Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
kamal

Kamal's Collection

Recommended Posts

Chand Ki Simat Nazar Jaye Toh Kya Hota Hai,

Raat Kisi Ki Yaad Mein Guzar Jaye Toh Kya Hota Hai,

Kitni Masoom Adaa Se Woh Mujhe Puchta Hai,

Jab Koi Dil Mein Utar Jaye Toh Kya Hota Hai,

Mere Moula Tu Faqt Itna Bata De Usko,

Admi Jeetay Ji Mar Jaye Toh Kya Hota Hai,

Kisi Aanjan Se Shakhs Ka Kisi Pichlay Pehar,

Aks Aankhon Mein Thehr Jaye Toh Kya Hota Hai,

Dard De K Mujhe Woh Hansta Raha Aur Bola,

Dard Jab Had Se Guzar Jaye Toh Kya Hota Hai.....!!!!

  • Like 1

Share this post


Link to post
Share on other sites

Wohi Qissay Hain Wohi Baat Purani Apni,

Kon Sunta Hai Bhala Raam Kahani Apni,

Har Sitam Ko yeh HamDard Samajh Leti Hai,

Kitni Khush Feham Hai Kambakht Jawani Apni,

Roz Miltay Hain Dareechay Mein Naye Phool,

Chor Jata Hai Koi Roz Nishaani Apni,

Dushmano Se Hi Gham-e-Dil Ka Madawa Mangein,

Doston Ne Toh Koi Baat Na Maani Apni,

Aj Phir CHAND Ufaq Par Hai Ubhra "MOHSIN"

Aj Phir Raat Na Guzare Gi Suhani Apni.......!!!!

  • Like 1

Share this post


Link to post
Share on other sites

Tum Toh Bichar Gaye Magar Sapnay Wohi Rahay,

Mousam Badal Gaye Magar Manzar Wohi Rahay,

Hoti Rahin Sergoshiyaan Tanhaiyon k Sath,

Lehrein Badal Gayien Magar Sahil Wohi Rahay,

Kuch Aise Taqdeer Ne Faislay Kiye,

Duayein Badal Gayein Magar Daman Wohi Rahay,

Hum Chah Kar Bhi Umer Bhar Nashad hi Rahay,

Umer Beet Gayi Magar Jazbay Wohi Rahay,

Kya Hua Jo Rishtay Ki Pechan Badal Gayi,

Hum Bhi Wohi Rahay Aur Tum Bhi Wohi Rahay.....!!!!

  • Like 1

Share this post


Link to post
Share on other sites

Chand Ki Simat Nazar Jaye Toh Kya Hota Hai,

Raat Kisi Ki Yaad Mein Guzar Jaye Toh Kya Hota Hai,

Kitni Masoom Adaa Se Woh Mujhe Puchta Hai,

Jab Koi Dil Mein Utar Jaye Toh Kya Hota Hai,

Mere Moula Tu Faqt Itna Bata De Usko,

Admi Jeetay Ji Mar Jaye Toh Kya Hota Hai,

Kisi Aanjan Se Shakhs Ka Kisi Pichlay Pehar,

Aks Aankhon Mein Thehr Jaye Toh Kya Hota Hai,

Dard De K Mujhe Woh Hansta Raha Aur Bola,

Dard Jab Had Se Guzar Jaye Toh Kya Hota Hai.....!!!!

KAMAL ap to kamal kar rahay hain

Share this post


Link to post
Share on other sites

Tum Toh Bichar Gaye Magar Sapnay Wohi Rahay,

Mousam Badal Gaye Magar Manzar Wohi Rahay,

Hoti Rahin Sergoshiyaan Tanhaiyon k Sath,

Lehrein Badal Gayien Magar Sahil Wohi Rahay,

Kuch Aise Taqdeer Ne Faislay Kiye,

Duayein Badal Gayein Magar Daman Wohi Rahay,

Hum Chah Kar Bhi Umer Bhar Nashad hi Rahay,

Umer Beet Gayi Magar Jazbay Wohi Rahay,

Kya Hua Jo Rishtay Ki Pechan Badal Gayi,

Hum Bhi Wohi Rahay Aur Tum Bhi Wohi Rahay.....!!!!

nice kamal

and ramzan mubarak

Share this post


Link to post
Share on other sites

Chand Ki Simat Nazar Jaye Toh Kya Hota Hai,

Raat Kisi Ki Yaad Mein Guzar Jaye Toh Kya Hota Hai,

Kitni Masoom Adaa Se Woh Mujhe Puchta Hai,

Jab Koi Dil Mein Utar Jaye Toh Kya Hota Hai,

Mere Moula Tu Faqt Itna Bata De Usko,

Admi Jeetay Ji Mar Jaye Toh Kya Hota Hai,

Kisi Aanjan Se Shakhs Ka Kisi Pichlay Pehar,

Aks Aankhon Mein Thehr Jaye Toh Kya Hota Hai,

Dard De K Mujhe Woh Hansta Raha Aur Bola,

Dard Jab Had Se Guzar Jaye Toh Kya Hota Hai.....!!!!

