Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
sanober qazi

Khuwab Tout Jaty Hein

Recommended Posts

Kisi Larki Say Mat Kehna

K Uss Say Piyar Kertay Ho

Ager Ek Bay-Dhayani Main Bhi Yeh Iqrar Ker Bethay

Kisi Say Piyar Ker Bethay

To Phir Wado Ki Doriyon Main Ulajh Ker Toot Jao Gay

Tumharay Piyar Ka Uss Ko Ager Ehsaas Ho Jaye

To Ho Sakta Hai Tum Uss Ka Rang-o-Roop Ban Jao

Mohabbat K Safar Main Shayad Aaisa Mor Aa jaye

K Tum Narazgi Ka Bermila Izhaar Ker Bethay

Koi Inkaar Ker Bethay

To Yeh Samjho Koi Sheesha , Koi Dil Toot Jaye Ga

K "Inn" K Dil Bohat Nazuk , Bohat Kumzor Hotay Hain

Kisi Larki K Dil Ka Tootna Bhi Mout Hoti Hai

Kisi Larki Say Mat Kehna K Uss Say Piyar Kertay Ho

Share this post


Link to post
Share on other sites

JANAY KAISAY SNBHAL KAR RAKHY

____________________________

janay kaisay sanbhal kar rakhy

sub iraday sanbhal kar rakhy

mousame ishq teri barish mai

khat ju beegay sunbhal kar rakhy

jin ki khushboo udas karti thi

woh bhi gujray sunbhal kar rakhy

Share this post


Link to post
Share on other sites

"Zera se ranjish"

khuwab toot jatey hain,bhearr mein zamanea k saath chout jatey hain.

ek zera se ranjish sae .....

shaak ki zeraad tahne per phool badgomane k

is tarha sae khelatey hain...

zindage sae pyaarey bhi ganrre ban kar miltey hain

omair bhar ki chahet ko asraa nahe milta ..

dashtay-bay-yaqeene mein rasta nahe milta

marfat k lafzoon ko rhosne nahe milti

lazat-e-pazeraie nahe milte....

phool rang-a-wadoon ki manzilain sokartee hain..

dahhanea mournea lagtey hain

bay-rokhee k garay sae bed dili ki mettii sae fasley ki eat sae eat

journea lagte hain....

kaahk urnea lagte hai

Khuwab tout jatey hain

wahamon k saiey sae

Omair bhar ki mohabbat ko pil mein bhoul jaiey gay

ZERA se RanjHish sae saath chout jatey hain

Share this post


Link to post
Share on other sites

Sapnay kaisey baat Karin

Khadshoon ki zanjeer pari hai neend bhari sab ankhoon main

Sapnay kaise baat karain, sapnay kaise baat karain

Jin loogon ka rasta taktay umerain rizk khaak huin

Ab who loogg aur un kay sapnay daikhnay wali

Ankhain bujh kar raakh huin

Raakh kay iss anbaar main hoon gay kaise kaise zinda khwaab

Khwaboon ki iss raakh ko laikin chairay kon

jis rastay per chaaoon na pani is pe dairay dalay kon

jis mitti main rait milli ho iss main kaise baag lagain

darya he paayab ho jab tau,iss main kishti kaise

khusboo ik awara jhoonka,iss jhonkay ko ghairay kon

kaise dunya ko batlaaon tum hotay ho meray kon?

Share this post


Link to post
Share on other sites
"Zera se ranjish"

khuwab toot jatey hain,bhearr mein zamanea k saath chout jatey hain.

ek zera se ranjish sae .....

shaak ki zeraad tahne per phool badgomane k

is tarha sae khelatey hain...

zindage sae pyaarey bhi ganrre ban kar miltey hain

omair bhar ki chahet ko asraa nahe milta ..

dashtay-bay-yaqeene mein rasta nahe milta

marfat k lafzoon ko rhosne nahe milti

lazat-e-pazeraie nahe milte....

phool rang-a-wadoon ki manzilain sokartee hain..

