Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
anabia

****<<<<Anabia's Collections>>>>

Recommended Posts

Bhoot Khoob Anabia

Share this post


Link to post
Share on other sites

hawa thami thee zroor lakin !!

woh shaam bhee jaisey sisik rahee thee.

k zard patton ne aandhion se.

ajab qissa sun lia tha.

k jis ko sun ker tumam pattay.

sisik rahey thay.

janey kis sanehay k ghumm men.

shajjar jaroun se ukhar chukay thay.

bahut tlasha tha hum ne tum ko.

har ek raasta, har ek waadi, har ek parbat, har ek ghaati.

magar kaheen se teree khabbar na aayee.

to yeh kahe k hum ne apne dil ko taala.

hawa thamay gee to dekh len ge.

magar hamari yeh khush khiyali.

jo hum ko barbaad kar gai thee.

hawa thami thee zroor lakin.

bari hee muddat guzzer chukki thee.

hamarey baalon k janglon men.

sufed chaandi utter chukki thee.

flaq pe taarey nahi rahey thay.

gullab piyarey nahi rahey thay.

woh jin se basti thee dil ki basti.

woh log saarey nahi rahey thay.

magar yeh almiya sab se bala ta'r tha.

k hum tumhaarey nahi rahey thay.

k tum hamarey nahi rahey thay.

hawa thami thee zroor lakin.!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Junoon Ko Zabt Sikha Loon To Phir Chaley Jana

Mein Apna Aap Sanbhaa Loon To Phir Chaley Jana

Usi Tarah Hai Abhi Tishnagi In Aankhon Mein

Mein In Ki Piyas Bujha Loon To Phir Chaley Jana

Dil Ko Ye Waham K Tum Laut Ker Na Aao Ge

Ye Waham Dil Se Nikaaloon To Phir Chaley Jana

Bayaz-E-Dil Peh Jo Utri Hai Surat-E-Ilham

Wo Ghazal Tum Ko Suna Loon To Phir Chaley Jana

Nisaar Hotey Hain Shama Peh Kesey Perwaney

Yeh Jashan Tum Ko Dikha Loon To Phir Chaley Jana

Share this post


Link to post
Share on other sites

milo k ajj koi baat ru-baru kar lein

ye kyun hain dorian kuch is py guftago kar lein

karein gy phir ke ibadat tumahry chehry ki

k pehly ankh ko askhoon se ba-wazu kar lein

zara khiyal na aye hamein bicherny ka

silo mein paida koi esi arzo kar lein

taveel fasley simat bhi sakty hain

bus ik baar jo thori c justju kar lein

milo k ajj koi baat ru-baru kar lein!!!!!!!!!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Wo shaks kabhi dasht se guzrey to usey kehna

