Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
sanober qazi

Intykhab

Recommended Posts

mahir-ul-qadri.gif066.gif

Share this post


Link to post
Share on other sites

anayat >>> very good yara :yes:

MAri zindagi

"Jab say tum aaye meri zindagi main

Her lamha teri chaah hai

Her pal ko teri aarzoo hai

Her dhadkan main teri yaad hai

Aur her chahat ko teri hi pyaas hai

Guzri thi kuch is tarah say zindagi yeh tere nam sey

Jaisay isko teri hi, tere pyar ki, tere justajoo ki talaash hai

Aur ab to yeh aalam hai mere hum-nasheen

Kay tu nahi to duniya main kuch bhi nahi

soch kar bhi tujhey na hasil karney ka gum hia is dil ko dhadkney ki aarzoo bhi nahi

Share this post


Link to post
Share on other sites

hi i m new member of this site some of my favorite shairs are here for all of you.

ishq nay seekh hi li wakt ki takseem kay ab

woh mujhko yaad to atta hai magar kaam k baad

Share this post


Link to post
Share on other sites
Shahkar-051.gif

Share this post


Link to post
Share on other sites

woh agar mil k bicharta to koi baat bhi thi

jis ko paya hi nahi usko khona kaisa

udasiyon ka koi sabab ho to batlain

k hum aksar baysabab udas rehtay hain

ab kay woh udasi hai k dil kehta hai

koi bhatka hua rahi hi safar mai utray

koi rutha hua hi jugnu bulai mujhko

koi tuta hua hi tara meray ghar mai utray

Share this post


Link to post
Share on other sites

AMBER >>> ur colection is awesome :yes: u r new member so u must go to I M NEW SECTION der u can start a topic about ur intro ;) it will be better idea to know all about u :hi:

anayat >>. superb :yes:

Umeed ke Saharay

"EK PAL KE LIYE BHI LAGTA NAHII DIL AAJ KAL,

TUMSAY MILNAY KO KARTA HAI DIL AAJ KAL,

KHUDA KA SHUKAR HAI JISNAY TERI YAADON KA SAHARA DIYA WAQT GUZARTA HU TERI YAADON MEIN AAJ KAL

KAUN ROK SAKTA HAI IS AZEEM KALAM KAAR KO LIKH DALA GHAM-E-JUDAYI MERAY MUQADAR MEIN AAJ KAL

BAHUT GHAMGHEEN SA REHTA HU LAGTA NAHII HAI DIL AAJ KAL

KHUDA MILAYEGA JALD HI HUMKO IS UMEED KE SAHARAY JEE RAHA HU AAJ KAL ..

Share this post


Link to post
Share on other sites

bohut achay umair A4amber aur anayat ji :hi:

jab kabhi unki tawajoh meiN kami payi gayi

az sar-e-nau dastan-e-shauq dohrai gayi

bik gaye jab tere lab phir tujh to kya shikwa agar

ziNdagani bada-o-saghar se behlai gayi

ai gham-e-duniya! tujhe kya ilm tere wastei

kin bahanoN se tabiyat rah par lai gayi

hum kareiN tark-e-wafa, achha chalo yuN hi sahi

aur agar tark-e-wafa se bhi na ruswai gayi?

kaise kaise chashm-o-ariz gard-e-gham se bujh gaye

kaise kaise paikaroN ki shaan zaibai gayi

dil ki dharkan meiN tawazan aa chala hai khair ho

meri nazareiN bujh gayiN ya teri ranai gayi

un ka gham, un ka tasawwur,un ke shikway ab kahaN

ab tau ye bateiN bhi ai dil! ho gayiN ayi gayi

jurat-e-insaaN pe go tadib ke pahrey rahe

fitartey insaaN ko kab zaNjeer pahnaiyi gayi

arsa-e-hasti meiN ab tesha_zanoN ka daur hai

rasm-e-chaNgezi uThi, to qaid-e-darai gayi

Share this post


Link to post
Share on other sites

thanx alot bindu jie :hi:ur posting is :yes: :yes:

