Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
Amaya

Amaya's Collection...

Recommended Posts

Kuch Itni Roshni Main Thay Chehron Kay Aainay

Dil Us Ko Dhoondhta Tha Jisay Janta Na Tha

Kuch Log Sharamsaar KHUDA Janay Kyun Howay

Apnay Siwa Hamay Tu Kese Say Gila Na Tha

Har Qdam Utha Tha Naye Mousamo Kay Saath

Wo Jo Sanam Tarash Tha Bohat Pojta Na Tha

Jis Dar Say Dil Ko Zouq -e- Ebadat Ata Howa

Us Aastan -e- Shauq Per Sajda Rawa Na Tha

Aandhi Main Barg -e- Gul Ke Zabaan Say Ada Howa

Wo Raaz Jo Kese Say Abhi Tak Kaha Na Tha

Nyc Amaya :flower4u:

Share this post


Link to post
Share on other sites

KABHI ISHQ HO TO PATA CHALAY.

One of my most fav. :flower4u::flower4u::flower4u:

Share this post


Link to post
Share on other sites

340538qvnmf56dp7.jpg

Aflaak say baala hai kisi dar ka nehi hai

Rishtaa mera tum say jo hai pal bhar ka nehi hai

Pighley ga na mere zabt say ghaabraa kay sitamgar

Insaan hai woh bhi koi pathar ka nehi hai

Woh chaak jigar rakh kay yoon kehty hain k dilbar

Yeh kaam tere jeisey rafuuGarR ka nehi hai

Dunia ko badalney ki naii ho koi tarkeeb

Aye Eihl e janoon waqt yeh ab daar ka nehi hai

Dunia jo kehti hai kehye meri balaa say

Aalam toh abi mere barabar ka nehi hai..!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

340538qvnmf56dp7.jpg

Aflaak say baala hai kisi dar ka nehi hai

Rishtaa mera tum say jo hai pal bhar ka nehi hai

Pighley ga na mere zabt say ghaabraa kay sitamgar

Insaan hai woh bhi koi pathar ka nehi hai

Woh chaak jigar rakh kay yoon kehty hain k dilbar

Yeh kaam tere jeisey rafuuGarR ka nehi hai

Dunia ko badalney ki naii ho koi tarkeeb

Aye Eihl e janoon waqt yeh ab daar ka nehi hai

Dunia jo kehti hai kehye meri balaa say

Aalam toh abi mere barabar ka nehi hai..!!!

Nyc One Amaya 

Share this post


Link to post
Share on other sites

December lauT aaya hai

tumhaare lauT aane ki

naii ummeed jaagi hai

abhi pichhle baras tum ne

mire seene pe sar rakh kar

haya se muNh chhupaaya tha

abhi pichhle baras hi to

Deceber ke maheene meiN

tumheiN baaNhoN meiN thaama tha

magar april aane tak

tumhaari jheel aaNkhoN meiN

naya sapna samaaya tha

Maray chhoTe se aaNgan meiN

tumheiN vehshat si hoti thi

mujhe tum ne bataaya tha

"kisi ki qaid meiN rehna

mujhe achchha naheeN lagta

maiN ik aazaad panchhi hooN"

suna hai phir se tanha ho

sitambar ke maheene se

bohat khaamosh rehti ho

k jis ko tum ne chaaha tha

vafa ke naam se us ko

bohat vehshat si hoti thi

voh ik aazaad panchhi tha

kisi ki qed meiN rehna

usay achchha na lagta tha

suna hai mere aaNgan ki

tumheiN ab yaad aati hai

suna hai tum pashemaaN ho

Share this post


Link to post
Share on other sites

December lauT aaya hai

tumhaare lauT aane ki

naii ummeed jaagi hai

abhi pichhle baras tum ne

mire seene pe sar rakh kar

haya se muNh chhupaaya tha

abhi pichhle baras hi to

Deceber ke maheene meiN

tumheiN baaNhoN meiN thaama tha

magar april aane tak

tumhaari jheel aaNkhoN meiN

naya sapna samaaya tha

Maray chhoTe se aaNgan meiN

tumheiN vehshat si hoti thi

mujhe tum ne bataaya tha

"kisi ki qaid meiN rehna

mujhe achchha naheeN lagta

maiN ik aazaad panchhi hooN"

