Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
anabia

****<<<<Anabia's Collections>>>>

Recommended Posts

;;TUM MERE NAHI HO.......::

Tum mere nahin ho is dil ko main samjhaoon kaise

Sunhari yaadain tumhari main dil se mitaaoon kaise

Jaane kab chupke se aan basey tum mere man main

Bas tum hi tum ho wahan, tumko main dikhaaoon kaise

Har shaam de kar jaati hai mujhe dard ki tanhaaiyaan

Har subah deti hai nayi ummedain unhain bujhaaoon kaise

Zindagi jee rahi hoon main ek benaam si saza ki tarah

Rooth gaya hai jo Khuda us ko main manaaoon kaise

Ya Rab na kat sakega safar-e-zindagi kisi aur ke humraah

Ye baat dil ki main us sitamgar ko samjhaaoon kaise !!!!

NICE ANABIA

Share this post


Link to post
Share on other sites

:;ABHE WAQAT HAI MUJHE CHOR JA::

Abhi waqt he mujhy chor ja

Abhi maslihat ka moqam he,

Abhi Qafilon ka Qayam he,

Abhi dastaras main he zindagi,

Abhi chashm-e-Num main he roshni,

Abhi naqsh-e-paa ko sabat he,

Abhi kuch hi der ki baat he,

ABHI WAQT HE MUJHY CHOR JA....

abhi gard raah se uree nahi,

abhi kirchiyoN main baty nahi,

abhi hur nazara haseen he,

abhi shab-e-No ka yaqeen he,

abhi hum kinaroN per hen khary,

ABHI WAQT HE MUJHY CHOR JA....

Ye safar nahi azaab he,

Yahan her qadum pe sarab he,

Yahan bud goomani ka raaj he,

YahaN be wafai riwaaj he,

Abhi hosh khony k din nahi,

Abhi tery rony k din nahi,

ABHI WAQT HE MUJHY CHOR JA...

Abhi sari nagri andher he,

Abhi din nikalny main der he,

Abhi behr-e-ishq main na utar,

Abhi shahar sara he be khabar,

ABHI WAQT HE MUJHY CHOR JA..

ABHI WAQT HE MUJHY CHOR JA..

Share this post


Link to post
Share on other sites

;;KISI DIN TEZ BARISH MAIN;;

Kisi din tez barish main

Agar tum bheeg jao to

Agar barish k ye qatray

Tumhari zulf ko chu kar

Tumharay gaalon ko chumen

Agar barish k pani say

Agar thandi hawaon say

Kisi purzor jhonkay say

Meri jan jhoom jao to

Mujhy tum yaad kar lena

Agar khwahish ho aisay main

Koi sathi ho bahon main

Jo chheray zulf ko teri

Teray rukhsar ko choomay

Tu jhoomay us ki bahon main

Teri bahon main wo jhoomay

Mujhy tum yaad kar lena……

ANABIA ?????????????????????????????

Share this post


Link to post
Share on other sites

Dastak kisi ki ha ke guman dekhnay to de

Dastak kisi ki ha ke guman, dekhnay to de

Darwaza ham ko taiz hawa kholnay to de

==================== ==================== ============

Soda ha umr bhar ka koi kheel to nahi

Aay chasm e yaar mujhko zara sochnay to de

==================== ==================== ===========

Us harf "kun" ki aik amanat ha mere paas

Lakin ye kaynat mujhay bolnay to de

==================== ==================== ===========

Apne lahuu ki taal pe khawahish ke moor ko

Ay dasht e ahteyaat kabi nachnay to de

==================== ==================== ===========

Shayad kisi lakeer mein likha ho mera naam

Ay dost apna hath mujhay dekhnay to de

==================== ==================== ===========

kese kisi ki yaad ka chehra banao'n mein

Amjad wo koi naqsh kabi bhoolnay to de

==================== ==================== ===========

Amjad Islam Amjad

Share this post


Link to post
Share on other sites

MOHOBBAT

Mohobbat oas ki surat!