Maeray hum sufr taray naum haan maery zindgei

"maeray hum sufr taray naum haan marae khuab maeri bseirtaan-

maery zindgei maery her khushi maery zaat maery hkaeitaan-

tarei yaad sae to chalae yahaan maery zidgei ka ya kaurwaan-

tera piaar ha marae chaar sou,jou dil pae kare haukuumataan-

mujae shourd ka nahi jau tum,yuun hi haath main maira haath lou-

taira sauth ha maery zindgei,ha yahei tou saauri hakiktaan-

mujae piaar apna dou sunm,mujae yaad rakhu kaudm kaudm-

kush aour nahi mujae chaheia ,maery malkiat taeri chahtaan

kaheen aur tum jau nahi aab yaahien zidagei ku gzaar duo-

yuun he muskratae rahu jou tum,tou khul utahaan yae saetaan

Share this post


Link to post
Share on other sites

:hi:

Nafratoon ki kitab parh kay mohabbatoon ka paigam likhna

Bauhat mushkil hai khizaan kay mathay per dastan-e-ghulab likhna

Share this post


Link to post
Share on other sites

thanks umair aur tumhari postings toh humesha hi lajawaab hoti hain .tareef ke liye words nahi mil rahay. :)

fati aap ka shair bhi bohut acha hai :hi:

naqsh fariyaadii hai kis kii shoKhii-e-tahariir kaa

kaaGazii hai pairahan har paikar-e-tasviir kaa

kaave-kaave saKht_jaan haae tanhaaii na puuchh

subah karanaa shaam kaa laanaa hai juu-e-shiir kaa

jazbaa-e-be_iKhtiyaar-e-shauq dekhaa chaahiye

siinaa-e-shamshiir se baahar hai dam shamshiir kaa

aagahii daam-e-shuniidan jis qadar chaahe bichhaae

muddaa anqaa hai apane aalam-e-taqariir kaa

bas ke huu.N 'Ghalib' asiirii me.n bhii aatish zer-e-pa

muu-e-aatish_diidaa hai halqaa merii za.njiir kaa

Share this post


Link to post
Share on other sites

thanx alot :hi:

bindu hi ur colection is also gr8 :yes:

fati >>> :hi:

nazar

"NAZAR KAY SAMNAY GUZRAHOA ZAMANA THA WOH YAAD AAYA JISAYHUM KO BHOOL JANA THA BOHAT ZAROORI THA MILNA BHI MERA USS SAY MAGAR KAY WAQAT KAM THA MUJHA DOOR JANA THA MAIN APNI ZAAT SAY TAKRAKAY PASH PASH HOA MERA MIZAJ KUCH AISA HI BAGHIANA THA TAMAM RAAT KHULA RAKHA GHAR KA DARVAZA WOH KAISAY AATA JISAY LOUT KAR NA ANNA THA CHUPA HOA TO HAQEEQAT MAIN SIRF BATIL THA NATEJA RAD AMAL KA HI SHAKSANA THA KIA THA ISQ TO SHIQWA BHI IS SAY KIA HO NAVEED MERAY HI DIL MAIN RAHA JO MERA AFSANA THA

Share this post


Link to post
Share on other sites

Umair Nice..

well i like This Poem.. which i m gona post! ho sakta hay pehlay b ho.. didn't check.. but ager rapeate ho jai tu ENJOY AGAIN :D..

