AOA,
i am posting my poem hope you people will like it
seekho
yari banate ho, yari dekhana bhi seekho
pyar karte ho, pyar nibhana bhi seekho
kyun tum bar bar aitabar ki baat karte ho
doosroon kay aitabar ko azmana bhi seekho
kyun ansoyon main ghiray rahte ho
jo dil jalate hain un ka dil jalana bhi seekho
agg hoon main agg say khailnay ki kooshish na karna
jo tum sache ho to phir agg ko bujhana bhi seekho
mujh ko samajna chahtee ho, doob jayoo gay
jo yeh mahaz bhi larna hai tu tehrna bhi seekho
kyun apna dil chak karoon kyun apne zakhm taza karoon
jo eiyadat ko aye hi ho too marham lagana bhi seekho
haan unchaa hoon main, haan magroor hoon main
yeh meri sharm o hiya yeh meri masoomiyat apnana bhi seekho
moon too sirf khudi ka tasawoor deta hai iqbal
kudi ko apnana hai tu khudi ko asmaan par layjana bhi seekho
A H