Zaini 22 Posted December 6, 2010 Assalam O Alikum Members, Is MOnth k competition main ap nay December k hawalay say POetries share karni hai Yani is month ka ap ka word hai December Entries submit karnay ki last date 20 Dec 2010 hai. Best of luck Allz Share this post Link to post Share on other sites
sobe 12 Posted December 7, 2010 zaini poetry kay sath sath aur bhi competion honay chiayy na Share this post Link to post Share on other sites
amaan 65 Posted December 7, 2010 welcome Zaini . Zaini henceforth plz grace the forum by ur presence & regular participation. You have been always the real life of this Forum. Share this post Link to post Share on other sites
Waqas 48 Posted December 7, 2010 Nice competition zaini, hope you will get good response. amman> itni tareef nahi karo inki ye magroor hokar ghaib ho jati hain Share this post Link to post Share on other sites
Zaini 22 Posted December 7, 2010 zaini poetry kay sath sath aur bhi competion honay chiayy na Awards ka start ho raha hai isi month Share this post Link to post Share on other sites
Zaini 22 Posted December 7, 2010 welcome Zaini . Zaini henceforth plz grace the forum by ur presence & regular participation. You have been always the real life of this Forum. Thanx Amaan ...... Amaan main yahan stay tou jaoon par hmaray jo Admin hain na woh mujhay yahan stay karnay nhi daitay .....aur main tou yahan bht kam hoti hon CY ki asal ronaq tou yahan k members hain like, Shahabi, Laraib, Chinky, Emaad bro, Sobe waghara Share this post Link to post Share on other sites
Zaini 22 Posted December 7, 2010 Nice competition zaini, hope you will get good response. amman> itni tareef nahi karo inki ye magroor hokar ghaib ho jati hain Thx Admin .... aur meri tareefon say ap kyun jealous ho rahay hain Share this post Link to post Share on other sites
tanha 2 Posted December 10, 2010 Phir December Me Khuli Guzray December Ki Kitaab phir december me khuli,guzray december ki kitaab dil k angan me khila phir teray chehray ka gulab thay jaisay phool say sandal say mehektay huay haath paish kartay hauy coffe wo khanaktay hauay haath mujh ko chonay ki tamanna me jhijhaktay huay haath aur hathon me simat\ta hua wo sara hijaab phir december me khuli,guzray december ki kitaab thatharatay huay wo lab hain na un ka ghaaza kitni sardee hai yah kiss tarah say ho andaazaa band hota hua ahista say ek darwaazaa keh raha hai abhi utha hai sarhany say wo khwaab phir december me khuli,guzray december ki kitaab yaad jab ayay wo lub jaag utha sara badan khushk maiwon ki lehek say chamak utha yeh dehen khajl-e-shab me wo simti hui sardi ki dulhan barf main lipta ho jis tarah say sholay ka shabab phir december me khuli,guzray december ki kitaab garam sanson k siwa sard sa sara kamra teray chehray k siwa dard sa sara kamra ab to hai dil ki tarah dard sa sara kamra ab to aik pyaas hai aur dour talak aik sarab phir december me khuli,guzray december ki kitaab yeh khizan aur yeh girtay huay patton ka shor jism shal karti hui khushk hawaon ka yeh zor mujh ko khenchay lye