Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
kurios

Hadith Of Hazrat Muhammad (s.a.w) On Social Events

Recommended Posts

well main abhi poora topic to read nahi kia ..lakin yeh ik ache koshish hay

majid app jis book say yeh ahadees lay rahay hain or jo writer hain us ka nam bhi sath main bata dain to munasib hay !

jazak Allah

Edited by rukh

Share this post


Link to post
Share on other sites

well rukh i am just taking ahadith from that book and the remaining discussion is based on my observation and perceptions regarding today's world. so i will do the needful in future insh-a-Allah

Share this post


Link to post
Share on other sites
Asalam-o-Alikum,

•Six Duties:

Our Holy prophet (S.A.W) said

       

“A Muslim has six duties towards another Muslim:

1.When you meet salute him.

2.When he issues an invitation to you, accept it.

3.When he asks your advice give it to him.

4.When he sneezes and praises Allah say,’ Allah has mercy on you’.

5.When he is ill visit him.

6.When he dies follow him to grave."

Today’s Vision About above said Hadith:

                                                      Well being a Muslim we should have much knowledge about out duties and for that Allah has given a Muslim the 6 foremost duties that he have to done for his place in heaven. The six duties are very simple and understandable the

                                First one is to pay salam to other Muslim. Yani sab se pehle Salam Karen aur phir aur koi baat.

                                Second duty is to accept the invitation given by any Muslim. Agar aap ko koi Muslim dawat bheeje to us ko khushi se kabool ker leen.

                                Third is about giving advice means agar aap se koi advice mange to aap us ko apni taraf se acha se acha advice deen.

                                Forth one is about the sneeze ke agar koi musalman cheenk (sneeze) kare to phir dosre muslim ko chahiye ke woh us muslim per(is ko cheenk ai hai) Allah ki rehmat ki dua kare.

                                Fifth duty is that ke agar koi muslim bemar ho tu us ki teemadari kerne ke liye us ke paas jana chahiye.

                                Sixth one is about the funeral ceremony ke agar koi muslim mar jata hai tu us ke janaze main shirkat kerni chahiye aur us ko qabar tak choor ker ana chahiye.

                                            So viewers aap ne deekha ke in tammam duties ko hum sirf us waqt hi poori ker sakte hain jab hamare andar se keena aur bughaz jesi bemari khatam ho jaee gi means aap dekhain ke hum aajkal pass se guzar jate hain lekin salam kerne ki taufeeq nahin hoti kyun?? Phir hum loog kisi dosre ko acha mashwara dene ki bajaee us per tanked kerte hain aur us ko aesa mashwara deete hain jis se woh  taraki na ker sake kyun??

Aur jab koi bemar ho jata hai tu us ke paas rukne se ghabrate hain kyun?? Isi tarah jab koi wafat pa jata hai tu aksar ki koshish hoti hai ke janaze main shirkat na ki jae kyun?? 

            In sab ka hal sirf ik baat main hai jo main bata chukka hoon and that is ke jab aap apne andar se hasad, keena aur bughaz jesi bemari ko khatam nahin kareen gay us waqt tak aap kuch bhi acha kaam sar anjam nahin de sakeen gay  Allah hameen taufeeq de ke hum loog in 6 duties per amal kareen (Amin).

155496[/snapback]

Mashallah...Allah Talah hum ko neik rah dekhae aur humme ammal karne ki taoufiq ata farmaey..Ameen

Share this post


Link to post
Share on other sites

Health:

Our holy Prophet (S.A>W) said that:

“There are two favours of which many people are deceived that is health of the body and calmness of mind.â€

“Ask ur Lord for the health and for the security in this world and the next. If u r given health and security in this world and the next you have attained felicity.â€

Today’s Vision about above said Hadith:

So viewre’s as u have seen ke Hadith main yahan tak kaha gaya hai ke aksar hum loog Allah se har cheez mangte hain har khuwahish ka zikar kerte hain lekin phir bhi Allah se apne sehat aur zehen ke sakoon ki dua koi koi kerta hai even main apni personal life ka zikar kerta hoon main ne bhi aaj tak Allah se apni achi sehat, ya ohir zehni sakoon ki dua nahin ki isi tarah aap loog bhi yaqeenan nahinkerte hoon gay. So aap looog yeh dekhain ke Allah kitna meherban hai ke woh hamare mange baghair hamen itna kuch atta ker raha hai.

