Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
kamal

Kamal's Collection

Recommended Posts

Mere Bagair Bhi Tum Jeena Hansi Khushi Se,

Parta Hi FarQ Kya Hai Ek Shakhs Ki Kami Se,

Barbadiyon Mein Apni Bas Dosh Hai Hamara,

Tohmat Nahi Kisi Par, Shikwa Nahi Kisise,

Hai Saans Ab To Bhari, Jeena Bhi Ek Khwaari,

Yaa Rab Mujhe Utha Le, Hoon Tang Zindagi Se,

Ye Aayine Mein Jaane Hai Kaun Ab Dikhta,

Kyon Guftugu Karti Hoon Main Ek Ajnabi Se,

Deewangi Ki Mujh Par Tohmat Hai Jo Galat Hai,

Ruswa Hui Hoon Main To Apni Junoo-Gari Se,

Shagufta Baat Meri Pallo Mein Baand Lena,

Ummid Mat Lagana Ab Tum Kabhi Kisi Se..

Edited by kamal

Share this post


Link to post
Share on other sites

log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyun hain,

itna darte hain to phir ghar se nikalte kyun hain.

main na jugnu hun diya hun na koi tara hun,

roshni wale mere nam se jalte kyun hain.

nind se mera talluq hi nahin barson se,

khwab aake meri chat pe tahalte kyun hain.

mod hota hai jawani ka sambhalne ke liye,

aur sab log yahin ake phisalte kyun hain

Edited by kamal

Share this post


Link to post
Share on other sites

dar-e-qafas se parey jub saba guzarti he,

kisy khabar ke aseeroN pe kiya guzarti he.

taaloqaat kabhi is qadar na tooty thy,

ke teri yaad bhi dil se khafa guzarti he.

wo ab miley bhi to milta he iss terha jesy,

bujhy charagh ko choo kar hawa guzarti he.

ye ehl-e-hijr ki busti he ehtiyaat se chul,

moseebatoN ki yahaN inteha guzarti he.

na pooch apni anaa ki baghawateN mohsin,

dar-e-qabool se bach kar dua guzarti he.

Share this post


Link to post
Share on other sites

Tumhay Q Aisa Lgta Hai

K Hum Khud Dhoondtay Hen Apnay Rishton Ko

Suno Jana Kabhi Aisa Nahe Hota

Tmharay Aor Meray Chahnay Say Kchh Nahe Hota

K Sub Rishtay Sabhi Mosam

Kaheen Pehlay Say Rakhay Hen

Wo Aany Waly Saray Pal

Jo Aa K Beet Jatay Hen

Jo Hum Sy Jeet Jatay Hen

Wo Sub Pehlay Say Rakhay Hen

Smjh Kr Soch Kr Rakhay Hen Saray Pal

Sabhi Rishtay, Sabhi Mosam

Muhabbat Bhi To Lamha Hay

Muhabbat Bhi To Mosam Hay

Yeh Kis K Dil Pay Otray Ga

Kahan Par Kab Khilay Ga

Kon C Galyun Main Mehkay Ga

Najany Kon Sa Dil Is K Rangon Main Fana Hoga

Najanay Kon Is Lamhay Ko Patay Hee

Ghanee Tareek Galyun Ki

Musafat Say Reha Hoga

Wazahat Hum Nahe Kartay

Muhabbat Hum Nahe Krtay

Keh Yeh To Jadoogarni Hy

Jo Hum Ko Dhoond Leti Hay

Hamen Pehchan Leti Hay

Ksi Masroof Kamray Main

Pari Bekar Cheezon Say

Yeh Humko Chhan Leti Hay

Hamari Ongliyun K Nakhunoon Main

Saans Leti Hay

Kabhi Jab Zakhm Khulta Hay

Bussoon Aor Daftron Ki Bheer Main Bhi Yeh

Hmaray Saath Rehti Hay

Hmaray Sath Chalti Hay

Ghamon Ki Dhoop Main Chup Chap Jalti Hay

Hina Ki Khushboooon Main Jab Otarti Hay

Hmari Jan Leti Hay

Yeh Hum Main Baandh Deti Hay

Naye Mosam

Naye Sooraj, Sitaray Aor Khushboo

Yeh Hum Ko Sonp Deti Hay

Koe Aizaaz Jska Maan Rakhna Farz Hota Hay

Yeh Hum par Bojh Banti Hay

Yeh Hum Par Qarz Hota Hay

Kahan Kiss Par Nichhawar Jaan Krni Hay

Yeh Chahat Hum Nahe Kartay

Muhabbat Hum Nahe Karty

hmmm nice yaar

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hamko Lota Hai Usi Shehr Ne Ae Jan E Wafa

