Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
Amaya

Amaya's Collection...

Recommended Posts

abhii kyaa kahe.n abhii kyaa sunaayen

ke sar-e-fasiil-e-sukuut-e-jaa.N

kuf-e-roz-o-shab pe sharar numaa

vo jo harf jarf charaaG thaa

use kis havaa ne bujhaa diyaa

kabhi lab hilenge to pochna

sar-e-sahar-e-ahad-e-visaal-e-dil

vo jo nikahaton kaa hujuum thaa

use dast-e-mauj-e-firaaq ne

tah-e-Khaak kab se milaa diyaa

kabhi gul khilenge to pochna

abhii kyaa kahe.n abhii kyaa sunaaye.N

yuu.N hii Khvaahisho.n ke fishaar me.n

kabhii be-sabab kabhii beKhalal

kahaaN kaun kis se bichhaD gayaa

kise kis ne kaise gaNvaa diyaa

kabhi phir milenge to pochna

Share this post


Link to post
Share on other sites

Bohat hairaan hota hoon

Kisi se' jab ye' sunta hoon

Ke' tu raaton ko tanha dair tak

Taaron ki chaaon ma'

Ab aksar apne' ghar ki chat pe' baithi

Khwaab bunti hay

Ma' aksar sochta hoon

Tu mile' to tujh se' ye' poochoon

Andhairon se' tumhsari dosti

Kaise huii humdum?

Tumhain to shaam ki parchaaiyon se' khauf aata tha

Share this post


Link to post
Share on other sites

کچھ خوشی کے سائے میں اور کچھ غموں کے ساتھ

زندگی کٹ ہی گئی ہے الجھنوں کے ساتھ ساتھ!

آج تک اُس کی تھکن سے دُکھ رہا ہے یہ بدن!!

اک سفر میں نے کیا تھا خواہشوں کے ساتھ ساتھ

کس طرح کھایا ہے دھوکا کیا بتاؤں میں تمہیں

دوستوں کے مشورے تھے سازشوں کے ساتھ ساتھ

کس طرح رکھے ہوئے ہیں چاند سورج اک جگہ

نفرتیں بھی پل رہی ہیں چاہتوں کے ساتھ ساتھ

اس دفعہ ساون میں تیری یاد کے بادل رہے

اس دفعہ میں خوب رویا بارشوں کے ساتھ ساتھ

وہ جنہیں میں دوست کہتا تھا بڑے ہی مان سے

صف بہ صف وہ بھی کھڑے تھے دشمنوں کے ساتھ ساتھ

کاش پھر سے لوٹ آئیں پھر وہی بچپن کے دن!

بھاگنا پھولوں کی خاطر تتلیوں کے ساتھ ساتھ

شہر میں کچھ لوگ میرے چاہنے والے بھی ہیں

پھول مجھ کو لگ رہے ہیں پتھروں کے ساتھ ساتھ

Share this post


Link to post
Share on other sites

Nadaan Larki---- Aik thehri hui jheel ke terha !!

jiss meen koi na koi pather pheenk ker uss ka sakoon barbaad ker deta hai

Nadaan Larki---- Muhabbat ke doo Lafzoon se pighaal jaanay waali !!

Jo Muhabbat baad meen jaanay kahan ghaib ho jatti hai....

Nadaan Larki---- Mazboot Nazar anay ke kooshish kerne waali !!

Lekin aik darr, aik khauf uss ke chahray aur ankhon meen phir bhi saaf nazar atta hai....

Nadaan Larki---- Her Rooz aik naya ehaad kerne waali !!!

Jo toot-tay zara bhi deir nahi Lagti....

Nadaan Larki---- Her khoobsoorat Lehjay walay ko acha samjhnay waali...

Jiss ka Rang uttarnay ke baad, Hairan pareshan aur Pashemaan .....

Nadaan Larki---- Bilkul Seedha aagay BhaRna Chahti hai !!!

ye jantay huay bhi ke Hazaar Rakawtain uss ke raastay meen hain

Nadaan Larki---- uss ghar ko sajhanay wali jo uss ka hai hi nahi !!!

Maa baap/ Bhaion ka ghar...

Nadaan Larki---- Aik jagah se dhooka khanay ke baad phir se Aitbaar kerne waali !!!

Nadaan Larki---- Ye sooch rakhne wali ke

Achi Taleem Haasil ker ke uss ko zindagi meen sab kuch mill jaye ga.....

Nadaan Larki---- Takleef -dey yaadon ko bhoolnay ke kooshish kerne waali !!

ye jantay huay bhi ke Maazi kabhi nahi miTta....

Share this post


Link to post
Share on other sites

Dashte tanhaai me e jaane jahan larzaan hain

teri awaaz ke saaye tere honthon ke saraab

dashte tanhaai me doori ke khass-o-khaak tale

khil rahe hain tere pehloo ke suman aur gulaab

Uth rahi hai kahin qurbatt me teri saans ki aanch

apni khushboo me sulagti huyi maddham maddham

door ufaq paar chamakti huyi qatraa qatraa

gir rahi hai dildaar teri nazar ki shabnam

Is qadarr pyaar se e jaane jahan rakha hai

dil ke rukhsaar pe is waqt teri yaad ne haath

yun gumaa hota hai garcha hai abhi subha-e-firaaq

dhal gaya hijr ka din aa bhi gayi wasal ki raat

Share this post


Link to post
Share on other sites

bohat khoob amaya...last one bht hi dukhii hai bt i like it...

