Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
molajut

Ik Pather Say Piyar Kia Tha

Recommended Posts

Blue Eyes> thanks a lot aap nay to kuch zayada he tareef kar di kher mein to bas Thanks he kar sakta hun aap ka aur aap ki posting bhi shandaar thi..Carry on

Bitha K pehlu mein yaar ko Ghalib

Jo kuch nahin kartay Kamaal kartay hain

Haath chootay bhi to rishtay nahi choota kertay.......

waqt ki shaakh say lamhay nahi toota kertay.......

jisnay pairon kay nishaan bhi nahi choray peechay......

uss musaafir ka pata bhi nahi poocha kertay.......

tu nay awaaz nahi di kabhi murh ker werna.......

hum kai saddiyaan tujhay ghoom kay dekha kertay.......

beh rahi hay teri jaanib hi zameen pairon ki.......

thakh gaye dortay daryaaon ka peecha kertay....

jis ki awaaz main silwat ho nighaahon main shikan......

AEsi tasveer kay tukray nahi jora kertay.......

shehed jeenay ka mila kerta hay thora thora......

jaanay walon kay liay dil nahi tora kertay.......

lag kay saahil say jo behta hay usay behnay do......

aisay darya ka kabhi rukh nahi mora kertay.......

haath chootay bhi tu rishtay nahi choota kertay.......

Share this post


Link to post
Share on other sites

syra>>Nice Kamal..ooohoo i mean nice shair s :D ..and thanks for appriciating..

Molajut>>Tareef Us KHuda ki jis nay ye jahan banaya :D ....nice KAMAL from ur side 2! thanks for appriciation... :)

Mohabbat Jab Laho Ban Kar Ragoon Main Sar Saraey To

Koe Bhola Hua Chahra Aachanak Yaad Aey To

Tehar Jana , Samajh Laina ,

K Ab Wapas Palatnay Ka Aamal Aagaz Hota Hay

Qadam Mushkil Say Uthtay Hon, Erada Dagmagaey To

Koe Madham SAy Lehjay Main Tumhay Wapas Bulaey TO

Tehar Jana , Samajh Laina ,

K Ab Wapas Palatnay Ka Aamal Aagaz Hota Hay

Kabhe Tanhaeon Ka Dard Aankhon Main Samaey To

Koe Lamha Guzeshta Chahaton ka Jab Sataey To

Tehar Jana , Samajh Laina ,

K Ab Wapas Palatnay Ka Aamal Aagaz Hota Hay

Kese Ke Yaad Main Rona , Tumhay Bhee Khoon Rulaey To

Aagar Tum Say Tumhara Dil Kese Din Rooth Jaey To

Tehar Jana , Samajh Laina ,

K Ab Wapas Palatnay Ka Aamal Aagaz Hota Hay

Kaheen Aanhoneon Ka Dar, Parendoon Ko Udaey To

Hawa Jab Pair Say Ek Zard Sa Patta Geraey To

Tehar Jana , Samajh Laina ,

K Ab Wapas Palatnay Ka Aamal Aagaz Hota Hay

Share this post


Link to post
Share on other sites

Blue Eyes> Nice one

aj youn mosaam nay dien jasnee muhabbat ki kahbar

phoot kar ronay lagay hay may mohabbat aur tum

hum nay junhi kar liya mehsos manzil hay qareeb

rastay kohnay lagay hay may mohabbat aur tum

chand ki kirnoo nay hum ko is tarha bosa diya

devta honay lagay hay may mohabbat aur tum

dahar gaya elzam jub say apni hurmat per koi

barishien dohnay lagay hay may mohabbat aur tum

aj phir mehromion ki dastanay uoorh kar

khak may sonay lagay hay may mohabbat aur tum

koh gayee hay andaz bihi awaz bihi alfaz bihi

kahmoshii dohndnay lagay hay may mohabbat aur tum

Share this post


Link to post
Share on other sites

bharkaaein meri pyaas ko aksar teri aankhein

sahra mera chahra hei, sumandar teri aankhein

khaali hoi jo shaam-a-ghareebaan ki hatheli per

kia kia na lutati rahein gohar teri aankhein

ab tak meri yaadon say mitaye nahin mitta

bheegi hoi ek shaam ka manzar, teri aankhein

yoon dekhtey rehna osay acha nahin

wo kaanch ka paikar hei to pathar teri aankhein

Share this post


Link to post
Share on other sites

nice post by all

Apni Nazroon se jo gir jaye woh chehra na bana

Mujh ko Lamhe-a-Fursat Ka Khilona na Bana

Saink'Roon Rastey Hain Ajnabi ho Janey Ke

Tark karna hai tou Talook ka bahana na bana

Jhoot Ehsaas Ki Qandeel Ko Boojha Deta Hai

Muhjey Insaan samjh Khuda ka Farishta na bana

Apni Yaadein tu mere Dil main basi rehne dey

Is Mehaktey Huay Gulzaar Ko Sehra na bana

Mein tu Pehle Hi Zakhum liye Phirta Hoon

Muhjey ab MeMoMs Dard-e-tamasha na bana

Thak gaeen Hain MeMoNs Ehsaas ki Aakhain

Naqsh-e-Deewar per ab koi Afsana na bana

Share this post


Link to post
Share on other sites

Aatish-e-hijr hai aur mein hon

Musalsal sabar hai aur mein hon

Kabhi to aa keh khushi mere aangun barse ge

Abhi to bas abar hai aur mein hon

Saamnay tu hai aur mere labon Pe musKurahat

Dil par aik jabar hai aur mein hon

Itna tanha ho Chuka hon...

