Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
anabia

****<<<<Anabia's Collections>>>>

Recommended Posts

ASLAM ALEKUM TO ALLZ,

TODAY I AM STARTING A ANABIA'S GAZALS AND NAZAM COLLECTION,I AM STARTNG 4M

GAZAL I LIKE VERY MUCH. I HOPE U WILL LIKE MY COLLECTION.

THANKS

Share this post


Link to post
Share on other sites

Sahil UDDAS tha kay SAMANDAR udass tha,

Lagta tha jese sara he MANZAR udass tha.

Lotte FALAK say to Bari DILL-GEER the DUAA,

Ek KHAWAB totne par MUQADDAR udass tha.

Phir CHAND kolaga kar galay roo parey GHATTAN,

Aesa laga TUFAN bhe FALAK par udass tha.

Mere tabhahyoon par usay bhe MALLLAL tha,

Aaina khud ka toor kay PATHAAR udass tha.

Jo shakhs shehar me sab he ko HANSI bant'ta tha,

Yeh DILL use ke BAZZAM me ja kar udass tha.

Share this post


Link to post
Share on other sites

BASTI

.

Insaanoo ki is basti main

Kuch aise log bhi bastey hain

Jo gham sehtey hain dunya k

Jo chupkey chupkey hastey hain

Insaano ki is basti main

Rehtey hain kuch maseeha bhi

Jo kartey bass maseehae

Chhup chhup kar wo rehtey hain

Insaano ki is basti main

Bastey hain kuch sanam aise

Jo apni hi is pooja se

Kuch kuch dartey rehtey hain

Insaano ki is basti main

Bastey hain kuch farishtey bhi

Jab ghalti ka imkaan nahi

to na janey kion darte hain?

Insaano ki si basti main

Kuch log baney hain shedai

Jo hulye se hain dewaney

Par baat feham ki kartey hain

Insaano ki is basti main

Kuch log ajab se rehtey hain

Kartey hain kaam darindoon k

Aur khud ko insaan kehtey hain

Insaano ki is basti main

Rehta hai aik Khudawand bhi

Usse ki marzi k tabe hain

Jo jeetey hain jo martey hain

Insaano ki is basti main

Rehta hai aik Khudawand bhi

Jab ataa karey to aise karey

Sab malik bhi phir mangtey hain

Insaano ki is basti main

Kuch aise log bhi bastey hain

Jo gham sehtey hain dunya k

Jo chupkey chupkey hastey hain

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hum aksar yeh samajhte hein

jise hum piyar karte hein

use hum bhool jate hein

magar aisa nehin hota

muhabbat dayimi sach hey

muhabbat theher jati hey

hamari baat ke andar

muhabbat baith jati hey

hamari zaat ke andar

magar yeh kam nahin hoti

kisi bhi dkh ki surat main

kabhi koi zaroorat main

kabhi anjan se ghum main

kabhi lehjey ki thandak main

udasi ki zaroorat main

kabhi barish ki surat main

hamari aankh ke andar

kabhi ab-e-rawan ban ke

kabhi qatrey ki surat main

bazaahir aisa lagta hey

use hum bhool bethey hein

magar aisa nehin hota

yeh hargiz kam nahin hoti

muhabbat kam nahin hoti

muhabbat theher jati hey...

Share this post


Link to post
Share on other sites

very nice anbai...nw keep it dis collection 4 next competition

Share this post


Link to post
Share on other sites

Mujhay Likhney Ki Khuwahish Hay

Magar Likha Nahi Jata

Mery Alfaz Dil Ki Aahinii Deewar Se Sir Phorrtey Hain

Aur Unhain Izhar Ka Rasta Nahi Milta

Meri Aankhein!

Jinhain Dil Mein Chupay Jazbat Ko

Ashkon Ki Boli Mein Bata Denay Par Qudrat Thi

Vo Ab Kuch b Nahi Kehtein

Mery Yeh Lab!

Jo Dil Ki An Kahi Baaton Ko

Kehnay Se Nahi Dartey Thy

Vo Lab Kuch b Nahi Kehtay

Meri Yeh Ungliyan!

