anabia 3 Posted February 28, 2010 Pal bhar mein tamam umer ki sochein badal jati hain jin rahon per chaltey hain wohi, rahein badal jati hain karney ko kia nahi kartey log muhabbat mein sirf hamarey liye hi kyun? rasmein badal jati hain woh aisa hai k us ka naam sunney k tasawwur say hi hamari tamaam tar sAatein badal jati hain sochti hoon jane kaise? kah paoon ghi main us say milti hoon to dil ki sari batein badal jati hain chahe "Manzil" "Dushwar" ho aur "Duur" bhi humsafer us jaisa ho to musaftein badal jati hain yun to "Raat" ka alam haseen hota hai, madhosh bhi magar"chand" dekhoon to meri ratein badal jati hain mat chaho, k mujhe aadat nahi itna chahne walon ki yeh na ho log kahein, jald hi adatein badal jati hain Share this post Link to post Share on other sites