Share this post


Link to post
Share on other sites

Mayoos mat hona yeh aik gunnah hota hai

Milta wahi hai jo qismat main likha hota hai

Har cheez miley humain yeh zaroori tou nahi

Kuch cheezon ka zikar doosre jahan main hota hai

Jo khud ko kostey hain woh shayed bekhabar hain

Kuch paalene ka ikhtiyar khud pe bhi hota hai

Har aik ko barsar-e-ilzam kiun thehrayein hum

Apne samne bhi tou aik ayeena hota hai

Hum apni zindagi se kiun haar jayein

Agar doobta hai sooraj tou kal bhi ujala hota hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kuch door humarey saath chalo

Hum dil ki kahani keh deinge

Samjhe na tum jisey aankhon se

Wo baat zubaani keh deinge

Jo pyar kareinge jaanein ge

Har baat humari maanein ge

Jo jaley na hon khudh ulfat mein

Wo aag ko paani kehdein ge

Jab pyas jawan ho jaye gi

Ehsaas ki manzil paye gi

Khamosh rahein ge aur tumhein

Hum apni kahani kehdein ge

Is dil mein zara tum baitho to

Kuch haal humara poocho to

Hum saada dil hain mager

Har baat purani kehdein ge!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Jab pyas jawan ho jaye gi

Ehsaas ki manzil paye gi

.........................................................

Hmmmm bohat khoob... :yes:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Sohbat e yaad e raftgan kab tak

dekhyay gard e karwan kab tak

Zakhm aakhir ko bhar hi jayay ga

marham e harf e mehban kab tak

Tan pe kab tak hay khaak ka malboos

sar pe mehrab e aasman kab tak

Aao khirman ko khud jala dalen

minnat e barq e beaman kab tak

Koi maosam to khul kay utray bhi

dil ki basti dhuwan dhuwan kab tak

Woh yaqeen hay to mujh pe afsha ho

main rahon khud say badguman kab tak

Ham jarahat sarisht kia poochen

dast e aadaa mein hay kaman kab tak

Dard jismon ko chat letay hen

zalzalon say bachen makan kb tak

Ab kisi kay to ho raho Mohsin

daolat e dil ho raaigan kab tak

Share this post


Link to post
Share on other sites

hmmm....

------------------------------------------

mai asaib zdaa dar ka ghr ho mohsin..

jissay kha gai deemak ki trah dastak ki tamanna..

Share this post


Link to post
Share on other sites

میں شام یادوں کے جنگلوں میں گذارتا ہوں‘ کہ کچھ لکھوں گا

یہ شہر سارا ہی سو چکا ہے میں جاگتا ہوں کہ کچھ لکھوں گا

بہار رُت کے وہ خواب سارے جو میری پلکوں پہ آ سجے تھے!

وہ خواب آنکھوں میں جل چکے ہیں میں جل رہا ہوں کہ کچھ لکھوں گا

میں پچھلے موسم کی بارشوں کو پھر اپنی آنکھوں میں لا رہا ہوں!

کہ اب کے ساون کی رُت میں‘ میں بھی یہ سوچتا ہوں کہ کچھ لکھوں گا

عجیب رُت ہے جدائیوں کی‘ عذاب دن ہیں عذاب راتیں

میں چند مہمل سے لفظ لکھ کر یہ سوچتا ہوں کہ کچھ لکھوں گا

میں لفظ پلکوں سے چن رہا ہوں‘ میں خواب کاغذ پہ بُن رہا ہوں

میں تیری آہٹ بھی سن رہا ہوں میں جانتا ہوں کہ کچھ لکھوں گا

وہ سارے رستے کہ جن پہ ہم تم چلے تھے چاہت کے سنگ

میں اب جو اُن پر کبھی گیا تو یہ جانتا ہوں کہ کچھ لکھوں گا

Share this post


Link to post
Share on other sites

Nice Collection Amaya. :yes::flower4u:

but still a complaint that y r u not getting regular. :wacko:

Share this post


Link to post
Share on other sites

emmmmmmm..thnks......

complaint.........hmmmmmmmmmmmm

Edited by Amaya

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ham tujh se kis havis ki falak justajuu kareN

Dil hi nahiiN rahaa hai jo kuchh aarazuu kareN

MiT jaayeN aik aan meiN kasarat namaiyaaN

Ham aayine ke saamne aa kar jo hoo kareN

Tar-daamani pe sheiKh hamaari na jaaiyo

Daaman nichoa.D deN to farishte vazoo kareN

Sar taa qadam zubaaN hai jooN sham'a go ke ham

Par ye kahaaN majaal jo kuchh guftagoo kareN

Har chaNd aayina hooN par itana nahiN qabool

mooNh phair le vo jiske mujhe roo-ba-roo kareN

Ney gul ko hai sabaat ney ham ko hai aitabaar

Kis baat par chaman havis-e-rang-o-boo kareN

Hai apni ye salaah ke sab zahidaan-e-shehr

Ai Dard aa ke bait-e-dast-e-sabuu kareN

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.