Bohat dino ki baat thi

shabab per bahar thi

fiza bhi khushgawar thi

na jaane kioun machal para

main apne ghar se chal para

kisi ne mujh ko rok ker

bari aada se tok ker

kaha ke laut ayyee

meri qasam na jayyee

meri qasam na jayyee

magar mujhe khabar na thi

mahaul per nazar na thi

na janey kioun machal para

main apney ghar se chal para

phir shehar se main aa gaya

khayal tha ke paa gaya

usey jo mujh se durr thi

magar meri zaroor thi

phir ik haseen shaam ko

main chal para salam ko

gali ka rang dekh ker

naye tarang dekh ker

mujhe bari khushi hui

main kuch isi khushi main tha

kisi ne jhank ker kaha

paraye ghar se jayyee

meri qasam na ayyee

wohi haseen shaam hai

bahar jis ka naam hai

chala hoon ghar ko chor ker

na janey jaoon ga kidhar

koi nahin jo rok ker

koi nahin jo tok ker

kahay ke laut ayyee

meri qasam na jayyee

meri qasam na jayyee

Share this post


Link to post
Share on other sites

kash main tere raste ka pahtar hota

beiqteyar tere paoonse takra jata

gusse bahri nighahoon se tum dekhti mujhe ko

zara jukh kar main tum ko sorry keheta

mazrat tum meri qaboolna karti

ghamzada ho kar main muskarajata

usee raste se tum roz gozra karti

har roz main tumhain yohain dehka karta

bilakahir ek roz tum muskura se jati

vo din mere liye eid ka sa hota

Share this post


Link to post
Share on other sites

nadan >> its so nice :hi: n han i have read dat before :)

mhn >> very ncie :yes:

kahaan jaao ghay

"kahaan jaao ghay mujhay choor ker , main yeh poch kay thak gaya

woh jawaab mujh ko na day saka , woh to khud sarapa sawaal tha

woh jo is kay saamnay aa gaya , wahi roshni main naha gay

ajab us ka hait-e-ishq tha , ajab us ka rang-e-jamaal tha

damay waapsi ka kia hwa , na woh roshni na woh taazgi

woh sitara kaysay bikhar gaya , woh to khud apni misaal tha

woh mila to sadeeoon kay baad bhi , merray lab pay koi gila na tha

usay merri chup nay rula dia , jisay ghuftugu main kamaal tha

mujh say lagh kay woh ro dia , zahid bas itna woh keh saka

jisay jaanta tha main zindagi , woh to sirf weham-o-khayaal tha

Share this post


Link to post
Share on other sites
908_big.gif

Share this post


Link to post
Share on other sites
1785_big.gif

Share this post


Link to post
Share on other sites
1824_big.gif

Share this post


Link to post
Share on other sites

lovely postings dosto :hi:

baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage

hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage

ik khel hai auraNg-e-sulemaaN mere nazdeek

ik baat hai 'eijaz-e-maseeha mere aage

juz naam naheeN soorat-e-aalam mujhe manzoor

juz waham naheeN hastee-e-ashiya mere aage

hota hai nihaaN gard meiN sehara mere hote

ghisata hai jabeeN KHaak pe dariya mere aage

mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche?

too dekh ke kya rang tera mere aage

sach kahte ho, KHudbeen-o-KHud_aaraa na kyoN hooN?

baiTha hai but-e-aainaa_seemaa mere aage

phir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-guftaar

rakh de koee paimaanaa-o-sahba mere aage

nafrat ka gumaaN guzare hai, maiN rashk se guzaraa

kyoN kar kahooN, lo naam na uska mere aage

imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe kufr

ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage

aashiq hooN, pe maashooq_farebee hai mera kaam

MajnooN ko bura kehti hai Laila mere aage

KHush hote haiN par wasl meiN yoN mar naheeN jaate

aayee shab-e-hijaraaN ki tamanna mere aage

hai mauj_zan ik qulzum-e-KHooN, kaash, yahee ho

aata hai abhee dekhiye kya-kya mere aage

go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai

rehne do abhee saaGHar-o-meena mere aage

ham_pesha-o-ham_masharb-o-ham_raaz hai mera

'GHalib' ko bura kyoN kaho achchaa mere aage!

Share this post


Link to post
Share on other sites

[Wo Kisi ki Dil Lagi ko Saza Samjne Laga

Do pal Roth k Guzare to Jafa Samjne Laga

Wo kia jane k hum ktna roye unke Baghair

Wo Baghair soche smje muje bewfa Samjne Laga

Share this post


Link to post
Share on other sites

ik hrf tsalli ka, 1 lafz muhabbat ka,

khud apny liye us ny likha to bht roya,

pehly b shikastoon pr khai thi shikst us ny,

lekin wo tery haathoon, haara to bht roya,

itna b aasaan na tha, hasti sy guzr jana,

utra jo smundar mae, to drya b bht roya,

jo shkhs nhi roya, kbhi tapti rahoon pr,

aaj deewar k saaye mae betha to bht roya,

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.