Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
Amaya

Amaya's Collection...

Recommended Posts

Mujhe Aisa Lutaf Attaa kia jo na hijer tha na wisal tha

Mere mousmoon ke mizaj da’n! Tujhe mera kitna khayal tha

Kahien khoon-e-dil se likha to tha tere saal-e-hijer ka saaniha

Wo adhoori Diary kho gaye, wo na janay konsa saal tha

kisi aur chehray ko dekh ker teri shakal zahan main aa gaye

tera naam le ke mila use, mere hafzay ka yeah haal tha

kabhi mousmoon ke Sarab main, kabhi baam-e-dur ke Azab main

Wahan umer main ne ghuzar dee jahan saans laina mahal tha

kabhi tu ne ghore nahi kia ke yeah log kaisay ujar gaye

koi mere jaisa grifta-e-dil , tere samnay ki msial tha

tere bad koi nahi mila jo yeah haal dekh ke poochta

mujhe kiski Aag jhulas gaye, mere dil ko kis ka malal tha

Share this post


Link to post
Share on other sites

Suno Saal-e-Nau…

Tery hath mein

Mery waastay

Koi aik aisa bhi

Pal hai kya…???

Jisay jee sakoon..!

Jisay khwab jaan kar

Apni aankhon mein bhar sakoon

Isi aik pal…

Hi k darmiyan

Main ujar sakoon

Yan…..

Sanwar sakoon

Ik umr jaisa..

Wo aik pal…!!!

Jissay jee sakoon..

Aur

Lamha lamha ki maut say

Ho nijaat phir....!

Bus…..

Ik baar hi mar sakoon…

Koi aik pal….?

Mery naam ka…..?

Share this post


Link to post
Share on other sites

Suno Jana !

..

kabhi

Fursat Mile tu daikhna

patton ka girna Tum,

..

k

jab ye Shajr se gir k

zameen par aan partey

hain !

..

Tu

kaise Raunde jate hain ..?

..

Thirthrati raat k

khamosh lamhon mein,

..

kisi Bebas akeli bawafa

khamosh Ladki ki kabi

Tum siskian sun'na,

..

kabi

Qitaar se Bichri hui

koonjon k Noohey par

Nigah karna,

..

k

kaise aik dooje ki Judai

par Tarap kar bain karti

hain,

..

kabi

Rukhsat k lamhon mein,

kisi

ki aankh se larkhartey

huwey ansoo ko daikho

gi,

..

Tu

shaid jaan jao gi,

..

Judai Maut hoti hai,

..

Abi

Tum ne MOHABBT k

baraste bheegte Mausam

nahi daikhe,

..

abi

Tum Titliun k rang Muthi

main chupati ho,

..

abi

Tum Muskarati ho

..

suno jana !

kabhi jo Zindagi ne ajnabi

veran rahon par,

..

Tumhari yeh Hansi

cheeni,

..

Tu

phir ansoo bahao gi,

..

Tum

itna jaan jao gi

..

"JUDAI MAUT HOTI HAI" .!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

تلخی زبان تک تھی وہ دل کا برا نہ تھا

مجھ سے جدا ہوا تھا مگر بے وفا نہ تھا

طرفہ عذاب لائے گی اب اس کی بددعا

دروازہ جس پہ شہر کا کوئی کھلا نہ تھا

شامل تو ہوگئے تھے سبھی اک جلوس میں

لیکن کوئی کسی کو بھی پہچانتا نہ تھا

آگاہ تھا میں یوں تو حقیقت کے راز سے

اظہار حق کا دل کو مگر حوصلہ نہ تھا

جو آشنا تھا مجھ سے بہت دور رہ گیا

جو ساتھ چل رہا تھا مرا آشنا نہ تھا

سب چل رہے تھے یوں تو بڑے اعتماد سے

لیکن کسی سے پاؤں تلے راستہ نہ تھا

ذروں میں آفتاب نمایا تھے جن دنوں

واصف وہ کیسا دور تھا وہ کیا زمانہ تھا

Share this post


Link to post
Share on other sites

bohat achi nazm ha,jitni tareef ki jaye kam ha.

keep it up.

SUNO JANA !

