Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
anaas

Ek Shair.ghzal Daily Jano Kay Name

Recommended Posts

~*~Aaj ki Rat bhi mumkin hai So na Paon main..."""

'

'

~*~Yad phir aaye hain Neendon ko Uranay Walay.... :sleeping:

Share this post


Link to post
Share on other sites

~*~Aaj ki Rat bhi mumkin hai So na Paon main..."""

'

'

~*~Yad phir aaye hain Neendon ko Uranay Walay.... sleeping.gif

SO ja k ishq-e-Mohabbat hai saza....

Share this post


Link to post
Share on other sites

Mujh main khushbo basi usi ki hai

jese ye zindagi usi ki hai

wo kahin *** pass hai mere

Ho na ho ye hansi usi ki hai

Abb to ye khuwab bhi nahi mere

Abb to nend bhi usi ki hai

yun to koi kami nahi mujh main

ya phir mujh main kami usi ki hai....

ﺭﻫﺑ ﺕﺍﺭ ﯽﻫﺭ ﯽﺗﺁ ﺩﺎﻳ ﯽﮐ ﭖﺁ

Share this post


Link to post
Share on other sites

Mujhe Maloom Hai Mera Muqadar Tum Nahin lekin

Meri taqdeer Se Chup Kar Mujhe Ik Baar Mil Jaao!!!!

LOVE IS PAIN

Edited by anus

Share this post


Link to post
Share on other sites

Koi To Surat Ho Milnay Ki Meray Sajan

Baton Se Ab Dil Ko Behlaya Nahi Jata

JinKi Muhabbat Mein Mahtab Howay Ruswa

Ahd e Wafa Un Say Nibhaya Nahi Jata

Share this post


Link to post
Share on other sites

“Dard Mein Bhi Ab Hum Hasna Seekh Gaye

Kaisi Mohabbat Hai Jo Hum Hasna Bhool Gaye

Pehle Rulate Ho Phir Hansate Ho Kis Liye

Kaisi Mohabbat Hai Jo Hum Hasna Bhool Gaye

Dard Badh Gaya Hai Jalan Bankar Humare Liye

Kaisi Mohabbat Hai Jo Hum Hasna Bhool Gaye

Ghamon Ko Na Bhula Paaye Yeh Kaise Dard Mile

Kuchh Haseen Palon Ko Yaad Karke Hasna Bhool Gaye

Saamne Hote Ho Tum Phir Kuchh Na Kaho Mere Liye

Har Pal Jo Khilta Tha Chehara Usse

Hum Pahchan.Na Bhool Gaye

Khwaabon Mein Aakar Jo Neend Chura Gaye

Ab Mera Hosh Aur Meri Saason Ko Bhi Le Gaye

Aur Kya Rakha Hai Ab Iss Zindagi Ke Liye

Tum Bhi Humen Dard Mein Hi Rukhsat Kar Gaye

Zulm Na Ho Iss Zindagi Pe Ye Sandesh Le Aaye

ﺭﻫﺑ ﺕﺍﺭ ﯽﻫﺭ ﯽﺗﺁ ﺩﺎﻳ ﯽﮐ ﭖﺁ

Share this post


Link to post
Share on other sites

Wo Dil Mein Basa Kuch Istarha,

Mein Sari Dunya Bhulati Rahi,

Har Sans Mein Uski Khushbo Ati Rahi,

Mein Pal Pal Dil Ko Behlati Rahi,

Kabhi Hans Kar Kabhi Ro Kar,

Mein Mohabbat Ki Galiyon Ko Sajati Rahi,

Har Raat Chand Ko Takti Rahi,

Har Ghari Uska Intezar Karti Rahi,

Har Khushi Mile Usay Zindagi Mein,

Har Pal Ye Dua Karti Rahi,

Na Miley Koi Gham Usay,

Khud Aanhein Bhar Kar Roti Rahi,

Har Din Mein Usko Chahti Rahi,

Har Pal Uski Yaad Ati Rahi,

Har Raat Ko Wo Yaad Ata Raha,

Har Raat Meri Yun Sulagti Rahi,

Kuch Khoyi Uski Baaton Mein Istarha,

Bus Usi Ki Awaz Ko Sunti Rahi,

Usay Har Pal Yaad Rakhnay K Liye,

Bus Usi K Gun Gaati Rahi,

Gumm Huii Us CHAND Mein Yun,

Har Simt Usi Ki Surat Dekhti Rahi,

Bus Kati Meri Zindagi Istarha,

Mein Usi Ki Khatir Jeeti Rahi,

Wo DIL Mein Basa Kuch Istarha,

Mein Sari Dunya Bhulate Rahi……

LOVE IS PAIN

Share this post


Link to post
Share on other sites

suna hoga bohat tum ne ….

kahin aankhon ki rim jhim ka

kahin palkon ki shabnam ka…

parha hoga bohat tumne ….