piyasi pankhari ke hont ko sairab kerti hai

gulon ki aastinon main anokhay rung bharti hai

seher ke jhutputay main, gungunati, muskurati, jagmagati hai

mohobbat ke dinon main dasht bhi mehsoos hota hai

kisi firdous ki surat

mohobbt oas ki surat

Mohobbat abr ki surat!

dilon ki sar-zameen per ghir ke aati aur barasti hai

chaman ka zarra zarra jhoomta hai, muskurata hai

azal ki be-namu matti main sabza sar uthata hai

mohobbat un ko bhi aabad aur shadaab kerti hai

jo dil hain qabr ki surat

mohobbat abr ki surat

Mohobbat aag ki surat!

bujhay sinon main jalti hai tou dil baidaar hotay hain

mohobbat ki tapish main kuch ajab israar hotay hain

ke jitna bharakti hai, uroos-e jaan mehekti hai

dilon ke sahilon pe jama hoti aur bikharti hai

mohobbat jhaag ki surat

mohobbat aag ki surat

Mohobbat khuab ki surat!

nigahon main uterti hai kisi mahtaab ki surat

sitaray aarzu ke is tarah se jagmagatay hain

ke pehchani nahi jati, dil-e be-taab ki surat

mohobbat ke shajar pe khuab ke panchi utertay hain

tou shakhain jaag uthti hain

thakay haary sitaray jab zameen se baat kertay hain

tou kab ki muntazir aankhon main

shammein jaag uthti hain

mohobbat un main jalti hai, chiraagh-e aab ki surat

mohobbat khuab ki surat

Mohobbat dard ki surat!

guzishta mousamon ka ista'aara ban ke rehti hai

shaban-e hijr main roshan sitara ban ke rehti hai

mundairon per sitaron ki loain jab thartharati hain

nagar main na-umeedi ki hawaein sansanati hain

gali main jab koi aahat, koi saaya nahi rehta

dukhay dil ke liye jab koi bhi dhoka nahi rehta

ghamon ke bojh se jab tootnay lagtay hain shanay tou

yeh un pe haath rakhti hai

kisi hamdard ki surat

guzer jatay hain jab saray qaaflay jab dil ki basti se

fiza main tairti hai dair tak

yeh gard ki surat

mohobbat dard ki surat.

post-19037-128017154407_thumb.jpg

Edited by anabia

Share this post


Link to post
Share on other sites

MOHOBBAT

Mohobbat oas ki surat!

piyasi pankhari ke hont ko sairab kerti hai

gulon ki aastinon main anokhay rung bharti hai

seher ke jhutputay main, gungunati, muskurati, jagmagati hai

mohobbat ke dinon main dasht bhi mehsoos hota hai

kisi firdous ki surat

mohobbt oas ki surat

Mohobbat abr ki surat!

dilon ki sar-zameen per ghir ke aati aur barasti hai

chaman ka zarra zarra jhoomta hai, muskurata hai

azal ki be-namu matti main sabza sar uthata hai

mohobbat un ko bhi aabad aur shadaab kerti hai

jo dil hain qabr ki surat

mohobbat abr ki surat

Mohobbat aag ki surat!

bujhay sinon main jalti hai tou dil baidaar hotay hain

mohobbat ki tapish main kuch ajab israar hotay hain

ke jitna bharakti hai, uroos-e jaan mehekti hai

dilon ke sahilon pe jama hoti aur bikharti hai

mohobbat jhaag ki surat

mohobbat aag ki surat

Mohobbat khuab ki surat!

nigahon main uterti hai kisi mahtaab ki surat

sitaray aarzu ke is tarah se jagmagatay hain

ke pehchani nahi jati, dil-e be-taab ki surat

mohobbat ke shajar pe khuab ke panchi utertay hain

tou shakhain jaag uthti hain

thakay haary sitaray jab zameen se baat kertay hain

tou kab ki muntazir aankhon main

shammein jaag uthti hain

mohobbat un main jalti hai, chiraagh-e aab ki surat

mohobbat khuab ki surat

Mohobbat dard ki surat!