Isi tarah next Hadith main aya hai ke insane ko chahiye ke woh Allah se apni sehat aur bakhsish ki dua mange donoon jahan ke liye aur agar Allah ne us ko yeh donoon cheezain atta ker deen tu samajh loo ke us insane ne falah pai. Aaj kal aksar loog tension main mubtala rehte hain har doosre admi se pooch tu who mayuusi aur zehni fikar ki bateen kerta hai kyun??? Sirf Allah se doori aur ibadat na kerne ki wajah se. insane ko chahiye ke who sab se pehle namaz adda kare aur namaz dikhawe ke liye nahin na hi apne liye balke khalis Allah ke liye takee Allah bhi in return bande ko atta kareen jo woh dua kare . so viewers indirectly yeh baat namaz ki taraf lijati hai deekhain dua namaz main ehmiat rakhti hai is liye agar dua mangni hai tu namaz perhni pare gi other wise kuch hal nahin. Allah hum sab ko namaz adda kerne aur apne aur poore muslim ummat ki salamti aur sahii raste per chalne ki dua kerne ki taufeeq de (Amin).

Allah Hafiz

Share this post


Link to post
Share on other sites

Asalam-o-Alaikum,

These all ahadith are translated in english by Safdar Hassan Siddique and the boook is printed by (OUP) the authentic publishers.

Hospitality:

1.Eat together and not separately, for blessing is associated with company.â€

2.It is the part of the sunnah that a man should accompany his guest to door of his house.â€

3.Hospitality extends for three days: what goes beyond this is sadaqa; and it is

not allowable that a guest should stay till he makes himself an encumbrance.â€

4.“If any one is a guest of people who provide no hospitality for him, he is entitled to take from them the equivalent of the hospitality due to him

Today's vision regarding above said ahadith:

so viewers aap ne ahadith perh leen jis main mehmanoon ke haqooq ka zikar kiya gaya hai aur kaha gaya hai ke mehman ko bare ehtaram se rakhna chahye aur un ke aram aur kahne peene ka khas khayal kerna chahiye. aur phir yeh bhi kaha jata hai ke mehman Allah kik rehmat hote hain. isi tarah hadith no. 3 main Muhammad (S.A.W) ne farmaya hai ke mehman nawazi sirf teen din tak hoti hai aur us se agar age baat chali jae tu woh sadqa main shumar hota hai means ke aap agar 4th day mehman ko serve ker rahe hain tu us din aur us din ke baad wali tamaam khatir tawazu sadqa kehlaee ga aur sath sath yeh bhi kaha gaya hai ke mehman ko yeh nahin chahiye ke woh kisi ke ghar itna thehre ke us ke liye masail peeda kare, so mehman ko chaiye ke short stay kare take meezban ko koi takleef na ho.

4th hadith main kaha gaya hai ke agar koi mehman kisi ke ghar jata hai aur us ki tawazooh nahin ki jati then us ko chaiye balke us ka haq hai ke woh meezban se apne haq ke barabar khatir kerne ko kahe means mehman ko haq hai ke woh mezban se apni tawazoo ka kahe agar mezban us per tawajho nahin de raha.

aaj kal ke door main mujhe is hawale se koi buri baat nahin lagti means har koi mehmanoon ko kabil-e-tareef nigahoon se dekhta hai aur har koi un ki khatir tawazoo ke liy tayar hotahai lekin kaee dafa aesa hota hai ke mehman zayada deer tak rukta hai tu phir bare masail creae ho jate hain so avoid staying too long to create problems for ur hosts for u have to come again to them next time in ur life, tu thoori kasar choor deni chahiye ke agar mehman doobara aee tu us ki achi khatir tawazoo ki jaee.

Allah hameen ahadith ko sahi tarah parhne aur un ko samajhne ki taufeeq atta farmaee (AMIN)

(up comming topic would be about ahadith relating Quran)

Allah Hafiz

Share this post


Link to post
Share on other sites

yes good post emira keep it up!

Share this post


Link to post
Share on other sites

Asalam-o-Alaikum

Salutation/Greetings:

"Those who are nearest to Allah are they who are first to give salutation."

"The one who is first to give a salutation is free from pride."

"A salutation should come firat before conversation."

"When u enter a house salute its inmate and when u come out and bid farewell invoke a blessing of peace on them."

"Do not allow anyone to enter who does not first give a salutation."

