Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
caratamity

Taqdeer Ya Tadbeer

Recommended Posts

Well, It's been really a confusing topic, like Taqdeer . so if anyone can help plz do................... What to believe in ? Taqdeer or Tadbeer........ and why?

I expect pretty good answers from you guys.

take care and keep smiling

Share this post


Link to post
Share on other sites

hmm nice topic well i believe

Mein ne mana kai taqdeer ka likha hai attal

Mera iman hai duaoon main asser hota hai

Jahan taqdeer be bas hoti wahin se Duaa karamad hoti hai that's all :)

Share this post


Link to post
Share on other sites

well i think kee app ki taqder aap ki tadbeer per depend ker rahi hoti hai bcoz yeh main ne suna hai ke insan mehnat se apni taqdeer badal sakta hai aur mehnat usi waqt ho sakti hai jab tadbeer ho gi so in my opinion the taqdeer is dependent on tadbeer.

Share this post


Link to post
Share on other sites
Mein ne mana kai taqdeer ka likha hai attal

Mera iman hai duaoon main asser hota hai

Well, It's really amzing. Nice words

Laken, iss Hakikat say koi inkaar nahi kar sakta keh zindagi main' kisi na kisi morr pay aap ko yeh ehsaas hota hai keh koi hai jo aap kay nizam-e-zindagi ko control kar raha hai. Aur wahin' humain lafz Lucky ya Un-Lucky sunany ko milta hai, Iss kay ilawa aur bohat saaray swaalat sar uthatay jab khaas taor par log Rizq aur Maot ki baat kartay hain'.

Kia Uss waqt koi Tadbeer kaam aati hai? .?????

Share this post


Link to post
Share on other sites

Taqdeer ki 2 qismain hain

Taqdeer-e-mubram

yeh tay shuda faislay hain jo kabhi nah badltay ..jaysay moot or zindgee

2>taqdeer-e-muallaq

yeh woh fasilay hain jo muallaq hotay hain yaani in main tabdelle ho jata hay

is main app ki tadbeer chal saktee hay ... apne duaaon or mehnut say

behrhal koi bhi tadbeer kerain lakin yaqeen hamesha ALLAH ki zat per rakhain

is ley k tadbeer insan kerta hay or TAKMEEL Allah taala fermatay hain

Rizq ki jahan tuk bat hay hadees ka mafhoom hay

jis terah MOOT insan ka peecha kertee hay is terah RIZQ bhi insan ka peecha kerta hay or us ka rizq us tuk pohnch k rehta hay

bat sirf itnee hay k apnay buray ammal or haram rastoon say kamaye ki wajha say rizq say berkat khatum ho jatee hay yani insan ko woh apnay ley kafi nahi lagta

Share this post


Link to post
Share on other sites

ji bilkul rukh u r right i agree with ur post and i think aaj kal loog haram ki taraf zayada tawajoo dete hain ba nisbat hallal ke u know hallal main un ko utna milta hai jitne se un ka guzara asani se ho jaee lekin haram se woh apna sakoon aur apne ammal donoon barbad ker deete hain.

Share this post


Link to post
Share on other sites

jee is per ik waqiya yad araha hay

koi naik buzurg thay (nam yad nahi ) woh ik admi ko kehtay hain k tum mere horse ki hifazat kero main jub tuk namaz perh loon ..jub woh namaz shroo kertay hain to us adm ki nyat khrab ho jate hay ,,or woh horse ki zain utar ker bhag jata hay jo wh sahab namaz say fairgh hotay hain to admi ko ghiab patay hain woh us ki talash main nikaltay hain to wo dekhtay hain k woh admi un k horse ki zain ko 2 derhum main baich raha hota hay

to buzurg fermatay hain ..k maini dil main soocha tha kay tum ko horse ki hifazat k 2 derhum doon ga lakin tum nay choree ker k 2 derhum kamaye

yanee us admi ki qismat main woh 2 derhum thay lakin ab yeh us k ikhtyar main tha k woh halal rastay say kamata ya haram say ..us nay haram rasta ikhtyar kia to 2 derhum to us ko mill gaye lakin guunah bhi sath main kamaya

yeh cheez taqdeer or tadbeer hay ... taqdeer likh de gaye hay k yeh cheez is shaks ko mil jaye ge ab yeh us per hay is ko kis terah hasil keray

Share this post


Link to post
Share on other sites

bohot khoob ibadat bohot acha waqia bataya aap ne

Share this post


Link to post
Share on other sites

@Rukh

well, aap nay ka kafi achi aur tafselan iss topic par apni raey ka izhaar kia hai, I must say spurb aur iss say mujhey kafi faida hua hai.............

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.