Jis Ki Galion Mein Mhabat Ka Kuch Hisab Na Tha

Woh Jo Rehte Thay Mere Sath Hamesha Din Bhar

Un K Mazhab Mein Wafaon Ka Koi Baab Na Tha

Wo Jo Ankhon Mein Mhabat Ko Liye Phirte Thay

Un K Dil Mein Thee Woh Nafrat K Kuch Hisab Na Tha

Mein Ne Jisko B Musebat Mein Maseha Jana

Jo Diya Usne Bara Us Se Kuch Azab Na Tha

Mjhe Khayal Tha Ye Log Mere Apne Hein

Mgr Wahan Pe To Aisa Koi Rewaj Na Tha

Edited by kamal

Share this post


Link to post
Share on other sites

Badli badli si zamaney ki fiza lagti hai

Raat b aaj ki raton se se juda lagti hai

Bhegi Bhegi C jo aati hai meri khirki se

Mujh ko to ye tere anchal ki hawa lagti hai

Roz main ik naye toofan ko sar karta hun

Dekhiye kis ki mujhey aaj dua lagti hai

Log kehtey hain ke wo aam C ik sorat hai

Mujhey ko to sarey zamaney se juda lagti hai

Zehar bhi dain to main pi jaon tasalli se usay

Unkey hathon se to har cheez dawa lagti hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

Koi shikwa nahi kuch gila nahi.

Bus tanhayi si lagti hai.

Jabse unke pyar me khoye hai.

Apni zindgi parayi si lagti hai.

Kabhi unka saath hame zamane se upar uthha deta tha.

Ab unki har baat me gahrayi si lagti hai.

Unhe na mile hamari bimari ka pata,

k wo bechain na ho.

Par sochte hai unhe hamari aas si lagti hai.

Bahut koshish karte hai is nadan dil ko bahlane ki.

Par ise to bas unki hi pyas si lagti hai.

Mujhe mohabbat ka nasha jab se hua hai.

Ye sharab udas si lagti hai...

Kya yu hame judayi k liye milaya tha.

Ab uss khuda ki duya fariyad si lagti hai.

Kyo chala do kadam sath nibha na saka.

Uski har chal me ik riyad si lagti hai.

Berukhi itni k na dekha mere janaje ko,

meri maut unhe ittefak si lagti hai.

Ab dekhiye chal pade wo naye safar k liye,

thamkar naya hath koi.

Main majboor sab dekhta raha,

kismat ki lakire behisab si lagti hai.

Kya tha unke dil main hamare liye,

meri har ummid beaas si lagti hai.

Share this post


Link to post
Share on other sites

Patharon Ki Basti Mein Kaarobar sheeshay Ka !!

Koi Bhi Nahi Karta Aitbar Sheeshay Ka !!

Kaanch Se Banaye Putlay Thori Door Chalte Hain !!

Chaar Din Ka Hota Hai Ye Khumaar Sheeshay Ka !!

Ban Sanwar Ke Harjai Ghar Se Nikalte Hain !!

Jane Kon Hota Hai Phir Shikaar Sheeshay Ka !!

Dil Ke Azmanay Ko Aik Sang Kafi Hai !!

Bar Bar Nahi Lena Imtehan Sheeshay Ka !!

Aakhir Is Zamanay Mein aarzi Hain Sab Rishte !!

Hum Ne Bhi banaya Tha Aik Yaar Sheeshay Ka !!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Raaz Ka Bzam Main Charcha Kabhi Honay Na Dia

Ham Nay Apnay Aap Ko Tamasha Kabhi Nonay Na Dia

Ham Ko Is Ghardish -e- Douraan Nay Kahi Ka Na Rakha

Pher Bhi Lehjay Ko Shakista Kabhi Honay Na Dia

Dil Main Ak Dard Ka Toufaan Chopaye Rakha

Aankh Say Raaz Ko Afshan Kabhi Honay Na Dia

Kitna Aasan Tha Apnay Aap Say Juda Ho Jana

Ishq Nay Zhan Ka Soda Kabhi Honay Na Dia

Umer Rishton Kay Taqazay Hi Nebhatay Guzri

Zindage Nay Mujhay Apna Kabhi Honay Na Dia

Sab Say Mahfooz Mouqaam Ghum -e- Tanhaii Hai

Fikar -e- Dunya Nay Akaila Kabhi Honay Na Dia

Edited by kamal

Share this post


Link to post
Share on other sites

Patharon Ki Basti Mein Kaarobar sheeshay Ka !!

