Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
kamal

Kamal's Collection

Recommended Posts

Muhabbat kis ko kehtay hain

Humien tum ne sikhaya tha

Ibadat kis ko kehtay hain yeah bhi tum ne bataya tha

Mager jab hum muhabat ki kisi wadi main khoye thay

Suhanay khawab mairy jagti Aankhoon main soye thay

Humien tanha kiya tum ne koi awaz tuk na dee

Tumhain dhoondha buhat sapnay sajati mairu AankhooN ne

Buhat khush-fehmian palay

Buhat hi door ja niklay

Jahan se lout anay main

Humien ik umer lagni thi

To us dum ik pal socha!

Ke kion na hum kuch door aur ja batkien

Kisi nayee oor ja niklien

Kisi ke sath phir hum bhi

Khail muhabbat ka phir khailien

Kisi ka torde dien dil hum

Kisi ko soze main dhakelien

Mager mushkil pari hum ko

Ke hum pather nahi balkay dharakta dil hi rakhtay hain

Share this post


Link to post
Share on other sites

Abhi jub lout ker phir TUM humaray dur per aye ho

Yeah tum se keh diya kis nien

ke TUM bin reh nahien saktay

ke yeah dukh seh nahien saktay

Chalo yeah maan laitay hain

ke TUM bin HUM buhat roye

kayee ratoon ko na soye

Mager ik baat hai "JANA"

Ke TUM nakam loto gay

Ager TUM jannana chaho

ke aisa kion kiya HUM nien

To sun lo ghor se "JANA"

Purani ik riwayat torde di HUM nien

"MUHABBAT chorde di HUM ne"

"MUHABBAT chorde di HUM ne".

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kitna Pyaar diya usse per mila kuch bhi nahi

Itni gehri Chahat ka hasil - o - hasool kuch bhi nahi

Woh hum se khafa the to Jaan nikal gayi thi hamari

Hum un se khafa hain to un ko malaal kuch bhi nahi

Is qadar dukh diye hain na jaane kis khata per

Per hum bhi Sabar kargaye aur kiya sawal kuch bhi nahi

Us ki khushi main Hansne wale Khaas hain us ke liye

Dukh main us ke saath hum, hamari misaal kuch bhi nahi

Share this post


Link to post
Share on other sites

SUNOO......

"Bachpan k dukh kitne Ache hote thay,

Tab Dil nahi Khilonay tota kerte thay,

Wo Khushian b janay kaisi Khushiyan thien,

Titli Pakar ker Uchla kerte thay,

Chotay thay to Maqr-o-Faraib b chotay thay.

Dana dal ker Chiriyan Pakra kerte thay,

Apni jan jane ka b Ehsas na tha,

Jalte Sholon ki Taraf Lapka karte thay,

Ab Aik Ansoo giray to ruswa ker deta ha,

Bachpan mein to ji bhar k Roya kerte thay.

Share this post


Link to post
Share on other sites

Har Simat Gham-E-Hijar K Tofaan Hain Mohsin

Mat Pooch Keh Hum Kitny Preshan Hain Mohsin,

Har Chehra Nazar Aata Hai Tasweer Ki Soorat

Hum Shehar K Logon Se Bhi Anjaan Hain Mohsin,

Jis Shehr-E-Mohabat Ne Humain Loot Liya Hai

Us Shehar Se Ab Kooch K Imkaan Hain Mohsin,

Kashti Abhi Umeed Ki Doobhi To Nahi Hai

Phir Kiun Teri Aankhon Mein Yeh Tofaan Hain Mohsin,

Kar In Ka Adab" Rakh Inhain Seeny Se Laga kar

Ye Dard" Ye Tanhaiyaan Mehmaan Hain MOHSIN

Share this post


Link to post
Share on other sites

Tum ko ik talkh haqeqat bhi bata dety hain,

Jisko aksar ye log chupa dety hain,

Tum ne girty huay patton ko to Dekha ho ga,

Apni har saans wo tehni pe ganwa dety hain,

Kia khob sajaty hain baharon mein shajr ko,

Kari dhoop mein apna ap jala dety hain,

Kitny be-reham shajr hain naey patton ki khushi mein,

Puranay Patton ko Khizaon mein gira dety hain.

Aur jo girtey hain qadmon mein shajr k,

Log unhi wafa daron ko pairon mein daba dety hain.