" JUDAI MOUT HOTI HA "

Share this post


Link to post
Share on other sites

Amaya ! sach tou yeh hai ki yeh nazmein .......ek khazana hai

Bohut khoooooooooooob

Edited by amaan

Share this post


Link to post
Share on other sites

کوئی موسم تو ایسا ہو

کہ جب بچھڑے ہوؤں کی یاد کے جگنو

چمک کھو دیں ۔۔۔

کسی کے ہجر میں رونے سے پہلے ہی

میری آنکھیں ۔۔۔ کبھی سو دیں ۔۔۔

کوئی موسم تو ایسا ہو کہ جب سب پھول الفت کے

کسی اَنمٹ محبّت کے

میرے دل میں کھلیں

پر

ان میں وہ خوشبو نہ ہو باقی

‘ وہ خوشبو ، جو تمہارے قُرب میں مِحسوس ہوتی تھی ‘

کوئی موسم تو ایسا ہو

کہ دل کے زخم بھر جایں

اگر ایسا نہیں ہوتا

تو پھر کتنا ہی اچھا ہو کہ

ساری خواہشیں دل کی

وہ سارے خواب اور ارماں

یونہی گھُٹ گھُٹ کے مر جایں

مجھے آزاد کر جایں ۔۔۔

Share this post


Link to post
Share on other sites

Main tumharay aks ki aarzoo mein bass aayina hi bani rahi

Kabhi tum na samnay aa sakay, kabhi mujh pay gard pari rahi

Woh ajeeb shaam thi,aaj tak meray dil mein uss ka malal hai

Meri tarah jo teri muntazir, teray rastay mein khari rahi

Kabhi waqf-e-hijr main ho gaei,kabhi khwab-e-wasl mein kho gaei

Main faqeer-e-ishq bani rahi, main aseer-e-yaad huwi rahi

Bari khamshi say sarak kay phir meray dil kay gird lipat gaei

Woh rida-e-abr-e-sfed jo sar-e-kohsar tani rahi

Huwi uss say jabb meri baat bhi,thi shareek-e-dard woh zaat bhi

To na janay kon si cheez ki meri zindgi mein kami rahi

Share this post


Link to post
Share on other sites

..~Ye Jo Dasht-E-Dard Hai Ishq Ka, Mujhy Is Se Koi Gila Nahi,

Ye To Zindagi Ka Isool Hai, Kabhi Apna Koi Hua Nahi,

Ye Jo Silsila Hai Ek Dard Ka, Ye Tohfa Yun Hi Mila Nahi,

Tu Jisy Jan Kr Bhi Anjan Hai, Wo Raz Mai Ne Kaha Nahi,

Mujhy Apni Khabr To Hai Mgr, Teri Soch Ka Kuch Pata Nahi,

Yè Jo Aansu Hai Meri Ankh Mein, Besbab Hi To Ye Baha Nahi,

Ye Sada Si Jo Hai Goonjti, Wo Lafz Tu Ne Kaha Nahi,,

Mera Jurm Hai Meri Sadgi, Meri Aur Koi Khata Nahi~..

Share this post


Link to post
Share on other sites

Main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi,

Main toot-ta tha to chun kar sambhal rakhti thi..

Har aik maslay ka hal nikal rakhti thi,

Zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi..

Main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha,

Woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi..

Woh mairay dard ko chunnti thi apni pooron say,

Woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi..

Woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main,

Mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi..

Duayen us ki balaaon ko rok laiti thin,

Woh mairay chaar so hathon ki dhaal rakhti thi..

Ik aisi dhun kay nahi phir kabhi main nay suni,

Woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi..

Usay nadamatain mairi kahan gawara thin,

Woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi..

Bichar kay uss say main dunya ki thokaron me hon Mohsin,

Woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi..

Share this post


Link to post
Share on other sites

yeh kin sawalon ki kirchian hein

udaas aankhon ke farsh par jo bikhar rahi hein

yeh soyi jaagi nidhaal aankhein

taweel raston ki khoj mein hein

zaeef mausum har ik sukhan ke

lahoo mein gardish naseeb saaey hein waahimon ke

jinhein abhi tuk suraagh dil ka mila nahin hai

kinaar waada woh phool ub tuk khila nahin hai

hazaar lehjey hein justujoo mein

magar yeh baaton mein dhund kia hai

azal abad ka yeh dasht-o-sehra

yeh bhed kia hai, yeh bhaao kia hai

abad ki baaton ke khar-o-khas mein

azal se pehley ki sa’aton mein

hum apney chehrey ko dekhtey hein

humein tu khwaahish ki aahaton par

nazar jhukaati hui hawa se yeh poochna hai

keh waqt ki rehguzar mein ub safar ki kis intiha pe hum hein

yeh khwaab kis neend ka badan hai?

yeh zindagi ka bahaao kia hai?