Jo Dil Mein Chupay Jazbat Ko

Izhar Ka Rasta Btati Thin

Vo Ab Kuch b Nahi Likhtien

Meri Aankhein,Yeh Lab, Meri Ungliyan Mujh Se Kehti Hain

k Ab Jazbat Ko Izhar Ka Rasta Nahi Dena

k Monh Zor Hotay Hain

Faqat Rastey k Milney Se

Inhein Manzil Talak Janey Ki Haajat Hi Nahi Rehti

Naye Rastey Pe Jatay Hain

Nayi Raahein Banatey Hain

Magar Phir Wapsii k Sab Nishan Bhool Jatay Hain

Inhein Rasta Nahi Dena

Inhein Tum Dil Mein Rehnay Do

Wagarna Khoon Rulayein ge

Inhein Rasta Nahi Dena

Inhein Tum Dil Mein Rehnay Do

Mujhay Likhney Ki Khuwahish Hay…!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

شہزادي ايسي ہوتي ہے ؟

اس نے کہا تم شہزادي ہو

شہزادي بھي وہ ،کہ جس کو

ساتوںرنگوں ميں خوشبو کو

گوندھ کے ڈھالا ہوگا ربّ نے نوراني پيکر کي صورت

ايک نظر تم ڈالو جس پر

...پتھر بھي اک بار تو بولے

ہولے ہولے آنکھيں کھولے

وعدہ کرتا ہوں ميں تم سے

جو تم چاہو،جو تم سوچو،جس شے کي ہو خواہش تم کو

اپنا تن من بيچ کے بھي ميں تم کو دوں گا

ايک اشارہ کرکے تو ديکھو

سارا زمانہ وار دوں جاناں!

تم کو جيت کي ڈور تھما کر

!اپنا سب کچھ ہار دوں جاناں

اور اگر وعدہ توڑوں

مجھ کو جيون راس نہ آئے

دوجا مجھ کو سانس نہ آئے

اس نے کہا کہ تم شہزادي ہو

...سوچ رہي ہوں

شہزادي کيسي ہوتي ہے؟

جيسي ميں ہوں

شہزادي ايسي ہوتي ہے؟؟؟

Share this post


Link to post
Share on other sites

Koi yaad ata hai.

Koi chupkay se in ankhoon ke band dareechoon main chala ata hai.

bari narmi se in boltay laboon per apnay hath rakhta hai.

koi yaad ata hai.

is bemaher raat main koi dheeray se mahtayat,

suna jata hai.

jo narmi se in laboon ki mahkti muskan main sama jata hai.

qadmoon ke sath Qadam mila ker safar ka sathi banta hai

band hoti ankhoon per dheeray se hath rakhta hai.

dharknoon ke sath chalta hai.

zindagi ban ke milta hai.

koi yaad ata hai.

jo pass nahi hai mager.

phir bhi pass rehta hai.

jo sath nahi hai mager,

her pal sath rehta hai.

mairi yaad bani in sansoon se dheeray dheeray kehta hai.

main zindagi hoon tumhari.

mujhe tumharay sath rehna hai.

main door bhi hoon ager to

tere dil main rehna hai.

main jahan bhi rahoon.

mairi zaat ko her pal tere hi sath jeena hai.

tere hi sath marna hai.

koi yaad ata hai.

koi bemaher meethi See yaad ban ker yaad ata hai.