Share this post


Link to post
Share on other sites

pehle roushni ko tarasne wale,

aaj hain hum shayon se dosti rakhne wale

woh suna chuke hain humein apna faisla,

har sawal ka jawab sawal se dene wale

kyon umeed karke udas karon khud ko,

jhooti ass banaee kwabon mein rehne wale

teri nasseb mein hai sirf sohrat-e-harf,

nahi milenge lafzoon ko mehsoo karne wale

Share this post


Link to post
Share on other sites

abhi to ishq main aisa bhi hal hona he

ke ashk rokna tum se mahal hona he

her aik lab pe hen meri wafa ke afsanay

teray sitam ko abhi zawal hona he

baja ke khar hen lekin bahar ki rut main

ye tay he ab ke humain bhi nihal hona he

tumhen khabar hi nahi tum to loat jaogay

tumharay hijar main lamha bhi saal hona he

hamari rooh pe jab bhi azaab utreen gay

tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona he

kabhi to royee ga wo bhi kisi ki banhoon main

kabhi to uski hansi ko zawal hona he

milaingi humain bhi apnay naseeb ki khushiaan

bas intizar he kab ye kamal hona he

her aik shakhs chalay ga hamari rahon per

muhabatoon main humain wo misal hona he

zamana jis ke kham-o-peech main ulajh jayee

hamari zaat ko aisa sawal hona he

Wasi yaaqeen he mujh ko wo loat aye ga

usay bhi apnay kiyaee ka malal hona he

Share this post


Link to post
Share on other sites

zalim tha woh, aur zulm ki adat bhi bahut thi

majbur the hum, us se muhabbat bhi bahut thi....

us but ke sitam seh ke dikha hi diya hum ne

go apni tabiyat mein bagawat bhi bahut thi......

wakif hi na tha ramz-e-muhabbat se woh warna

dil ke liye thori si inaayat bhi bahut thi.....

yun hi nahi mashur-e-zamana mera katil

us shakhs ko is fan mein maharat bhi bahut thi...

kya daur-e-ghazal tha, ke lahu dil mein bahut tha

aur dil ko lahu karne ki fursat bhi bahut thi.....

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kisi ka Sath nebhana kamal hota hai

Kisi Ko pHir se Bulana Kamal hota hai

Wo mujh Ko Chor gaya hai to Koi Baat nhi

k Dil ko saber dilana Kamal hota hai

Khud Apne dard ko her koi jheel leta hai

Kisi ka dard batana Kamal hota hai

Koi pahar gerana nahi hai na mumkin

Girre huay Ko uthana Kamal hota hai

Kisi Andheray ko sehna Kamal lugta hai

Phr is main Deep jalana Kamal hota hai

Kisi ke aankh se dori to Zulm hai HaSraT

Kisi k Dil main samana Kamal hota hai....

Share this post


Link to post
Share on other sites

Elahi Teri Makhloq Ka Ajab Ek Tamasha Dekha..

Chhalaktey Jaam Dekhy Samandron Ko Pyasa Dekha,

Ye Kya Majra Hai Apni To Samjh Mein Nahi Aya..

Admi Apni Hi Justju Mein Ulajhta Dekha,

Jin K Haath Thy Khali Wo Masrof-e-Zikr Dekhay..

Haathon Mein Liye Tasbi-e-Anmol Waaiz Ko Bhatkta Dekha,

Alhamd-u-Lillah Ka Matlab To Samajh Mein Aya..

Siraat-e-Mostaqim K Matlab Pe Logon Ko Jahgarta Dekha,

Eiman Bechty Huye ADAM K Betay Dekhay..

HAVAA Ki Beti Ko Sar-e-Bazar Bikta Dekha,

Kaise Dunya K Makr-o-Fraib Se Samjhota Kr Loon..

K In Aankhon Ne Kitne Jalte Diyoon Ko Bhujta Dekha.

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ghaltiyon Se Juda Woh Bhi Nahi Main Bhi Nahi,

Dono Insan hain Khuda Woh Bhi Nahi Main Bhi Nahi,

woh Mujhe Aur Main Usay Ilzam Detay Hain Magar,

Apnay Andar Jhankta Woh Bhi Nahi Main BHi Nahi,

Maslehaat Ne Kardiya Dono Mein paida Ikhtilaaf,

Warna Fitray Ka Bura Woh Bhi Nahi Main Bhi Nahi,

Mukhtalif Simton Mein Dono Ka Safar Jari Raha,

Aik Lamhay Ko Ruka Woh Bhi Nahi Main Bhi Nahi,

Chahtay Dono Buhat Aik Dusray Ko Hain Magar,

Yeh Haqeeqat Manta Woh Bhi Nahi Main BHi Nahi........!!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kaise Bhool Gaye Sath Guzaray Din,

Lagta Na Tha Dil Uska Mere Bin,

Doston Se Kaha Karta Tha,

Kya Yeh Jee Sakay Ga Mere Bin,

Mazaq Ban Jata Tha Doston Mein,

Khud Ko Tanha Samajhta Tha Mere Bin,

Usay Had-e-Dewangi Kahun Ya Pagal Pan,

Tasawur Mein Baatein Kiya Karta Tha Mere Bin,

Musamon K Badalnay Se Darta Tha,

Par Bahar Mein Murjha Jata Tha Mere Bin,

Ab Aas Toot Gayi Us K Aanay Ki,

Lagta Hai K Jeena Seekh Gaya Mere Bin.....!!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Sadyon Se Ik Sapna He,

Kaho Pura Kro Gey Tum?

