Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
Zaini

December

Recommended Posts

DECEMBER SO GIA Hay

Usay Kehna

Kitabo Main Rakhay Sookhay Kuch Phool

Us Kay Lout Aanay Ka Yaqeen Dilatay Hain

Usay Kehna

Us Ke Jheel See Aankhay Kese Manzar Pay Chaa Jaye

Tu Sab Manzar Yoon Hi Bheeg Jatay Hain

Usay Kehna

Keh Thandi Baraf Per Koii Saath Chalta Hay

Tu Qadmo Kay Nishaan Phir Say

Usi Kay Lout Aanay Kay Nishaan Dil Pay Banatay Hain

Usay Kehna

Keh Us Ki Bheegi Aankhon Ka Wo Aansoo

Sitaaray Ke Tarah Ab Tak

Shab Main Ham Ko Jagata Hay

Usay Kehna

Keh Barish Khirkiyon Per Us Kay Aansoo Paint Karti Hain

Usi Ka Naam Likhti Hain

Usay Hi Gungonati Hain

Usay Kehna

Keh Khushboo, Chaandni , Taaray

Saba, Raastay, Ghata, Kajal

Mohabbat, Chaandni, Shabnam

Hawayein, Raat , Din, Badal ,

Sab Hi Naraz Hain Ham Say

Usay Kehna

Keh Judaii Kay Darakhton per

Jo Sokhi Tehniyaan Hain

Baraf Ki Chaadar Ki Zadd Main Hai

Or Un Shaakon Pay Yaadon Kay

Jo Pattay Thay ......... Sunaihrii Ho Gaye Hain

Usay Kehna

DECEMBER SO GIA HAY

Or Yakh-Bakhta JANUARY Lout Aai Hay

Usay Kehna

Keh Lout Aaye ................. !!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

December say kia poochtay ho

yeh tu ik mohar hay

ik seel hay jo zindagi k ik baab par

ik saal k ikhtitam par

Aaj lag jaye gi

poochna hay tu

in dhool uraty March April or September say poocho

October or November ki in udaas shaamon say poocho

ya agar poochna hay tu

January ferwary ki ThiTherti kuhar aalood shamon say poocho

may june july august ki jhulasti weeran dopehron say poocho

woh chehray jo in be-dard maheenon ki bhooki kokh main ja samay

woh yadain

jo ruton ki badalti tareekhon say kita-e-nazar

dil main angaron ki tarah dehakti rahain gi

saal palat saktay hain

din tareekhon ka bhaes badal badal kar aa saktay hain

woh hi har maheenay ki yakam do or phir untees or tees

magar yeh ooper neechay girti tareekhain

din ki kokh say janam laita aik or din

khua kitna hi niya kion na ho

ujla or roshan kion na ho

woh beetay sunahray lamhy

woh mann chahay chehray

woh rooThay bichRay Appnay

woh pyaron ki unbhool yadain

woh meezan-e-amal main beRhtay

har lamhay k khasary ka ehsas

kon sa baras

kon sa din

kon sa pal

phir say mana kar laa sakta hay

apni jholi main bhar kar laa sakta hay

December say kia poochtay ho

yeh tu ik shaam main dhal kar aaya hay

nerm garam yadon ka moonh band sermaya

aakhiri shab December k hawalay kar k

Yakam Janwary main ja samay ga

December say kia poochtay ho

Share this post


Link to post
Share on other sites

Use kehna December ja raha hai!!

December kay guzarte hi,

bars aik aor maazi ki jafaun main doob jaye ga,

Use Kehna!!

December kay guzernay say zara pehle,

Muhabbat ki kahani ko koi takmeel dey jana,

Usey Kehna!!

December ka Maheena jaisay guzre ga,

Umeedain Doob jayein gi,

Wo Sapnay toot jayein gay,

Usey Kehna!!!

December kay guzarnay say zara pehley

Mohabbat ko koi tabeer day jaye,

Usey Kehna!!

Mukadar ko hamaray doob janay say bacha lena,

Usey Kehna!!

Decemebr Ja raha hai!!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.