Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
Zaini

Vote For Best Poetry

Recommended Posts

Vote for Best poetry

Deadline 20Nov 2010

Shanirockon

Meri zindagi tou firaq hai!!!!

Meri zindagi tu firaq hai, wo azal se dil mein makee'n sahi

wo nigah-e-shoq se door hain, rag-e-jaan se laakh qareeb sahi

-

hamen jaan deni hai ek din, wo kisi tarah! wo kahee'n sahi!

hamen aap kheenchye daar par, jo nahi koi tu hamee'n sahi

-

sar-e-toor ho, sar-e-hashr ho, hamen intezaar qabool hai

wo kabi milen, wo kaheen milen, wo kabi sahi, wo kaheen sahi

-

na ho un pe mera bas nahi, ke ye ashqi hai, HAWAS nahi

mein unhi ka tha, mein unhi ka hon, wo mere nahi tu naheen sahi

-

mujhe bethne ki jaga mile, meri aarzo ka bharam rahe

teri anjuman mein ager nahi, teri anjuman ke qareeb sahi

-

meri zindagi ka naqeeb hai, nahi door muj se.. qareeb hai

mujh uska gham tu naseeb hai! , wo ager nahi tu naheen sahi

-

jo ho faisla wo sunaaye, usse hashr per na utthaaye

jo karen ge aap sitam WAHAN, wo abi sahi, wo yaheen sahi

-

usse dekhne ki jo lo lagi, tu Qateel dekh he len ge ham

wo hazar aankh se door ho, wo hazaar parda nasheen sahi

QATEEL SHAFAIE

Shahabi

Sham-e-firaq ab na pooch

aayi aur aake dhal gayi

Dil tha ki phir behal gaya

jaan thi ki phir sambhal gayi

Buzm-e-khayal me tere husn ki shamma jal gayi

Dard ka chand bujh gaya

hijar ki raat dhal gayi

Jub tujhe yaad kar liya

subha mehak mehak uthi

Jub tera gham jaga liya

raat machal machal gayi

Dilse to har mamla

kar ke chale the saf hum

kehne me unke samne

baat badal-badal gayi

( Faiz Ahmad Faiz )

Darkbubble

zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi

meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi

mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki did ka

rasta badal k chalne ki adat use bhi thi

us rat der tak wo raha mahw-e-guftagu

masruf main bhi kam tha faragat use bhi thi

sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan

taza rafaqaton ki zarurat use bhi thi

mujh se bichar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs

halanke shahar bhar se raqabat use bhi thi

wo mujh se barh k zabt ka adi tha ji gaya

warna har ek sans qayamat use bhi thi

(MOHSIN NAQVI)

Anabia

::Yeh jo raig e dasht e firaq hai::

Yeh jo raig e dasht e firaq hai,Yeh rukay agar

Yeh rukay agar tou nishan milay,ye nishan milay

K jo faaslon ki saleeb hai

Ye gari huwee hai kahan kahan

Mere aasman se kidher gaee tere iltafat ki kehkashan

Mere bekhabar, Mere baynishan

Ye rukay agar tou pata chala

Mai tha kis nagar, Tu raha kahan!

Keh zaman o makan ki wusetian

Tujhay daikhnay ko taras gaeen

Wo mere naseeb ki barishain

Kisi aur chatt per baras gaeen!

Mere char-soo hai wo gubhar e jaan,Wo fishar e jaan

Keh khabar nahee mere hath ko mere hath ki

Mere khawb say tere baam tak

Teri rahguzer ka tou zikar kia

Nahee zoofishan tera naam tak!

Hain dhuan dhuan mere isthakhwa

Mere aansuon mein bujhay huwe mere istakhwan

Mere naqsha gar, mera naqsha jaan

Isi raig e dasht e firaq mein rahay muntazir.tere muntazir

Mere khawb jin k fishar mein

Rahi mere haal say bekhabar

Teri rahguzar

Teri rahguzar k jo naqsh hai mere hath per

Magar is bala ki hai teergi

Keh kahbar nahee mere hath ko mere hath ki

Wo chasm e shoubda saaz thi wo uthay agar

Mere istakhwan mein ho roshni

Isi aik lamha e deed mein teri rahguzer

Meri teera jaan mein chamak uthay

Mere khawb say tere baam tak

Sabhi manzaron mein damak uthay

Isi aik pal mein ho jaawidan

Meri arzoo k hai be-karan

Meri zindagi k hai mukhtsir

Ye jo raig e dasht e firaq , ye rukay agar.