kahiN lehjay ki barish ka

kahiN sagar ke aansoo ka…

magar tum ne kabhi humdam …

kahin daikhay? kahin parkhay?

kisi tehreer ke aansoo??…!!

mujhe teri judaai ne …

yehi mairaaj bakhshi hai…

ke main jo lafz likhta hooN …

woh saray lafz rotay hain

ke main jo harf bunta hooN …

woh saray bain kartay hain

mere sang is judaai main …

mere alfaz martay hain

sabhi tareef kartay hain …

meri tehreer ki lekin..

kabhi koi nahin sunta …

mere alfaz ki siski…

falak bhi jo hila daalay..

mere lafzoN main hain shamil … :crying:

usi taseer ke aansoo…

kabhi daikho mere humdam…

meri tehreer ke aansoo..!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

ke main jo lafz likhta hooN …

woh saray lafz rotay hain

ke main jo harf bunta hooN …

woh saray bain kartay hain

:clap: anus je kia hoi gaya hay aj :crying::crying:

Share this post


Link to post
Share on other sites

suna hoga bohat tum ne ….

kahin aankhon ki rim jhim ka

kahin palkon ki shabnam ka…

parha hoga bohat tumne ….

kahiN lehjay ki barish ka

kahiN sagar ke aansoo ka…

magar tum ne kabhi humdam …

kahin daikhay? kahin parkhay?

kisi tehreer ke aansoo??…!!

mujhe teri judaai ne …

yehi mairaaj bakhshi hai…

ke main jo lafz likhta hooN …

woh saray lafz rotay hain

ke main jo harf bunta hooN …

woh saray bain kartay hain

mere sang is judaai main …

mere alfaz martay hain

sabhi tareef kartay hain …

meri tehreer ki lekin..

kabhi koi nahin sunta …

mere alfaz ki siski…

falak bhi jo hila daalay..

mere lafzoN main hain shamil … crying.gif

usi taseer ke aansoo…

kabhi daikho mere humdam…

meri tehreer ke aansoo..!!!

wah dear ......bht khoob

Share this post


Link to post
Share on other sites

Very Nice anus

Edited by kamal

Share this post


Link to post
Share on other sites

Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do

Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do

Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin

Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do

Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko

Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do

Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai

Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do

Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum

Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh do

Share this post


Link to post
Share on other sites

Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do

Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do

Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin

Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do

Zuroori nahi ki mil jaaye sukoon har kisi ko

Sare-e-bazm na aao magar benaam hi likh do

Ye jaanta hoon ki umr bhar tanha mujhko rehna hai

Magar pal do pal, ghadi do ghadi, mere naam hi likh do

Chalo hum maan lete hai ke sazaa ke mustahiq thahre hum

Koyi enaam na likho koyi ilzaam hi likh do

Ankhon ki zuban wo samaj nahi pate

hoth magar kuch kahe nahi pate,,,,,,

apni bebasi kis tarah kahe hum,

koi he jiske bina hum reh nahi pate!!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kitni Azziyat Say Uss Ne Mujh Ko Bhulaaya Hoga

Meri Yadoon Ne Ussay Khoob Rulaaya Hoga

Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chhalkee Hogi

Uss Ne Chehre Ko Baazuon Main Chupaaya Hoga

Socha Ho Ga Uss Ne Din Main Kaee Baar Mujhay

Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaaya Hoga

Jahan Uss Nay Mera Zikkr Suna Hoga Kisi Say

Uss Ki Aankhon Main Koi Aansoo Tou Aaya Hoga

Raat Ke Bheetnay Tak Neend Na Aai Hogi Tujhay

Tunay Takkiye Ko Bhi Seenay Se Lagaaya Hoga

Hokay Nidhaal Meri Yadoon Se Tunay Jaana

Meri Tasveer Pe Sar Apna Tikaaya Hoga

Poocha Hoga Jo Kisi Ne Teri Halaat Ka Sabbab

Tu nay Baaton Main Khoob Uss Se Chupaaya Hoga

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kitni Azziyat Say Uss Ne Mujh Ko Bhulaaya Hoga

Meri Yadoon Ne Ussay Khoob Rulaaya Hoga

Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chhalkee Hogi

Uss Ne Chehre Ko Baazuon Main Chupaaya Hoga

Socha Ho Ga Uss Ne Din Main Kaee Baar Mujhay

Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh Kay Mitaaya Hoga

Jahan Uss Nay Mera Zikkr Suna Hoga Kisi Say

Uss Ki Aankhon Main Koi Aansoo Tou Aaya Hoga

Raat Ke Bheetnay Tak Neend Na Aai Hogi Tujhay

Tunay Takkiye Ko Bhi Seenay Se Lagaaya Hoga

Hokay Nidhaal Meri Yadoon Se Tunay Jaana

Meri Tasveer Pe Sar Apna Tikaaya Hoga

Poocha Hoga Jo Kisi Ne Teri Halaat Ka Sabbab

Tu nay Baaton Main Khoob Uss Se Chupaaya Hoga

wah wah wah ....kya likha hai meri aankhain khul gai yeh parh kay

post-19496-127359841523_thumb.jpg

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kaisay sukoon paaon tujhe dekhnay ke baad

