Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
Amaya

Amaya's Collection...

Recommended Posts

Tu Naam Ka Darya Hai Rawani Nahi Rakhta,

Badal Hai Wo Be-faiz Jo Paani Nahi Rakhta,

Ye Aakhri Khat, Aakhri Tasveer Bhi Le Ja

Mein Bhoolney Walon Ki Nishani Nahi Rakhta.

Share this post


Link to post
Share on other sites

اُجڑے ہُوے لوگوں سے گریزاں نہ ہُوا کر

حالات کی قبروں کے یہ کتبے بھی پڑھا کر

ہر وقت کا ہنسنا تجھے برباد نہ کردے

تنہائی کے لمحوں میں کبھی رو بھی لیا کر

اے دل تجھے دشمن کی بھی پہچان کہاں ہے

تو حلقہء یاراں میں بھی محتاط رہا کر

کیا جانئے کیوں تیز ہوا سوچ میں گم ہے

خوابیدہ پرندوں کو درختوں سے اڑا کر

اس شخص کے تم سے بھی مراسم ہیں تو ہونگے

وہ جھوٹ نہ بولے گا مرے سامنے آکر

پہلا سا کہاں اب مری رفتار کا عالم

اے گردش دوراں ذرا تھم تھم کے چلا کر

اک روح کی فریاد نے چونکا دیا مجھکو

تو اب تو مجھے جسم کے زنداں سے رہا کر

اب ٹھوکریں کھائے گا کہاں اے غم احباب

میں نے تو کہا تھا کہ مرے دل میں رہا کر

اس شب کے مقدر میں سحر ہی نہیں محسن

دیکھا ہے کئی بار چراغوں کو بُجھا کر

Share this post


Link to post
Share on other sites

Jo us ki yaad aati hai to kyun mehsoos karte ho

Mohabbat dil dukhati hai to kyoun mehsoos kerte ho?

Tum un logon se hut ker bhi to zinda reh nahi sakte

Ye duniya dil dukhati hai to kyoun mehsoos kerte ho?

Baraste hain jo badal to uter jaata hai bojh un ka

Tumhen khawaish rulati hai to kyoun mehsoos kerte ho?

Wohi chasm-e-tasawur hai,wohi hai dil ki halat bhi

Wo surat hashr uthati hai to kyoun mehsoos kerte ho?

Kaha tha kis ne rakho tum sunehre khawab aankhon main

Aseer-e-neend urtii hai to kyoun mehsoos kerte ho?

Usii se milti julti hain adaaen sab bala’oun ki

Hawa pagal banati hai to kyoun mehsoos kerte ho?

Jise tum chand kehte the wahi hai aankh main roshan

Agar shab jagmagati hai to kyoun mehsoos kerte ho?

Share this post


Link to post
Share on other sites

Well Ammaya so much of sadness all put together in one place. I am posting here a relevant piece i came across, to add to the gloom

Darkness - a poem by Lord Byron

I had a dream, which was not all a dream.

The bright sun was extinguish'd, and the stars

Did wander darkling in the eternal space,

Rayless, and pathless, and the icy earth

Swung blind and blackening in the moonless air;

Morn came, and went and came, and brought no day,

And men forgot their passions in the dread

Of this desolation; and all hearts

Were chill'd into a selfish prayer for light:

And they did live by watchfires - and the thrones,

The palaces of crowned kings, the huts,

The habitations of all things which dwell,

Were burnt for beacons; cities were consumed,

And men were gathered round their blazing homes

To look once more into each other's face;

Happy were those who dwelt within the eye

Of the volcanos, and their mountain-torch:

A fearful hope was all the world contain'd;

Forest were set on fire but hour by hour

They fell and faded and the crackling trunks

Extinguish'd with a crash and all was black.