Koi Bhi Nahi Karta Aitbar Sheeshay Ka !!

Kaanch Se Banaye Putlay Thori Door Chalte Hain !!

Chaar Din Ka Hota Hai Ye Khumaar Sheeshay Ka !!

Ban Sanwar Ke Harjai Ghar Se Nikalte Hain !!

Jane Kon Hota Hai Phir Shikaar Sheeshay Ka !!

Dil Ke Azmanay Ko Aik Sang Kafi Hai !!

Bar Bar Nahi Lena Imtehan Sheeshay Ka !!

Aakhir Is Zamanay Mein aarzi Hain Sab Rishte !!

Hum Ne Bhi banaya Tha Aik Yaar Sheeshay Ka !!

Nice one :yes::yes:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Raaz Ka Bzam Main Charcha Kabhi Honay Na Dia

Ham Nay Apnay Aap Ko Tamasha Kabhi Nonay Na Dia

Ham Ko Is Ghardish -e- Douraan Nay Kahi Ka Na Rakha

Pher Bhi Lehjay Ko Shakista Kabhi Honay Na Dia

Dil Main Ak Dard Ka Toufaan Chopaye Rakha

Aankh Say Raaz Ko Afshan Kabhi Honay Na Dia

Kitna Aasan Tha Apnay Aap Say Juda Ho Jana

Ishq Nay Zhan Ka Soda Kabhi Honay Na Dia

Umer Rishton Kay Taqazay Hi Nebhatay Guzri

Zindage Nay Mujhay Apna Kabhi Honay Na Dia

Sab Say Mahfooz Mouqaam Ghum -e- Tanhaii Hai

Fikar -e- Dunya Nay Akaila Kabhi Honay Na Dia

hmmm....nice kamal

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ya Rab gham_e hiJraan mein itna to kia hota

Jo hath Jigar pr hai wo dast_e dua hota

ak ishq ka gham aafat aur us pe Ye Dil aafat

Ya gham na diya hota Ya Dil na diya hota!

nakam_e tamana Dil iss soch mein rehta hai

Yun hota to kya hota,, Yun hota to kya hota

umeed to banndh Jati tasqeen to ho Jati

waada na wafa krte waada to kia hota

ghaeron se kaha tm ne ghaeron se suna tm ne

kuch hm se kaha hota kuch hm se suna hota

Share this post


Link to post
Share on other sites

4a1a9e1e0e40809aaa7806e9a90c80aa_l.jpg

Muqaddar Aazmanay Mein Zamanay Beet Jatay Hain,

Muradein Dil Ki Panay Mein Mein Zamanay Beet Jatay Hain,

Nahi Rakhta Koi Himmat Agar Izhar-e-Ulfat Ki,

Zuban Par Baat Lanay Mein Zamanay Beet Jatay Hain,

Muhabbat Zindagi Mein Jo Bari Muskil Se Milti Hai,

Magar Us K Nibhanay Mein Zamanay Beet Jatay Hain,

Agar Aik Bar Aankhon Mein Achanak Aa Basay Koi,

Usay Dil Se Bhulanay Mein Zamanay Beet Jatay Hain.....!!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Patharon Ki Basti Mein Kaarobar sheeshay Ka !!

Koi Bhi Nahi Karta Aitbar Sheeshay Ka !!

Kaanch Se Banaye Putlay Thori Door Chalte Hain !!

Chaar Din Ka Hota Hai Ye Khumaar Sheeshay Ka !!

Ban Sanwar Ke Harjai Ghar Se Nikalte Hain !!

Jane Kon Hota Hai Phir Shikaar Sheeshay Ka !!

Dil Ke Azmanay Ko Aik Sang Kafi Hai !!

Bar Bar Nahi Lena Imtehan Sheeshay Ka !!

Aakhir Is Zamanay Mein aarzi Hain Sab Rishte !!

Hum Ne Bhi banaya Tha Aik Yaar Sheeshay Ka !!

BILKUL THEEK KAHA KAMAL BHAI;; KOI NAHI KARTA IETABAAR SHEESHAY KA

Edited by naveedmkhan

Share this post


Link to post
Share on other sites

 

Muqaddar Aazmanay Mein Zamanay Beet Jatay Hain,

Muradein Dil Ki Panay Mein Mein Zamanay Beet Jatay Hain,

Muhabbat Zindagi Mein Jo Bari Muskil Se Milti Hai,

Magar Us K Nibhanay Mein Zamanay Beet Jatay Hain,

Agar Aik Bar Aankhon Mein Achanak Aa Basay Koi,

Usay Dil Se Bhulanay Mein Zamanay Beet Jatay Hain.....!!!!

