Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
anabia

*~* Nayea Sal *~*

Recommended Posts

zn3pll.gif

Naye SaaL ki

Pehli Kiran !

Jab tum us k darwazay per dastak do

To itna usay kehna

K intizar k deep jalaye

Sirf Tumhain yaad rakhay

Aur baqi sab bhulaye

Koye ab bhi Aas ka daaman thamay

Tumahri Raah Tak Raha Hay....!!!

2n6djmd.gif

chalo zindagi may ik baar phir naya saal aaya

pata nahee meri zindagi ka urooj ya zawal aaya

kis ki chaahat may guzar gaya yeh poora saal mera

anjaanay say maray dil may ik shakhs ka khayal aya

kisi kay dil may aayee hogi aarzo marnay ki bhi

magar meri laboo pay khuda say jeenay ka sawal aaya

kafi nahee tha ronay kaliay guzra hoa saal

kay ab us ki yad may ronay kaliay ik aur saal aya

gham mat karo chalti rahay gi aisay hi yeh dunya

jab tak kay KAMRAN ko bhi mot ka zawal aaya.

  • Like 1

Share this post


Link to post
Share on other sites

HAPPY NEW YEAR TO YOU AS WELL anabia

Edited by amaan

Share this post


Link to post
Share on other sites

Yeh jaatay baras ke aakhri lamhay

Guzarti saa'atoo ke dhundelkay

Aur

Palkoon pe yadoo ke sitaaray

Pal bhar ko yun laga jaisay

Unhi yaadon unhi kahaaneyoon ke beech

Wakt tham sa gaya ho jaisay

Woh jo chiraag jala thaa roshni ke liye

Madham hogaya ho jaisay

Aur jo dariya muhabbatoon ka tha

Ab utar gaya ho jaisay

Aakhri shaam ka doobta suraj

Kuch keh raha ho jaisay

Un chaahatoon ka suraj bhi

Doob raha ho jaisay

Magar ab dil mein yaadoon ke siwa

Aur aankh mein aanso'oon ke siwa

Aur bacha hi kya hai

Jo ab aakhri saa'atoon ke naam karoon

Woh sab chaahatain aur sab muhabbatain

Aur un muhabbatoon ki saari shiddattain

Sab kuch tu ussi ke naam kar diya thaa

Haan, magar ab tak yaad hai

Us wakt bhi suraj yunhi doob raha thaa

Aur... woh bhi

December ki aakhri sard shaam thee

Jab us ne dheeray se kaha thaa

"Naya Saal Mubarak"... !!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Suna hai nayaa saal pher aaraha hai

Khushian b hongi , Baharain b hongi

Mager hum tu guzray December ki sochoon mein gum hain

K jab tu meray pass thi

Hath tiara meray hath mein thaa

Aur khushian char soo hamaray sath theen

Mager ab akelay tumhain sochtay hain

Yahee khoof daman say lepta howa hai

K aisa na ho es bares b December

Tumharay bina he kaheen beet jaeaa

December to her saal ata rahai ga

Mager tum na hogay tu kuch b na hoga

Suna hai nayaa saal pher aaraha hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

happy new year to you too.... dua hai k naya aane wala saal apki aur ap k ghar walon k liye dheron khushian laye.....

Share this post


Link to post
Share on other sites

happy new year to you too.... dua hai k naya aane wala saal apki aur ap k ghar walon k liye dheron khushian laye.....

Thanks Vertosis_ather & same to you

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ab Ke Sal Kuch Aisa Kerna!!!!!!

Apney Pichley Barah Mah Ke

Dukh Sukh Ka Andaza Kerna

Guzri Yadien Taza Kerna

Sadah Sa Ik Kaghz Le Ker

Bhuley Basrey Pel Likh Laina

Apney Sarey Kal Likh Laina

Phir Us Beetey Ik Ik Pel Ka

Apney Guzrey Ik Ik Kal Ka

Ik Ik More Ka Ahatah Kerna

Sarey Dost Ikathey Kerna

Sari Subhey Khazir Rakhna

Sari Shamey Pass Bulana

Or Ailawa In Ke Dekhoo

Sarey Mosam Deehan Mai Rakhna

Ik Ik Yad Guman Mai Rakhna

Phir Muhtat Qayass Lagana

Ger To Khushiya Bher Jati Hai

To Phir Tum Ko Meri Taraf Se

" Aney Wala Sal Mubarak "

Aor

Ager Ghum Bher Jay To

Mat Bekar Takaluf Kerna

Dekhoo Phir Tum Aisa Kerna

Meri Khushiya Tum Le Laina

Mujh Ko Apney Ghum De Dena

Ab Ke Sal Kuch Aisa Kerna!!!!

