنا سا کچھ دینا چاہتی ھوں

آسمان کا آئینہ

ایک ڈبی تتلیوں کی

ایک چمچ ندی کی دھار

اور ایک مٹھی زندگی

اچھا لگے تو اور مانگو

دینے کو تو بہت کچھ ھے

پر اپنا سا کچھ دینا چاہتی ھوں

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kahan Mumkin tha Me DiL se TERI Yaadeyn Bhula Deyta

Bhala Keyse Me Jeeta ager Bhula Deyta..

Khaber Hoti Ager Mujhko k Nhi hai TU Muqadder Mei

Ussi Lamhey ME hathon ki Lakeeron ko Mita Deyta!!

@ topic

Nice Collection Amaya! Very Nice..

Share this post


Link to post
Share on other sites

mujhse barish ki ye boondain

suno humdam kya kehti hain

kabhi jo jhoom kar barsain

mohabbat geet sunati hain

mujhe in boondoon mein janaan

tumhara chehra dikhta hai

tumhari shokh nazroon ka

ye peghaam laati hain

mein in se khelti rehti hoon

in sang bheegti rehti hoon

ye narmi sai choo kar tan man

tumhara ehsaas jagaati hain

mujhe har pal ye lagta hai

jaisai tum sath ho mere

jaisai in boodoon mein janaan

tumhara hi aks shamil hai

mujhse barish ki ye boondain

suno humdam kya kehti hain

tumhein mujhse mohabbat hai

yehi ek geet gaati hain

Share this post


Link to post
Share on other sites

tumhen aisa kyun lgta hai kay hum khud dhoondtay hain apnay rishton ko,

suno jana! kabhi aisa nhin hota,

tumharay or mere chahnay se kuch nhin hota,

kay sab rishtay, sabhi bandhan kahin pehlay se rakhay hain,

woh saaray aanay walay pal jo aakhir beet jatay hain,

jo hum se jeet jatay hain,

woh sab pehlay se rakhay hain,

samjh kar soch kar rakhay hain saray pal, sabhi rishtay,sabhi mosam,

mohabbat bhi to lamha hai, mohabbat bhi to mosam hai,

yeh kis ke dil pay utray ga?

kahan par kab khileyga, konsi galiyon main mehkay ga?

najanay konsa dil iskay rangon main fana hoga?

najanay konsa dil is lamhay ko patay he ghani tareekh galiyon ki musafat say raha hoga?

wazahat hum nhin kartay,

mohabbat hum nhin krtay,

kay yeh to jadugarni hai jo humko dhoond leti hai,

humen pehchan leti hai,

kisi masroof kamray main pari beekaar chezon say yeh humko chaan leti hai,

kabhi jab zakhm khalta hai,

bason or daftaron ki bheer main bhi yeh hamaray sath chalti hai,

lahu ki dhoop main chup chaap jalti hai,

hina ki khusbuon main jab utari hai hamari jaan leti hai,

yeh hum main bandh deti hai naye mosam, naye soraj, naye tare or khusbo,

yeh hum ko sonp deti hai koi aizaaz jiska maan rakhna farz hota hai,

yeh hum par bojh banti hai,

yeh hum par qarz hota hai,

kahan, kis par nichawar jaan krni hai,

yeh chahat hum nhin kartay,

suno jana! mohabbat hum nhin krtay….

Share this post


Link to post
Share on other sites

kaha naa piyar hay tum say

tu phir kiyo zid tumhari hay

kay jab bi tum milo muj say

yahi iqrar ho lab par

mujay tum say mohabbat hay

tumhay maloom hay jaana!!

mohabbat to mohabbat hay

yea tu Aankhoo may dhikti hay

haseen say Khwab ki soorat

yea tu aik phool sa jazba hay

kay jis may rang bi aur khushboowo ka sath hota hay

bohat inmool jazba hay

yea izhaar ki shidat ka talib bi nahi hota

bohat chup chaap jazba hay

dabay pawoo hi chala aata hay

magar jo naksh iss kay hay bohat hi gahray hotay hay

inhay kahna nahi parta

lab tu khamosh hotay hay magar izhaar hay hota

kabi Aankho ki shookhi say

kabi batoo ki khoshboo say

yea jazba chuup nahi pata

yea sab batain hay mairi jaana, tumhay maloom hi tu hay

tumhari hi kahi tu hay

tu phir kiyo zid tumhari hay kay jab bi

mea miloo tum say yahi izhaar ho lab par

mujay tum say mohabbat hay

magar tum janti ho na tumhari baat ko jaana

nahi main taal sakta hoon

chaloo ikrar karta hoon

mujay tum say mohabbat hay

Share this post


Link to post
Share on other sites

fantastic amaya kia bat hay app ki

keep sharing more..... :yes:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Muhabbat rog hai Janaa…

Ajab sanjog hai jaana!

Bara hi jog hai janaa!

Baray boorhay bataty thay

Kayee qissay sunatay thay

Magar hum maantay kab thay

Ye sub kuch jaantay kab thay..

Ye batain zikr k qaabil

Bhla gerdaantay kab thay!

Anaa k takht pr baithay hmain maloom hi kab tha?

Anaa k takht sat ooper, bohat saari bulandi pr

Kaheen pariyon k jhurmat mein, tri payel wo paaon mein

Eri zulfon ki chaaon min,tery chotay say gaaon mein

Sitary, chaand, suraj waalehana raqs kerty hain

Hmain kab ilm tha janaa!

Tery qadmon ki aahat pr, gulaabi muskuraahat pr

Tery abroo ki junbish pr, tery ser k ishaaray pr

Sadaye dilbarana pr,nigaah-e-qaatilana pr

Adaye qreezana pr. Jafaye mujrimaana pr

Chaman k phool sary iss tarah dhiayan diaty hain

Zara sy wasl k jhaansay mein apni jan daity hain

Hmain idraak hi kab tha janaa!

Tery paikar main dhal kr chaandni har soo bikharti hai

Shabe mahtaab ki darshandagi kaisy nikharti hai

Hmain kab ilm tha janaa!

Hmain kaamil bhrosa tha

k…….

hmary sath kabhi aisa na hoga

dil-e-daana kabhi kaabu say be-qaabu na hoga

ye duniya daar, duniya daar say saadhu nahi hoga

magr phir yun hua janaa!

Bara afsos hua janaa!

Jigar ka khoon hua janaa!

Tery abroo ki junbish k ghayel ho gaye hum bhi…

Bary bay-multafit phirty thy qaayel ho gyae hum bhi

Sakhawat kerny aye thy aur saayel ho gyae hum bhi

Bary boorhon ki inn baton k qayel ho gyaye hum bhi

k…..

Muhabbat rog hai janaa!

Ajab sanjog hai Janaa…..!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

محبت

بڑا ہی خوبصورت جذبہ ہے

پتہ ہی نہیں چلتا

کب اور کیسے

دل میں یوں اُبھر آتا ہے

جیسے

برسات کی اندھیری رات میں

جگنو جھلملا اُٹھیں

یا چپکے سے کوئی

مسجد میں دیا جلا دے

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.