Ek pal mere ghar mein bhi thehrey usey kehna

Kehna ke samundar ke kinarey pe na jaye

Kuch log samandar se bhi hai gehrey usey kehna

Zarkhaiz zameenein kabhi banjar nahi hoti

Darya he badal lete hain raasta usey kehna

Kuch log safar ke liye mozu nahi hote

Kuch rastey kat'tey nahi tanha usey kehna

Iss shehar mein such keh ke gunehgaar na hona

Ke basti ke sabhi log hain behrey usey kehna

Share this post


Link to post
Share on other sites

Qarar de kay kabhi beqarar karteay ho

Galay laga kay kaho kitna pyar kartay ho

Nazar nazar se milay aur khumar aa jaye

Labon se kuch na kaho aaitbar aa jaye

Ye dil to bharta nahi chand mulaqaton main

Kitney tarastey rahe bheegi bheegi raaton main

Taveel rasta kiyon ikhtiyar kartey ho

Galay laga kay kaho kitna pyar kartay ho

Share this post


Link to post
Share on other sites

میری ہر ادا میں چھپی تھی تیری محبت

تو نے محسوس نہ کی یہ اور بات ہے

،میں نے ہر دم تیرے ہی خواب دیکھے

تجھے تعبیر نہ ملی یہ اور بات ہے

،میں نے جب بھی تجھ سے بات کرنا چاہی

مجھے الفاظ نہ ملے یہ اور بات ہے

،میں تیری محبت کے سمندر میں دور تک نکلی

مجھے ساحل نہ ملا یہ اور بات ہے

،قدرت نے لکھا تھا تجھے میری تقدیر میں

تیری قسمت میں، میں نہ تھی یہ اور بات ہے

Share this post


Link to post
Share on other sites

بڑے مختصر سے حروف میں

مجھے گہری بات بتا گیا

کہ وہ خواب سا کوئی شخص تھا

جو سحر سے پہلے جگا گیا

کسی مہربان کی دعا سے

یہ سفر تمام ہوا میرا

جنھیں رہبری کا غرور تھا

انھیں راستوں نے مٹا دیا

ہمیں آسماں سے گلہ نہیں

تیری رحمتوں پہ یقین ہے

جہاں زندگی شکست دی

کسی معجزے نے بچا لیا

ہمیں زندہ ہونے کا حوصلہ

تیری آرزو نے عطا کیا

بڑے گہرے زخم ملے ہمیں

جنھہں رفتہ رفتہ مٹا دیا

Share this post


Link to post
Share on other sites

تتلیاں میر ے گاؤں کی

کتنے رنگوں کے جہاں ہیں آباد

اک پھول سے دوسرے پھول پر

اپنے رنگیں پروں کی بہار دکھاتی ہوئی

میرے گاؤں کی وہ تتلی

جو گہری حسین دھوپ کا سایہ تھی

میرے گاؤں میں

وہ چہکتی تتلی گاتی پھرتی تھی

کچے گھروں کی چھاؤں میں

گاتی باتیں کرتی پھولوں سے لوگوں سے اوررنگوں

خوشبو کی طرح اڑتی پھرتی

مستی میں خود اپنے پروں کو

رقص کی صورت دیتی ہوئی

اپنے میں کچھ ایسے مگن تھی

جیسے کوئی بھی اُس کو دیکھتا نہ ہو

چاروں جانب اپنی رنگیں ہسنی پھیلاتی ہوئی

تقسیم کرتی ہوئی مسرتیں

وہ رنگین پروں کے ساتھ

بہلا جاتی تھی وہ اُس کو

جس نے مانگا اُس کا ہاتھ

روتے ہوئے کو دیتی تھی

وہ ست رنگی مسکان

بھلا دیتی تھی سارے غم سارے دکھ وہ

اپنے حسین چہرے سے کسی کو تو خوش کر جاتی تھی وہ

کر دیتی تھی لمحے بھر میں ہر کو حیران

اُس کے رنگیں پروں پر لکھا تھا میرا نام

وہ میرے گاؤں کی تتلی وہ میری صبح شام

اُس کے ست رنگی چمکتے پروں میں جنت لکھا تھا

اس تتلی کو کئی مرتبہ تنہائی میں نے سوچا تھا

وہ میرے گاؤں کی تتلی اب بھی میری یادوں میں

محفوظ ہے خوابوں کی صورت

Share this post


Link to post
Share on other sites

Mujhe Kisi Se mohabbat nahi siwa tere

Mujhe kisi ki zarorat nahi siwa tere

Meri nazar ko thi talash jis ki barso se

kisi k pass wo surat nahi siwa tere

Jo mere dil or meri zindagi se khel sake

kisi ko itni ejazat nahi sewaye tere

Share this post


Link to post
Share on other sites

میرا سوچنا تیری زات تک

میری گفتگو تری بات تک

نہ تم ملو جو کبھی مجھے

میرا ڈھونڈنا تجھے پار تک

کبھی فرصت تجھے ملے توآ

میری زندگی کے حصار تک

میں نے جانا کے میں کچھ نھی

تیرے پہلے سے تیرے بعد تک

Share this post


Link to post
Share on other sites

phir pyar kisey tum kehty ho khamosh zuban k lafzoo mein

phir pyar kisey tum kehty ho khamosh zuban k lafzoo mein

kuch poshida c batein hain in poshida c baton mein

kuch chahat ki barsatein hain in batoon ko hum mudat se

seeny mein chupa k bethy hain kuch paye bina kuch kho dena

ye pyar mein hum ne seekha hai suraj mein chand sitaron mein

har shy mein tum ko dekha hai dharkan mein bhi naghma ban kar

sager ki tarha tum behty ho ye pyar nahi to tum he batao

phir pyar kisey tum kehty ho.!!!!!!!!!!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Miley Har Qadam PAy Rafaqat Tmhari

