Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
sanober qazi

Ek Shair

Recommended Posts

janay us shaks ko kaisa huner aata hai

raat hoti hai toh woh aankhon mein uter aata hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hallat k Qadmon mein Qalandar nahi girta

Tooty jo bhi Tara Zamin par nahi girta

Girtty hain barry Shoq se Samandar mein Dariya

Laikin kissi Dariya mein Samandar nahi girta

Share this post


Link to post
Share on other sites

hey nice shiaree guysss...ab main kuch kahoon:)

GHAMOON KI DHOOP

"Ghamoon ki dhoop mae jalna yun accha nahi

akele ghame doran ko jhelna accha nahi

jo saath ho koi to rasta asan hai

meri mano yeh zamana kuch acha nahi

kartae nahi aitibar yeh aadat hai tumhari

yeh buri adatain rakhna kuch acha nahi

hotae nahi zamanae mae burae sabhi log

ke har ek sae moon morna bhi accha nahi

kiyun bethae ho muthi mae band kiyay lamhoon ko tum

ke baar baar zakhmoon ko kharochna bhi acha nahi

ok bye tc all

ALLAH HAFIZ

Share this post


Link to post
Share on other sites

:star:

parhtay parhtay aik kittab otha lay

hum os ki aankh sa khwaab otha lay

osay na pa kar os ki maaz par sajay huay

phool daan sa aik gullab otha lay

taro bhari aik maang ko tabinda rakhnay

os ki jabeen par sa mahtaab otha lay

os ka aaks ko dakh k wapus hotay huay

aainay ka aastijab otha lay

aahd-a jadeed ki tahzeeb afridi k liya

khoi hui tareekh ka baab otha lay

Share this post


Link to post
Share on other sites

Pyar Chupta Nahi

Poochh Lo Tum Bhi Iss Zamaane Se,

Pyaar Chhupta Nahin Chhupaane Se.

Paas Aate Ho Chhoote Ho Baat Karte Ho,

Kabhi Matlab Se Kabhi Bahaane Se.

Pyaar Dil Mein Hai To Laao Zabaan Pe,

Aag Badhti Hai Ye Bujhaane Se.

Tumhein Na Paana Shaayad Behtar Hai,

Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwaane Se.

Chalo Ek Dua To Apni Poori Huyee,

Mil Liye Apne Ek Deewaane Se.

Roye Jaate Ho, Bas Roye Jaate Ho,

Kya Hoga Ye Dhan Lutaane Se.

Karo Koshish Ki Kurbatein Hee Rahein,

Dooriyan Badh Jaati Hain Badhaane Se.

Kya Sunaayein Kisi Ko Raaz-e-Dil,

Dard Bhi Badhta Hai Sunaane Se.

Bhool Jaao Kar Ke Achha Hai

Ehsaan Rehta Nahin Jataane Se.

