Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Shabo

Shair o shairi

Recommended Posts

hey shaboo jee,

 only for u.

 

   hum tum se cheen lyen ge ye shan-e-benayazi

   tum mangte phiro ge apna garoor hum se

    ye faqut gharoor ki bat hay ke zaban se apni na tum kahoo

    wara tumhain qalish to hay ke tumhari bazm me hum nahee

 

   farhannnnnnnn.

Share this post


Link to post
Share on other sites

salam ibraheem jee,

 only for u

  gum bantney ki cheez nahee phir bhi doosto

  aik doosre ke hall se waqif raha karo

   thanks,

   farhannnnnnnnnn

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hey Shabo this is for you

sabhee hairan hein aamad ap kee phir meray haan

kiyun ho,  

mein khud bhee sochta hoon mujh pay itney meherban

kiyun ho.  

mein sunta hoon tumhein raghbat hey aatish say aiy

jan-i-jaan,  

Tum jis per aazmao shauq, mera aashian

kiyoon ho.  

Yeh manaa narmee-i-jazbaat teree khoo nahin laikin,  

Badalna khud ko meray waastey itna giraan kiyoon ho.  

Jo tum mujh per na barso, to lapaktee bhee nahin bijli,  

"Huey tum dost jiskey dushman oos ka aasman kiyoon ho.  

Karoon naa ghar ka teray rukh, yeh qaasid nay kaha

mujh say,  

Basaa ab ghair teray ghar, tu mera maizban kiyoon ho.  

Pataa oos ka batao manzilon pay jaa kay jo dum lay,  

Lutay jo raastay mein hee, woh mera kaarvan kiyoon ho.  

Barrhee jo dhoop kee garmee, to zulfon ka khiyaal aaya,  

Agar taivar teray tekhay, to mujh per saiban kiyoon ho.  

Muraadein bar na aanyeen, pattharon say jo lagaeey lo,  

Khuda ko mein manaa loon to, dua phir raigaan kiyoon ho.

ibrahim

Share this post


Link to post
Share on other sites

Mr. Farhan

This is for you

  har shakl se waaqif hun mai ne dekhe hain sabhi rang

  mushkil hai koi dard chhupaanaa mere aage

  rudaad-e-gham-e-dil ko ghazal mein kaha aise

  jisko bhi sunaayii wohi royaa mere aage

ibrahim

Share this post


Link to post
Share on other sites

Salaam!

Wah ji wah kya baath hai.... nice shairi friends :;):

Farhan k naam:-

kehtey hain umeed pey jeeta hai zamaana

Woh kya karey jis ko koiee umeed nahin hai?!!!

Aap takalluf ko bhi ikhlaas samajhatey ho "Ibrahim"

Dost hota nahin har haath milaaney Wala!

Take care

Sx

Share this post


Link to post
Share on other sites

salam ibraheem jee,

  her moor pey mil jate hain hamdard hazaroon

  shayed mere shair mey adarak bohat hain

   thank,

   farhannnnnnnnnn

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hey Farhan

aap kon se city mein rehtey ho

jahan itne sarey adarak hein  (yani ginger) lolz

ibrahim

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hey Ibrahim ji aap Farhan sahib ka mazakh tho na uraieyn na... shaiyad wo "adarak"stan sey thaluk rakhthay hon :P ... lol

Sx

Share this post


Link to post
Share on other sites

salaamz allllllllllllllllll

kaissay ho aap sub log?

Yo teri cha hatoo say guzray hai

jaissay koi hisaar say huzray

Khuwab me tu nahi mila or hum

Badloo key kitaar say guzray!

Be happy love and love yaz all

Naz

Share this post


Link to post
Share on other sites

hey,ibrahim jee,

 elahi abro rakhna bara nazuk zamana hey

 diloon mey kufur rakhte hain bazahir dostana hey

 ibrahim jee  parsi zaban mey aik misal hey.

 

   toq-e-zareen garhama garden-e-qurmi binam.

  hey shaboo jee,

   apppko do logoon key bech mey kodne ki adat hey ya............

        quda jese chahe use mil jati hey muzafar

        ezat ko do kanoon se qareda nahee jata.

    thanks,

    farhannnnnnnnnn

Share this post


Link to post
Share on other sites

salam all members.

  how r u.