suna hai phir se tanha ho

sitambar ke maheene se

bohat khaamosh rehti ho

k jis ko tum ne chaaha tha

vafa ke naam se us ko

bohat vehshat si hoti thi

voh ik aazaad panchhi tha

kisi ki qed meiN rehna

usay achchha na lagta tha

suna hai mere aaNgan ki

tumheiN ab yaad aati hai

suna hai tum pashemaaN ho

nice amaya& wb

Share this post


Link to post
Share on other sites

Wisaal-O-Hijr Mein

Ya Khwab Se Mahroom Aankhon Mein

Kisi Ahd-E-Rifaqat Mein

Ke Tanhai Ke Jangal Mein

Khyal-E-Khal-O-Khad Ki Roshani Ke Gahre Baadal Mein

Chamkti Dhoop Me Ya Phir

Kisi Be Abr Saye Mein

Kahin Baarish Me Bhige Jism-O-Jaan Ke Nasrparon Mein

Kahin Hoton Pe Shairon Ki Mahaktie Aabsharon Mein

Chiraghon Se Saji Shaamon Mein

Ya Benoor Raaton Mein

Sahr Ho Runuma Jaise Kahin Baaton Hi Baaton Mein

Koi Lipta Hua Ho Jis Tarah

Sandal Ki Khushboo Mein

Kahin Pe Titliyon Ke Rang Tasweeren Bana Te Hon

Kahin Pe Jugnuon Ki Muthiyon Me Roshani Khud Ko Chupati Ho

Kahin Kaisa Hi Manzar Ho

Kahin Kaisa Hi Mausam Ho

Tere Saare Hawalon Ho

Teri Saari Misalon Ko

Mohabbat Yaad Rakhti Hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

Suno Qismat Say Larney Ki

Kabhi Koshish Nahin Kartey

Muqadar Jab Mukhalif Ho

Duaaein Be-asar Jaaein

Sabhi Manzar Bikhar Jaaein

…Tu Aisey Mein Baghawat Ki

Kabhi Koshish Nahin Kartey

Kisi Ke Saath Chalney Ki

Kisi Ke Dil Mein Basney Ki

Kabhi Khwahish Nahin Kartey

Kisi Eik Shakhs Ki Khaatir

Sabhi Say Door Ho Jaana

Kahan Ki Ye Muhabbat Hai?

Muhabbat Ye Nahin Hoti

Muhabbat Dil Mein Hoti Hai

Muhabbat Aks Hai Rab Ka

Kabhi Ye Mar Nahin Sakti

Humeisha Saath Rehti Hai

Humeisha Saath Chalti Hai

Miley Jo Humsafar Tum Ko

Ussi Ke Saath Chalna Tum

Ussey Dharrkan Bana Lena

Ussey Dil Mein Basa Lena

Magar Qismat Say Larney Ki

Lakeeron Say Ulajhney Ki

Kabhi Koshish Nahin Kartey

Kabhi Koshish Nahi Kartey… !

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hamaray Baad Chali Rasm-e-Dosti Keh Nahee..??

Hawa Ki Zadd mein Koi Shamaa Phir Jali Keh Nahee..!!

Bichhar kay Jab Bhi Milay Mujhse , Pochta Hay Woh Shaks..!

Ke In Dinoo Koi Taza Ghazal Howee Keh Nahee..??

Suna Hay Aam Thi Kal Shab Ko Chaand Ki Bakhshish...!!

Bujhey Gharoon Mein Bhi Uthri Hay Chandni keh Nahee..??

Nikal Kay Jiss sey Huwa Apna Dard Aawara...!!

Kisi Kay Dil Mein Woh Mehfil Bhi Phir Saji Keh Nahee..??

Woh Reh-guzar Jo Andheroon Mein Saans Leti Thi..!!

Tumharay Naqsh-e-Qadam Say Chamak Utthi Kay Nahee..??

Diyaar-e-Hijar Say Aye Hoo Kuch Kaho Mohsin..!!

Keh Shaam-e-Ghum Bhi Kisi Morr Par Mili Keh Nahee...???