The brows of men by the despairing light

Wore an unearthly aspect, as by fits

The flashes fell upon them; some lay down

And hid their eyes and wept; and some did rest

Their chins upon their clenched hands, and smiled;

And others hurried to and fro, and fed

Their funeral piles with fuel, and looked up

With mad disquietude on the dull sky,

The pall of a past world; and then again

With curses cast them down upon the dust,

And gnash'd their teeth and howl'd: the wild birds shriek'd,

And, terrified, did flutter on the ground,

And flap their useless wings; the wildest brutes

Came tame and tremolous; and vipers crawl'd

And twined themselves among the multitude,

Hissing, but stingless, they were slain for food:

And War, which for a moment was no more,

Did glut himself again; a meal was bought

With blood, and each sate sullenly apart

Gorging himself in gloom: no love was left;

All earth was but one thought and that was death,

Immediate and inglorious; and the pang

Of famine fed upon all entrails men

Died, and their bones were tombless as their flesh;

The meagre by the meagre were devoured,

Even dogs assail'd their masters, all save one,

And he was faithful to a corpse, and kept

The birds and beasts and famish'd men at bay,

Till hunger clung them, or the dropping dead

Lured their lank jaws; himself sought out no food,

But with a piteous and perpetual moan

And a quick desolate cry, licking the hand

Which answered not with a caress, he died.

The crowd was famish'd by degrees; but two

Of an enormous city did survive, And they were enemies;

They met beside

The dying embers of an altar-place

Where had been heap'd a mass of holy things

For an unholy usage; they raked up,

And shivering scraped with their cold skeleton hands

The feeble ashes, and their feeble breath

Blew for a little life, and made a flame

Wich was a mockery; then they lifted up

Their eyes as it grew lighter, and

Each other's aspects. saw, and shriek'd, and died, beheld

Even of their mutual hideousness they died,

Unknowing who he was upon whose brow

Famine had written Fiend. The world was void,

The populous and the powerful was a lump,

Seasonless, herbless, treeless, manless, lifeless,

A lump of death, a chaos of hard clay.

The rivers, lakes, and ocean stood still,

And nothing stirred within their silent depths;

Ships sailorless lay rotting on the sea,

And their masts fell down piecemeal; as they dropp'd

They slept on the abyss without a surge

The waves were dead; the tides were in their grave,

The moon their mistress had expired before;

The winds were withered in the stagnant air,

And the clouds perish'd; Darkness had no need

Of aid from them. She was the universe.

Share this post


Link to post
Share on other sites

Baarishon kay Mosam mein...

Waqt key Andhairon mein

Main ny Uss say poocha tha

Chor to na jao gay???

hath thaam kar Uss nay

kaan mein ye bola tha....

kaisay chor sakta hoon?

Tum to Jan ho Meri...!!!

Waqt ki tamaazat mein

Washaton kay mosam mein

Main nay Uss say poocha hai..!!!

chor kr hi jana tha?

muskuraati galiyon mein

Aas kiyon dilayee thi???

payaas kiyon jagayee thi???

meray inn sawalon par chaltay chaltay Wo bola...

Mosamon kay khail hain sub

Jo badaltay rehtay hain......