Miley Har Qadam PAy Rafaqat Tmhari

Kahan Hum Kahan Yeh Inayat TUmhari

Humein Chahiye Bas Taluq Tumhara

Muhabbat Miley Ya Adawat Tumhari

Kisi Se Bhi Milna, Usay Jeet Lena

Barri Dil Nasheen Hai Yeh Adat Tumhari

NA Dekha Jahan Mein Aur Koi Tumsa

Barri Munfarid Hai Tabiyat Tumhari

Humein Zindagi K Kathan Raston Mein

Hemesha Rahay Gi Zarurat Tumhari

Share this post


Link to post
Share on other sites

Agar kabhi meri yaad aye

Agar kabhi meri yaad aye

To sitaroon ki narm dilgeer roshni main

Kisi sitare ko dekh lena

Gar wo nakhle falak se ur kar

Tumhare qadmon main aa gire

To jaan lena

Ye sitara tha mere dil ka

Gar na aye

Magar ye mumkin hi kis kis tarha hai

Ke tum kisi par nigah dalo

Aur us ki deware jan na tooty

Wo apni hasti na bhool jaye

Agar kabhi meri yaad aye

To guzar karti hawa ki lehroon pe hath rakhna

Main khushbuoon main tumhain miloon ga

Mujhe gulab ki pation main talash karna

Main oos ke qatroon ke ayenon main tumhain miloon ga

Share this post


Link to post
Share on other sites

Agar kabhi meri yaad aye

Agar kabhi meri yaad aye

To sitaroon ki narm dilgeer roshni main

Kisi sitare ko dekh lena

Gar wo nakhle falak se ur kar

Tumhare qadmon main aa gire

To jaan lena

Ye sitara tha mere dil ka

Gar na aye

Magar ye mumkin hi kis kis tarha hai

Ke tum kisi par nigah dalo

Aur us ki deware jan na tooty

Wo apni hasti na bhool jaye

Agar kabhi meri yaad aye

To guzar karti hawa ki lehroon pe hath rakhna

Main khushbuoon main tumhain miloon ga

Mujhe gulab ki pation main talash karna

Main oos ke qatroon ke ayenon main tumhain miloon ga

nice.one anabia...keep it up

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kahin Barish Baras Jaey

Kahin Darya Taras Jaey

Kahin Aa Kar Gata Therey

Tumhere Or Merey Darmiya

Aaa Kar KHUDA Therey…

Tu ………!!!

Us Lamhey Merey Jiwan Mein

Tum KHUDA Ke Baad Aatey Ho

Mujhey Tum Yaad Aatey Ho

Mujhey Tum Bohat Yaad Aatey Ho….

Share this post


Link to post
Share on other sites

kesy kahun ke kya ho tum

chalo main bataun kya ho tum

mery liye meri duniya ho tum

maine mangi wo dua ho tum

karey jo mujh ko roshan wo diya ho tum

dil ne kaha mera jiya ho tum

kiya maine mehsuus wo ehsaas ho tum

mery chehrey ki kashish ho tum

meri zindagi ka qarar ho tum

maine jo chaha wo pyar ho tum

tum ho to ye duniya hai meri

kesy kahun ke meri jaan ho tum…

Share this post


Link to post
Share on other sites

Suno Jana

Judai Maut Hoti Hai!

kabhi fursat mile tu daikhna patton ka girna tum,

k jab yeh shajar se gir k zameen par aan partey hain tu kaise raunde jate hain.

thirthrati raat k khamosh lamhon mein,

kisi bebas akeli bawafa khamosh ladki ki kabi tum siskian sunna,

kabi qitaar se bichri hui koonjon k noohe par nigah karna,

k kaise aik dooje ki judai par tarap kar bain karte hain,

kabi rukhsat k lamhon mein kisi ki ankh se larkhartey huwey ansoo ko daikho gi,

tu shaid jaan jao gi,

judai maut hoti hai,

Abi tum ne muhabbat k baraste bheegte mausam nahi daikhe,

abi tum titliun k rang muthi main chupati ho,

abi tum muskarati ho

suno jana !

kabhi jo zindagi ne ajnabi veran rahon par,

tumhare yeh hansi cheene,

tu phir ansoo bahao gi,

tum itna jaan jao gi

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ab meray shanay say lag kar kis liey rotay ho tum

yaad hai tum nay kaha tha

"jab nigahon main chamak ho

lafz jazbon kay asar say kanptay hon, aur tanafuss

iss tarah uljhain ki thakan khushboo banay

to woh ghari ehad-e-wafa ki saa;at-e-nayab hai

woh jo chupkay say bichhar jatay hain lamhay hain, Musafat

jin ki khair paoon par pehray bithati hai

nigahain dhund kay pardon main unko dhoondati hain

aur samaa;at unki naram aahat keliey

daman bichhati hai"

aur woh lamha bhi tumko yaad ho ga

jab hawain sard thin aur sham kay melay kafan par

hath rakh

tum nay lafzon aur ta;luq kay naey ma;ani bataey thay, kaha tha

har ghari apni jagah par saa;at-e-nayab hai

hasil-e-umar-e-guraizan aik bhi lamha nahin

lafz dhoka hain keh n ka kaam iblagh-e-maani ke ilawa kuchh nahin

waqt maani hai jo har lehza naey chehray badalta hai

janay wala waqt saaya hai

keh jab tak jism hai yeh aadmi kay sath chalta hai

yaad misl-e-natq-e-pagal hai, keh iss kay lafz maani say tahi hain

yeh jisko tum ghum, aziet, dard, aansoo

dukh waghaira keh rahay ho

aik lamhaati ta;asur hai, tumhara veham hai

tum ko mera mashwara hai, bhool jao tum say ab tak

jo bhi kuchh main nay kaha hai"

Ab meray shanay say lag kar kis liey rotay ho tum!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.