koi yaad ata hai…

Aur Buhat Yaad Ata Hai[

Share this post


Link to post
Share on other sites

Aj B Barish khoob Hui

Aur Baadal Toot k Barsa tha

Galiyan koochy jal thal thay

Per soach ka sehra piyasa tha

Band

Darwazon k sheeshoon per

Jb boondain dastak deti thien

Ehsaas hua

Tum aye ho

Andaaz tmharay jaisa tha

Share this post


Link to post
Share on other sites

ye rastay mohabat k ye zabtay mohabat k

tum se hai meri jan ye selsaly mohabat k

bay karar lamhaon main sochtay ye rathay hain

choray to na jao gay is jaha ke kalwat main

mehfilain sajao tum her taraf muhabat ke

ham ko pao gay jan apny dil k angan main

Share this post


Link to post
Share on other sites

Wo Manz¡la¡n b Kho Gaien

Woh Raaste b Kho Gaye

Jo Aashna se Log Thay

Woh Ajnab¡ se ho Gaye

Na Chand Tha na Chandn¡

Ajeeb Thi Wo Z¡ndag¡

Ch¡raag Thay Ke Bujh Gaye

Naseeb Thay Ke So Gaye

Ye Poochtay ha¡n Raaste

Rukey ho k¡s ke vaastay

Chalo tum b Ab chalo

Woh Meharbaan b

Kho Gaye

Share this post


Link to post
Share on other sites

Wo Manz¡la¡n b Kho Gaien

Woh Raaste b Kho Gaye

Jo Aashna se Log Thay

Woh Ajnab¡ se ho Gaye

Na Chand Tha na Chandn¡

Ajeeb Thi Wo Z¡ndag¡

Ch¡raag Thay Ke Bujh Gaye

Naseeb Thay Ke So Gaye

Ye Poochtay ha¡n Raaste

Rukey ho k¡s ke vaastay

Chalo tum b Ab chalo

Woh Meharbaan b

Kho Gaye

:sad:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Wo Manz¡la¡n b Kho Gaien

Woh Raaste b Kho Gaye

Jo Aashna se Log Thay

Woh Ajnab¡ se ho Gaye

Na Chand Tha na Chandn¡

Ajeeb Thi Wo Z¡ndag¡

Ch¡raag Thay Ke Bujh Gaye

Naseeb Thay Ke So Gaye

Ye Poochtay ha¡n Raaste

Rukey ho k¡s ke vaastayANABIA SIS WELDONEEEEEEEEEE :crying:

:clap::clap::clap::clap:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Abr Barsa Na Hawa Taiz Chali Hai Ab Ke

Kitni Veeran Teri Yaadon Ki Gali Hai Ab Ke

Subha Ki Dhoop Utar Aai Mere Balon Main

Shab Dhali Hai Ke Meri Umr Dhali Hai Ab Ke

Kya Kahoon Kitne Bahanon Se Bhulaya Hai Usay

Ye Qayamat Bari Mushkil Se Tali Hai Ab Ke

Ye Meri Aankh Ke Kashkol Main Aansu Chamka

Ya Andheray Main Koi Shama Jali Hai Ab Ke

Sehn e Gulshan Ki Hawa Hai Keh Qaza Ki Dastak

Kitni Sehmi Hui Aik Aik Kali Hai Ab Ke

Dhoondti Hai Bhari Barsat Main Bijli Ka Suragh

Woh Jo Ik Shaakh Keh Phuli Na Phali Hai Ab Ke

Kis Ko Fursat Hai Dhuwan Dekhne Jaye 'Mohsin'

Jhompri Shehar Se Kuch Door Jali Hai Ab Ke ...