6en9xv.gif

is saal sochta hoon kuch aisa sheir likhon

mere lafz lafz mein bus teiri shakal banti jaye

~ ! ! ! ~ ~ ! ! ~ ~ ! ! ! ~

6en9xv.gif

Phir Aik Saal Beet gaya

Magar tum nahin aaye

Aaisa na ho k Naya Saal bhi yon hi beet jaye

Meri ummeden so jayen aur zindigi ki lo thartharanay lagay

Tum Lot aao

Dekho koye tumhain kitna yaad karta hay

Lekin mujhe maloom hay k tum nahin aao gay

Ye mosam yon hi guzar jaye ga

Kyon k tum kisi Aur ki Zindigi ho

Main to bas yon hi apna dil behlanay ko tumahin pukarti hon

K SHAYED......!!!!!

282ntwp.jpg

Ye khunk rut ' ye naee saal ka pehla lamha

Dil ye kehta hai k mosam koi ab yaad aae

Hum ne mazi ki sakhawat pe jo pal berh socha

Dukh bi kia kia humain yaroon k sab yaad aae

282ntwp.jpg

Teri qurbat main kahin saal guzara main na

aisa lagta hai guzara hoa kisi pal ki tarah

main to mazii ki tundlago main chupii rehtii hoo

aur tou aj bhola day ga kisi kal ki tarah

choro mazii ko, tera haal mubarak ho tujhe

meri janib sa naya saal mubarak ho tujhe...

282ntwp.jpg

Share this post


Link to post
Share on other sites

Lambay safar ki oat mein pal bar nahin ruka

Mein waqt k fareeb mein aa kar nahin ruka

Phir aa gaya aik naya sal dosto...

Is bar bi kisi say december nahin ruka

Lay kar kisi nain haath mein kashkol-e-waqt

Aisa safar kia k kahin per nahin ruka

Manzar kay aks mein koi chera chatakh gaya

Sheshay kay pas aa kay jo pathar nahin ruka

Chalta raha adoo ki safin rondta howa

Lakhon ka khoun-e-jigar kar k b lashkar nahin ruka

Bas yeh howa k Akhri lamha bi aa gaya

Dil ka tawaf koocha-e-dilbar nahin ruka

1zqa2z7.jpg

jab bhi sochoon tujhe dard apna barha leta hoon

phir har naye saal ka suraj dekh kar muskura leta hoon

mah december ki sard raatoon ke waadey yaad karke

thorey thorey ashk ankhoon se apni baha leta hoon

kabhi jo ankhoon main terey ashk dekhoon

khuwab ban ke woh tamam ashk chura leta hoon

yeh adat to husn'o wafa ke qayal jante hain mayri

ke piyar miley jahan bhi sir apna jhuka leta hoon

jab bhi koi ghazal terey naam likhoon

batein likhta hoon tamam magar tera naam chupa leta hoon

na samjha tu ne mujhe aur na hi mayri mohabbat ko aey dost

naya saal mubarak khush rehne ki tujhe dua deta hoon

1zqa2z7.jpg

Aik aur saal doob gia sail-e-zaman main

Ik aur kanwal rakhh hua umer-e-rawan main

Dil dobtay lamhon main kehin doob na jae

Awaz k sehra main khilay phool ki manind

Lab lams ki khawaish main kehin sookh na jain

Kia dasht nordi hai k khushion ki talab main

Aankhon main naee din k haseen khawab sajae

Din raat batktay hain ghazalon ki tareh hum

Likin kisi manzil ki basharat nahi milti

Tum apne shab-o-roz k zandan main khush ho

Main apne shab-o-roz k patal main ghum hun

Main aur mere khawab ghulabon ki tareh hain

Jo taiz hawaon main bikhr jain ge ik din

Bikhray hue phoolon ko yahan kon chunay ga

Guzray hue lamhon ki sada kon sunay ga

Ye saal bi guzray hue salon ki tareh hai

Jazbon main latafat hai na sochon main nia-pan

Ik dard sharrr ban k humkta hai lahoo main

Is dard ki zanjeer main jakr'ri hui ruhoo!

