Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
CrystalHeart

Aansoo

Recommended Posts

In aansuoun ko paani kehna

bhool nahin, NADAANI hai

Than man mein jo aag lagaye

Ye tho aisa paani hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

u Welcome miss sonoo0....very famous ghazal....thanks for sharing here

Youn dil ko har ek shaks par wara nahi karte

aankhon main har ek aqs utara nahi karte

honi hai to ek baar hi ho jaye mohabbat

Yeah bhool hai aisi kay dobara nahi karte

:girl: :)

Share this post


Link to post
Share on other sites

"Ab k baras"

Ab k baras kiya naya saal ho ga,

Pehlay jo hua hai wohi haal ho ga,

Umeedon ka diya jalay ga raat din,

Khushion ka bicha hua har soo jaal ho ga,

Tarekh dorahati rahay gi khud ko hamisha,

Waisay hi faraq hongay wohi visaal ho ga,

Milann ka lamha ho ga aankh nam ho gi,

Daaman ko apnay samatena shayad mahal ho ga,

Poch lena tum pochna ho jo bhi,

Woh hi jawab hongay woh hi sawal ho ga,

Ho jaain gay puray woh sapnay adhoray,

Na bhi dil main baqi koi malal ho ga

Share this post


Link to post
Share on other sites

nice miss Charmer

Aaj jee chahta hai ...

aj jee chahta hai

ke bohet baarish ho

aur

saara paani beh jaye

ankhoon ke aasmaan se

ke pelkoon ke baadel

bohet bojhel ho chuke

aur jhappakne se tappekne lagte hain

phir tappakta paani

tau kissi ke pyas nahi bhujata

aur mujhe tu tere dil ke zameen

sairaab kerni hai

iss liye

aj jee chahta hai

ke bohet baarish ho

:girl: :)

Edited by Talaash

Share this post


Link to post
Share on other sites

Mohabbat ab nahin ho gi

Yeh kuch baad mein ho gi

Guzar jaaen gay jab yeh din

Yeh un ki yaad mein ho gi

Share this post


Link to post
Share on other sites

Jab hum na hon gay

Jab hum na hon gay

Ttoo kia ho ga

Yeh hi din yeh hi ratain hon gee

Janazay ko humaray kandha deney kay bad

Yeh hi khoshian yeh hi baratain hon gi

Bhol jaoo gai kay hum bhi thay kabhi fehrist-e-yaran main

Humarey bad yeh hi dost

Yeh hi hansi ki batain hon gi

Kisi ney such hi kaha hai

Murnay walay kay sath koi nahi mara karta

Humaray bad yeh hi log

Aur un ki tarkee ki nayee batain hon gee

Jab hum na hon gay

Share this post


Link to post
Share on other sites

din aaj aa gaya woh khushiyon waala

jise roz sapno mein main dekha karta tha

farq aaj bas itna hai

spno mein koi aur hua karta tha haqeeqat mein koi aur hai

jaane se pehle muskura kar haath hilana pada

aankhein namm thi, dil bhi roya mera

phir bhi muskurana pada

Share this post


Link to post
Share on other sites

Urte badal,buzurgon ki shafkat bane dhoop mein larkiyan muskurati rahen

Jab se jana ke abb koi manzil nahi,manzilen raah mein aati jaati rahen

Raat,pariyan,farishte,hamare badan,mang ker baraf mein jal rahe the magar

Kuch shabhihen,kitabon ke bujhte diye,kagazi muqbaron mein jalati rahen

Saare din ki tapi sahili reat per wooh tarapti hoi mashliyan so gain

Apne milne ki wooh akhri shaam thi,lehren aati rahen lehren jaati rahen

Nange paoon farishton ka ik tohfa,aasmaan se zamin per utarne laga

Sar barehna falak zadiyan arsh se ansoon ke sitaron girati rahen

Ik dariche mein do ansoon ka safar,raat ke raaston ki tarah kho gaya

Naram mitti pe girti hoi pattiyan,soone waloon ko chadar urhati rahen

Share this post


Link to post
Share on other sites

MERE ASHQKO KA HAR KATRA,

TERE MOHABBAT KE NISHANI HAI,

JO TU SAMJHE TO MOTI,

JO NA SAMHE TO PANI HAI.

Share this post


Link to post
Share on other sites

GHUM KOOSH HAIN YA ALAM RUBA HAIN AANSOO

KUCH IS SeY GHARZ NAHI K KIA HAIN AANSO ...