guzishta mousamon ka ista'aara ban ke rehti hai

shaban-e hijr main roshan sitara ban ke rehti hai

mundairon per sitaron ki loain jab thartharati hain

nagar main na-umeedi ki hawaein sansanati hain

gali main jab koi aahat, koi saaya nahi rehta

dukhay dil ke liye jab koi bhi dhoka nahi rehta

ghamon ke bojh se jab tootnay lagtay hain shanay tou

yeh un pe haath rakhti hai

kisi hamdard ki surat

guzer jatay hain jab saray qaaflay jab dil ki basti se

fiza main tairti hai dair tak

yeh gard ki surat

mohobbat dard ki surat.

excellent anabia

Share this post


Link to post
Share on other sites

:;ABHE WAQAT HAI MUJHE CHOR JA::

Abhi waqt he mujhy chor ja

Abhi maslihat ka moqam he,

Abhi Qafilon ka Qayam he,

Abhi dastaras main he zindagi,

Abhi chashm-e-Num main he roshni,

Abhi naqsh-e-paa ko sabat he,

Abhi kuch hi der ki baat he,

ABHI WAQT HE MUJHY CHOR JA....

abhi gard raah se uree nahi,

abhi kirchiyoN main baty nahi,

abhi hur nazara haseen he,

abhi shab-e-No ka yaqeen he,

abhi hum kinaroN per hen khary,

ABHI WAQT HE MUJHY CHOR JA....

Ye safar nahi azaab he,

Yahan her qadum pe sarab he,

Yahan bud goomani ka raaj he,

YahaN be wafai riwaaj he,

Abhi hosh khony k din nahi,

Abhi tery rony k din nahi,

ABHI WAQT HE MUJHY CHOR JA...

Abhi sari nagri andher he,

Abhi din nikalny main der he,

Abhi behr-e-ishq main na utar,

Abhi shahar sara he be khabar,

ABHI WAQT HE MUJHY CHOR JA..

ABHI WAQT HE MUJHY CHOR JA..

:wacko::wacko::wacko:

Share this post


Link to post
Share on other sites

THANKS RUMMANA,NADIA AHMED & THANKXXXXXXXX SHAHABI

Share this post


Link to post
Share on other sites

Jo kuch dekha jo socha wohe tehreer kar jaen

jo kagaz apnay hissay ka hai wo kagaz tu bhar jaen!

Nashay main neend k taray bhe ek dojay pe girtay hain

Thakan rastoun ki kehti hai chalo ab apnay ghar jaen!

Kuch aise behisi ki dhund se phayli hai aankhon main

Hamari soratain dekhain tu aaenay bhe dar jaen

Na himmat hai ganim-e-wqt se aankhain milanay ki

Na dil main housla itna k mitti main utar jaen

Gul-e-umeed ki sorat teray bagoun main rehtay hain

Koe mousam hamain bhe de k apni baat kar jaen!

Dayaar-e-dasht main reeg-e-rawan jin ko banati hai

Bata aay manzil-e-hasti k wo rastay kidhar jaen!

Tu kia aay qasim-e-ashya ye he aankhon ki qismat hai

Agar khawabon se khali hon tu pachtawoun se bhar jaen!

