Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
anaas

Great Poets And Their Poetry

Recommended Posts

Mohsin Naqvi, Nayi Nasal ka Shaayer!

Mohsin buniyeaadi tor per ghazal k shaayer hain. Isliye un k Qita'aat main bhi ghazal ki kaar-farmaayi nazar aati hai. Mohsin ki ghazlon main Mozoo'aat ka tano'o milta hai. In mozooaat ka talluq ird gird k mushaahidon aur tajarbon say hai magar un main fitri gehraayiaan aur sacchaayiaan bhi shamil hain.. kyun k un tajarbon main Ishq ko wazeyaa muqaam hasil hai..

Mohsin k nazdeek Ishq ki ahmiyat "Hasil" say hai.. magar Ishq zindagi ka hasil nahi balkay zindagi k goona'n goo'n tajurbon main say aik tajurba hai.. Ishq k liye zindagi k baaqi tajurbon ko nazar andaaz nahi kiya ja sakta...jese k kehtay hain;

Ab Ussko kho raha hun baray Ishtiyaaq say

Woh Jisko dhoondhnay main zamana laga mujhay!

aur kaha k "Mujhay zahir k Inbasaat say Baatin ka Dukh zyada pasand hai" k goyeaa dukh ka baatin hona hi us ki asal qeemat ka gawaah ho..

Mere Ashaa'r mere khuwaab hain, sach much k khuwaab.. Jo apni taabeeron k liye aksar meri neendain jalaa kr Mujhay jaagnay par majboor kr dete hain.. agar Aap bhi kuch dayr ko Mere sath jaag saktay hain to Mujhay khushi hogi... Warna Mujhay to Bahar-haal Jaagna Hai.."

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hum jo ppohanchay Sar-e-Muqtal, to Yeh Manzar dekha

Sab say Ooncha tha jo Sar, Nok-e-Sinaa'n par dekha

Hum say mat pooch kab Chaand ubhartaa hai yahan

Hum nay Sooraj bhi Tere Shehar main Aa kr dekha

Peyaas Yaaron ko ab iss Maurr pe le aayi hai

Rayt chamki to Yeh samjhay k Sammandar dekha

Aisay liptay hain Dar-o-Baam say ab kay jese

Haadison nay bari Muddat main mera Ghar dekha

Zindgi bhar na huwa khatam Qeyaamat ka azaab

Hum nay har saans main barpaa neya Mehshar dekha

Itna Be-Hiss kay Pighaltaa hi naa tha baaton say

Aadmi tha k Taraashaa huwa Patthar dekha??

Dukh hi aisaa thaa k Royeaa tera Mohsin warna

Gham chhupaa kar Usay Hanstay huye aksar dekha

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ma'arkaa ab kay huwa bhi to phir aisa ho ga

Tairay Dariya pay Mairi Peyaas ka Pehra ho ga

Uss ki Ankhain tairay chehray pe bohut bolti hain

Uss nay Palko'n say taira jism taraashaa ho ga

Kitnay jugnoo isi khuwahish main mairay sath chalay

Koi Rastaa tairay ghar ko bhi to jata ho ga

Main bhi apnay ko bhulaaye huye phirtaa hun bohut

Aayena Uss nay bhi kuch roz na dekhaa ho ga

Raat jal-thal mairi aankhon main utar ayaa tha

Soorat-e-Abr koi toot kay barsaa ho ga

Ya Maseehaayi Usay Bhool Gayi Hai Mohsin

Ya Phir Aisa Hai Maira Zakhm Hi Gehraa Ho Ga

Share this post


Link to post
Share on other sites

Wohi Sab Kuch Sahi Laikin...!

Wohi Aankhain hain

Jin main Zindagi nay Khuwaab likhay thay!

Wohi Palkain hain jin par

Mairay Honton ki shuaao'n nay

Chuuni thi Kehkashaa'n aksar!

Wohi Lab, Jin say Lafzon kay sitaaray toot kar

Mairi Ghazal main Saans lete thay,

Wohi Chehra___ Jo Harf-o-Saut k daayiray main

Markazi Nuqtaa,

Wohi Gardan, K jis main Aqdd-e-Marjaa'n, Aayena bandi ka khumeyaazaa

Wohi Baazoo, Jinhain Mairay badan ka Lams Aksar

Be-Karaa'n Chaahat ki Ruut say

Aashna karta..

Wohi sab kuch___ Magar Ik Farq Wazeyaa hai..

Kay ab Uss ki tabiyat main samandar ka Tamawwaj hai..

Wohi Sab Kuch___ Magar ab iss tarah lagta hai Jese

Hum main naa-deeda Faseelain khich gayi'n khud say

Kabhi Mairi Moabbat say attay Mahtaab ki Raatain

Ghaani Raatain!