Share this post


Link to post
Share on other sites

Darya mein qatray ke soorat

"Gum" ho jaon

Apnay aap say bahir niklon

"Tum" ho jaon

Share this post


Link to post
Share on other sites

bohat khoob anabia...good collection keep it up

Share this post


Link to post
Share on other sites

Tum yaad Ho To Naqsh Ho Merey HawaaS par

Tum Ashk Ho To Merey Dukhon Ka ILaaj Ho

Tum Khuwab Ho To Meri Aankhon Main Ho kahin

Tum Wehem Ho To Mujh Ko Haqeeqat Say Ki Gharaz

Tum Bayes-e-Safar Ho, Huner Ki URaan Ho

Tum Neend Ho To So K Guzarein Gay yeh Hayaat

Tum Husn Ho To Merey Takhayyul Ki Jaan Ho

Tum Raat Ho To Mujh Ko Nahin Subah Ki Talab

Tum Noor Bun k DiL Main Samaey Ho Aaj kal

Tum Khaak Ho To Kaak Nasheenon Ki Ho Talash

Tum Dard Ho To Rooh Pay Chaey Ho Aaj Kal

Tum Dasht Ho To Main Bhi Musafir Hoon Dasht ka

Tum Chaand Ho To Talkh Andheron Ki Fiker Kiya

Tum Bay Neyaz Ho To Zamanay Say Ho Alag

Tum Rung Ho To Phir yeh Baharon ka Zikr Kiya

Tum Bay Samar Ruton Main, Baharon Ki Ho Umeed

Tum RahGuzar-e-Shauq Main Jazba Junoon Ka Ho

Tum Arzoo Ho, Ehl -e- Tamanna Ki Ho Khalish

Tum Rut-Jagon Ki BheeR Main Lamha Sakoon Ka Ho

Tum Bewafa Ruton Main Hawala Ho IshQ Ka

Tum Baybasi Ho Phir Bhi Muheet-e-Hawaas Ho

Tum Ik Kiran Ho Noor-e-Azal Main Dhali Hui

Tum Taazgi Ho, Shabnami Phoolon Ki Aass Ho

Tum Gehrey Paniyon Main Chupay Motiyon ka Lams

Tum Maut K Safar Main Nishan -e- Hayat Ho

Tum Meri Chashm-e-Num K Sitaron Ki Keh'kishaan

Tum Husn-e-Bay'Missal, Meri Kayenaat Ho

Tum Jab Say Ho Gaey Ho Meri Dastras Say Dour

Main Jee rahi Hoon Kion K Zaroori Hay Zindagi

Saanson K Bojh Ko Bhi uThaya hay Rooh Nay

Lekin Terey Bagheir......

Adhoori hay Zindagi

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hyaat Ke Ujrey Dyaar Mein Kuch Taarekiyaan Abhi Aur Hain

Naseeb Ke Bigrey Nisaab Mein Kuch Talkhiyaan Abhi Aur Hain

Main Ne Phir Se Tinkey Jorr Kar Socha Ke Banaaon Aik Ghar

Mujhey Tabhi Falak Se Nawa Milli Ke Wahaan Badliyaan Abhi Aur Hain

Yahi Dekh Ab Ke Teray Khwaab Sab Kyon Dhal Gye Hain Saraab Mein

Dil E Be Khabar Zara Hosh Kar Ke Teray Imtehaan Abhi Aur Hain

Wo Daagh Yaadon Ke Bad Numaan Tu Ne Mitaaye To Hain Par Sab Nahi

Maseeha E Waqt Meray Zehan Par Aisay Kuch Nishaan Abhi Aur Hain

Aey Toofan E Hawa Zara Phir Se Aa In Bastiyon Mein Har Us Jaga

Jahaan Bach Gye Hain Chand Ghareeb Aisey Kuch Makaan Abhi Aur Hain

Main Chaahon Agar Bhi To Kis Trah Supurd E Ajal Ho Jaaon Abhi

Ke Is Soukhta Jaan Ke Hisaab Mein Qarz E Dostaan Abhi Aur Hain

Abhi Khwaahishon Mein Lagey Raho Zara Saans Lainey Ko Ruko Nahii

Mujhey Hai Yaqeen Yahien Aass Pass Naye Aasmaan Abhi Aur Hain...~~*

Share this post


Link to post
Share on other sites

hamaaraa kyaa hai ke ham to chiraaG-e-shab kii tarah

agar jale bhii to bas itanii raushanii hogii

ke jaise tund andhero.n kii raah me.n juganuu

zaraa sii der ko chamake chamak ke kho jaaye

phir is ke baad kisii ko na kuchh sujhaa_ii de

na shab kaTe na suraaG-e-sahar dikhaa_ii de

hamaaraa kyaa hai ke ham to pas-e-Gubaar-e-safar

agar chale bhii to bas itanii raah tay hogii

ke tez havaao.n kii zard maa_il naqsh-e-qadam

zaraa sii der ko ubhare ubhar ke mit jaaye

phir us ke baad na raastaa na rah_guzar mile

hadd-e-nigaah talak dasht-e-bekinar mile

hamaarii simt na dekho ke ko_ii der me.n ham

qabiilaa-e-dil-o-jaan judaa hone vaale hai.n

base basaaye huye shahar apanii aa.Nkho.n ke

misal-e-khaanaa-e-viiraan uja.Dane vaale hai.n

havaa kaa shor ye hii hai to dekhate rahanaa

hamaarii umar ke Kheme.n ukha.Dane vaale hai.n[/color

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.