Share this post


Link to post
Share on other sites

دیارِ شوق میں کب رتجگہ نہیں ہوتا

مگر ہر آنکھ کو یہ حوصلہ نہیں ہوتا

کسی کسی پہ ہی کھلتا ہے رازِ ہجر و وصال

ہر ایک دل کو یہ منصب عطا نہیں ہوتا

لگی ہے بھیڑ مناظر کی تا بہ حدِ نگاہ

جو دیکھو تو کوئی منظر نیا نہیں ہوتا

میں خود سے پوچھتا ہوں کون ہے، کہاں ہے تو

جواب لینے کا پھر حوصلہ نہیں ہوتا

اُسی کا نام پکارا ہے روز و شب لیکن

وہ بے نیاز ہے، میرا خدا نہیں ہوتا

چراغِ آرزوئے شوق کو بجھا نہ سمجھ

بجھا سا لگتا ہے لیکن بجھا نہیں ہوتا

چلو وہ راندۂِ درگاہِ دوستاں ہی سہی

دل ایسا دوست کوئی دوسرا نہیں ہوتا

Share this post


Link to post
Share on other sites

وہ کہتا ہے ستارے آنسوؤں میں کیوں چمکتےہیں؟

میں کہتی ہوں محبت آنسوؤں میں رنگ بھرتی ہے

وہ کہتا ہے تمہارے بعد بارش کیوں نہیں ہوتی؟

میں کہتی ہوں میری جاں ہجر صحرا کےاس پار رہتا ہے

وہ بولا درد کے پار بھی اک درد ہوتا ہے

میں اس کے بعد کتنی دیر تک کچھ بھی نہیں بولی

Share this post


Link to post
Share on other sites

کہیں تم اپنی قسمت کا لکھا تبدیل کر لیتے

تو شاید ہم بھی اپنا راستہ تبدیل کر لیتے

اگر ہم واقعی کم حوصلہ ہوتے محبت میں

مرض بڑہنے سے ہی پہلے دوا تبدیل کر لیتے

تمہارے ساتھ چلنے پر جو دل راضی نہیں ہوتا

بہت پہلے ہم اپنا فاصلہ تبدیل کر لیتے

تمہارے ان موسموں کی کیا خبر ملتی اگر ہم بھی

گھٹن کے خوف سے آب و ہوا تبدیل کر لیتے

تمہاری طرح جینے کا ہنر آتا تو پھر شاید

مکاں اپنا وہی رکھتے ' پتا تبدیل کر لیتے

وہی کردار ہیں تازہ کہانی میں جو پہلے بھی

کبھی چہرہ کبھی اپنی قبا تبدیل کر لیتے

جدائی بھی نہ ہوتی ذندگی بھی سہل ہو جاتی

جو ہم ایک دوسرے سے مسئلہ تبدیل کر لیتے

ہمیشہ کی طرح اس بار بھی ہم بول اٹھے ورنہ

گواہی دینے والے واقعات تبدیل کر لیتے

بہت دھندلا گیا یادوں کی رم جھم میں صدا دل

وہ مل جاتا تو ہم یہ آئینہ تبدیل کر لیتے

Share this post


Link to post
Share on other sites

Amaya Bht bht acha collection hai ap ka zabar10 :smile:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Poochhnay walay tujhay hum kaisay batain aakhir

Dukh ibaarat to nahi hai tujhay likh kar de dain

Ye kahani bhI nahI haI kay sunaian tujh ko

Na koi baat hi aisee ka batain tujh ko

Zakham ho to tere nakhun kay hawalay kar dein

Aaeina bhi to nahiay kay dekhaaen tujh ko

Ye koi raaz nahi jis ko chupaaen to wo raaz

Kabhi chehray kabhi aankhon se chhalak jaata hai

Jaisay aanchal ko sambhalay koi aur taiz hawa

Jab bhi chaltee hay to shaanon se dhalak jaata hai

Ab tujhay kaisay batain k humain kiya dukh hai....!!!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites
Amaya Bht bht acha collection hai ap ka zabar10 :smile:

thanku so muchhhhhhhhh zaini.... :friends:

Share this post


Link to post
Share on other sites

ہاتھ چھوٹیں بھی تو رشتے نہیں چھوڑا کرتے

وقت کی شاخ سے لمحے نہیں توڑا کرتے

جس کی آواز میں سِلوٹ ہو، نگاہوں میں شکن

ایسی تصویر کے ٹکڑے نہیں جوڑا کرتے

لگ کے ساحل سے جوبہتا ہے اُسے بہنے دو

ایسے دریا کا کبھی رُخ نہیں موڑا کرتے

جاگنے پر بھی نہیں آنکھ سے گرتیں کرچیں

اس طرح خوابوں سے آنکھیں نہیں پھوڑا کرتے

شہد جینے کا مِلا کرتا ہے تھوڑا تھوڑا

جانے والوں کیلئے دِل نہیں تھوڑا کرتے

جمع ہم ہوتے ہیں ، تقیسم بھی ہوجاتے ہیں

ہم تو تفریق کے ہندسے نہیں جورا کرتے

جاکے کہسار سے سرمارو کہ آواز تو ہو

خستہ دِیواروں سے ماتھا نہیں پھوڑا کرتے

Share this post


Link to post
Share on other sites

Gooood Amaya u rock this thread.. :yes:

Share this post


Link to post
Share on other sites
Gooood Amaya u rock this thread.. :yes:

thank u so much Emaad for appreciation

Share this post


Link to post
Share on other sites

Salook -e- Na Rawa Ka Is Liye Shikwa Nahi Karta

Salook -e- Na Rawa Ka Is Liye Shikwa Nahi Karta

Keh Main Bhi Tu Kese Ki Baat Ki Parwa Nahi Karta

Bohat Hoshyaar Hoon Apni Laraii Aap Larta Hoon

Main Dil Ki Baat Mager Dewaar Per Likha Nahi Karta

Ager Per Jaye Aadat Aap Apnay Saath Rehnay Ki

Yeh Saath Easa Hay Keh Insaan Ko Tanha Nahi Karta

Zameen Pairoon Say Kitni Baar Din Main Nikalti Hay

Main Esay Haadson Per Dil Mager Chota Nahi Karta

Tera Israar Sir Aankhon Pay Tujh Ko Bhool Janay Ki

Main Koshish Kar Kay Dekhon Ga Mager Waada Nahi Karta

Share this post


Link to post
Share on other sites

Koii Ak Shaks Tu Yoon Milay Keh Sakoon Milay

Koii Ak Lafz Tu Easa Ho Keh Jo Qaraar Ho

Kahi Easi Rutt Bhi Milay Hamay Jo Bahaar Ho

Kabhi Easa Waqt Bhi Aaye Keh Hamay Pyaar Ho

Koii Ak Shaks Tu Yoon Milay Keh Charaag -e- Jaan

Usay Noor Day Usay Taab Day Banay Kehkashaan

Koii Ghum Ho Jis Ko Kaha Karay Ghum Jawidaan

Koii Yoon Qadam Melaye Keh Banay Karwaan

Koii Ak Shaks Tu Yoon Milay Keh Sakoon Milay

Meri Rah Guzar Khayal Main Koii Phool Ho

Main Safar Main Hoon Meray Paa'on Pay Kabhi Dhool Ho

Mujhay Shouq Hay Kabhi Mujh Say Bhi Koii Bhool Ho

Ghum -e- Hijar Ho Shab -e- Taar Ho Bara Tool Ho

Koii Ak Shaks Tu Yoon Milay Keh Sakoon Milay

Keh Jo Aks -e- Zaat Ho Hoo Bahoo

Mera Aaina Meray Roo Baroo

Koii Rabt Jis Main Na Main Na Tu

Sar -e- Khamoshi Koii Guftagoo

Koii Ak Shaks Tu Yoon Milay Keh Sakoon Milay

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.