dahhanea mournea lagtey hain

bay-rokhee k garay sae bed dili ki mettii sae fasley ki eat sae eat

  journea lagte hain....

kaahk urnea lagte hai

Khuwab tout jatey hain

wahamon k saiey sae

Omair bhar ki mohabbat ko pil mein bhoul jaiey gay

ZERA se RanjHish sae saath chout jatey hain

bouhat khub nadan

Share this post


Link to post
Share on other sites

Thanks Snober!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

u welcome Nadan

Khwaab martay naheen

Khwaab dil hain, na aankhaen, na saansaen keh jo

Raezah raezah huay to bikhar jaa'aen gay

Jism ki maut say yeh bhi mar jaa'aen gay

Khwaab martay naheen

Khwaab to raushni hain, navaa hain, hawaa hain

Jo kaalay pahaaroon say ruktay nahin

Zulm kay dozakhoon say bhi phuktay naheen

Raushni aur navaa aur hawaa kay alam

Maqtaloom main pahunch kar bhi jhuktay naheen

Khwaab to harf hain

Khwaab to noor hain

Khwaab Suqraat hain

Khwaab Mansoor hain

Share this post


Link to post
Share on other sites

salam sanober n nadan jie:)........salam poetries......so nice to read dem........ab main arz karta hoon......app ke liye........

Zara see baat

"zindagee k mailey main

khuahishon k railey main

tum sey kia kahain janaan

is qadar jhamailey main....

waqt ki rawani hey

waqt ki girani hey

sakht bey zameene hey

sakht la makani hey

hijr k samander main

takht aur takhtey ki

aik he kahane hey....

tum ko jo sunani hey

baat go zara se hey

baat umar bhar ki hey

umar bhar ki batain kab

dou ghare main hote hain....

dard k samander main

un ginat gazeeray hain

bay shumaar motee hain

aankh k dareechay main

tum ney jo sajaya tha

baat us diay ki hey

baat us gilay ki hey

jo lahoo ki khalwat main

chore ban k aata hey

nabz ki faseelon per

toot toot jaata hey....

zindagee sey lambi hey

baat rat jagey ki hey

raastey main kaisey hou

baat takhliay ki hey

takhliay ki baton main

guftugo ezaafe hey

pyaar kerney walon ko

ek nigaah kafi hey

hou sakey tau sun jao

aik din akailey main...........

zindage k mailey main

khuahishon k railey main

tum sey kia kahain jaanan

is qadar jhamaiyley main

ok bye tc all

ALLAH HAFIZ

Share this post


Link to post
Share on other sites

boht khoobsooret sharing hai aap sab kee mai bhee ek sheir sunna chahti houn

KHUWAB HOTEY HAIN DEKHNEY KAY LIAY

IN MAI JAKER MAGER REHA NA KERO

Share this post


Link to post
Share on other sites

thanx sanober jie:)........ab koiee aur arz nahien karta to main hie kar deta hoon;)..........

hum neydil jalana abb choor dia

her ghum ko galay lgana abb chhor dia

her pel yaad to aya karti thi teri

tyrey liyay soochna abb choor dia

must hoon mein dervashoon ki manid

kisi ko mein ney satana abb choor dia

waqat hey kay guzarney ka ahsaas nein

logoon sey mein ney milna abb choor dia

maqsad to abb aik hi hey umair ka

dosaroon ko dukh dyna abb choor dia

ok bye tc all

ALLAH HAFIZ

Share this post


Link to post
Share on other sites

kisi larki sy mat kehna wali ghazal ant hay yaar .

Share this post


Link to post
Share on other sites

Khawab Adhoray Sahee.. Kahwab Saharay Tu Hain!