Today's Vision Regarding above said ahadith:

so viewers as u have read above ahadith that is alla bout the greetings and salutation means salam kerna. aaj kal dekha jaee tu hamare ird gird kafi loog aese bhi hain jo salam kerne main pehel kerte hain aur kafi loog aese bhi hain jo ke intezar kerta hain ke koi unheen pehle salam kare aur ytab woh jawab deen aur agar un ko woh sakhs salam nahin kerta tu woh bhi zehmat nahin kerte ke us ko salam ker lain, so hadith hameen yeh batati hai ke salam manin hamesha pehel karoo. aur is baat ka intezar na karoo ke koi aap ko salam kare just be the first to pay saluatation bcoz in yeh diloon ki kadooratoon ko mitata hai and more over yahan tak keh diya gaya hai ke agar aap ke ghar main koi aya hai aur us ne aap ko salam nahin kiya tu us ko apne ghar main ghusne na do.

so my humble advise to all is that ke jab bhi ghar se bahar nikleen tu ghar waloon per salamti bheejeen (Allah ki) aur jab bhi ghar main dakhil hoon to tab bhi salalm kareen even main ne suna hai ke khali ghar ko bhi salam kareen. so, is main itni energy ya time nahin waste hota balke aap apni zaban ko hila ker 30 neekian kama sakte hain.

more over is baat ka dukh na kiya kareen ke agle bande ne aap ko salam ka jawab diya hai ya nahin balke salam kareen diloon ke bheed tu Allah hi janta hai na. so, always try to be optimist at ur side baki Allah per choor dain.

Allah Hafiz

Share this post


Link to post
Share on other sites

Masha-Allah nice post majid...and thats definetely true ke aj kal log salam karne sey pehle bhi sochte hain...Hume to salam karne mein hamesha pehal karni chahye Is mein hamara apna hi faida hai...Khuda ka hukam man kar apne liye hi neekiyaan kama rahe hain.

Share this post


Link to post
Share on other sites

thanx emira for ur encouragment

Share this post


Link to post
Share on other sites

Asalam-o-Alaikum,

RulerShip:

"If one gives his brother a look which frightens him, Allah will frighten him on the day of resurrection."

"If u are put in a position of authority fear Allah and act justly."

"Allah's messenger said that Almighty Allh says,"I am Alla than whom there is no Allah, master of kings, king of kings, in whose hands are the heart of kings. When men obey me i turn the hearts of kings to them with mercy and gentleness, but when they disobey me i turn their (kings/rulers) hearts against them (public) with displeasure and vengeance, and they (king/ruler) inflict grievous punishment upon them (public). so do not occupy yourself with invoking curses on rulers, but occupy yourself with remeberance of me and supplication that i may protect you against your kings (rulers)."

Ayesha reported Allah's messenger as saying."O, Allah cause the distress to him who has any charge over my people and cause them distress, and be gentle to him who charge over my people and is gentle to them."

"Each of u is a shepherd and each of u is responsible for his folk. The ruler who is over the people is shepherd and is responsible for his folk; a man is shepherd in charge of his inhabitents of his household and is responsible for his folk; a woman is a shepherdess in charge of her husband's house and children and she is responsible for them;..... so each of u is a shepherd and each of u is respponsible for his folk."

"Anyone who is asked by Allah to take charge of subjects and does not protect them with good counsel will not enter the paradise."

Today's Vision Reagrding above said ahadith:

well viewers main zayada gehrai main nahin jaoon ga kyun ke topic thora sensitive hai aur phir siyasat main chala jaee ga so maihn sirf itna kahon ga regarding pakistan ke hum awam loog yeh tu bohot kehte hain ke hamari hakumat aesi hai waisi hai hum per Allah ne hukamran aese bheej diye hain ya waise bheej diye hain, just stop thinking like this aur sirf yeh soochain ke kya hum logoon ke ammal durust hain!!!! yaqeenan nahin hain tu phir zara upper di gaee hadith number 3 ko deekhain tu Allah kehte hain ke main tammam badshahoon ka badshah hoon main sab ka malik hoonbas tum meri ibadat karoo aur agar tum aesa karoo gay tu main tumhare hukamran ke dil main rehemn dal don ga tum loogoon ke liye warna agar tum ne mere bataee rastoon per amal nahin kya tu main un (hukamranoon) ke diloon main tumhare liye nafrat dal doon ga.

so aaj kal yehi ho raha hai hum awam apne ammall dekhain tu pata chale ke hadith ki baat sachi ho rahi hai na bas apne ammal theek ker leen phir deekhain ke Allah kese aap ke hukamranoon ke dilon ko pherte hain. Alah hum sab per rehem farmayeen (AMIN)

Share this post


Link to post
Share on other sites

Salam,

SEEKIG ALLAH'S PLEASURE AT THE COST OF MEN'S DISPLEASURE:

Our Holy Prophet (S.A.W) said that:

"If anyone seeks Allah's pleasure at the cost of men's displeasure Allah will keep away from him the trouble caused by men; but if anyone seeks man's good pleasure at the cost of Allah's displeasure Allah will leave him in men's hands."

well i can't make any analysis regarding this topic because i am not in the position to describe it well but i know that ke agar kisi insan ko is tarah khush karoke us se Allah naraz ho jaee tu yeh bohot buri baat hai u know Allah phir us insan ko us bande ke hal per choor deta hai jis kokhush ker ke us ne Allah ko naraz kiya tha and more over aj kal jo sifarich hai na i think yeh isi hadith ke under atti hai so please try to avoid sifarish u know bcoz Allah kisi ki mehnat nahin rakhta us ka phal zaroor deeta hai bas Allah per bharoosa rakheen aur Allah kabhio aap ko mayoos nahin kare ga.

