Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar
Sign in to follow this  
Emaad

Emaad Poetry Collection

Recommended Posts

“Mehsoos Kar Mujhay Tu, Kabhi Paas Aa K Dekh”

Mehsoos Kar Mujhay Tu, Kabhi paas aa K Dekh

Merey Jahan-E-Dil Main Apna Ghar Basa K Dekh

Koi Aisey Ajnabi Bhi Nahin Is Shahar K Log

Kuch Keh Tu Ranj-O-Gham Ki, Sab Ko Suna K Dekh

Humshakal Ho Gaya Hai Merey Gham Ka, Tera Gham

Tu Merey Dil Ko Apna Aaina Bana K Dekh

Yeh Farq Dair-O-Harm Ka Nazron Ka Bharam Hai

Tu Deengah Say Apni, Bahar Tu Aa K Dekh

Jab Ranjishon Main Kat Gayee, Ab Na Fareeb Kar

Waqt Aakhiri Hai, Ab Na Muskura K Dekh

Khamosh Sun Rahay Hain Hum, Sarghoshi-E-Bahar

Aatay Hain Apnay GaaoN Say Jhonkay Hawa K Dekh

Main Muntazir Hoon Roz-O-Shab, Aye Dard-E-Do_Jahan!

Bay-Dard, Jab Bhi Waqt Milay, Aazma K Dekh...................

Edited by emaad

Share this post


Link to post
Share on other sites

Bohat kuch badal jata hai

Bohat kuch badal jata hai

Tere aane ke baad,

Bohat kuch bichar jata hai

Tere jaane ke baad,

Wo samandar ki leharen,

Wo rait ke mehal,

Bohat kuch beh jata hai

Saahil se takra jaane ke baad,

Wo baarish ke moti,

Wo taaro ki khawahish,

Bohat kuch bikhar jata hai

Khawaab toot jaane ke baad,

Wo teri parchaiyon se takrana,

Wo saayon ka lehrana

Bohat kuch mit jata hai andhera chaa jaane ke baad

Share this post


Link to post
Share on other sites

Nice Collection Bro :flower4u:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Aankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya

Woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya

Kuch din tou mera aks raha aaine pay naqsh

Phir youn huwa k khud mera chehra badal gaya

Jab apnay apnay haal pay hum tum na reh sakay

Tou kiya huwa jo hum say zamana badal gaya

Qadmon talay jo rait bichhi thi woh chal pari

Us nay chhuraya haath tou sehra badal gaya

Koi bhi cheez apni jageh par nahi rahi

Jaatay hi aik shakhs k, kiya kiya badal gaya

Ek sarkhushi ki moj nay kaisa kiya kamal

Wo bay-niaaz saara ka saara badal gay

.