nice one kamal yes.gif

Share this post


Link to post
Share on other sites

nice kamal

and ramzan mubarak

Thanks Bhai :flower4u:

Aur Ap ko B Bohat Bohat Mubarak  :flower4u:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Bhool Jana Bhi Usay Yaad bhi Kartay Rehna,

Acha Lagta Hai Isi Dhun Mein Bikhartay Rehna,

hijar walon Se Bari Dair Se Sikha Humne,

Zinda Rehnay K Liye Jan Se Guzartay Rehna,

Kya Kahun Q Mere Neendon Me Khalal Dalta Hai,

Chand K Aks Ka Pani Mein Utartay Rehna,

Main Agar Toot Bhi Jaon Toh Phir Aaina hoon,

Tum Mere Baad Bhi har Roz Sanwartay Rehna,

Shaam Ko Doobtay Suraj Ki Hai Aadat,

Subha Hotay Hi Mere Sath Ubhartay Rehna.......!!!

  • Like 1

Share this post


Link to post
Share on other sites

Tumhain mujh ko satana hai?

Chalo jee bhar k tang ker lo..

K ye bachon ki aadat hai,

Khilone haath main hon to,

Zara bhi dum nahi lete,

Magar thehro.....!

Kabhi aisa bhi hota hai,

Isay bhi zehen main rakhna,

Zara see be-dheyani main,

Zara see be-khayali main,

Inhain ziada satao to,

Ye akser rooth jate hain,

Khilone toot jate hain...!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Tum Ne Barishon Ko Mehz Barastay dekha Hai,

Maine Aksar Barishon Ko Kuch Kehtay Suntay Dekha Hai,

Tum Dekhtay Ho Barishon Ki Jal Thal Har Saal,

Maine Barsaat Ko Bar Ha palkon Pe Machaltay Dekha Hai,

Kaise Mangon Phir Barasta Sawan Apnay RAB Se,

K In Aankhon ne Bastiyon Ko Sawan Mein Ujartay Dekha Hai,

Seekh Gaye Hum Baarishon Ko Apnay Andar Utarnay Ka Fun,

Aur Phir Sab Ne Humein Har Pal Har Dam Hanstay Dekha Hai......!!!!

  • Like 1

Share this post


Link to post
Share on other sites

Andaz hu-ba-hu teri awaz_e paa ka tha

Dekha nikal k ghar se to jhonka hawa ka tha

Dil raakh ho chuka to chamak aur barh gai

Ye teri Yad thi k amal Kiimiya ka tha

...

Iss rishta_e Lateef k israar kya khulein

Tu samne tha aur taswar Khuda ka tha

Chup chup k Rou.nn aur sar_e anjuman Hansu,nn

Mujh ko Ye mashwara mere Dard_e ashna ka tha

Utha ajab tzaad se insan ka khmeer

aadi fana ka tha to Pujaari Baqqa ka tha

Hairaan hon k daar se kaese bacha

Wo shaqs to ghareeb_o ghyoor inteha ka tha...

  • Like 1

Share this post


Link to post
Share on other sites

Bahaar aa_ii to jaise ek baar

lauT aaye hain phir adam se

vo Khvaab saare, shabaab saare

jo tere honT.n pe mar miTe the

...jo miT ke har baar phir jiiye the

nikhar gaye hain gulaab saare

jo terii yaadon se mushk_buu hain

jo tere ushshaaq kaa lahuu hain

ubal pare hain azaab saare

malaal-e-ahavaal-e-dostaaN bhii

Khumaar-e-aaGosh-e-mahavashaaN bhii

Gubaar-e-Khaatir ke baab saare

tere hamaare

savaal saare, javaab saare

bahaar aa_ii to khul gaye hain

naye sire se hisaab saare..........

Share this post


Link to post
Share on other sites

Wo ak Larki

Gulab chehry pe muskarahat

Chamakti aankhon mein shokh jazbey

Wo jab bhi college ki seerihoon se

...Saheliion ko liye utarti

to aesa lagta tha jaese Dil mein utar rahi ho

Kuch us tariqey se baat karti thi jaese dunya

Usi ki aankhon se dekhti ho

Wo apne raste mein Dil bichati hui nigaahon se Hans k kehti

tumhare jaese bohat se larkon se Main Ye baaten

Bohat se barson se Sun rahi hon

Wo sahilon ki Hawa si larki

jo raah chalti to aesa lagta tha jaese Dil mein utar rahi ho

Wo kal mili to iss trah thi

k jaese chaandi pighal rahi ho

magr jo booli to us k lehje mein wo thakan thi

k jaese sadiiyon se dasht e zulmat mein chal rahi ho....

