Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
naveedmkhan

[Naveed Collections]

Recommended Posts

Banke ik saaya wo meri zindagi me aaya!

Na jaane kaun, aaya kaha se thaa ? ........

Aahat Se Uski Mujhe Hone Lagi Thi Wahshat,

Par woh mujh ko Paigham-e-mohabbat De Gaya Tha !

Dil mein uthi Tadap, us ki Sakhawat dili ki wajah se,

Aur aisa nasha hua, jo ki jaavedaa tha!

Us ke aane say jo is dil main roshni hui hai ab

Warna to is dil mein koi taara bhi na chamka tha

Dekha Jab sab ne , meri aankho main us ka chehra,

Sab ko laga aaj who mujhey apney dulhan bana gaya tha!

Edited by naveedmkhan

Share this post


Link to post
Share on other sites

Gul aur gulzar ki mehek hain charoon taraf

hum tho ek kali ke khilne ke intezaar mein hain

bijli aur aatish hain roshan charoon taraf

hum tho ek jugnoo ki roshni ke intezaar mein hain

caravan saje chale ja rahe hain har su

hum tho ek anjaan rahi ke intezaar mein hain

kash aaj tho aaaye woh hamari chaukat pe

ankheen bichaye sadiyoon se unhikay intezaar mein hain

Share this post


Link to post
Share on other sites

Woh Milta tha Roz hanste hoe hum se

Aarzoo-e-Dil ko Chupa kar hum se

Barso Se Bunta Tha Sapno Ko Palkoon Pe

Par Kahayalo Mein Khe Jata, Hum Se

OOs ki Hichkichaahat the Rokaawat

Par Itebaar Buland The Hum Se

Dil-shaad kar gai uski mahabbat mujhko

Raha Nahi gaya kuch bole bagir humse

Nigaho mein basa Liya us farishta Ko

Aur Keh deya, jo tawaqqo the uski, humse

Share this post


Link to post
Share on other sites

Mujhe hai ek gila tumse

shikayat bhi hai shikwah bhi

mujhe kyu yaad aate ho

kyu mujh ko yu satate ho

mujhe kyu tum tarsate ho

tarsake kyu rulate ho

ye duri kyu majburi kyu

zindagi yu adhoori kyu

kyu mujh ko bhool jaate ho

rulake muskurate ho

ye kaisi teri chahat hai

ye akhir kaisi muhabbat hai

jijhak kyu hai hichak kyu hai

sisak kyu hai kasak kyu hai

mujhe tumse shikayat hai

yehi meri shikayat hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

Tum mujhe chahoge ek din dekhna

Haan chale aaoge ek din dekhna

Yu karo mat mere jazbon se mazak

Warna pachtaoge ek din dekhna

Soch lo ye berukhi acchi nahi hai

Khud ko tarpaoge ek din dekhna

Mere chehre ki jhalak ke liye

Tum taras jaoge ek din dekhna

Share this post


Link to post
Share on other sites

Jab barish ki ek bund humare dil par giri

toh hamare dil mein ek becheni se uthi

woh bechani huee

mano jase

kisi apne ne hamare dil par dastak de he

aur hume pegam diya he

ki tum hume kyun yaad karte ho

hum toh hamesha tumhare

dil mein he rahte hein

bas hume mehsus karo

or tumhe asa lagega ki

hum tumhare samne he khade hein

Share this post


Link to post
Share on other sites

:clap::clap:WEL DONNE Naveed kia bat hay lag raha hai ????????

:yahoo::yahoo:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Jab barish ki ek bund humare dil par giri

toh hamare dil mein ek becheni se uthi

woh bechani huee

mano jase

kisi apne ne hamare dil par dastak de he

aur hume pegam diya he

ki tum hume kyun yaad karte ho

hum toh hamesha tumhare

dil mein he rahte hein

bas hume mehsus karo

or tumhe asa lagega ki

hum tumhare samne he khade hein

i like it ,....n nice collection

Share this post


Link to post
Share on other sites

Aao lay jao meray dil kay khazanay

SeeNch daalo yeh apnay gulshan veeranay

TanhaaioN ka zehar piya hai is amrit kay liyay

TaNz-o-fiQroN maiN jiya hai is amrit kay liyay

Barti gayi,barti gayi aur talaash tab junoon ho gayi

Meri deewanagi mehfiloN maiN haNsi ka majmoon ho gayi

Ukta kay uth gaya har aashna kareeb say

Aur ziNdagi ruk gayi us maNzar ajeeb pay

Ik taraf urnay ki lalak

Ik taraf zameeN ki pakar

Ik taraf nai duniya ka shouq

Ik taraf ajnabiyat ka khauf

Magar phit khudi nay behoshi ki aakhri zaNzeer bhi tor di

ParoN maiN apnay hosh ka dum bhar,aasmanoN say hor li

Nigaah phir uth gayi jeet haar kay sawaal say

Ufaq dar ufaq barta gaya noor hosh kay jamaal say

Phir dil dil lay kar gaya yeh wusat-e-ahsaas

Behosh sab hujoom thay laut aayaa maiN udaas

TanhaaioN maiN magar ab bhi

Umeed ki lau jalti hai.