jati hain ghatayen tere aour to waha hai, yaha main, hayey yeh doori ka azaab phir december me khuli,guzray december ki kitaab tum gayay jab say wahin tham gayi sardi ki yeh raat jaisay honton pe he reh jaye adhori koi baat jaisay hathon main akar koi nikal jaye woh haath jaisay dekhay koi raton ko adhora koi khwaab phir december me khuli,guzray december ki kitaab dhoop ki naram chamakti jaroon ki wo subh aout say jhanktay shafaaf paharon ki wo subh adh khilay nain dareechon ki dararon ki wo subh nikhra nikhra sa tere tarah wo din ka shabab phir december me khuli,guzray december ki kitaab roz ankhon me guzarti hai teray baad yeh raat mujh say kaatay nahi kat\ti teray baad yeh raat mo lapaitay pari rehti hai teray baad yeh raat raat ek baar khila phir say tere yaad ka baab phir december me khuli,guzray december ki kitaab wo teray saath december ki guzaari hui shaam tezz khanjar ki tarah dil me utari hui shaam laut k ayi nahi phir wo pukari hui shaam phir nahi dekha koi jagti ankhon kabhi khwaab phir december me khuli,guzray december ki kitaab phir december hai ussi tarah say tanha hai koi adh khula darr hai ussi tarah say tanha hai koi phir wohi ghar hai ussi tarah say tanha hai koi phir wohi hijr wohi hai shab-e-hijran ka azaab PHIR DECEMBER ME KHULI, GUZRAY DECEMBER KI KITAAB DIL K ANGAN MAIN KHILA PHIR TERAY CHEHRAY KA GULAAB.. Share this post Link to post Share on other sites
shahabi 23 Posted December 10, 2010 Assalam O Alikum Members, Is MOnth k competition main ap nay December k hawalay say POetries share karni hai Yani is month ka ap ka word hai December Entries submit karnay ki last date 20 Dec 2010 hai. Best of luck Allz Hmmmm good competition. Share this post Link to post Share on other sites
shahabi 23 Posted December 10, 2010 December tum mat aaya karo Suno k Jab bhi tum aate ho Udasiyon ki undeikhi BARISHON MEIN DIL KO BHIGHO DEITE HO Tum aate ho to... Barfeeli si tanhaiyon ki Sard hawa kantton ki tarah Rag-e-jaan mein chubhne lagti hai Aur akayle pan mein Dukh jaag kar Neendon ko nigel jate hein Aur jo apne.. Judaai ki dhund mein.. Kho gaye hein Hum se buhat door ho gaye hein Unki yaad.. phir se aane lagti hai "Suno December" Tum mat aaya karo!!! Share this post Link to post Share on other sites
Zaini 22 Posted December 10, 2010 Woh Lamhay.... Soach Ki Dehleez Par Thehray Huea Hain December k Maheenay Main Hazaroon Saal Pehlay Jab Teray Waadon K Honton Ne Meri Aankhon Se Behti Zindagi K Haath Choomay Thay Meri Bay-Rung Baaton K Kinary Tum Ne Khawabon K Sahary Aur Ashkon K sitaray Rakh Diyee Thay Aur... Hawa ko Apni Chahat Ki Hifazat Ka Ishara Kr Diya Tha Hawa Ki Khunkiyon Main Ab Bhi Teri Narm Baatain Aahaton Ka Jaal Bunti Han Sama'aT Ab Bhi Teray Qehqahon Ka Shoor Sunti Hai Khayal Ab Tak Tumhari Ungliyon Se Meray Dil K Surkh Aansoo Poonchta Hai Nigahain Barf K Phailay Chamaktay Canvas Par Ja Bajaa Teri Rafaqat Ki Zarorat Paint Kerti Hain Thithertay Paaniyon K Tan Pay Bikhri Dhoop Tera Hijer Rooti Ha Kahan Hoti Ha Tu Mohabbat Ki Sulagti Rah-Guzaroon K Kinaron Pr December Ab Bhi Tera Muntazir Hai...!!!!! Share this post Link to post Share on other sites