Uth kar chala gaya koi waqfay k darmiaan

Parda utha tou saara tamasha badal gaya

Hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay

Baaton main apni baat ko kaisay badal gaya

Kahnay ko ik sehan main deewar he bani

Ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya

Shayad wafa k khel say uktaa gaya tha woh

Manzil k paas aaak jo rusta badal gaya

Qiam kiis bhi haal pay dunia nahi rahi

Taabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya

Manzar ka rang asal main saaya tha rang ka

Jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya

Andar k mosamon ki khabar us ko ho gaye

Us no-bahaar-e- naaz ka chehra badal gaya

Aankhon mein jitna ashk thay jugnoo say ban gaye

Woh muskuraya aur meri dunia badal gaya

Apni gali main apna hi ghar dhoondhtay hain log

Amjad ye kon se sheher ka naqsha badal gaya

Share this post


Link to post
Share on other sites

sunaa hai log use ankh bhar ke dekhate hain

so us ke shahar main kuchh din Thahar ke dekhate hain

sunaa hai rabt hai us ko Kharaab haaloun se

so apane aap ko barbaad karake dekhate hain

sunaa hai dard ki gaahak hai chashm-e-naazuk us ki

so ham bhi us ki gali se guzar kar dekhate hain

sunaa hai us ko bhi hai sher-o-shaayarii se shagaf

so ham bhi mojaze apane hunar ke dekhate hain

sunaa hai bole to baatoun se phuul jhaartay hain

ye baat hai to chalo baat kar ke dekhate hain

sunaa hai raat use chaand takataa rahataa hai

sitaare baam-e-falak se utar kar dekhate hain

sunaa hai hashr hain us kii Gazaal si aankhein

sunaa hai us ko hiran dasht bhar ke dekhate hain

sunaa hai din ko use titaliyaan sataati hain

sunaa hai raat ko jugnuu Thahar ke dekhate hain

sunaa hai raat se barr kar hain kaakulein us ki

sunaa hai shaam ko saaye guzar ke dekhate hain

sunaa hai us ki siyaah chashmagi qayaamat hai

so us ko surmaafarosh aankh bhar ke dekhate hain

sunaa hai us ke laboun se gulaab jalate hain

so ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhate hain

sunaa hai aainaa tamasaal hai jabiain us kaa

jo saadaa dil hain ban saanvar ke dekhate hain

sunaa hai jab se hamaail hain us ki gardan main

mizaaj aur hi laal-o-gauhar ke dekhate hain

sunaa hai chashm-e-tasawar se dasht-e-imkaan main

palang zaave us ki kamar ke dekhate hain

sunaa hai us ke badan ke taraash aise hain

ke phuul apani qabaayen katar ke dekhate hain

vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahain

ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhate hain

bas ek nigaah se luTataa hai qaafilaa dil kaa

so rahain-ravaan-e-tamannaa bhi Dar ke dekhate hain

sunaa hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht

makeen udhar ke bhi jalve idhar ke dekhate hain

ruke to gardishein us kaa tawaaf karati hain

chale to us ko zamaane Thahar ke dekhate hain

kise naseeb ke be-pairahan use dekhe

kabhi kabhi dar-o-diivaar ghar ke dekhate hain

kahaaniyaan hian sahi sab mubaalaGe hi sahi

agar wo Khvaab hai taabeer kar ke dekhate hain

ab us ke shahar main Thaharein ki kuuch kar jaayein

'Faraz' aao sitaare safar ke dekhate hain

Share this post


Link to post
Share on other sites

Wahan say pani ke eik Bond na Nikal Saki Faraz

Tamam umer hum jin ankho ko jheel likhtay thay

Share this post


Link to post
Share on other sites

HAR LAMHA TERI YAAD....