Kudh apni judai main tarptay hue logoo!

Tum ko meri janib se nia saal mubarak....!!

2znmuyt.jpg

Aey naye saal bata tujh main naya kya hai

har taraf khalq ne kyun shor macha rakha hai

roshni din ko wohi taaron bhar raat wohi

aaj hum ko nazar ati hai har baat wo hi

aasmaan badla hai na afsos badli hai zameen

eik hindsey ka badalna koi jiddat to nahi

agley barson ki tarah hongey qareeney terey

kisey maloom nahi baaraa maheeney terey

january,ferwary,aur march main paregy sardi

aur april,mayee,june main hogi garmiiiiii

tera sune dehr main kuch khoyega kuch payega

apni miyaad basar kar key chala jayegaa'

tu naya hai to dikha subha nayee,shaaam nayeee

warna in ankhon ney dekhey hain saal kayee!!

aur bhi besabab detey hain q log mubarakbadein!!

galiban bhool gaye waqt ki qarvii yaadein!

teri aamad sey ghatti umer jahan main sab ki!!

FAIZ ney likhi hey ye nazam niraley dhab kiii!

2znmuyt.jpg

Share this post


Link to post
Share on other sites

Mai thetarte hoe sard hawa mai

Der tak khara sochta raha

k naye sal k jashan manoe,

Yah December k jane ka dukh

Aur phr ise soch me December guzar gaea

wohe yade

wohe talkhian

wohe udasi

Chore mre dil pe

Ek aur yademazi k azab dai gaea

Thitrta howa udas December guzar gaea

Share this post


Link to post
Share on other sites

Naya saal aaya hay barhi umeedoo kay saath

kaheen pay nafrat to kaheen muhabbat ki baat

maloom nahee bujhaingay phir kitnay chiragh

Kitnay ghamoon ki hogi is mulk pay barsaat

Kya phir ham geet gayangay ik dosray say nafrat ka

ya day hi daingay hum har ik museebat ko maat

kitna ajeeb hay yeh zikr nayay saal ka bhi

ik lamhay may bhula daita hay pichlay ghamoon ki baat

kabhi hum aanay na daingay is mulk par aaanch

aaj hi karlaitay hay yeh ahad hum sub ik saath.

2emod8w.jpg

2emod8w.jpg

Share this post


Link to post
Share on other sites

نیا سال پرانے خواب

یہ ماہ و سال تو گزرتے چلے جائیں گے

ہم ہر نئے سال کی آمد پر

یہ سوچا کریں گے

اب کے برس جدائی کا طویل موسم

ختم ہو جائے شائد

لیکن ہر گزرے برس کی طرح

موسمِ ہجراں پھر ہمارے دروازے پر

دستک دے گا

ہم ہنستے آنسوؤں کے ساتھ

ایک بار پھر

روتی بہار کو خوش آمدید کہیں گے۔

72ga5g.jpg

jab se naya saal aaya he....

mere dil k nehaa khaanu main...

bas tera naam aaya he...

k her pal tujy sochna..

her pal tujy chahna...

kabhi din ki roshni main...

kabhi raat k andhere main...

sirf tumhare hi baare main sochna...

k tum.. uj se door ho lakin ..

itny kareeb lagty ho...

jessy seeny main dharakty ho...

jessy rooh main sirakty ho...

jessy ankhon main basty ho...

k jab se mujy milly ho....

mere dill ki duniya main...

bas piyaar hi piyaar samaya he...

k jab se naya saal aaya he...

mere dill k neha khano main ...

bas tera naam aaya he

Share this post


Link to post
Share on other sites

Phir Naya Saal Anay Ko Hai

Khuda Karay Kay Ye Saal Gaye Saal Kay Zakhmon Pay Marham Rakhay

Khuda Karayy Kay Ye Saal Nai Khushion Ki Navid Lai

Kay Beeta Saal Bohat Say Dard Day Gaya

Bohat Payaron Ko Bohat Apnon Ko Saath Lay Gaya

Lekin…

Wo Apnay Log Jin Kay Dam Say Zindagi Thi, Muskurahatein Thein

Wo Yaad Nahi Ain Gay

Kyunke!!

