Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
Sweetoo

Tumhi Milte Tou Accha Tha..

Recommended Posts

Tumhi milte tou accha tha......!

Jahan pholoon ko khilna tha wahin khilte tou accha tha

Tumhi ko hum ne chaha tha tumhi milte tou accha tha

Koi ager hamien pooche tumhain kaise bhulaya hai

Tumhare khat ko ashkoon se shab-e-gham me jalaya hai

Hazaroon zakhm aise hain ager sulagtey tou accha tha

Tumhi ko hum ne chaha tha tumhi milte tou accha tha

Tumhain jitna bhulaya tha utne yaad aaye hai

Bahare no jo aaye hai wohi khushboo hi layee hai

Tumhare lab merey khatir ager hilte tou accha tha

Tumhi milte tou accha tha

Jahan pholoon ko khilna tha wahin khilte tou accha tha

Tumhi ko hum ne chaha tha tumhi milte tou accha tha

Share this post


Link to post
Share on other sites

my favourit one :) .. simple & soft wording .:star:..i think yeh Saad Ali shah ki hay ..!

nice collection :yes:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ji haan aap ne sahi guess kia hai k yeh poem Saad Ali shah ki hay ..

waisey yeh merey bhi fav hai.

aap ki bhi tou hone he the kiunke hamare choice jo aik hai... ;)

sweetoo

Share this post


Link to post
Share on other sites

Yeh sach hai un se nigahain kabhi mila na sakay

hum un ki yaad ko lekin kabhi bhula na sakay

Woh khush naseeb sahi,tujh se jo qareeb hain

hum budnaseeb hain jo ghum se dur jaa na sakay

Chah ker chandni bhi us husn ko pohanch na sakee

nikhar ke phool bhi us ka shabaab laa na sakay

Qaid-e-ghum main bhi yeh aansu khushi ke qasid hain

jo un ke deedar ke doraan hum chuppa na sakay

Hazar Gardish-e-doraan ke saath khail chukkay

magar tumharee nazar ka mizaaj paa na sakay

jhijik jhijik ker nazar un ke dil tak aa pohanchii

yeh woh safar hai ke manzil jise bhula na sakay

Masroof tha mulaqaat main magar

yeh maslihat thi ke hum donoon muskura na sakay

Share this post


Link to post
Share on other sites

maqsade_e_hayat ki taqmeel ho jay

ger ik baar yeh kaho k tum meray ho :hi:

Share this post


Link to post
Share on other sites

sweetoo > lolzzz yeh to main bhool gayee thee ;) .. waysay mujhay hayrat hay main to samjhee thee app ko poetry main itnrust nahi ho ga per yahan to mashallah :D

nice poetry mhn & umair :)

Share this post


Link to post
Share on other sites

SALAM,

NICE MHN ,UMAIR,SWEETOOO

KISI HURF KISI BAB MAIN NAHIN AAYE GA,

TERA ZIKER MERI KITAB MAIN NAHIN AAYE GA,

TERI RAH TAKTE RAHE AGARCHA KHABAR BHI THI,

KE YEH DIN BHI TERE HISAB MAIN NAHIN AAYE GA.

Share this post


Link to post
Share on other sites

very nice RUBY_4u,umair.zm and mein_ hoon_ na :yes:

:D well rukh ab tou pata chal gaya na mujhe poetry mien intrest hai.

yeh alag baat hai k itnaa nahin tha jitna yahan posts karne k baad ho gaya hai :lol:

Accha one more from me

Judayee dene wale tum se umeede wafa kaise??

taaluq tout jayee jab

Mohabbat roth jayee jab

Tou phir rasm-e- duaa kaise?

Millan ki iltaja kaise?

Bhanwar mien dolte kashtee p sahil ki tamana kaise?

Ukhatre saanz hoon tou zindagi ki arzoo bhi kya?

Jo manzil kho chuke ho uss ki phirr se justajuu bhi kiun?

Razayee dost per ab accha......Sir-e-tasleem kham karna

siskna se yehi behtr hai na umeed hi marna

Sweetoo

Share this post


Link to post
Share on other sites

SALAM,

HMMM SWEETOO VERY NICE ZABAR10

KASH TUMHEN DEKHA NA HOTA!

KASH TUMHEN DEKHA NA HOTA

DIL MAIN GHAM KE PHOOL NA KHILTE

HOTOON PER FARYAD NA HOTI

TANHAYI KE DARD NA MILTE

APNI HASTI BAR NA HOTI

MARNE KA ARMAN NA HOTA

SANS BHI EK TALVAR NA HOTI

KASH TUMHEN DEKHA NA HOTA

AJ ITNE MAJBOOR NA HOTE

SAB LOGON SE ULFAT KERTE

AUR KHUDA SE DURR NA HOTE

KASH TUMHEN NA DEKHA HOTA!!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

acche selection hai sub ki

nafratain bhi us say hain

muhabtain bhi us say hain

yeh dil kay mamlay bhi hova kartay hain ajeeb

na tot kar juray na jur kar totay

yeh qurbaton kay faslay bhi hova kartay hain ajeeb

na khushyan kabhi paye na chahtain kabhi paye

yeh hasraton kay alao bhi hova kartay hain ajeeb

usay dekhon to na chahon na dekhon to chahay jaon

yeh dil kay faislay bhi hova kartay hain ajeeb

wo milay to na milon

wo na milay to milnay ki justujon karon

yeh muhabton kay imtihan bhi hova kartay hain ajeeb

Share this post


Link to post
Share on other sites

very nice RUBY_4u and rosh :yes::star:

Hai duaa megar harfe duaa yaad nahin

merey naghmat ko andaaze nawa yaad nahin

mien ne palkoon se diryaar p dastak de hai

mien woh saaill hoon jise koi sada yaad nahin

mien ne jin k liyee rahoon mien bichayaa tha lahoo

hum se kehte hain wohi ehde wafa yaad nahin

sirf dhundlayee sitaroon ki chamak dekhi hai

kab hua? kon hua? kis se khafa yaad nahin

zindagi jabre musalsal ki tarah katee hai

jaane kis jurm ki payee hai saza yaad nahin

Aao aik sajda karien alme madhooshi mien

log kehte hain k saghir ko Khuda yaad nahin..!

Saghir saddique

Share this post


Link to post
Share on other sites

nice one sweto ..khas tor pper is kay alfaz bohat umda hain ..:star:

ruby > nce collection :yes:

tumhain jub kabhi millian fursatain meray dil say bojh utar do

main bohat dinnoo sau udas hoon mujhay koi sham udhar do

mujhay apnay roop ki dhoop do kay chamk sakian maray khalokhad

mujhay pany rang main rang do meray sary zang utar do

kisi or ko mere haal say na gherz hay na koi wasta

main bikher gya hoon samayt lo main bigger gaya hoon sanwar do

mere wehshatoon ko berha diy hay judaiyoon kay azab nay

meray dil per hath rakho zara mere dherkanoo ko qarar do

tumhain subha lagee kaysee kaho meray khuahisoon kay dayar ki

jo bhalee lagee to yahenn raho isay chahtoon say nikhar do

wahan gher main kon hay muntazir kay fikker ho dair sawair ki

bare muaktasir see yeh rat hay isee chandne main guzar do

koi bat kerne hay chand say kisi shaksar ki oot main

mujhay rastay main yaheen kaheen kisi kunj gul main utar do

aitbar sajid

Share this post


Link to post
Share on other sites

sweeto, ruby n rukh :hi: no nice colection all :hi: n thanx :)

mhn >> thanx buddy :)

do din ki zindagi ka maza hum se poochiyee

"ek pal mein ek sadi ka maza hum se poochiye

do din ki zindagi ka maza hum se poochiyee

bhole hain rafta rafta inhien muddatoo mein hum

kistoon mein khudkushi ka maza hum se poochiyee

aghaaz ashiqi ka maza ap janiyee

anjaam ashiqi ka maza hum se poochiyee

hansne ka shok hum ko bhi tha ap ki tarah

hansyee magarhansi ka maza hum se poochiyee

woh jan hi gaye ke hume un se pyar hai

ankhoon ki mukhbari ka maza hum se poochiyee

jalte diyoon mein jalte gharoon jaisi zoo kahan

sarkaar roshni ka maza hum se poochiyee

hum toba karke mar gaye kabal ajal khumaar

tuheen e maykashi ka maza hum se poochiyee

Share this post


Link to post
Share on other sites

thanx rukh and nice post :hi:

very nice umair.zm :yes:

kisse ko manaoon yeh jee chahta hai

hansoon aur hansaon yeh jee chahta hai

sire rah aanchal woh rukh se hata dien

k phir zakham khaon yeh jee chahta hai

mujhe jaam aisa nazar se pilla de

ghamoon ko bhulaoon yeh jee chahta hai

k ab bin tumhare basr kaise ho ge

mien un ko sunaoon yeh jee chahta hai

tabahi ka ehsaas apne dilla ker

unhain azmaon yeh jee chahta hai

baharoon ka mausam mujhe raas aaye

mien ghunche khilaon yeh jee chahta hai

mujhe un se ulfat huee ja rahe hai

mien un ko bataon yeh jee chahta hai

ujaale akhuwat k phelein jahan mien

dia woh jalaon yeh jee chahta hai

diya dars ulfat ka Iqbal tum ne

jahan ko sunaoon yeh jee chahta hai.

Sweetoo

Share this post


Link to post
Share on other sites

sweeto jie app ka jee bohut acha chahita hia :lol: so nice posting :yes:

" (bhool)

kahan main kahan sath taira

mairee soch kitni fazool thi

mujhay muaaf ker mairay humsafar,

tujhay chahna mairee bhool thi

main nay khud ko khud hi mita diya,

jo hisaab tha woh chuka diya

jo bhuree gaee mairee mang main

woh tairay kadmoon ki dhool thi

na kabhi zubaan say shikwa kiya

pass_e_purda baith ker ro liya

zara daikh aa ker o sungdil

tairee bayrukhee bhi kabool thi.