Hoorainraza 38 Posted December 11, 2010 Humare Hal Per Roya December Woh Dekho Toot Ker Barsa December Guzar Jata Hai Sara Saal Yun Toh Nahi Kat'ta Magar Tanha December Bhala Barish Se Kya Serab Ho Ga? Tumhare Wasal Ka Payasa December Woh Kab Bichra? Nahi Aab Yaad Lekin Bas Itna Illm Hai K Tha December Yun Palkein Bheegati Rehti Hain Meri Aankhon Main Jaise Aa Thehra December Jama Ponjhi Yehi Hai Umer Bhar Ki Meri Tanhai Aur Mera December Sabab Na Pooch Mere Aanson Ka Hai Pehle Hijr Ka Pehla December Main Inn Yaadon Se Bach K Jaon Kaise K Mellon Dor Hai Phela December Meri Aankhon Se Ger Deko Toh Jano K Hai Barsaat Main Jalta December Abhi Tak Kohr Main Dooba Hai Aangan Abhi Tak Yaad Hai Pechla December Share this post Link to post Share on other sites
anabia 3 Posted December 11, 2010 دسمبر اب کے آؤ تو تم اُ س شہرِ تمنا کی خبر لانا کہ جس میں جگنوؤں کی کہکشائیں جھلملاتی ہیں جہاں تتلی کے رنگوں سے فضائیں مسکراتی ہیں وہاں چاروں طرف خوشبو وفا کی ہے اور اُس کو جو بھی پوروں سے نظر سے چھو گیا پل بھر مہک اُٹھا دسمبر اب کے آؤ تو تم اُ س شہرِ تمنا کی خبر لانا جہاں پر ریت کے ذرے ستارے ہیں گُل و بلبل ، مہ و انجم ، وفا کے استعارے ہیں جہاں دل وہ سمندر ہے، کئی جس کے کنارے ہیں جہاں قسمت کی دیوی مٹھیوں میں جگمگاتی ہے جہاں دھڑکن کی لے پر بے خودی نغمے سُناتی ہے دسمبر! ہم سے نہ پوچھو ہمارے شہر کی بابت یہاں آنکھوں میں گزرے کارواں کی گرد ٹہری ہے لبوں پر العطش ہے، بطن میں فاقے پنپتے ہیں محبّت برف جیسی ہے یہاں اور دھوپ کے کھیتوں میں اُگتی ہے یہاں جب صبح آتی ہے تو شب کےسارے سپنے راکھہ کے اک ڈھیر کی صورت میں ڈھلتے ہیں یہاں جذبوں کی ٹوٹی کرچیاں آنکھوں میں چُبھتی ہیں یہاں دل کے لہو میں اپنی پلکوں کو ڈبو کر ہم سُنہرے خواب بُنتے ہیں پھر اُن خوابوں میں جیتے ہیں اُنہی خوابوں میں مرتے ہیں دریدہ روح کو لفظوں سے سینا گو نہیں ممکن مگر پھر بھی دسمبر! اب کے آؤ تو تم اُ س شہرِ تمنا کی خبر لانا۔۔!!! Share this post Link to post Share on other sites
Hoorainraza 38 Posted December 18, 2010 Baqi member bhi ain na Share this post Link to post Share on other sites
sobe 12 Posted December 18, 2010 Baqi member bhi ain na mujhay poetry nahin atiii Share this post Link to post Share on other sites
sareen 20 Posted December 7, 2011 DECEMBER lut jai ga udasi mein koi panchi tumhen lori sunaye ga koi ptta shajar sy toot ky khud ko mitaye ga har ik barish ka qtra dastan apni sunaay ga to in lamhon mein woh dard phir sy jag jaay ga koi bichda hova sathi phir sy yaad aye ga to ek gumnam c manzil tu ek gumnam sa rasta tumhy phir sy rulaye ga tu in kamzor lamhon mein koi be chain sa ansu tere palkon k saye par a k ruk sa jai ga tu phir sar ko jhuka kar tum is ansu ko bha dena DECEMBER lut jaye ga Share this post Link to post Share on other sites
rust_in_peace 2 Posted January 14, 2012 MAAF KAR DO DECEMBER KO, IS KA KIA KASOOR Share this post Link to post Share on other sites
daineee 211 Posted January 14, 2012 Aye december kuch to hosh kar, yeh tujhe kya hua, Bin barse guzar jana teri adat pehle to na thi… … Share this post Link to post Share on other sites