Yad To Unko Kertay Hain Jo Bhool Gain

Or Jo Her Dharkan Mein Bastay Hon

Unko Kaisay Bhulai

Lekin

Kahin Gaye Saal Kay Malbay Talay

Zindagi Phir Muskura Rahi Hai

Bahar Phir A Rahi Hai…..

1zqa2z7.jpg

::NAYA BARAS::

Meri dua hai, Naya baras ho tumhry jaisa,

Na kisi ka Dil dukhane wala,

Muhabbaton ke, Rafaqaton ke,

Chiraagh har su jalane wala,

Jahan me koi nahi hai jinka,

Unhy galay se lagane wala,

Ujaar aankhon ko zindagi ke,

Dobara sapne dikhaane wala,

Udaas logon ke aangano me,

Khushi ke bailen ugaane wala,

Faqat Muhabbat,

Faqat Muhabbat,

Faqat Muhabbat sikhane wala,

Share this post


Link to post
Share on other sites

Dharti se aasman ko jo,--------- naap raha hai

Ho kar khara zameen pe khud, kaanp raha hai

Aaghosh main lipta hai naye saal ka manzar

Honton pe tabasum hai jigar, kanp raha hey

Han waqt-e-sehar khawab yeh, dekha main ne

Ik zinda basher apna kafan ,-----naap raha hai

Her aankh zamaney ki nazar, -- ho gayee logon

Palkon ka shamiyana kisey,- dhaanp raha hai

Khanjar bakaf hey mera,----- masiha meray andar

Kiyon zakham zakham jism mera, kanp raha hai

Umeed ki kirney kaheen,-- maadoom hoeen hain

Sooraj bhi kaheen paar-e-ufaq, --- hanp raha hai

Lay to chala hoon BURQ tujhey, janib-e-maghrib

Saaya mere wajood ko kiyon,---- dhanp raha hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

Dharti se aasman ko jo,--------- naap raha hai

Ho kar khara zameen pe khud, kaanp raha hai

Aaghosh main lipta hai naye saal ka manzar

Honton pe tabasum hai jigar, kanp raha hey

Han waqt-e-sehar khawab yeh, dekha main ne

Ik zinda basher apna kafan ,-----naap raha hai

Her aankh zamaney ki nazar, -- ho gayee logon

Palkon ka shamiyana kisey,- dhaanp raha hai

Khanjar bakaf hey mera,----- masiha meray andar

Kiyon zakham zakham jism mera, kanp raha hai

Umeed ki kirney kaheen,-- maadoom hoeen hain

Sooraj bhi kaheen paar-e-ufaq, --- hanp raha hai

Lay to chala hoon BURQ tujhey, janib-e-maghrib

Saaya mere wajood ko kiyon,---- dhanp raha hai

:victory:

zbrdast anabia and happy new year to u also.

Share this post


Link to post
Share on other sites

kaisay kehtey thay Aaa sajan! k mujh sey bicharr kar jii naa paao ghay tum???

zara socho kitni baar manaya hai naya saal mujh sey bicharnay k baad???

14l7apt.gif

Phool khilnay ka jo mosam mere dil main utra

Tere bakshay hue kuch zakhm ajab yaad aae

Ye khunk raat ye naee saal ka pehla lamha

Dil k khawaish hai k Mohsin koi ab yaad aae

14l7apt.gif

Guzarta hua saal jaisey bhi guzraa

Magar saal kay aakhri din nihaayat kathhin hain

Suno...!!!