 

   karo kaj jabee pe sare kafun mere qateloon ko guman na ho

   ke garore esiq ka bankpun pase murg hum ne bhula diya

   na danwaoo navake neem-e-kush diley reza reza gawan diya

   jo bachy hain sung samait loo tane dag dag luta diya

   mere chara gar ko naveed hoo safy dushmana ko khaber karo

   who jo qurz rakhte thay jan per who hisab ajj chuka diya

    thanks,

    farhannnnnnnn

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hey Farhan

Again remind to you yeh comunity hai..  yahn woh woh hoga jo aap soch bhi nahi saktey yeh to sirf ek joke tha or agar aap baat be baat chikhna chahein yeh sahi nahi hai.. or merey khayal se aap ko Shabi se maafi mangni chahiyeh kyunkey aap ke is jawab se bohat se member dishearted ho saktey hein.

thanks

ibrahim

Share this post


Link to post
Share on other sites

Salaam Ibrahim

Thanks for your concern.... lekin iss ki kya zaroorath thi ji?!! lol

Aankhon mey rahay dil mey uthar kar nahi dekha

Kashthi k musafir ney samundar ko nahi dekha

Pathhar kehtha hai mera chahnay wala

Mey moam hoon uss ney mujhay chhoo kar nahi dekha.

Aur haan yeh "Shabi" koun hai ji??!!! lol

Sx

Share this post


Link to post
Share on other sites

salam all

  abke bars bhi likha mey ne uske nam ka dibacha

  mere zikr se qali rakhay jisne apne bab tamam

  thanks

  farhannnnnn

Share this post


Link to post
Share on other sites

Salaam

Aik shair arz karthi hoon.. sab "Doston" k naam!

Duniya resham k khwab nahi hain ai dost

Tu ney agar jeena hai tho dil pathhar ka kar paida...

Sx

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ik peshman si hasrath sey mujh ko sochtha hai,

Ab wohi shehar mohabat sey mujhay sochtha hai.

Mey tho mehdood sey lamhon mey mili thi us sey,

Phir bhi woh kithni wazahath sey mujhay sochtha hai.

Jis ney socha hi na tha hijar ka mumkin hona,

Dukh mey doobi hoiee hairath sey mujhay sochtha hai,

Mey tho mar jaoon agar sochnay lag jaoon ussey,

Aur wo kithni sahoolath sey mujhay sochtha hai.

Garcha ab thark e mirasam ko bohoth dair hoiee,

Ab bhi wo meri ijazath sey mujhay sochtha hai,

Kithna khush feham hai wo shaks ke har mosam mey,

Ik naiey rukh, naiee soorath sey mujhay sochtha hai.

Sx

Share this post


Link to post
Share on other sites

salam shabo jee,

  mey kisi ke daste talab mey hoon

  mey kisi ke harfe  doaa mey hoon

  mey naseeb hoon kisi aur ka

  mujhay mangta koi aur hey.

  farhannnnnnnn

Share this post


Link to post
Share on other sites

W/salaam

Kabhi hum sey milna thhak jao agar zindagi ki dhoop mey,

Hum sada milaingay aap ko DOSTI k issi roop mey!

Sx

Share this post


Link to post
Share on other sites

salam shaboo jee.

   guftago kisi sey hoo dehan uska rehta hey

   toot toot jata hey silsila takalum ka.

   farhannnnnn.

Share this post


Link to post
Share on other sites

W/salaam

Har pal dehan mey rehnay walay

Log afsanay ho jaathay hain

Ankhein burhi ho jaathi hain

Khwab puraney ho jaathey hain.

Sx

Share this post


Link to post
Share on other sites

salam shabo jee,

mey too chahta hoon terk-taeluq lekin

koi chupke sey mera hat daba deta hey

thanks,

farhannnn.

Share this post


Link to post
Share on other sites

Salaam everyone!

Kya haal chaal hain sab k... shairi ki board bhool gaiy kya JI?!!

Kyoun shijar k shikway kartha hai,kyoun dard k marey rotha hai

Ab ishq kiya tho sabar bhi kar iss mey tho yehi kuch hotha hai

Take care

Sx

Share this post


Link to post
Share on other sites

For you Ibrahim "JI"...

Toot Jaatey Hain Sabhi Rishte Magar

Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jaga

Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen

Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jaga!

I think the following ishaar is VERY clever indeed... arz kiya hai;

Ek Musafir Ne Raat Pichlay Pahar

Apne Mehboob Ke Na Aane Par

Kar Diyey Taj Mahal Ke Tukre

Aab-E-Jamuna Main Phaink Kar Pathar.

Bye

Sx

Share this post


Link to post
Share on other sites

salam shabo je,

 

  aay tajj mahal mey rehny walo itna pather mat phanko

  ye pather wapis palteengey too tag mahal ka kya hoga.

  farhannnnnnn.

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hey Farhan

Pathhar ki taqdeer bhi badal sakthi hai

Sharth yeh hai k issey dil sey tharaasha jaiey!!

Sx

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.