Share this post


Link to post
Share on other sites

salam,

very nice umair bohot bohot aachi lagi

*aee! Kash tu bhi sunta kabhi ah-haton ki gunj

tu bhi meri tarhan se kabhi dhoonta mujhe

Share this post


Link to post
Share on other sites

Koi bina pooche

meri yadon main sama jaata hai

gar yehi hai muhabbat

to haan! Woh mera mehboob hai

Uske honton se

Kahi jaane waali her baat

Sachi lagti hai

Gar yehi hai aitmaad

To haan! Mujhe usper aitbaar hai

Koi bhi baat jo

Usse munsalik ho jaye

Achi lagti hai

Gar yehi hai ulfat

To haan! mujhe usse pyaar hai

Har shakhs se

Jo usse jaanta bhi na ho

Uske bare main poochhna

Gar yehi hai deewaangi

To haan! main uske liye paagal hoon

Wo jo paas aaye to

Dil dharrakta hai

Aur paaas jaane to ji machalta hai

Gar yehi hai nasha

To haan! mujh per uska khumaar hai

Usse meelon durr rehna

Phir bhi her waqt

woh mere paas hai aisa lagna

gar yehi hai chaahat

to haan! main ussi ko chahti hoon

Share this post


Link to post
Share on other sites

thanx ruby :hi: nice shair :)

mhn >> nice posting yara :yes:

Iqraar

"Koi bina pooche

meri yadon main sama jaata hai

gar yehi hai muhabbat

to haan! Woh mera mehboob hai

Uske honton se

Kahi jaane waali her baat

Sachi lagti hai

Gar yehi hai aitmaad

To haan! Mujhe usper aitbaar hai

Koi bhi baat jo

Usse munsalik ho jaye

Achi lagti hai

Gar yehi hai ulfat

To haan! mujhe usse pyaar hai

Har shakhs se

Jo usse jaanta bhi na ho

Uske bare main poochhna

Gar yehi hai deewaangi

To haan! main uske liye paagal hoon

Wo jo paas aaye to

Dil dharrakta hai

Aur paaas jaane to ji machalta hai

Gar yehi hai nasha

To haan! mujh per uska khumaar hai

Usse meelon durr rehna

Phir bhi her waqt

woh mere paas hai aisa lagna

gar yehi hai chaahat

to haan! main ussi ko chahta hoon

:)

Share this post


Link to post
Share on other sites

very nice umair.zm,mhn and ruby :yes::hello:

Mohabbat..!

jab se wapis aaya hai

tou kuch badla lagta hai

sochoon ki dehleez per

terey yaad ka pehra hai

koi ansoon palkoon tak

aa ker bhi ruk jaata hai

merey baad karo ge kya?

aaj yeh us ne pooch hai

aaj hi marna thehra tha

aaj he us ne roka hai

khawab sajaana aankhoon mien

jeevan bhar ka dhoka hai..!

saath chalo ge manzil tak

tum ne phir kya socha hai

haath machienoon k andar

ankh mien tera chehra hai.

Sweetoo.

Share this post


Link to post
Share on other sites

thanx sweeto :hi: so nice colecton urs too :yes:

KarooN MaiN YaaD

"Karoon Main Yaad Magar,Kis Tarhan Bholaaon Usay

Ghazal banaya Karoon Or Gungunaaon Usay

Wo khaar khaar Hai Shakh-e-Gulab Ki Manind

Main Zakham Zakham Hoon,Phir Bhi Galay Lagaaon Usay

Ye Log Tazkiray Kartay Hain Apnay Logon Kai

Main Kaise Baat Karoon Or Kahan Se Laaon Usay

Jo Hamsafar Sar-e-Manzil Bichar Raha Hai..FaraZ!

Ajab Nahi Hai Agar Yaad Bhi Na Aaon Usay

Jab Se Tumhari Yaad Main,Main Gumm Ho chuka Hoon

Main Abb Main Nahi Raha , Tumm Ho Chuka Hoon

Share this post


Link to post
Share on other sites

salam,

very nice umair ,mhn,sweetoo :yes::yes::yes:

Tab yaad bohot tum aate ho

Jab raat ki nagan dastee hai

Nas nas main zehar utarta hai

Jab chand ki kirnee teezi se

Is dil ko cheer ke aate hain

Jab ankh ke under hi ansoo

Zanjeeroon main bandh jate hain

Sab jazboon per chaa jate hai

Tab yaad bohot tum aate ho

Jab dard ki jhanjer bajtee hai

Jab raks ghamoo ka hota hai

Khowaboon ki taal per sare dukh

Wehshat ke saaz bajatee hain

Gate hain khowahish ki le main

Masti main jhoomte jate hain

Sab jazboon per chaa jate hain

Tab yaad bohot tum aate ho

Tab yaad bohot tum aate ho

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.