ROTA HOON K TERI MOHABBAT RAHAY SHADAAB

SUNA Hai K MOHABBAT KI GHIZA HAIN AANSO.... :crying:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ajab Qahat Pera is saal ashkon ka

K aankh Ter na hui ,khoon main naha ker bhi

Amin Swati (my grand father)

Edited by **LaLa_1**

Share this post


Link to post
Share on other sites

Itney khaamosh bhi na raha karo

Gham judaai mein yoon na kia karo

Khawaab hotey hein dekhney k liye magar

In mein ja kar magar raha na karo

Share this post


Link to post
Share on other sites

Yaad aayi unki aaj phir ek baar,

aaye aansun palkon par aaj phir ek baar....

puncha humnein kyo aate ho baar baar,

to kahne lage ae kambakht hum hi to hain teri tanhayiyo ke yaar :weep:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Muskaratey Raho

Dard kaisa bhi ho ankh nam na karo

Raat kaali sahi koi gham na karo

Ik sitara bano jagmagatay raho

Zindagii mein sada muskaratay raho

Baant'ni hai agar baant lo har khushi

Gham na zahir karo tum kisi per kabhi

Dil ki gehraai mein ghum chupatay raho

Zindagii mein sada muskaratay raho

Ashk anmool hain kho na dena kahin

In ki har boond hai motiyoon se haseen

In ko har ankh se tum churatay raho

Zindagii mein sada muskaratay raho

Faaslay kam karo dil milatay raho

Zindagii mein sada muskaratay raho

:girl: :)

Share this post


Link to post
Share on other sites

MERI ZINDAGI FANA KERKE WO HANS RAHA HAI

DIL SEENE SAI JUDA KERKE WO HANS RAHA HAI

KHOWAHISH-E-DIL UMID-E-MAN MERA HANSATA JIVAN

SAB KUCH TABAH KERKE WO HANS RAHA HAI

MERE KHUDA KAHAN HAI TO KAHAN DHOONDHOON TUJHE

BUTOON KO KHUDA KERKE WO HANS RAHA HAI

MERE MOOM K DIL KO SHOOLOON KE ZAKHAM BAKSH KER

ZAHAR KO DAWA KERKE WO HANS RAHA HAI

NA KISI KA EHSAAS NA HI KISI KA DARD SAMJHE

WAJOOD SAI WAFA KERKE WO HANS RAHA HAI

ZONAAB DIL KI DUA HAI K WO SADA YONHI MUSKRAI

AANSOON KI GILA KERKE WO HANS RAHA HAI

Share this post


Link to post
Share on other sites

dil chahta hay,, aik bar qalam uthaon,,,or likh dalon wo sab tahrerain koray kagaz per,,,jo mayray dil per naqsh hain,,,,,jo halat k zayr_e_asar ,,,dil k zindan main band hain,,,,magar jab likhnay ko mayra haath junbish karta hay,,,,,siyahi say bannay wali tahreer,,,,mayre aankhon say bahnay wallay aansoon main bah jatte hay........... :crying:

Share this post


Link to post
Share on other sites

"Zaroori to nahin"

Lamha Lamha aapki nazre karam ho ye zaroori to nahi

Har dil ke rishte main ek sanam ho, ye zaroori to nahi

Jo jee chahe woh mil jaaye kab aisa hota hai

Dil ka dard mohabbat ban jaye kab aisa hota hai

Har zakhm ka ek marham ho yeh zaroori to nahi

Dil bhi kitna nadan hai, dil lagaye baitha hai

Pyaar ke ohde ko jaane bina, dil lagaye baitha hai

Yeh rishta aasmaan sa, har insaan ko mukammil nahi

Aise behis na ho, yeh har dil main shaamil nahi

Unka Tagaful karna sab pe sitam ho ye zaroori to nahi

Woh kounsa ehsaas hai jo aankh ko bojhal karde

Itni narmi se dil main utre ke neend ko boda karde

Yeh dard se mehroom dard ko kya janoo

Kaash ke mera khayaal aapke ke khwabon ko taazaa karde

Mera khayal bhi mulayam-o-madham ho ye zaroori to nahi

Share this post


Link to post
Share on other sites

:yes:

Dheeme Dheeme Aansoo Dil Se Girte Hain.......

Hum Apna Ghum Sab Se Chupaaye Hue Hain

Share this post


Link to post
Share on other sites

MAHOOBAT SEEE ANAYAT SEE WAFA SEE CHOOT LAGTEE HAI

BEHKARTA BHOOL HUN MUJ KOO HAWA SEE CHOOT LAGTEE HAI :weep:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hai Dil ko yaqeen, aaein gey woh laut ke aik Roz

Jaisey woh koi cheez yahaan bhool gaey hon

Share this post


Link to post
Share on other sites

Roye Hein Buhat Tab Zara Karaar Mila He

Is Jahan Mein kise Bhala sacha Pyar Mila He

Guzar rahi hey zindagi Imtehan ke daur se

Ek khatam Howa To Dosra Tayar Mila He

Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal

Gham ka khazana jo isko beshumar mila he

Who kamnasib hein jinhe mehboob mil gaya

Mein khushnasib ho mujhe Intezar mil gaya

Gham nahi mujhe ke Dushman howa yeh zamana

Jab Dost Hathoon Mein Liye Talwar Mila

:weep:

Share this post


Link to post
Share on other sites

youn tuh zaabth bout hai hum meh lakin kya batahein

aankh tak ahey aanoo tuh pehna mushkil hota hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

Liptay kabhi Shaano'n sey, kabhi Zulf sey uljhay

Kiyon dhoond'ta rehta hai sahaarey Tera aanchal

Share this post


Link to post
Share on other sites

AHYA THA KHAYAL KEH AAKHEIN BEEGH GAHEIN

AANSOO KISSI KI YAAD KEH KITNEY KAREEB THEE

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.