Share this post


Link to post
Share on other sites

salam all of u guyzzz.......

ab meri bari hia kuch post kariney ki......:)hope fully u like guyzz...

hum nay kho dia kudh ko

"aik shab wasal kay dhokay main

aik shab hegar kay dhokay main

hum nay kho dia kudh ko kisi kay naam kay dhokay main

kabhi agaz-e-safar kay dhokay main

kabhi angam-e-safar kay dhokay main

hum nay kho dia kudh ko kabhi manzil kay dhokay main

anjanay bay atbar logoon main

anjanay khof kay dhokay main

hum nay kho dia kudh ko kabhi manzil kay dokay main

aik pal iqrar kay dhokay main

aik pal inqar kay dhokay main

hum nay kho dia kudh ko un kahi baat kay dhokay main

kabhi dosti ki ganey chaoon main

us ki yadoon kay saiy main

hum nay kho dia kudh ko fakat chund lafzoon kay dhokay main.

ok bye tc all

ALLAH HAFIZ:)

Share this post


Link to post
Share on other sites

Very Nice Umair!

Share this post


Link to post
Share on other sites

"IN KHAMOOSH RATOO MAY

KIYA KAHOOMERAY DIL MAY

KITNA SHOOR BARPA HAY

DERD KA SMANDER HAY

JO K MERI AANKHOO SAY BAHER AANA CHAHATA HAY

DERD KA SAMANDER YE

BAHER AAGAYA TO

MERI AANKHOO K RASTAY

SAB KA SAB KHATAM HO GA

PHER MERAY DIL MAY

IN KHAMOOSH RATOO SII

KHAMOOSHI REH JAYE GI

YEHI SOCH KER MAY NAY

AANKHAY APNI BAND KER LIN

udas

Share this post


Link to post
Share on other sites

salam all of u guyzzz.......

thanx nadan........nice shairee adil:)

ab main kuch farmaata hoon

ajeeb kitni mohabbat ki dunya

"Ajab asrar hotai hain ,

mohabbat kai is khail main,

ke dil pana nahin chahta ...

kisi ka hojanj chahta hai.

ajab sarab hotai hain,

mohabbat ki inraahoun main,

ke manzil nazar to aati hai...

per rasta ulajh sa jata hai.

ajab kuch khuab hotai hain,

mohabbat ki in aankhoun main,

ke sapna toot bhi jay...

aur manzar aankhoun main reh jata hai.

ajab ek tapish si hoti hai ,

mohabbat ki is aag main,

ke jitni zeest jalti hai ...

mernay main maza bhi aata hai.

ajab kuch raaz hotai hain,

mohabbat ke sawaloun ke,

nishan ger mil bhi na paey...

jawab mil hi jata hai.

ok bye tc all

ALAH HAFIZ

Share this post


Link to post
Share on other sites

salam all of u guyzz....

thanx sanober jie.....n nice posting u toooo:)......wesey bhie koun bhoolita hia:(......ab main kuch farmata hoon........

Mai aur Mara Chand

"Jab raat ko uski yaad ati hai

Neend hi chali jati hai

Chand ko takta hun tu roo parta hun

Chand ki jaga uski tasveer nazar ati hai

Poori raat jagta hun

Uski yaad ko jalata ta hun

Jab ankhay nam hojati hai

tab Chand badalo mai chup jata hai :(

ok bye tc all

ALLAH HAFIZ

Share this post


Link to post
Share on other sites

Nice Snober! and Umair!

Share this post


Link to post
Share on other sites

thanx nadan ,and nice one from ur side umair

Ratjagoon kay sehra main khwaab jab ujar jaayain tum udaas mat hoona

Zindagi kay mailaay main hum agar bichar jaayain tum udaas mat hoona

Jin pay naam likhay hoon un ujaar shakhoon per kab bahaar aati hai

Aarzoo ki tehni say jab gulaab jhar jaayain tum udaas mat hoona

Jaan, kia zaroori hai dasht-e-naarasai main ek dua bhee poori ho ?

Hum agar riwajoon ki sulioun pay gar jaayain tum udaas mat hoona

Jabar ki fizaaoun main muskuraa kay jee laina, yeh bhee ek ibaadat hai

Chahay karb kay saye meray qad say barh jaayain tum udaas mat hoona

Kuch bhee ho magar apnay dilnasheen tabassum say zabt ka bharam rakhna

Chahay hum bichar jaayain, kyoun na hum ujar jaayain tum udaas mat hoona

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.