Usay Achi Nahi Lagti'n

Kabhi be-Rabt-o-be-khuwaahish Mulaaqaatain

Usay Achi Nahi Lagti'n

Wohi Sab Kuch Sahi Lakin___ Ab Aisa Hai

Mairi Baatain___ Usay Achi Nahi Lagti'n

Share this post


Link to post
Share on other sites

Kabhi Jo Cheirr Gai Yaad'e'Raftagan !Mohsin!

Bikher Gai Hain Nighein Kahan Kahan !Mohsin!

Hawa Ne Raakh Urayee To Dil Ko Yaad Aaya

K Jal Bujhain Mere Khawabon Ke Bastiyaan !Mohsin!

Kuch Aisay Gher B Mile Jin Main Ghonghaton K Aawaz

Hoi Hain Dafan Dopaton Main Larkiyaan !Mohsin!

Khander Hai Ehud'e'Guzishta Na Chu Na Chair Esay

Khulain To Band Na Hoon Is Ke Khirkiyaan !Mohsin!

Bujha Hai Koon Sitara K Apni Aankh K Sath

Howe Hain Sare Manazir Dhowan Dhowan !Mohsin!

Nahi Keh Us Say Ganwa Hain Maah'o'Saal Apne

Tamam Umer Kati Yun Bhe Ra'ye'gaan !Mohsin!

Mila To Or Bhe Taqseem Ker Gaya Mujh Ko

Sameetna Thi Jisay Meri Kirche'yaan !Mohsin!

Kahe Say Us Nay B Tora Hai Khud Say Rabt'e'Wafa

Kahe Say Bhool Gaya Main B Dastaan !Mohsin!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hajoom mein tha wo khul ker na ro saka ho ga

magar yaqeen hai k shab bhar na so saka hoga

wo shaks jisko samjhnay mein mjhko umar lagi

bichar k mjuh say kisi ka na ho ska hoga

buhat ujaar thy paa'taal uski aankhon k

wo aanso'on say na daaman bhigo saka hoga.. wah

laraztay haath, shikasta si dor saanson ki

wo khusk phool kahan tak piro saka hoga..

Share this post


Link to post
Share on other sites

Mere Naam Se Pehle...

abh ke us ki ankhon mien

besabab udaasi thi

abh ke us ke chehray per

dukh tha...behawasi thi

abh ke yun mila mujh se

yun ghazal suni...jese

mein bhi na_shanasa hoon

wo bhi ajnabi jesse

zard khaal o khad uss ke

sogawar daman tha

abh ke uss ke lahjay mein

kitna khudra pan tha

wo ke umer bhar jis ne

shahr bhar ke loogon mien

mujh ko hum sukhan jana

khud se mehrban samjha

mujh ko "Dilruba" likha

abh ke sada kaghaz per

surkh roshnai se

us ne talkh lahjay mein

mere naam se pehle!

sirf "Bewafa" likha

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hamaaraa kyaa hai ke ham to chiraaG-e-shab kii tarah

agar jale bhii to bas itanii raushanii hogii

ke jaise tund andhero.n kii raah me.n juganuu

zaraa sii der ko chamake chamak ke kho jaaye

phir is ke baad kisii ko na kuchh sujhaa_ii de

na shab kaTe na suraaG-e-sahar dikhaa_ii de

hamaaraa kyaa hai ke ham to pas-e-Gubaar-e-safar

agar chale bhii to bas itanii raah tay hogii

ke tez havaao.n kii zard maa_il naqsh-e-qadam

zaraa sii der ko ubhare ubhar ke mit jaaye

phir us ke baad na raastaa na rah_guzar mile

hadd-e-nigaah talak dasht-e-bekinar mile

hamaarii simt na dekho ke ko_ii der men ham

qabiilaa-e-dil-o-jaan judaa hone vaale hain

base basaaye huye shahar apanii aankhon ke

misal-e-khaanaa-e-viiraan uja.Dane vaale hain

havaa kaa shor ye hii hai to dekhate rahanaa

hamaarii umar ke Khemen ukha.Dane vaale hain

Edited by anus

Share this post


Link to post
Share on other sites

zikr-e-shab-e-firaaq se vahashat use bhii thii

zikr-e-shab-e-firaaq se vahashat use bhii thii

merii tarah kisii se muhabbat use bhii thii

mujh ko bhii shauq thaa naye cheharo.n kii diid kaa

rastaa badal ke chalane kii aadat use bhii thii

us raat der tak vo rahaa mahv-e-guftaguu

masruuf mai.n bhii kam thaa faraaGat use bhii thii

sunataa thaa vo bhii sab se puraanii kahaaniyaa.N

taazaa rafaaqato.n kii zaruurat use bhii thii

mujh se bichha.D ke shahar me.n ghul mil gayaa vo shaKhs

haalaa.Nke shahar bhar se raqabat use bhii thii

vo mujh se ba.Dh ke zabt kaa aadii thaa jii gayaa

varnaa har ek saa.Ns qayaamat use bhii thii

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ab aye meray ehsaas-e-junoon--kia mujhey daina?