Share this post


Link to post
Share on other sites

ستاروں سے بھرا یہ آسماں کیسا لگے گا

ہمارے بعد تم کو یہ جہاں کیسا لگے گا

تھکے ہارے ہوئے سورج کی بھیگی روشنی میں

ہواؤں سے الجھتا بادباں کیسا لگے گا

جمے قدموں کے نیچے سے پھسلتی جائے گی ریت

بکھر جائے گی جب عُمرِ رواں کیسا لگے گا

اسی مٹی میں مِل جائے گی پُونجی عُمر بھر کی

گرے گی جس گھڑی دیوارِ جاں کیسا لگے گا

بہت اِترا رہے ہو دل کی بازی جیتنے پر

زیاں بعد از زیاں بعد از زیاں کیسا لگے گا

وہ جس کے بعد ہو گی اک مسلسل بے نیازی

گھڑی بھر کا وہ سب شور و فغاں کیسا لگے گا

ابھی سے کیا بتائیں مرگِ مجنوں کی خبر پر

سلوکِ کُوچہء نامہرباں کیسا لگے گا

بتاؤ تو سہی اے جانِ جاں کیسا لگے گا

ستاروں سے بھرا یہ آسماں کیسا لگے گا

Share this post


Link to post
Share on other sites

Wusat-e-khwab ki duniya se nikal kar dekhun

Neend toote to koi aur bhi manzar dekhun

Wo mujhe aur kisi ka nahi hone deta

Ek chehra hai jise khwab men aksar dekhun

Jab bhi dil men kabhi parwaaz ki khwahish jaage

Raah roke hue ik shakhs ko darr par dekhun

Jin parindon ne kayi baar falak ko chuma

Kya qayamat hai qafas men unhe be-par dekhun

Men akele bhi akele nahi hota hargiz

Kitne chehre hain jinhen zehen ke andar dekhun

Kaash ik baar to us aashna surat ko Zia

Furqat-o-vasl ki had se bhi nikal kar dekhun

Share this post


Link to post
Share on other sites

کسی ترنگ ،کسی سر خوشی میں رہتا تھا

یہ کل کی بات ہے، دل زندگی میں رہتا تھا

کہ جیسے چاند کے چہرے پہ آفتاب کی لو

کھلا کہ میں بھی کسی روشنی میں رہتا تھا

کہا یہ کس نے کہ رہتا تھا میں زمانے میں

ہجوم ِ درد ، غم ِ بے کسی میں رہتا تھا

کلام کرتا تھا قوس ِ قزح کے رنگوں میں

وہ اک خیال تھا اور شاعری میں رہتا تھا

گلوں پہ ڈولتا پھرتا تھا اوس کی صورت!

صدا کی لہر تھا اور نغمگی میں رہتا تھا

نہیں تھی حسن ِنظر کی بھی کچھ اسے پرواہ

وہ ایک ایسی عجب دلکشی میں رہتا تھا

وہاں پہ اب بھی ستارے طواف کرتے ہیں

وہ جس مکان میں، جس بھی گلی میں رہتا تھا

بس ایک شام بڑی خامشی سے ٹوٹ گیا

ہمیں جو مان ، تیری دوستی میں رہتا تھا

کِھلا جو پھول تو برباد ہوگیا امجد

طلسم ِ رنگ مگر غنچگی میں رہتا تھا

امجد اسلام امجد

Share this post


Link to post
Share on other sites

خُوشبو کی طرح ساتھ لگا لے گئی ہم کو

کُوچے سے ترے بادِ صبا لے گئی ہم کو

پتھر تھے کہ گوہر تھے، اب اس بات کا کیا ذکر

اِک موج بہر حال، بہا لے گئی ہم کو

پھر چھوڑ دیا ریگِ سرِ راہ سمجھ کر

کچھ دُور تو موسم کی ہوا لے گئی ہم کو

تم کیسے گرے آندھی میں چھتنار درختو؟

ہم لوگ تو پتّے تھے، اُڑا لے گئی ہم کو

ہم کون شناور تھے کہ یُوں پار اُترتے

سُوکھے ہوئے ہونٹوں کی دُعا لے گئی ہم کو

اِس شہر میں غارت گرِ ایماں تو بہت تھے

کچھ گھر کی شرافت ہی بچا لے گئی ہم کو

Share this post


Link to post
Share on other sites

GHAZAL

Main tumharay aks ki aarzoo mein bass aayina hi bani rahi

Kabhi tum na samnay aa sakay, kabhi mujh pay gard pari rahi

Woh ajeeb shaam thi,aaj tak meray dil mein uss ka malal hai

Meri tarah jo teri muntazir, teray rastay mein khari rahi

Kabhi waqf-e-hijr main ho gaei,kabhi khwab-e-wasl mein kho gaei

Main faqeer-e-ishq bani rahi, main aseer-e-yaad huwi rahi

Bari khamshi say sarak kay phir meray dil kay gird lipat gaei

Woh rida-e-abr-e-sfed jo sar-e-kohsar tani rahi

Huwi uss say jabb meri baat bhi,thi shareek-e-dard woh zaat bhi

To na janay kon si cheez ki meri zindgi mein kami rahi

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.