har lamha teri yaad ki khushbu hai merey pas

is shehr main tanha hoon magar tu hai mere pas

jis shakl ko chaho.n teri soorat main badal doo.n

ye husn-i-tasawwar hai ke jadu hai merey pas

rakhta hai sada jo meri raato.n ko muattar

woh terey badan ka gul-i-khushbu hai merey pas

kia muj ko pasand aaye.n gey is shehar ke naghmey

tu hai meri koyal teri ku ku hai merey pas

kiyun thamo.n ga main jana.n kisi aur ki banhai.n

pehney huey kangan tera bazu hai merey pas

ab chahon qateel us k nagar tak muje le jaey

socho.n ka chamakta hua jugnu hai merey pas

Share this post


Link to post
Share on other sites

wo ishq jo hum se rooth gaya

wo ishq jo hum se rooth gaya, ab uss ka haal bataaein kya

koi mehr nahin koi qehr nahin, phir sachha shayr sunaaein kya

ik hijr jo hum ko laahaq he, ta dayr usay dohraaein kya

wo zehr to dil mein utaar liya, phir uss ke naaz uthaaein kya

ik aag ghame-e-tanhaai ki, jo saare badan mein phel gai

jub jism hi saara jalta ho, phir daaman-e-dil ko bachaaein kya

hum naghma-saraa kuch ghazlon ke, hum soorat-gar kuch khaabon ke

be-jazba-e-shauq sunaaein kya, koi khaab na ho to bataaein kya

koi mehr nahin koi qehr nahin, phir sachha shayr sunaaein kya

wo ishq jo hum se rooth gaya, ab uss ka haal bataaein kya

Share this post


Link to post
Share on other sites

Koyi dost hai na koi rakeeb hai

Tera shaher kitna ajeeb hai

Yahan kiska chehra pada karoon

Yahan kaun itna qareeb hai

Main kis se kahoon mere saath chal

Yahan sab kay sar par saleeb hai

Share this post


Link to post
Share on other sites

Bhoolne waale se koyi keh de zara

is tarah yaad aane se kya faaida,

Jab mere dil ki duniya basaati nahin

phir khayaalon mein aane se kya faaida

Kya kahoon aapse kitni umeeden thi

Aap kya badle duniya badal si gayi,

Aasra de ke dil tod te hain mera

Is tarah sataane se kya faaida,

Chaar tinke jala ke kya mil gaya

Mit sakana zamane se mera nishaan,

Mujhpe bijli girao to jaanu sahi

Aashiaan par girane se kya faaida

Share this post


Link to post
Share on other sites

کچھ تو احساس تنہائی کم ہو گا

گر سائے کو دیکھ لیں اپنے

Share this post


Link to post
Share on other sites

A very nice poetry addition

وہ بدل گيا اچانک ميري زندگي بدل کر

کبھي مجھ کو ساتھ لے کر کبھي ميرے ساتھ چل کر

وہ بدل گيا اچانک ميري زندگي بدل کر

ہوئے جس پے مہربان تم کوئي خوش نصيب ہو گا

ميري حسرتيں تو نکليں ميرے آنسوؤں ميں ڈھل کر

کوئي پھول بن گيا ہے کوئي چاند کوئي تارا

جو چراغ بجھ گئے ہيں تيري انجمن ميں جل کر

ميرے دوستو خدارا ! ميرے ساتھ تم بھي ڈھونڈو

وہ يہيں کہيں چھپے ہيں ميرے غم کا رخ بدل کر

تيري بے جھجک ہنسي سے نا کسي کا دل ہو ميلا

يہ نگر ہے آئينوں کا يہاں سانس لے سنبھل کر

کبھي مجھ کو ساتھ لے کر کبھي ميرے ساتھ چل کر

وہ بدل گيا اچانک ميري زندگي بدل کر

Share this post


Link to post
Share on other sites

کچھ تو احساس تنہائی کم ہو گا

گر سائے کو دیکھ لیں اپنے

Really Admirable !!!