Naye saal ki muskuraati hui subha

Yeh bujhhta hua dil dharakta to hai

Muskuraata nahi

December mujhey raas aata nahi..!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

نیا سال آیا ہے

ویران صبحوں کی نیلی تہو ں سے ابھرتا

خیابان دشت وجبل کی ٹھٹرتی خموشی میں برفیلی سیٹی بجاتا

دبے پاؤں آیا

یخ آلود شاموں کی خاموشیاں

اس کے قدموں کی آہٹ سمیٹے

گزر گاہوں پر، سائبانوں میں نوحہ کناں ہیں

در آتی ہے شب کو دریچوں کی درزوں سے

پر جوش جھونکوں کی بے مہر ٹھنڈک

برودت زدہ پانیوں پر، پرندے

کناروں پہ استادہ پیڑوں کی نمناک شاخوں کی جانب اڑے جا رہے ہیں

مکین آنگنوں میں، چھتوں پر

دھڑکتے دلوں میں ہزاروں خیالوں کی شمعیں جلائے

دبے پاؤں آتے ہوئے سال کو دیکھتے ہیں۔

منیر نیازی

Share this post


Link to post
Share on other sites

نئے سال کی صبحِ ا وّل کے سورج

میرے آنسوؤں کے شکستہ نگینے

میرے زخم در زخم بٹتے ہوئے دل کے یاقوت ریزے

تیری نذر کرنے کے قابل نہیں

مگرمیں ا دھورے سفر کا مُسافر

اُجڑتی ہوئی آنکھ کی سب شعاعیں

فگار اُنگلیاں ا پنی بےمائیگی

اپنے ہوںٹوں کےنیلےاُفق پر سجائے

دُعا کررہا ہوں کہ تومسکرائے

جہاں تک بھی تیری جواں روشنی کا

اُبلتا ہوا شوخ سیماب جائے

وہاں تک کوئی دل چٹخنے نہ پائے

کوئی آنکھ میلی نہ ہو،نہ کسی ہاتھ میں

حرفِ خیرات کا کوئی کشکول ہو

کوئی چہرہ کٹے ضربِ افلاس سے

کوئی اہلِ قلم

مدح طبل وعَلم میں نہ اہلِ حُکم کا گناہگار ہو

کوئی درویوزہ گر

کیوں پھرے دربدر

صبحِ اوّل کےسورج

دُعا ہےکہ تیری حرارت کا خالق

میرے گنگ لفظوں کو

میرےسردجذبوں کی یخ بستگی کو

کڑکتی ہوئی بجلیوں کا کوئی ذائقہ بخش دے

راہگذاروں میں دم توڑتے رہروؤں کو

سفرکا نیا حوصلہ بخش دے

میری تاریک گلیوں کوجلتےچراغوں کا

پھرسےکوئی سلسلہ بخش دے

شہروالوں کومیری انا بخش دے

دخثرِدشت کودُودھیا کُہرکی

اِک ردا بخش دے

نئےسال کی صبحِ اوّل کےسورج

محسن نقوی

Share this post


Link to post
Share on other sites

Naya saal aane wala hai...

Aur ye saal jane wala hai...

Jaane kaisa hoga ye aane wala saal,

is se bura hoga ya kuch behtar hoga mera haal..

Is saal kitna kuch hua is jeewan me...

Kitne he rang bhare jeewan k khaali panno pe...

Kuch khatte kuch meethe,

kuch pheeke kuch teekhe..

Kisi baat pe khushi,

to kisi pe malaal...

Jaane kaisa hoga ye aane wala saal...

Is se bura hoga ya kuch behtar hoga mera haal...

Kuch dhoondte hue kahi kho gaya kabhi...

Kabhi khush raha aur yu he ro liya kabhi...

Kuch to mile jawaab,

aur kuch hain abhi tak sawaal...

Jaane kaisa hoga ye aane wala saal...

Is se bura hoga ya kuch behtar hoga mera haal...

Naye Dost bane kuch,

kuch purane bicharr gaye...

Kuch ajnabiyo se alag rishte bhi jud gaye...

Kuch ne mera rakha,kuch ka maine rakha khayaal.,

jaane kaisa hoga ye aane wala saal...

Is se bura hoga ya kuch behtar hoga mera haal...

Ya kuch behtar hoga mera haal...

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.