Share this post


Link to post
Share on other sites

Khud ko anmol samjhnay ka tha bara ghumand

Phir bhi baymool bik jana acha lagta hai

Khaey hain dhokay mouhabbat main itnay kay

Phir bhi is ko chahna acha lagta hai

Maloom hai is dewanay ki Manzil nahin hai koi

Phir bhi safer kartay rehna acha lagta hai

Woh to aa kar bhi kab kay ja chukay hain

Phir bhi is ka intazar kartay rehna acha lagta hai

Azeem hain yeh qurbat ki doorian bhi

Sath reh kar bhi us ko na pana acha lagta hai

Qismat main nahin phir bhi us ko chahtay hain

Phool samjh kar kantoon per chalna acha lagta hai

Ab to mehfil main bhi hamaray liyey tanhai hai

Gham chupa kar mehfil ko sajana acha lagta hai

Mehfil main dosron se hans hans kar miltay hain

Tanhai main gham k ansoo bahana acha lagta hai

Samjhany per bhi samjhta nahin hai yeh Dil

Us ki yaad main ratoon ko jaagna acha lagta hai

Us ki berukhi ne itnay diyey hain zakham kay

Zakham kha kar bhi muskurana acha lagta hai

Jab woh hans hans kar baat karay dosroon se

Tab apnay ansoon ko chupana acha lagta hai

Usay kho kar to Meray pass raha kuch bhi nahin

Phir bhi khud ko ameer batana acha lagta hai

post-18493-1261064671_thumb.jpg

Share this post


Link to post
Share on other sites

Maine har roz dua main tujhy manga hai

Hoon baywafa per wafa say tujhy manga hai

Kabhi sajday main ja kar poch apny raab say

Maine kis kis adda say tujhy manga hai

post-18493-1261064949_thumb.jpg

Share this post


Link to post
Share on other sites

Raah-e-talib mein kon kisi kaa, apne bhi begaane hain

Chand sey mukhre rashk-e-Ghazlaan sab jaane pehchane hain

Uff yeh talaash-e-husn-o-haqeeqat kis jaa thehrein jaayein kahan

Sehan-e-chaman mein phool khiley hain sehra mein deewane hain

Tanhayi hi tanhayi hai kaise kahein kaise samajhayein

chashmo-o-lab-o-rukhsaar ki tah mein Rooho'on kay viraaney hain

Apne wujood ki mastii sey hamari needon ke ahwaal na pooch

Qadam qadam par ched Khirad se nafs nafs may'khane hain

Dil aakhir thak haar kay yaaro ham ne bhi tasleem kiya

Apni zaat se ishq hai sacha baaqi sab afsaney hain

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kesay ik lafz main bayaan krOn

Dil Ko Kiss Baat nay Udaas kiya

Share this post


Link to post
Share on other sites

کوئی موسم تو ایسا ہو

کہ جب بچھڑے ہوؤں کی یاد کے جگنو

چمک کھو دیں ۔۔۔

کسی کے ہجر میں رونے سے پہلے ہی

میری آنکھیں ۔۔۔ کبھی سو دیں ۔۔۔

کوئی موسم تو ایسا ہو کہ جب سب پھول الفت کے

کسی اَنمٹ محبّت کے

میرے دل میں کھلیں

پر

ان میں وہ خوشبو نہ ہو باقی

‘ وہ خوشبو ، جو تمہارے قُرب میں مِحسوس ہوتی تھی ‘

کوئی موسم تو ایسا ہو

کہ دل کے زخم بھر جایں

اگر ایسا نہیں ہوتا

تو پھر کتنا ہی اچھا ہو کہ

ساری خواہشیں دل کی

وہ سارے خواب اور ارماں

یونہی گھُٹ گھُٹ کے مر جایں

مجھے آزاد کر جایں ۔۔۔

Share this post


Link to post
Share on other sites

لا وقت ھو نے کی خواہش

رات کے ٹوٹے ھوئے پر

کھڑکیوں میں اور دریچوں میں پڑے ہیں

کون آتا اور چُنتا

بچپنے کی عمر تو رخصت ھوئی

نیلے، اودے، کالے، پیلے، دودھیا پر

کاپیوں میں

اور کتابوں میں سجانے کا سمے رخصت ھوا

جاتی عمروں کے یہ پل ہیں

اور راتوں کے شکستہ پر

اکھٹے کرتے کرتے

نیند وادی میں اتر جانے کی خواہش

روح کے اندر ہمکتی ہے مسلسل۔۔۔۔۔ ۔

Share this post


Link to post
Share on other sites

bichar k mujh se kabhi tu ne ye bhi socha hai

adhura chand bhi kitna udas lagta hai

ye wasl ka lamha hai ise rayegan na samajh

k is k bad wahi duriyon ka sahara hai

kuch aur der na jharta udasiyon ka shajar

kise khabar tere saye main kaun baitha hai

ye rakh-rakhao muhabbat sikha gai us ko

wo ruth kar bhi mujhe muskura k milta hai

main kis tarah tujhe dekhun nazar jhijhakti hai

tera badan hai k ye ainon ka dariya hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