Allah Hafiz

Share this post


Link to post
Share on other sites

Majid good sharing

Aur yeh bilkull sach hai ke humme doosro ko kuch kehne sey pehle apne amaal par ghoor karne ki zarorat hai...kehte haina ke dosre ki burai karne se pehle apne gareeban mein jhank kar dekh lena chahye wohi baat yaha bhi hai..hum yeh to keh sakte hain k fala banda yeh kar raha aur fala wo kar raha hai lekin kya hum yeh dekhte hain ke hum kis khad tak theek hai...again nice sharing

Aur doosri baat bhi bilkul theek hai agar ap aik insan ko is tara khush karte ho jis sey Allah Talah naraz ho jatey hain to yeh sakhat gunnah ki baat hai.

Misaal ke tor par agar ap aik insan ka raaz doosre ko batate ho sirf isliye ke dosra insan is sey khush ho jaey ga to yeh bohat gunnah ki baat hai.aur rahi baat sifarish ya rishwat ki to yeh to teeh hai ke dene wala aur lene wala dono gunahgaar hain..

Share this post


Link to post
Share on other sites

yes sure emira it's true but it's too late u know people are rushing towards dulat and shuhrat without caring that they are going on the wrong way

thanx for ur appreciation.

Share this post


Link to post
Share on other sites

Asalam-o-Alaikum,

Solitude and silence:

Hazrat Muhammad (SAW) said:

"It is more excellent in Allah's sight for a man to maintain silence than to engage in worship for sixty years/"

"Shall I not guide u to two qualities which are very light on the back, but very heavy in the scale? Long silence and good character.By Him in whose hand my soul is, mankind can do nothing to compare with them."

"Solitude is better than an evil companion, a good companion is better than solitude,dictating what is good is better than silence and silence is better than dictating what is wrong."

Today's Vision Regarding above said Ahadit:

so viewers Hazrat Muhammad (SAW) ne farmaya hai ke 2 cheezain hain jo ke insan per halki hain aur akhrat main tarazoo per bohot bhari aur woh hai khamooshi aur acha ikhlak means good chracter, aaj kal deekhain tu logoon ke ikhlak thore se kharab hain means woh kaheen na kaheen garbar zaroor ker jate hain jis se doosre suffer hoon isi tarah loog khamooshi ki bajaee gunnahhon ki taraf zayada raghbat rekhte hain jis se nuksan un ka hota hai lekin unheen is cheez ka pata nahin chalta......... aur ik baat aur ke Allah ko jawani ki ibadat insan ke bhurape ki ibadat se zayada pasand hai lekin aaj kjal ke musalman hi is baat ko nahin jaan sake aur society ki mayuub si rasoomaat per amal ker ke apni dunyavi zindagi tu barbad ker hi rahe hain aur sath sath apni akhrat ki zindagi ko bhi tabah ker rahe hain.

isi tarah ik aur jagah irshad hota hai ke " tanhai behtar hai bure dost se aur ik acha dost behtar hai tanhai se aur kisi ko burai ki taraf raghbat dilane se behtar hai ke aap kahmooshi ikhtiar kareen aur kahmooshi se behtar hai ke aap kisi ko achi baat bata deen" aaj kal dekha jae tu loog ik dosre ki buraiyaan tu ker leete hain lekin chup nahin beeth sakte aur hypocracy tu aaj kal aam hai na khud apne apa ko nahin deekhte aur doosroon ki buraiyaan kerte rehte hain kam az kam jahan tak mera khayal hai na ke koi bhi insan burai se pak nahin har kisi main kaheen na kaheen kisi na kisi jagah per zaroor burai chupi hoti hai jis ka keh woh irtikab kerta hai so, behtar hai ke doosroon ki burai kerne se pehle apne aap ko khangal lo.Allah hum sab ko Hazoor (SAW) ki ahadith per amal kerne ki taufeeq atta farmaee (AMIN)

Allah HAfiz

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.