Bhool Jao Mere Siwa Sub Kuch,

Kaho Aisa Kro Gey Tum?

Nai Kuch Or Tamana Ab,

K Bus Mere Ho Jao Tum,

Kabi Na Chor K Jao Gey,

Kaho Aisa Kro Gey Tum?

Faqt Ik Lafz Sun'ne Ko Kai Barso Mein Tarasa Hun,

MUJHE APNA BNA LO TUM

Kaho Aisa kro Gey Tum?

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kabhi jo mujh ko talaash kerna

Tou chand raaton ki chandni main

Gul-e-chaman say sawal kerna

Udaas kiun ho??

Kyun oas-Qatron main apnay aanso

Chupaa rehay ho

Haseen mausam main kis ki yadoon main

Apnay dil ko jala rehay ho

Gul-e-chaman yeh sawal sun ker

Tumhari aamad ka haal sun ker

Kehay ga tum jis ko khoojtay ho

Woh in baharoon ki sari khushboo

Churaa kay abb ik nay chaman main

Mehek raha hay

Udaas ker kay yahan pay hum ko

Kisi chaman main chehek raha hay

Gul-e-chaman ka yeh haal sun ker

Tumhain lagay ga main baywafa hoon

Udaas kalioon ko choor ker main

Nai baharoon ko dhoondta hoon

Mager haqeeqat main is chaman kay

Tamaam phoolon ki khwahishon kaa

Aur in ki nakkam kavishoon ka

Haseen mousam ki barishoon ka

Naa meray dil per aser hua tha

Naa meray dil per aser hua hai

Main aaj bhi ik nay chaman main

Puranay qissay suna reha hoon

Joo mere chahat ka devtaa tha

Main aaj bhi us ko poojta hoon

Yaqeen nahi tou palat kay dekho

Waheen khara tha,waheen khara hoon

Share this post


Link to post
Share on other sites

Woh Ojal Meri Nighaon Se Kahan Rehta Hai,

Woh Aashk Ban Kar Aankhon Se Rawaan Rehta Hai,

Kissi Lamhay tanha Honay Nahi Deti Uski Yaadein,

Mere Aangan Mein Melay Ka Samaa Rehta Hai,

Har Ghari Dil Ka Daricha Khula Rakhtay Hain,

Har Ghari Uskay Aanay Ka Gumaan Rehta Hai,

Log Khetay Hain Zakham Bhar Jatay Hain Aakhir,

Zakham Bhar Jatay Hain Laikin Nishan Rehta Hai,

Woh Miley Toh Itna Bata Dena Usko,

Tujh Bin Tera Sanam Pereshaan Rehta Hai.......!!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Khud ko paRhtaa huuN, chhoR detaa huuN

ek varq roz moR detaa huuN

is qadar zaKhm haiN nigaahon meN

roz ek aaiinaa toR detaa huuN

maiN pujaarii baraste phuuloN ka

chuu ke shaaKhoN ko chhoR detaa huuN

kaasa-e-shab meN Khuun suuraj kaa

qatraa qatraa nichoR detaa huuN

kaaNpte hoNT bhiigtii palkeN

baat adhuurii hii chhoR detaa huuN

ret ke ghar banaa banaa ke “Faraz”

jaane kyuuN Khud hii toR detaa huuN

Share this post


Link to post
Share on other sites

Mujhay yaqee'n hai k wo bhi tarhap raha ho ga

jisay ye zidd thi k harr haal mai juda ho ga

meray wajood say kan'tay nikal nay walo

mera wajood bikharnay laga tau kya ho ga

mera khuloos meri jaa'n, supurdagi, mera gham

tera saha'oor kisi ko to janta ho ga

milay gay ham magar uss damm sulagti aankho'n mai

na janay kitni hi sadyo'n ka ratt jaga ho ga

zamee'n ki samt mai aaye, na arsh ko jaye

ye chaand meri bhatakti hui dua ho ga

chaman udaas, mehek muztarab, faza khamosh

mera qayas hai "Monis" ghazal saraa ho ga....!!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hawa ko awara kehne walo,

kbi to socho,

kbi to likho,

hawaien kyo apni manzilon se bhatak gain hain,

na unki aankho main khab koi,

na khab main intizar koi,

na un k sare safar main subh-e-yaqeen koi,

na sham or eitbar koi,

na un ki apni zameen koi,

na aasman pe koi sitara,

na koi mosam,

na roshni ki lakeer koi,

na unka apna safeer koi,

jo un k dukh per kitab likhe,

musafirat k azaab likhe,

Hawa ko aawara kehne walo,

kbi to socho............... ...................