Abb kyaa Ghazal sunaao tujhe dekhnay ke baad

Aawaaz dey rahii hai merii zindagii mujhe

Jaaon main yaa naa jaaon tujhe dekhnay ke baad

Kaabay kaa ehataraam bhii merii nazar main hai

Sar kis taraf jhukaaon tujhe dekhnay ke baad

Terii nigah-e-mast ne makhmoor kar diyaa

Kyaa maikaday ko jaaon tujhe dekhnay ke baad

Nazaron main taab-e-diid hii baaqii nahii rahii

Kis se nazar milaaon tujhe dekhnay ke baad

Edited by anus

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kaisay kaisay haadsay sehtay rahay

Hum yun hii jiite rahe hanstay rahay

Us ke aa jaanay kii ummiiden liye

Raastaa murr murr ke hum taktay rahay

Waqt to guzaraa magar kuchh is tarah

Hum chiraghon kii tarah jaltay rahay

Kitanay cheharay thay humaaray aas-paas

Tum hii tum dil main magar bastay rahay…!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

kabhii youn bhii to ho

dariyaa kaa saahil ho

poray chaand kii raat ho

"aur tum aao"

kabhi youn bhii to ho

pariyon kii mehfil ho

koii tumharii baat ho

"aur tum aao"

kabhii youn bhii to ho

ye narm mulaayam thandi hawaein

jab ghar say tumhaaray guzrein

tumhaarii Khushbuu churaayen

mere ghar lay aayen

kabhii youn bhii to ho

soonii har manzil ho

koii na meray saath ho

"aur tum aao"

kabhii youn bhii to ho

ye baadal aisaa toot ke barsay

mere dil kii tarah milnay ko

tumhaaraa dil bhii tarase

tum nikalo ghar se

kabhii youn bhii to ho

tanahaaii ho, dil ho

boondein hoon, barsaat ho

"aur tum aao"

"kabhii youn bhii to ho

Share this post


Link to post
Share on other sites

Yeh Nazam sun'nay k baad to usay ab aa hi jana chahiaey. :victory:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Tujhe izhaar-e-muhabbat se agar nafrat hai

Tuu ne honton ko larazne se to rokaa hotaa

Be-niyaazii se, magar kaanptii aavaaz ke saath

Tuu ne ghabraa ke miraa naam na puuchaa hotaa

Tere bas men thii agar mash’al-e-jazbaat kii lau

Tere rukhsaar men gulzaar na bharkaa hotaa

Yun to mujh se huii sirf aab-o-havaa ki baaten

Apne TooTe hue fiqron ko to parkhaa hotaa

Yuunhii be-waj’h Thithakney ki zaruurat kyaa thii

Dam-e-rukhsat main agar yaad na aayaa hotaa

Teraa ghammaz banaa khud tiraa andaaz-e-khiraam

Dil na sambhlaa, to qadmon ko sambhaala hota

Apne badle miree tasviir nazar aa jaati

Tuu ne us vaqt agar aaiinaa dekhaa hotaa

Hoaslaa tujh ko na thaa mujh se judaa hone kaa

varnaa kaajal tiree Aankhon men na phailaa hotaa

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kaisay kaisay haadsay sehtay rahay

Hum yun hii jiite rahe hanstay rahay

Us ke aa jaanay kii ummiiden liye

Raastaa murr murr ke hum taktay rahay

Waqt to guzaraa magar kuchh is tarah

Hum chiraghon kii tarah jaltay rahay

Kitanay cheharay thay humaaray aas-paas

Tum hii tum dil main magar bastay rahay…!!!

Zabardast..........................

Share this post


Link to post
Share on other sites

Tujhe izhaar-e-muhabbat se agar nafrat hai

Tuu ne honton ko larazne se to rokaa hotaa

Be-niyaazii se, magar kaanptii aavaaz ke saath

Tuu ne ghabraa ke miraa naam na puuchaa hotaa

Tere bas men thii agar mash'al-e-jazbaat kii lau

Tere rukhsaar men gulzaar na bharkaa hotaa

Yun to mujh se huii sirf aab-o-havaa ki baaten

Apne TooTe hue fiqron ko to parkhaa hotaa

Yuunhii be-waj'h Thithakney ki zaruurat kyaa thii

Dam-e-rukhsat main agar yaad na aayaa hotaa

Teraa ghammaz banaa khud tiraa andaaz-e-khiraam

Dil na sambhlaa, to qadmon ko sambhaala hota

Apne badle miree tasviir nazar aa jaati

Tuu ne us vaqt agar aaiinaa dekhaa hotaa

Hoaslaa tujh ko na thaa mujh se judaa hone kaa

varnaa kaajal tiree Aankhon men na phailaa hotaa

anus bht khoob......

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.