--Darya usay bakhsha hai toh sehra mujhey daina--

Tum apna makaan jab karo taqseem toh yaaron-!

Girti hui deewar ka saaya mujhey daina--

Jab waqt ki murjhaai hui shaakh sambhaalo.

Us shaakh say toota hua lamha mujhey daina

Tum mera badan odh kay phirtay raho-

LEKIN|Mumkin ho toh ek din mera chehra mujhey daina

Choo jayee hawa jis say toh khushboo teri ayee..

Jaatey huay ek zakhm toh aisa mujhey daina

Ek dard ka mela hai--laga hai dil-o-jaan mein..

Ek rooh ki awaaz keh rasta mujhey daina

Ek taaza ghazal izn e sukhan maang rahi hai

Tum apna mehekta hua lehja mujhey daina

Wo mujh say kahin badh kay musibat mein tha *Mohsin*

Reh reh kay magar uska dilaasa mujhey daina 

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ab aye meray ehsaas-e-junoon--kia mujhey daina?

--Darya usay bakhsha hai toh sehra mujhey daina--

Tum apna makaan jab karo taqseem toh yaaron-!

Girti hui deewar ka saaya mujhey daina--

Jab waqt ki murjhaai hui shaakh sambhaalo.

Us shaakh say toota hua lamha mujhey daina

Tum mera badan odh kay phirtay raho-

LEKIN|Mumkin ho toh ek din mera chehra mujhey daina

Choo jayee hawa jis say toh khushboo teri ayee..

Jaatey huay ek zakhm toh aisa mujhey daina

Ek dard ka mela hai--laga hai dil-o-jaan mein..

Ek rooh ki awaaz keh rasta mujhey daina

Ek taaza ghazal izn e sukhan maang rahi hai

Tum apna mehekta hua lehja mujhey daina

Wo mujh say kahin badh kay musibat mein tha *Mohsin*

Reh reh kay magar uska dilaasa mujhey daina 

t9hxmh.jpg

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hamaaraa kyaa hai ke ham to chiraaG-e-shab kii tarah

agar jale bhii to bas itanii raushanii hogii

ke jaise tund andhero.n kii raah me.n juganuu

zaraa sii der ko chamake chamak ke kho jaaye

phir is ke baad kisii ko na kuchh sujhaa_ii de

na shab kaTe na suraaG-e-sahar dikhaa_ii de

hamaaraa kyaa hai ke ham to pas-e-Gubaar-e-safar

agar chale bhii to bas itanii raah tay hogii

ke tez havaao.n kii zard maa_il naqsh-e-qadam

zaraa sii der ko ubhare ubhar ke mit jaaye

phir us ke baad na raastaa na rah_guzar mile

hadd-e-nigaah talak dasht-e-bekinar mile

hamaarii simt na dekho ke ko_ii der men ham

qabiilaa-e-dil-o-jaan judaa hone vaale hain

base basaaye huye shahar apanii aankhon ke

misal-e-khaanaa-e-viiraan uja.Dane vaale hain

havaa kaa shor ye hii hai to dekhate rahanaa

hamaarii umar ke Khemen ukha.Dane vaale hain

My most fav poetry thx 4 sharing :flower4u:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Abhi kya kahen abhi kya sunayen

K sar-e-fasil-e-sukut-e-jan

Kuf-e-roz-o-shab pe sharar numa

Wo jo harf jarf charag tha

Usay kis hawa ne bujha diya

Kabhi lab hilenge to puchna

Sar-e-sahar-e-ahad-e-wisal-e-dil

Wo jo nikahaton ka hujum tha

Usay dast-e-mauj-e-firaq ne

Tah-e-khak kab se mila diya

Kabhi gul khilenge to puchna

Abhi kya kahen abhi kya sunayen

Yun hi khwahishon k fishar main

Kabhi be-sabab kabhi bekhalal

Kahan kaun kis se bichar gaya

Kise kis ne kaise ganwa diya

Kabhi phir milenge to puchna

Share this post


Link to post
Share on other sites

Usy paana,Usy Khona,usi K hijir Main Rona,

Yehi gar ishq hai "MOHSIN" To hum Tanha hi Achay hain!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.