  • Like 1

Share this post


Link to post
Share on other sites

Bohut milaa na milaa zindagii se Gam kyaa hai

mataa-e-dard baham hai to besh-o-kam kyaa hai

...

ham ek umr se vaaqif hai.n ab na samajhaao

ke lutf kyaa hai mere meharabaa.N sitam kyaa hai

kare na jag mein alaav to sher kis maqasad

kare na shahar mein jal-thal to chashm-e-nam kyaa hai

ajal ke haath ko_ii aa rahaa hai paravaanaa

na jaane aaj kii feharist mein raqam kyaa hai

sajaao bazm Gazal gaao jaam taazaa karo

bohut sahii Gam-e-getii sharaab kam kyaa hai

lihaaz mein ko_ii kuchh duur saath chalataa hai

vagarnaa dahar mein ab Khizr kaa bharam kyaa hai

  • Like 1

Share this post


Link to post
Share on other sites

Lazzat-e-Tarap Bhar Jati Hai Tanhayi Mein,

Rabt-e-Wafa Nikhar Jati Hai tanhayi Mein,

Gum-e-Shab-e-Farq Se Nikal Kar Dekho,

Khushbu-e-Ded Bikhar Jati Hai Tanhayi Mein,

Dharkta Hai Dil Mera Har Aahat Par,

Muntazir Aankh B Bhar Ati Hai Tanhayi Mein,

Yaadon K Dareechon Se Zara Jahanknay Par,

Udasi Si Utar Aati Hai Tanhayi Mein,

Zamanay Ka Chalan Kahan Se Sekha Hai Tumne,

Kiya Sach Me Tujhy Meri Yaad Nahi Aati Tanhai Mein......!!!!

  • Like 1

Share this post


Link to post
Share on other sites

Main Khizaon Mein Hun Tera Muntazir Mujhe Aa K Apni Bahar De,

Mujhe Apnay Haath Se Phool Se, Meri Zindagi Ko Sanwar Se,

Yeh Kash-ma-Kash Si Mujhe Kahin hata Na De Madaar Se,

Main Bikhar Raha Hoon Khayalon Mein Mujhe Bazoun Ka Hisar De,

Mujhe Zindagi Ki Talab Bhi Hai Aur Mout Ki Bhi Hai Aarzoo,

Mujhe Muztarib Jo Kiya Hai Ab Mujhe Tu Hi Thora Qarar De,

Main Nighaon Me Hun Labon Pe Hun Main Dilon pe Bhi Hun Hukumran,

Yeh Sab Hakumatein Cheen Le Mujhe Khud Pe Bas Ikhtyaar De......!!!!

  • Like 1

Share this post


Link to post
Share on other sites

Udas Tehreer Parh K Meri, Mere Sanam Muskura Na Dena,

Ye Akhri Khat Main Likh Raha Hun, Khayal Karna Jala Na Dena,

Guzar Rahi Hai Tumhari Kaise, Bichar K Humse Rula K Humko,

Haqeeton Ko Zaroor Likhna, Aana Ki Khatir Chupa Na Dena,

Koi Puchay Kidhar Gaya Wo, Jo Teri Mehfil Ka Tha Sahara,

Jo Furqaton Ka Sabab Bany Thy, Kisi Bahsar Ko Bata Na Dena,

Main Mar B Jaon To Muskurana, Ehsas-e-Gham Ki na Chot Khana,

Jo Qurb-e-Gham Se Nighayen Bheegen To Rukh Se Anchal Hata Na Dena,

Lahu Se Tehreer Kar Raha Hoon, Main Apni Saari Kahani MOHSIN,

Jo Phar bhi Do To Paas Rakhna, Hawa Mein Tukray Urha Na Dena.......!!!!

  • Like 1

Share this post


Link to post
Share on other sites

Mansoob Thay Jo log Mere Zindagi K Sath,

Aksar Wohi Milay Hain Bari Be Rukhi K Sath,

Yun Toh Main Hans Para Hun Tumary Liye Magar,

Kitnay Sitaray Toot Paray Aik Hansi K Sath,

Fursat Milay Toh Apna Gareeban Bhi Dekh Le,

Ay Dost Yun Na Khel Mere BeBasi K Sath,

Chehry Badal Badal K Mujhe Mil Rahy Hain Log,

Itna Bura Salook Meri Saadgi K Sath,

"Mohsin" Karm Ki Lay Ho Jis Mein Khuloos Bhi,

Mujhko Ghazab Ka Pyaar Hai Us Dushmani K Sath.....!!!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Koi Humsafar Nahi Hai Koi Raazdaan Nahi Hai,

Faqat Aik Dil Tha Apna So Woh Mehrbaan Nahi Hai,

Kisi Aankh Ko sada Do Kisi Zulf Ko Pukaro,

Bari Dhoop Par Rahi Hai Koi SayeBaan Nahi Hai,

Mere Dard Ki Haqeeqat mere Aansuon Se Pucho,

Mera Mijlisi Tabassum Mera Tarjumaan Nahi Hai,

Inhi Patthron Pe Chal Kar Agar Aa Sako Toh Aao,

Mere Ghar K Rastay Mein Koi Kehkashaan Nahi Hai.....!!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.