Going Great Buddy. :clap::clap:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Bol Hawa, uss paar Zamanay Kaisay hain?

Ujray shehr mein yaar Puranay Kaisay hain?

Chand Utarta hai ab kis kis aangan mein?

Kirnon se Mehroom Gharanay Kaisay hain?

Lab Basta Darwazon per kya beet gai?

Galiyon se Manssob afsanay kaisay hain?

Jin k jhurmat mein shaamain dam torrgaeen

Wo Pyaaray, Pagal, Parwanay kaisay hain?

"SAGAR" Hum to khair khabar se bhe guzray

Apnay roothay yaar Na Janay Kaisay hain?

Share this post


Link to post
Share on other sites

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,

Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.

Din Raat Doorti Duniya Mein,

Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,

Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.

Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,

Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,

Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.

Gairon Ki Kya Baat Karen,

Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Aankhon Me Hai Neend Badee,

Par Sone Ka Waqt Nahi.

Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,

Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

Paison ki Daud Me Aise Daude,

Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.

Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,

Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,

Iss Zindagi Ka Kya Hoga,

Ki Har Pal Marne Walon Ko,

Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.......

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ashna Hotay Huay Be Ashna Koi Nahin

Jantay Sb Hen Mager Pehchanta Koi Nahin

Aik Tanha Mery Zimay Kyun Heh Kar E Ehtijaj

Bola Sab Jantay Hen Bolta Koi Nahin

Khud Kashi Ki Be Saza Heh May Kashi Ki Be Saza

Kon Kis Mushkil Men Heh Yeh Dekhta Koi Nahi

Ham Nay Khud Peda Kiay Hen Zindagi Men Masalay

Warna Sachi Batt Yeh Heh Masala Koi Nahin

Koi Many Ya Na Many Yeh Haqiqat Heh Attal

Ham Khud Achay Hon To Dunya Men Bura Koi Nahin

Ishq Ho Na Mehruban Ya Ishq Khud Bey Mehar Ho

Haar Donon Ki Heh Is May Jeetata Koi Nahin

Share this post


Link to post
Share on other sites

nice one....

Ishq Ho Na Mehruban Ya Ishq Khud Bey Mehar Ho

Haar Donon Ki Heh Is May Jeetata Koi Nahin

Tu Hi Bata E Zindagi,

Iss Zindagi Ka Kya Hoga,

Ki Har Pal Marne Walon Ko,

Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.....

Share this post


Link to post
Share on other sites

Thank U

Edited by kamal

Share this post


Link to post
Share on other sites

Titlee jo ek mujh ko mili thi kitaab main

Woh apna aks chore gayi mere khuwaab main

Ab tak woh mere zehen main uljha sawaal hai

Shaamil rahi jo har ghari mere nisaab main

Aankhon main neend hai na koi khuwaab door tak

Rehte hain hum bhi aaj kal waise azaab main

Milta hai gardishon se gale lag ke chaand bhi

Aaye the simat ke faasle kitne saraab main

Aakhir meri wafa ka mujhe kya sila mila

Likha na aik harf bhi us ne jawaab main

Share this post


Link to post
Share on other sites

Jab pyaar nahi tha tou bhulaa kyun nahin detey,

Khat kiss liye rakhey hain jalaa kyun nahin detey,

Kiss vastey likhaa hai hatheli pay meraa naam,

Main harf e galat hun tou mitaa kyun nahin detey,

Lillah shabb - o - roz kee uljhan say nikalo,

Tum merey nahin ho tou bataa kyun nahin detey,

Reh reh kay na tadpao ae bedard maseeha,

Hathon say mujhay zehar pilaa kyon nahin detey,

Jab meri wafaon pay yakeen tum ko nahin hai,

Hasrat ko nighahon say giraa kyun nahin detey,

Edited by kamal

Share this post


Link to post
Share on other sites

Tittlion k mosam mein nochna gulaabon ka

reit is nagar ki hai aur Jane kb se hai,

dekh kr parindon ko baandhna nishaanon ka

reit is nagar ki hai aur Jane kb se hai,

shehar k Ye baashindy nafraton ko bou kr bhi

intzar krte hain fasl ho muhabt ki

bhool kr haqeeqat ko dekhna saraabon ka

reit is nagar ki hai aur Jane kb se hai,

khaamoshi mera sheva hai Guftgu hunar uska

meri begunahi ko log kaese mane gy

baat baat pr mangna Jawabon ka

reit is nagar ki hai aur Jane kb se hai

Edited by kamal

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.