rait se butt na bana ay mere ache fankar

ek lamhe ko thahar main tujhe patthar la dun

main tere samne ambar laga dun lekin

kaun se rang ka patthar tere kam ayega

surKh patthar jise dil kahti hai bedil duniya

ya wo pattharai hui ankh ka nila patthar

jis main sadiyon k tahayyur ke pare hon dore

kya tujhe ruh ke patthar ki zarurat hogi

jis pe haq bat bhi patthar ki tarah girati hai

ik wo patthar hai jise kahte hain tahazib-e-safed

us k marmar main siyah Khun jhalak jata hai

ik insaf ka patthar bhi to hota hai magar

hath main tesha-e-zar ho to wo hath ata hai

jitne mayar hain is daur ke sab patthar hain

sher bhi raqs bhi tasvir-o-gina bhi patthar

mere ilham tera zahan-e-rasa bhi patthar

is zamane main har fan ka nishan patthar hai

hath patthar hain tere meri zuban patthar hai

rait se butt na bana ay mere ache fankar

Share this post


Link to post
Share on other sites

wo koi aur na tha chand Khushk patte the

shajar se tut k jo fasl-e-gul pe roye the

abhi abhi tumhain socha to kuch na yad aya

abhi abhi to ham ek-dusare se bichre the

tumhare bad chaman par jab ik nazar dali

kali kali main Khizan k chirag jalate the

tamam umr wafa ke gunahgar rahe

ye aur bat ki ham adami to ache the

shab-e-Khamosh ko tanhai ne zaban de di

pahar gunjte the dasht sansanate the

wo ek bar mare jin ko tha hayat se pyar

jo zindagi se gurezan the roz marte the

naye Khayal ab ate hain dhal ke zahan main

hamare dil main kabhi khet lahlahate the

ye irtiqa ka chalan hai k har zamane main

purane log naye admi se darte the

'Nadeem' jo bhi mulaqat thi adhuri thi

k ek chehre ke piche hazar chehre the

Share this post


Link to post
Share on other sites

zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi

meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi

mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki did ka

rasta badal k chalne ki adat use bhi thi

us rat der tak wo raha mahw-e-guftagu

masruf main bhi kam tha faragat use bhi thi

sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan

taza rafaqaton ki zarurat use bhi thi

mujh se bichar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs

halanke shahar bhar se raqabat use bhi thi

wo mujh se barh k zabt ka adi tha ji gaya

warna har ek sans qayamat use bhi thi

Share this post


Link to post
Share on other sites

wo dil nawaz hai nazar shanas nahi

mera ilaj mere charagar k pas nahi

tarap rahe hain zaban par kai sawal magar

mere liye koi shayan-e-iltamas nahi

tere ujalon main bhi dil kanp kanp uthta hai

mere mizaj ko asudagi bhi ras nahi

kabhi kabhi jo tere qurb main guzre the

ab un dinon ka tasawwur bhi mere pas nahi

guzar rahe hain ajab marhalon se dida-o-dil

sahar ki as to hai zindagi ki as nahi

mujhe ye dar hai k teri arzu na mit jaye

bahut dinon se tabiyat meri udas nahi

Share this post


Link to post
Share on other sites

hoti hai tere naam se wahshat kabhi kabhi

barham hui hai yun bhi tabiyat kabhi kabhi

ai dil kise nasib ye taufiq-e-iztirab

milti hai zindagi main ye rahat kabhi kabhi

tere karam se ai alam-e-husn-e-afrin

dil ban gaya hai dost ki khilwat kabhi kabhi

dil ko kahan nasib ye taufiq-e-iztirab

milti hai zindagi main ye rahat kabhi kabhi

josh-e-junun main dard ki tugyaniyon k sath

ashkon main dhal gai teri surat kabhi kabhi

tere qarib rah k bhi dil mutmain na tha

guzri hai mujh pe bhi ye qayamat kabhi kabhi

kuch apna hosh tha na tumhara khayal tha

yun bhi guzar gai shab-e-furqat kabhi kabhi

ai dost ham ne tark-e-muhabbat k bawajud

mahsus ki hai teri zarurat kabhi kabhi...

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.