Share this post


Link to post
Share on other sites

hmmmm....thts gud ye hui na baat....dis is for u flower4u.gif ....keep posting

Share this post


Link to post
Share on other sites

Maqrooz k bigrey howe halaat ki manind

Majboor k hountoon pe sawalaat ki manind

Dil ka teri chahat main ajab haal howa hay

Selaab se barbaad makanaat ki manind

Main un main bhataktey howe jugnoo ki tarha hoon

Us shaks ki aankhain hain kisi raat ki manind

Dil roz sajata hoon main dulhan ki tarha se

Ghum roz chalay aatay hain baraat ki manind

Ab ye bhi nahi yaad k kya naam tha uska

Jis shaks ko maanga tha manajaat ki manind

Kis darja muqaddas hay tere qurb ki khawahish

Masoom se bachey k kheyalaat ki manind

Us shaks se milna mera mumkin he nahi hay

Main pyaas ka sehra hoon wo barsaat ki manind.....!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Cheer Ke Dekh Le Is Dil Mein Bachaa Kuch Bhi Nahi

Is Ghar Mein Teri Yaadon Ke Sivaa Kuch Bhi Nahi

Kahaan Ka Ishq,Wafa,Pyaar, Mohabbat Kaisi

Aaj Kal Soney Ke Sikkon Se Baraa Kuch Bhi Nahi

Apne Haathon Ki Lakeeron Se Khafa Hyun Lekin

Mere Mehboob Mujhe Tujhse Gilaa Kuch Bhi Nahi

Humne Haste Hue Jaan De Di Tere Qadmon Mein

Tu Kyon Rota Hai Ke Tera To Gayaa Kuch Bhi Nahi

Ek Zamana Tha Ke Palkon Pe Khwaab Rehte The

Ab To Aankhon Mein Aansuyon Ke Sivaa Kuch Bhi Nahi

Duaa Kiije Ke Karishma Hi Koi Ho Jaaye

Iss Duinya Mai Mohabbat Ki Davaa Kuch Bhi Nahi

Sar-E-Mehfil Faqat Nazren Milaayi Thi Tumse

Ghabraaye Kisliye Humne To Kaha Kuch Bhi Nahi

Yaaro Main Mita Hun Apni Marzi Se

Unhey Tum Kuch Na Kaho Unki Khataa Kuch Bhi Nahi...*

Share this post


Link to post
Share on other sites

Meri barbadi ki daastan sunane se pehle,

Mujhe itna bata jaate chhod jaane se pehle,

Agar koi shikwa tumne mujhse kiya hota,

Main tumko mana leta rooth jaane se pehle,

Tum khush naseeb ho humne chaha hai tumhain,

Warna bahut the humko chahne wale tumse pehle,

Kya maloom tha itna tarpayegi judai teri,

Dekho tum laut aana yeh jaan jaane se pehle...*

Share this post


Link to post
Share on other sites

Apna Naseeb Gham Tha So Baar Baar Roye

Apnon Ko Yaad Kar Ke Hum Beqarar Roye

Paani Ka Sath Pa Kar Aasou Tadap Ke Niklay

Barish Ko Dekh Kar Hum Zaro Qataar Roye

Tanhayon Mein Apni Koi Na Paas Aaya

Khud Se Lipt Lipt Kar Hum Baar Baar Roye

Ruswaiyon Ke Dar Se, Jin Ka Kiya Na Charcha

Hum Naam Unka Sun Kar Be-Ikhtiyaar Roye

Phir Zabt Nay Bhi Apna Duniya Mein Sath Chhora

Aakhir Tadap Tadap Kar Hum Zaar Zaar Roye

Aaya Khayaal Apni Barbaadiyon Ka Monis

Chhup Kar Sabhi Se Ghar Mein Diwana Waar Roye...!!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Juda honey ke mausam mein juda hona zaroori tha

Na janey kyun kisi ka bewafa hona zaroori tha

Kisi se koi bhi gila nahi na koi bhi shikayat hai

Jo mere sath chahat mein hua hona zaroori tha

Bohat nazdeek thy dil is liye ab dooriyan bhi hain

Dilon ke darmiyaan kuch faasla hona zaroori tha

Usey bhi dard deney ka bohat shoq tha Wasi

Humein bhi dard-o-gham se aashna hona zaroori tha

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.