Agar bakhshish milay amjad tu us khushbo se behtar hai

K es be-faiz gulshan say bandhi muthii gozar jaen!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Na mohabbato'n ka hisab tha na adawato'n ka shumar tha

kabhi zaat uski azaab thi, kabhi rooh ka wo qarar tha

Usey mainey murh k sada na di k palat gaya tha wo raah se

Mai khiza'n huwa to pata chala meri zaat ka wo nikhaar tha

Meri pyas utni hee barh gayee, k saraab iteny miley mujhey

Huwa jiss pe dhauka ghulab ka, wo sulagta jalta sharaar tha

Tu bhi door hai, mai bhi door hoo'n kyu'n alag huwe hain ye raastey

Meri chahato'n ka guraiz tha , ya teri anaa ka hisaar tha

Wo kabhi kisi ko miley kahee'n, to koi bata de usey zara

Meri funn e shair ki be_khudi, terey ishq ka hee kamal tha

Share this post


Link to post
Share on other sites

Naya Hai Shaher, Naai Assray Talaash Karoon

Tu Kho Gaya Hai, Kahan Ab Tujhay Talaash Karoon

____________________ ____________________ _____

Jo Dasht Mai Bhi Jalatay Thay Fasal-e-Gul Kay Chiragh

Mai Shaher Mai Wohi Abblay Talaash Karoon??

____________________ ____________________ _____

Tu Aks Hai Tu Kabhi Meri Chasham-e-Ter Mai Uter...!!

Teray Leye Kahan Mai Aainay Talaash Karoon.........!!

____________________ ____________________ _____

Tujhay Hawaas Ki Awaargi Ka Ilam Kahan...!!

Kabhi Mai Tujh Ko Teray Samnay Talaash Karoon..!!

____________________ ____________________ _____

Meray Wajood Se Shaied Milay Suraagh Tera

Kabhi Mai Khud Ko Teray Wastay Talaash Karoon

____________________ ____________________ ______

Ghazal Kahoon, Kabhi Sadda Se Khat Likhoon Us Ko

Udaas Dil Kay Leye Mashghalay Talaash Karoon...!!

____________________ ____________________ ______

Mai Chup Rahoon Kabhi Be-Wajjah Hans Paroon MOHSIN

Usay Ganwa Kay Ajjab Hoslay Talaash Karoon.............. ..!!!!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

"TERI SOCHO MAI TERI SOCH KE MEHVAR MAI KIA HAI"

Teri Socho Mai Teri Soch Ke Mehver Mai Kiya Hai

Tu Mujh Se Sunn Teri Khudi Ki Tamanaa Kiya Hai

Mai Teri Rooh Mai Uttri Thi Kahan Kab Kaise

Tujhe Maloom Hai Sun-ney Ka Bahana Kiya Hai

Mai Terey Hijr Mai Sadiyan Guzaar Sakti Hon

Ye Chaar Din Ki Judayee Ka Nibhana Kiya Hai

Mai Teri Zaat Pe Khud Ko Bhi Waar Sakti Hon

ye Suraj Chand Sitaron Ka Lutana Kiya Hai

Apni Ulfat Ke Ek Lamhey Se Nawaz Mujhe

Us Ek Lamhey Mai Sadiyon Ka Guzar Jana Kiya Hai

Her Ek Jannam Mai Musalsal Mera Hasil Tum

Terey Liye Faqat Ek Umr Lutana Kiya Hai

Meri Dua Mere Allah Tak Bhi Puhanchey Gi

Mujhe Zamii Ko Is Falaq Ko Hilana Kiya Hai

Meri Ankhon Ki Jheelon Mai Wo Izteraab Aaya

Ke Samander Ke Tufanon Ka Fasana Kiya Hai

Kahi Phir Se Na Ankhain Toot Barsain Sawan Si

Mujh Se Na Pooch Ke Ashkon Ka Fasana Kiya Hai

To Kisi Shajar Ke Ujjrey Hovey Pattey Se Pooch

Tujhe Ro Ro Ke Sunaye Ga Mera Fasana Kiya Hai

Edited by anabia

Share this post


Link to post
Share on other sites
:yes::yes:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kahi Phir Se Na Ankhain Toot Barsain Sawan Si

Mujh Se Na Pooch Ke Ashkon Ka Fasana Kiya Hai

nice sharing anabia.kepe sharing more flower4u.gif

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.