ZindaGi Qabar hai aur mein hon...

Share this post


Link to post
Share on other sites

Blueyes> zindagi qaber hai aur mein haun.........itna dard but nice :yes:

Garmi-a-Hasrat nakam say jal jatay hain!!!!!!!!!!

Ham 'Charagon' ke tarha Sham say jal jatay hain

Shama jes 'Aag' main jalti hay 'Numaish' k leya!!

Ham ese 'Aag' main 'Gumnam' say jal jatay hain

Jab bhe ata hay mayra 'Naam' tayray 'Naam' k sath

Janay qun Loog mayray 'Naam' say jal jatay hain

Share this post


Link to post
Share on other sites

khamosh chahatoon ki mehak is taraf bhi hai .....

jo mairay dil mein hai woh kasak us taraf bhi hai ....

hain is taraf bhi taiz bohat dil ki dharkanien ......

betaab choriyon ki khanak us taraf bhi hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

syra>>haan derd waqae bhut hai in shair mein..thanks for liking :)and ur post is also very nice..

saamia>>nice work..:yes:

main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta

is ka matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta

chahta hoon main tujhe aaj bhi par

teri soch mei apna waqt bekar nahi karta

tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri

isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta

jo kuch mila hai usi mei khush hoon main

tere liye khuda se taqraar nahi karta

par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim

warna Mein tujhe chahne ki khataa bar bar nahi karta

Share this post


Link to post
Share on other sites

Blueyes> zaber10st yah khata baar baar nahi kerta.......wow.....

saamia> u r 2 Gud :yes:

MAGAR TUM NAHI THEY ...

AAJ TO WAHAN BOHAT SHOOR THA PANCHION NEY KHUB GEET GAAI

IN GEETON MAIN IS SHOOR MAIN HUM TO WAHAN THEY PAR TUM NAHI THEY

AJ PHIR WAHAN ZOOR ZOOR BADAL GARJEE BAARISH OUR TUFAN AAI

HUM TO WAHAN BOHAT BHEEGE PAR TUM NAHI THEY

LAGTA HAI KE WAHAN WAQT THAM SA GAYA HAI SAB RUK SA GAYA HAI

HUM TO WAHAN WAQT KE SATH SAATH THEY PAR TUM NAHI THEY

WAHAN HUM TO TERAY DEEWANE THEY

KAASH KE AGAR TUM HOTEY MAGAR KABHI TUM NAHI THEY

SOOCHA THA WAHAN EK PYARA SA GHAROONDA HUM MILKAR BANAAIN GEY

HUM TO WAHAN MITTI LEKAR KHARE RAHEE MAGAR TUM NAHI THEY

Share this post


Link to post
Share on other sites

zakam hi dil pe lagane aao

shab_e_furkat mein jalane aao

dharkano ne tu sataya hai bout

hahaton se bhi darrane aao

chata hoon sila milay hum

khoon ke aansoon rulane aao

hain agher boj teri hasti pe

safa_e_hasti se mitane aao

sham inhen kaho k sabhi aahe hain

tum bhi humhen kaak mein milane aao

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ek kawaab hei os khawaab ko khona bhi nahin hei

Tabeer k dhaagay mein paroona bhi nahin hei

Liptaa hei merey dil say kisi raaz ki sorat

woh shakhs k jis ko mera hona bhi nahin hei

Share this post


Link to post
Share on other sites

Molajut>>Sitam to yeh hai ke woh bhi na ban saka humara

Humne jis ke sahe ghum bhi Khushi ki tarhan

very nice..great! :yes:

Pagal Aankhoon wali larki!

itney mehngay khawab na dekho

pechtaao gi!!

soch ka saara ujlaa kundan

zabt ki raakh main ghul jaey ga

kecchay pakkay rishtoon ki khushboo ka resham

khul jaey ga!

tum kiya jano?

khawab,safar ki dhoop k taishey

khawab,adhoori raat ka douzakh

khawab,khayaloon ka pechtaawa

khawaboon ki manzil ruswaaii!

khawaboon ka hasil tanhaaii!!

tum kiyaa jano?

mehangay khawab khareednaa hoon to

Aankhain baichnaa pertii hain ya

rishtey bhoolna pertay hain

Andeshoon ki rait na phaankoo

piyaas ki out saraab na dekhoo

itney mehngay khawab na dekhoo!!

thak jaoo gi!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Blue Eyes> Thanks for appreciation :rolleyes: ..and who is this Pagal aankhoon wali larki :P Pagal aankhoon wali ya Neeli aankhoon wali :D

Meian ney sumjha

Pyaar shaffaf dhandey meethey pani ka jharna hai

Pyaar ghaney pair ki ghani jhaya

Pyaar baharo’n mein barish ki dhandhi bhuwaar

Pyaar sardiyo’n mein malagji dhoop ki gharmi

Pyaaarr sub kuch paa lainey ka naam hai

Lehkin! Mein ney jana

Pyaar dhoka hai, fareb hai

Pyaar khawab hai sairab hai

Pyaar ghazao’n ki khusk hawa

Pyaaaarrr garmiyo’n ki tapti dobaher

Pyaaarrr apna sub kuchhh kho deney ka naam hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

molajut>>neeli ankhoon wali ko tou mein janti hon lakin pagal ankhon wali pata nahi koon hai..aab neeli ankhoon wali pagal ankhoon wali tou nahi bun sekti na..ya ankkhain neeli hoon ge ya pagal.. :suspect: :D

Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga...

Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga..

Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi.......

Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga

Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy.......

Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga...

Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say..

Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga..

Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy........

Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga..

Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana.........

Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga......

Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab....

Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga....

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.