Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
anaas

Ek Shair.ghzal Daily Jano Kay Name

Recommended Posts

Mausam Bhi Badalty Rahey

Din Raat Bhi Badalty Rahey

Oo Bhoolny Waley Dekh Magar

Hum Badly Nhi Tery Piyaar Mein

Hum Rahein Bany Raho K Magar

Manzil Ka Thikana Na Mil Saka

Afsos Teri Duniya Mein Hamein

Jeeny Ka Bahana Na Mil Saka

Sahil Ki Tammanna Mein

Kashti Lo Doob Gye Manjhdar Mein

Ulfat Mein Teri Hum Ker K Wafa

Hein Khud Se Bohat Sharminda

Wado K Bharam Tooty Hain Magar

Hum Phir Bhi Jahan Mein Zinda Hein

Ye Zehr Judai Ka Yun Hi

Peety Hain Tery Sansar Mein

Hum Tum Sey Juda Ho Ker Bhi

Sanam Yado K Sahary Chaltey Hain

Jiwan Ki Andheri Rahon Mein

Sholo Mein Yun Hi Hum Jaltey Hain

Ashko K Ye Dharey Ankhon Se Behty Hain

Tery Deedar Mein Mausam Bhi Badaltey Hain

__________________

Share this post


Link to post
Share on other sites

Tere Naam Ki Thi Jo Roshni Use Khud Hi Tune Bujha Diya,

Na Jala Saki Jise Dhoop Use Chandni Ne Jala Diya,

Main Hoon Gardishon Mein Ghira Hua Mujhe Aap Apni Khabar Nahi,

Wo Jo Shakhs Tha Mera Rehnuma Use Raaston Mein Ganwa Diya,

Jise Tune Samjha RaQeeb Tha Wohi Shakhs Tera Naseeb Tha,

Tere Hath Ki Wo Lakeer Tha Use Haath Se Hi Mita Diya,

Mujhe IshQ Hai Ke Janoon Hai Abhi Faisla Hi Na Ho Saka,

Mera Naam Zeenat-E-Dasht Tha Mujhe Aandhiyon Ne Mita Diya,

Ye Udasiyon Ka Jamal Hai Ke Hamara Ooj-E-Kamal Hai,

Kabhi Zaat Se Bhi Chupa Liya Kabhi Sheher Bahr Ko Bata Diya,

Meir Umar Ka Abhi Gulistan Khula Hua Zaroor Hai,

Wo Phool Tha Teri Chah Ke Unhe Mausomone Ghira Diya...

Share this post


Link to post
Share on other sites

i6jc4h.gif

Mujhay Achha Sa Lagta Hai

Tum He Ko Dekhtay Rehna

Tum He Ko Chahatay Rehna

Tum He Ko Sochtay Rehna

Buhat Gehray Khayalon Main

Jawabon Main Sawalon Main

Mohabbat K Hawalon Main

Tumhara Naam Aa Jaana

Mujhay Achha Sa Lagta Hai

Tumharay Sang Sang Chalna

Wafa Ki Aagh Main Jalna

Tumhain Naraz Kar Dena

Kabhi Khud Rooth Bhi Jana

Tumhari Bay Rukhi Pay Bhi

Tumhari Aarzo Karna

Khud Apnay Dil Ki Dharkan Say

Tumhari Guftagu Karna

i6jc4h.gif

Mujhay Achha Sa Lagta Hai

Buhat Achhaaaaa...

Share this post


Link to post
Share on other sites

1g9at.gif

Kabhi Tum Milnay Aaoo Na

Tumhain Mehsoos Karna Hai

Tumhain Bahon Main Bharna Hai

Tumhari Zaat Main Kho Kar

Tumhara Hissa Banana Hai

Meri Veraan Aankhon Main

Tumhari Bikhri Baaton Main

Wafa Ka Rang Bharna Hai

Tumharay Phool Say Chehray Par

Udaasi Ka Jo Manzar Hai

Yahan Pay Apni Chahat Say

Hansi Ka Naksh Karna Hai

Tumharay Sath Mil K Zindagi Ki Jang Larni Hai

Kabhi Tum Milnay Aaoo Na

Tumhain Mehsoos Karna Hai

1g9at.gif

Share this post


Link to post
Share on other sites

99fhif.gif

Dil-O-Nazar Say Kuch Dair Bhi Juda Rakhon

Yeh Merey Bas Main Nahin K Tujhay Khafa Rakhon

Nahin Hai Kuch Bhi Merey Zehan Main Siwaye Is K

Main Teri Yaad Bhula Don, Tu Yaad Kia Rakhon

Kabhi Jo Mujh Say Koi Poch Lay Meri Marzi

Tu Apna Naam Mohabbat, Tera Wafa Rakhon

99fhif.gif

Share this post


Link to post
Share on other sites

سنو لڑکی۔۔!! 