Share this post


Link to post
Share on other sites

THANKS SHAHABI ;; ANUS

AND SIMPLE RAYAAN BHAI

:flower4u: :flower4u: :flower4u: :flower4u: :flower4u: :flower4u:

Edited by naveedmkhan

Share this post


Link to post
Share on other sites

Weldone naveed brother...

Very nice collection

Share this post


Link to post
Share on other sites

Tnhai mein khat aus ne mera padha hoga

dil aus ka bhala kaboo mein kaise raha hoga

jab sakhyon ne ause majboor kya hoga

tab sarmake naam aus ne mera liya hoga

jab ratoon ko yaadon ki purwai chali hogi

aus ke dil-e-nazuk mein tufaan uttha hoga

ek awara shayer kehtein hai jise IMTIAZ

akhsar tumhe apne khawaboon mein mila hoga

Share this post


Link to post
Share on other sites

Usko chaha bhi toh iqraar na karna aaya,

Kat gayi umr, hamein pyar na karna aaya,

Usney maanga bhi agar kuch toh judaai maangi,

Aur ek hum thay ke inkaar na karna aaya

Share this post


Link to post
Share on other sites

Main deewaani hun tere nam ki

is baat se inkar nahi,

kaise kahe ki hame aapse pyar nahi,

kuch to kasoor hai aapki nazro ka,

hum akele to gunhegar nahi.

Share this post


Link to post
Share on other sites

Main deewaani hun tere nam ki

is baat se inkar nahi,

kaise kahe ki hame aapse pyar nahi,

kuch to kasoor hai aapki nazro ka,

hum akele to gunhegar nahi.

qatil aankhay kabhi jhoot nahi boolti well yaar i like it flower4u.gif

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hoonto pe mohabat ke fasane nahi aaty

saahil pe samundar ke hazane nahi aaty

palkein bi chamak uthi hen sote hi hamari

aankho ko abi khawab chupane nahi aaty

dil ujri hoi ik saraye ki terha hai

ab loogh yahan raat jagane nahi aaty

yaaro naye mousam ne yeh ahsaan kiye hen

ab yaad samje derd porane nahi aate

urny do abi parindo ko shoh hawa men

phir lout ke bachpan ke zamane nahi aaty

is shehar ke badal teri zulfon ki terha hen

yeh aag lagate hen per bojane nahi aaty

ahbaab bi gharon ki terha ada seekh gye hen

aaty hen magar dil ko dukhane nahi aaty

Edited by naveedmkhan

Share this post


Link to post
Share on other sites

THANKS RAYAN BHAI SHAHABI BHAI AND KAMAL BRO

Yaad nahi kya kya dekha sare manzer bhool gaye,

Unki galiyoon se jab guzre hum apna ghar hi bhool gaye.

Edited by naveedmkhan

Share this post


Link to post
Share on other sites

Unki galiyoon se jab guzre hum apna ghar hi bhool gaye.

Wah bhai kia bat hay aj kal

NAVEED

Share this post


Link to post
Share on other sites

Unki galiyoon se jab guzre hum apna ghar hi bhool gaye.

Wah bhai kia bat hay aj kal

NAVEED

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ishq Pagal Kar Gaya Tu Kya Karo Gai Sooch Lo

Saniha Aisa Hua Tu Kya Karo Gai Sooch Lo

Sath Us K Har Qadam Chalnay Ki Addat Kis Liey

Chor Kar Woh Chal Dia Tu Kya Karo Gai Sooch Lo

Shor Bahir Hai Abhi Is Wastay Khamosh Hoon

Shor Undar Utha Tu Kya Karo Gai Sooch Lo

Kar Rahay Ho Ghar Naya Tameer Urti Rait Par

Yeh Achanack Gir Gaya Tu Kya Karo Gai Sooch Lo

Band Palkon Main Adhora Khaab Buntay Ho Magar

Koi In Main Aan Basa Tu Kya Karo Gai Sooch Lo

Dar Darichay Sab Muqaffil Kar K Bethay Ho Magar

Woh Achanack Aa Gaya Tu Kya Karo Gai Sooch Lo

Dobtay Suraj Ka Chehra Aur Us Ka Naksh Pa

Jab Woh Manzar Ghum Hua Tu Kya Karo Gai Sooch Lo

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ishq Pagal Kar Gaya Tu Kya Karo Gai Sooch Lo

Saniha Aisa Hua Tu Kya Karo Gai Sooch Lo

Sath Us K Har Qadam Chalnay Ki Addat Kis Liey

Chor Kar Woh Chal Dia Tu Kya Karo Gai Sooch Lo

Great Collection Buddy. :yes::yes:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.