(AHMED FARAZ)

Urva

Wafa mein Aab yeah hunar Ikhtiyaar karna hai..

Woh sach kahay na kahay aaitbaar karna hai..

@};- @};- @};- @};-

Yeah tujh ko jaagtay rehnay ka shouq kab say howa ?

Mujhay tu khair taira intazaaar karna hai

@};- @};- @};- @};-

Hawa ke zad mein jalanay hain ansoon kay chiraagh

Kabhi yeah jashan sar rah'guzaar karna hai

@};- @};- @};- @};-

woh muskura kay naye waswasoon mein daal gaya

Khayaal tha eh ussay sharamsaar karna hai

@};- @};- @};- @};-

Misaal e shaakh e barhana khizan ke rut mein kabhi

Khud apnay jisam ko bay barg o baar karna hai

@};- @};- @};- @};-

tairay firaaq mein din kiss tarhaan kattain apnay

Keh shughal e shab tu sitaray shumaar karna hai

@};- @};- @};- @};-

Chaloo yeah ashak hee moti samajh kay baich ayain

Kissi tarhaan tu humain rooz'gaar karna hai

@};- @};- @};- @};-

Kabhi tu dil mein chupay zakham bhi numayaan hoon

Qaba samajh kay badan taar taar karna hai

@};- @};- @};- @};-

Khda khabar yeah koi zid keh shouq hai mohsin

Khud Apni jaan kay dushman say payaar karna hai

(MOHSIN NAQVI)

Zaini

Ye ajeeb fask-e-firaaq hai

K na lab pay hurf-e-talab koi

Na udasioon ka sabab koi

Na hajoom-e-dard k shooq main

Koi zakham ab k hara hua

Na kamaan badast-e-ada hua

Na malamat-e-saf-e-dushma'naan

Na ye dil kisi say khafa hua

Koi taara apnay libaas ka

Na hawa nay hum say talab kia

Sar-e-raah-guzar wafa berhii

Na dia jalanay ki aarzoo

Bay'chara ghum-e-doo jahan

Na maseeh koi na chara gar

Na kisi khayal ki justujuu

Na khalish kisi k wisaal ki

Na thakan rah-e-mah-o-saal ki

Na dimaag-e-ranj-o-bataan

Na taalash-e-lashkar-e-nasihaan

Wohi aik rang hai shooq hai

Wohi aik Rasam hai shehr KI

Na nazar main khoof hai raat ka

Na fizaa main din ka hiraas hai

Pay arz-e-haal-e-sukhan rawaan

Wohi hum-sukhan hai rafeeq-e-jaan

Wohi hum-sukhan jisay dil kahain

Woh Tou YOun BHi Kub Ka Udaas Hai ...........!!

Mohsin NaqVi

Anus

ye shab-e-firaq ye bebasi hain qadam qadam pe udasiyan

Mera sath koi na de saka meri hasraten hain dhuan dhuan

Main tarap tarap k jiya to kya mere khwab mujh se bichar gaye

Main udas ghar ki sada sahi mujhe de na koi taslliyan

chali aisi dard ki andhiyan mere dil ki basti ujar gai

ye jo rakh-si hai bujhi bujhi hain isi mein meri nishaniyan

ye fiza jo gard-o-gubar hai meri bekasi ka mazar hai

Main wo phul hun jo na khil saka meri zindagi mein wafa kahan"

FaRaZ

  • Like 1

Share this post


Link to post
Share on other sites

best of lucks all

Share this post


Link to post
Share on other sites

Asalam oalikum

Voting dakh kar bhot afsos howa .serf 3 Regular mem nay voting main hesa leya hay.

shahabi ap k req ka cy members par koi asar nahi howa

ONLY :crying: :crying: :crying: :crying: :crying: :crying: :crying:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.