میری مانو 

ابھی تم عشق مت کرنا 

ابھی گڑیا سے کھیلو تم

تمہاری عمر ہی کیا ھے 

فقط اٹھارہ برس کی ھو 

ابھی معصوم بچی ھو

نہیں معلوم تم کو ابھی 

کہ جب یہ عشق ھوتا ھے 

تو انسان کتنا روتا ھے 

ستارے ٹوٹ جاتے ھیں 

سہارے چھوٹ جاتے ھیں

ابھی تم نے نہیں دیکھا 

کہ جب ساتھی بچھڑتے ھیں 

تو کتنا درد ملتا ھے 

کہ ہر فرقت کے موسم میں 

ہزاروں غم ابھرتے ھیں 

ہزاروں زخم کھلتے ھیں

سنو لڑکی۔۔!! 

میری مانو 

پڑھائی پر توجہ دو

کتابوں میں گلابوں کو 

کبھی بھولے سے مت رکھنا 

کتابیں جب بھی کھولو گی 

یہ کانٹوں کی طرح دل میں 

چبیں گی خون بہائیں گی 

تمیں پہروں ستائیں گی

کسی کو خط نہیں لکھنا

لکھائی پکڑی جاتی ھے 

بڑی رسوائی ھوتی ھے 

کسی کو فون مت کرنا

صدائیں دل دکھاتی ھیں 

وہ آوازیں ستاتی ھیں

میری نظمیں نہیں پڑھنا 

یہ محشر اٹھا دیں گی 

تمہیں پاگل بنا دیں گی 

سنو لڑکی۔۔!! 

میری مانو 

اپنی تقدیر سے تم 

کھل کے مت لڑنا 

ابھی گڑیا سے کھیلو تم

ابھی تم عشق مت کرنا 

Share this post


Link to post
Share on other sites

Meri aa’nkhoon pe marta tha

Meri baatoon pe hasta tha

Najaney shakhs tha wo kaisa

Mujhe khoney say derta tha

Mujhe jab bhi wo milta tha

Yehi her bar kehta tha

Suno!!!!!

Agar main bhool ja’oon tu

Agar main rooth ja’oon tu

Kabi wapis na aa’oun tu

Bhula paa’oo gay ye sab kuch

Yuunhi hansty raho ge kia

Yuunhi sajtey raho ge kia

Yehi batein haiN bas uski

Yehi yaadein hain bas uski

Mujhe itna pata hai bas

Mujhe wo pyar kerta tha,

Mujhe khoney se derta tha

Share this post


Link to post
Share on other sites

Miley "Auron" se fursat t,Jb,kbi,to zara Dil se pooch laina.....

KIya Humara rishta Yehi Tha sirf.Fursaton main Yaad Karana..?

Share this post


Link to post
Share on other sites

Mudaton baad us ko kisi k saath khush dekha to ye ehsas huwa

"anaas"

Kaash k hum ne us ko bohat pehly chor diya hota

Share this post


Link to post
Share on other sites

Dil ne tery baray mein poocha to bohat roya

Wo Shakhs jo patthar tha toota to bohat roya

Ye dil ki judai ke unwaan pe barson se

Chup tha to boht chup tha roya to bohat Roya

Itna bhe aasan na tha hasti se guzar jana

Utra jo samnder mein darya to bohat roya

Jo Shakhs nahi roya kabhi tapti hui raahon mein

Aaj dewaar ke saaye mein baitha to bohat roya

Ek Harf tasalli ka, ek harf mohabbat ka

Khud apne liye usne likha to bohat roya

Pehlay bhi shikaston pe khai thi shikast usne

Lekin wo teray haathon hara to bohat roya

Jo ehad nibhaney ki deta tha Dua us ne

Kal shaam mujhy tanha dekha to bohat roya

Share this post


Link to post
Share on other sites

Wo pathar dil sahi hamara bhi ye dawa hai

Hamaray lab jinhe chu le wo pathar bol utte

Raaz-e-hasti kuch nahi aksar yehi dekha gia

Be-khabar hanste rahe aur ba-khabar rote rahe

Me khanay ki tauheen hai rindo ki hatak

Kam zarf ke haath me agar jaam diya jayai

Hum karain baat daleelon se to rud hoti hai

Is ke honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai

Abhi mitti na khunki thi abhi paani na barsa tha

Magar bazm-e-anasir me tere hone ka charcha tha

__________________

Share this post


Link to post
Share on other sites

Anaas jis ko poetry dedicate ker rahay hoo kia wo perhta b hai ??? :p

Anyways Nice Collection

Share this post


Link to post
Share on other sites

Pyaar ka haq hay

Zamane main sabhi ko lekin

Pyaar karne ka silah sab ko

Kahan milta hay

Yeh bhi kiya kam hay

K kuch dair ko ham hans to liye

Yeh muqadar bhi bhalah

Sab ko kahan milta hay

Haal kuch aisa hay

Chaheen bhi to suna na sakeen

Apni ruthi hui kismat ko

Mana bhi na sakeen

Aaj yeh soch k samjha liya

Dil ko ham ne

K tarapne ka maza sab ko

Kahan milta hay

Aise bhi loog hain jo

Pal main badal jate hain

Aik ham hain k jo

Khawabon se bahel jate hain

Kitna armaan tha

Manzel par pounchne ka magar

Apni manzel ka pata sab ko

Kahan milta hay

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kisi ko kuch b yahan hasb-e-arzu na mila....

Kisi ko hum na mily aur hmey tu nas mila...

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.