Share this post


Link to post
Share on other sites

thanks Hmmm

___________________________________________

Tumhari aankhain kehti hain hisar-e-zaat say niklo

Tamanna meri ban jao, shab-e-barbaad say niklo

Kinara thaam lo dil ka bhula do her gila shikwa

Kabhi sachi hansi hans do punari yaad say niklo

Khayal-e-yaar acha hai magar jis nay wafa na ki

Palat ker phir sada na do, dar-e-faryad say niklo

Nahin koi muhabbat bhi, jijr rut bhi, raqabat bhi

To yeh dharka sa kya, kahiye, wehem ki ghaat say niklo

Sukhanwer hum say kehta hai saja lo ankh main kuch khwab

Dharakna dil ko sikhla do, amaawas raat say niklo

Nahin tum ko gawara ab hamara qurb to keh do

Hamaray karb ki choro, tum is gardaab say niklo

Sar-e-maqtal jo jatay ho, na ho darmandgi kuch bhi

Zamana daikh tham jaye, kuch is andaas say niklo

Share this post


Link to post
Share on other sites

Hawa ke haathon ki meherbani se dar gaye hain

Ye phool khushbu ki raa'e gaani se dar gaye hain

Ye rasm e rukhsat nibhaye kaise ye sochte hain

Tumhari aankhon main aaye paani se dar gaye hain

Ye teer jitne fiza main aa ker theher gaye hain

Kisi prinde ki be-zubani se dar gaye hain

Abhi to dil ko udas kerti nahi hain shaamen

Abhi se kyoun gham ki hukmarani se dar gaye hain

Hamen bhi sahil pe geet likhne they seepi'oun se

Magar hawaon ki meherbani se dar gaye hain

Share this post


Link to post
Share on other sites

Donon jahaan teri mohabbat mein haar ke

Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke

Viraan hai maikada khum-o-saaghar udaas hain

Tum kya gaye ke ruth gaye din bahaar ke

Ek fursat-e-gunah mili woh bhi chaar din

Dekhe hain hum ne hausle parwardigaar ke

Duniya ne teri yaad se begaana kar diya

Tujh se bhi dilfreb hain gham rozgaar ke

Bhule se muskra ke diye woh aaj Faiz

Mat puchh walwale dil-e-nakarda kaar ke

Share this post


Link to post
Share on other sites

Suno tum lot aao na

Woh dekho chand nikla hai,

Humari muntazer ankhen,

Duain maangti ankhen,

Tumhe hi sochti ankhen,

Tumhe hi dhundti ankhen,

Tumhe wapis bulati hain.

Yeh dil jab bhi dharrakta hai,

Tumhara naam leta hai.

Ye aansu jab bhi behte hain,

Tumhare dukh may behte hain.

Ke barish jab bhi hoti hai,

Tumhe hi yaad karti hai.

Khushi koi jo aaye bhi,

Tumhare bin adhuri hai.

Suno tum lot aao na...

Simply Awsum

Share this post


Link to post
Share on other sites

HUM NAZUK NAZUK DIL WALAY

Hum nazuk nazuk dil wale..

Kabi hanste hæn kabi rote hæn..

Kabi dil may khwab pirote hæn..

Kabi mehfil mehfil phirte hæn..

kabi zaat may gum ho jate hæn..

Kabi chup ki mohar sajate hæn..

Kabi geet labon par ate hæn..

Kabi sab ka dil behlate hæn..

kabi khud tanha hojate hæn..

Kabi shab bhar jagte rehte hæn..

Kabi lambi taan k sote hæn..

Ham nazuk nazuk dil wale..

Bus apne ap may rehte hæn..

Very NIce

Share this post


Link to post
Share on other sites
LET FROM MY CD COLLECTION..!

AJNABI SHEHAR KE AJNABI RASTE MERI TANHAI PAR MUSKURATE RAHE

MAIN BHOUT DARE TUK YUN HE CHALTA RAHA

TUM BHOUT DARE TUKYAAD ATE RAHE

ZEHAR MILTA RAHA ZAHAR PEETE RAHE RÅZ MARTE RAHE RÅZ JEETE RAHE

ZINDAGI BHI HUMAIN AZMATI RAHI AUR HUM BHE ISSAY AZMATE RAHE

ZAKHAM JAB BHI KOI ZEHN-O-DILL PE LAGA ZINDAGI KI TARUF IKK DAREECHA KHULA

HUM CHRAAG-E-TAMANA JALATE RAHE,WOH CHRAAG-E- TAMANA BUJHATE RAHE

SAKHT HALAT TEZ TOOFAN MAIN GHIR GYA THA HAMARA JUNOON-E-WAFA

HUM GOYA KISSI SAAZ KE TAAR HAIN,CHOAT KHATE RAHE GUNGUNATE RAHE

Very Nice :yes:

Share this post


Link to post
Share on other sites

Create an account or sign in to comment

You need to be a member in order to leave a comment

Create an account

Sign up for a new account in our community. It's easy!

Register a new account

Sign in

Already have an account? Sign in here.

Sign In Now
Sign in to follow this  

×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.