Share this post


Link to post
Share on other sites

dil ajab shahar ha nadano ka

ha basaara yaha deewano ka

ab haqeekut sa shanasai ha

zikar ab kia karay insano ka

khud hi sahil pa bhi la aatay ha

kia ajeeb tor ha toofano ka

fiker wa adraak ka pahra rakho

kuch barosa nahi armano ka

dosti ko to parinday hi bhalay

haal dakha nahi insano ka

Share this post


Link to post
Share on other sites

himmm so nice shairee sanober .....gr8 :) kep dat up

PIYAR IK BE MAINE LAFZ HAI

NAFRAT KI WADI MEIN

PIYAR IK BE MAINE LAFZ HAI

YAHAN SIRF NAFRAT KI KHETI HAI

YAHAN KOI PIYAR KA GEET NAHEIN

KOI BHI SACHA MUNN MEET NAHEIN

YAHAN SIRF NAFRAT KE KASNI SANP HEIN

JO SIRF DASNA JANTAY HEIN

IN KE HONTAUN PAR WAFA KA NAM NAHEIN

IN KI AANKHAUN MEIN PIYAR KA PEGAM NAHIEN

YE LAUG SIRF TAASUBB KI AAG MEIN JALNA JAN TE HEIN

PIYAR KI GEHRA-E- KO SAMAJHNA IN KE BUS MEIN NAHIEN

BIL AAKHIR AUB MEIN NE BHI YE SAUCH LIYA HAI

KE MEIN NAFRAT KI WADI MEIN

KIYOON PIYAR KE DEEP JALAUN

KIS LIYE NAFRAT KO MITTAUN

KIYOON KE MEIN AUB JAN CHUKI HAUN

KE PIYAR KA MUKAM HAR DIL MEIN NAHIEN HOTA

AUR

JIS DIL MEIN PIYAR NAHIEN HOTA

WAHAN PIYAR KE DEEP KABHI NAHIEN JALTE

YE HAQIQAT MUJH PAR AASHKAR HO CHOKI HAI

KE

NAFRAT KI WADI MIEN

PIYAR IK BE MAINE LAFZ HAI

Share this post


Link to post
Share on other sites

umair g itny lambi lambi post kar rahay ho khaar to ha na :star:

Share this post


Link to post
Share on other sites

lao woh tinkay kahi say aashiyanay kay liya

bijliya bay taab ho jin ko jalanay ka liyaa

Share this post


Link to post
Share on other sites

mil hi jayega dil ko yeh yakeen rehta hai

woh es hi shaher ki galiyon mein kahin rehta hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

parakhna mut parakhnay sa koi apna nahi rahta

kisi bhi aainay ma daar tak chahra nahi rahta

baray logo sa milnay ma hamasha fasila rakhna

jaha darya samundar sa mila darya nahi rahta

Share this post


Link to post
Share on other sites

ba rukhi is say bari aur bhala kia hogi

aik muddat say hamay is nay sataya bhi nahi

Share this post


Link to post
Share on other sites

no nice poetries sanober n sleepism n nice shair jaan :D

AJNABI THA MAGAR...

"ajnabi tha woh ya tha woh apna

haqeeqat tha ya phir ek sapna

apnain dil ka haal batata raha humain

isqh o mohabbat sikhata raha humain

zindagi jeenain ka saleeka batagaya

aisay chordh kar gaya k hastee hi mitagaya

samjahaye thay jisko aashnah ajnabi tha magar

dushmanoon se badhtar haal humara banagaya

aisa pathar dil tha usska k rehim bhi nah aya

dil to dil dhardhkanain bhi churagaya

woh kon tha jo humain zindagi to chordho

maut ki baachee howie akhiri saansoon se bhi dara gaya

Share this post


Link to post
Share on other sites
:star: so nice and sweet poetry of urs sanober nad umair just like me :star:

Share this post


Link to post
Share on other sites

thanx sleepism :)

YEH KAISI TERI YAAD HEY....

"Masroofiat Kay Pal Mein Bohat Hi Satati Hay

Tanhai Mein Baithoon To Dard Barhati Hay

Khanay Ko Ji Chahta Hay To Bhook Urr Jati Hay

Bin Piyay Pani Pyaas Hi Bujhh Jati Hay

Jab Kisi Gulab Ki Khushboo Urr Kay Aati Hay

Ghamzada Rehta Hoon Bohat Tarpati Hay

Guzarta Hay Din Aur Jald Raat Aati Hay

Har Shab teri Yaad Barhti Hi Chali Jati Hay

Bister Par Laytoon To Neend Nahi Aati Hay

Karwat Badal Badal Kay Sari Raat Nikal Jati Hay

Meray Bekarar Dil Ki Betabi Ko Barhati Hay

Jab Kabhi Teri Muskurahat Yaad Aati Hay

Ab Merey Dil Say Yehi Sada Aati Hay

Mohabbat Na Karna Bara Tarpati Hay

YEH KAISI TERI YAAD HEY JO MUJHEY YAAD AATI HEY.

Share this post


Link to post
Share on other sites

Ek raaz hai dil mein mere

...ek ghum gehra chuppa hai

koi jaan ke nahi jaan sakta

...keh dil mein mere kya hai

sab deikhte hain khushi chehre par mere

...par yeh nahi keh aankhon mein meri kya hai

khula yeh raaz jis din dil se mere

...aa jaaega toofan zindagi mein uski

aur jo aaya toofan zindagi mein uski

...to meri zindagi ka matlab kya hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.