Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar

kamal

Members
  • Content count

    6,740
  • Joined

  • Last visited

  • Days Won

    10

Everything posted by kamal

  1. Very Good Keep It UP
  2. kamal

    Dil Mein Kya Phool Khila Karte They

    Good Collection
  3. kamal

    Hum Aksar Yeh Samajhtay Hain...

    'MuJhe LaGta Hai AiSa KaBhi KaBhi JaiSe Woh AjNaBi LaDki MuJh Se PYaaR KaRti Hai MuJhe ChaHti Hai AkSaR YuNhi ChuP ChuP KaR DeKhTi Hai, JaNe Kia SooCh KaR NazReiN ChuRa JaTi Hai KuCh GhaBRa Si JaTi Hai ApNe AaNcHal Ko HaWaooN Ke ZooR PaR LehRaTi Hai MehSooS MuJhe Yeh HoTa Hai Ke ShaYaD MuJhe Woh Bahut ChaHti Hai Mujhe AiSa EhSaaS DiLaTi Hai JaiSe Woh MuJh Se KuCh KehNa ChaHti Hai MeRe PooChNe PaR KuCh ShaRMa Si JaTi Hai KuCh GhaBRa Si JaTi Hai SuNiYe Keh KaR BhaaG JaTi Hai AjNaBi LaDki ShaYaD PYaaR KaRti Hai MuJh Se AiSa MehSooS Hota Hai JaNe KYuN MuJhe Dil Bhi KitNa PaGal Hai Kia Kia SoChta RehTa Hai KuCh MaSooM Se JazBeiN HaiN KuCh UnDekhe SaPNe HaiN MaGeR Woh Nahi JanTi ShaYaD MeRi ZinDaGi Hai Woh
  4. kamal

    Hum Aksar Yeh Samajhtay Hain...

    main tujhe chahta nahi lekin phir bhi shab ki taweel khilwat mein tere auqaat sochta hoon main teri her baat sochta hoon main kaunse phool tujhko bhaate hein rung kya kya pasand aate hein kho sa jaata hoon teri jannat mein! main tujhe chahta nahi lekin phir bhi reh reh ke mere kaano mein goonjti hai teri hasi’n aawaaz jese nadeeda koi bajta saaz her sada nagawaar hoti hai dil ki dharrkan bhi baar hoti hai in sakoot aashna taraano mein! main tujhe chahta nahi lekin phir bhi jab paas tu nahi hoti khud ko kitna udaas paata hoon gum se apne hawaas paata hoon jaane kya dhun samayi rehti hai aek khamoshi chayi rehti hai dil se bhi guftugu nahi hoti! main tujhe chahta nahi lekin phir bhi ehsaas se nijaat nahi sochta hoon to runj hota hai dil ko jese koi dabota hai jisko itna sarahta hoon main jisko is darja chahta hoon main us mein teri si koi baat nahi! main tujhe chahta nahi lekin main tujhe chahta nahi lekin!
  5. kamal

    Hum Aksar Yeh Samajhtay Hain...

    Chalo Main Maan Leta Hun.. Ye Duniya Jhoot Kehti Hai.. Tumein Hum Se Nahi Ulfat, Chalo Main Maan Leta Hun.. Tumhari beqarari Ki.. Wajah Kuch Or Hi Hogi, Nigahein Mujh Se Milte Hi.. Tumhare Muskurane Ka.. Sabab Kuch Or Hi Hoga, Jisay Kam Fehim Logon Ne.. Mohabbat Naam De Dala, Magar Itna Bata Do Tum.. Bicharte Waqt Jan-E-Jaan.. Palat Kar Dekh K Mujh Ko.. Tumhari Jheel C Aankhein.. Chhalakti Ja Rahi Theen Kyun? Mujhe Tarpa Rahi Theen Kyun?
  6. kamal

    Hum Aksar Yeh Samajhtay Hain...

    Ay Chand Suno Koch Baat Karo Teri Baat Chalay Meri Raat Katay Baat Karo Us Basti Ki Badal Barish Aur Masti Ki Ya Baat Karo Us Bandhan Ki Payal Chori Aur Kangan Ki Hawa Main Urtay Anchal Ki Jo Jab Lehrai Mera Chain Churai Meri Neend Urai Ay Chand Suno Koch Baat Karo Teri Baat Chalay Meri Raat Katay
  7. kamal

    Hum Aksar Yeh Samajhtay Hain...

    Gulaabon Se Lipati Shabnam Ki Taraah Usaki Adaayein Hai Mausam Ki Taraah Sheeshe Sa Badan Naadaan Dil Ek Ladki Hai Gazal Ki Taraah Palkon Pe Ruki Woh Meri Zindagi Milati Hai Mujhse Kwhabon Ki Taraah Khafa Jo Mujhse Bhaiti Hai Duur Chaahaa Hai Use Zindagi Ki Taraah Banke Badal Jo Dil Pe Chaayi Hai Aankhon Mein Bikhari Thi Kajaal Ki Taraah Jaanegi Jab Meri Mohobbat Ki Intehaa Dhundegi Woh Mujhe Deewaano Ki Taraah Kehate Hai Log “Pyar” Jise Hamne Woh Kiyaa Ibaadat Ki Taraah
  8. kamal

    Hum Aksar Yeh Samajhtay Hain...

    Hawa Ki Bhi Marzi Ho, MuQaddar Jo Bhi Kuch Chahe, Zameen Par Chaar Soo, Ranj-O-Alam Ki Baarishein Barsein, Tumhare Lab Par Bikhre Sare Nagme, Nohe Ban Jayein, Safar Ki Dhool Ban Jayein, Koi Taara Na Jugnu Ho, Andhere Hi Andhere Ho, Sabhi Sapne Bikhar Jayein, Sabhi Lamhe Badal Jayein, Meri Yaadon Se Ek Pal, Kabhi Gaafil Nahi Hona, Suno Pathar Nahi Hona...
  9. kamal

    Hum Aksar Yeh Samajhtay Hain...

    Aaj yun mausam ne dee jashn-e-muhabbat ki khabar Phoot ker rone lage hain main, muhabbat aur tum Hum ney joon hi ker liya mehsoos manzil hai qareeb Raastey khone lage hain main, muhabbat aur tum Chaand ki kirno ne humko is tarah bosa diya Devta hone lage hain main, muhabbat aur tum Aaj phir mehroomiyon ki daastane orh ker Khak mai sone lage hain main, muhabbat aur tum Kho gaye andaaz bhi awaz bhi alfaz bhi Khamshi dhone lage hain main, muhabbat aur tum
  10. kamal

    Hum Aksar Yeh Samajhtay Hain...

    Usay yeh shoq k MOHABBAT ki Bheek Main Mangoon, Meri Yeh zid K Taqaza Mera Usool Nhi, Usay yeh shoq k us ki sari zideen hon purian, Meri yeh zid k ruswai muje qabool nhi, Usay yeh shoq k sari chahat usay de don or woh lutta day, Meri yeh zid k meri chahat itni fazool nhi, Usay yeh shoq k kanty na lagian hathon main, Meri yeh zid k qismat main sirf Phool nhi, Usay yeh shoq k hans k sahon sarian taklifain, Meri yeh zid k mera Pyar koi urdti howi Dhool nhi,
  11. kamal

    Hum Aksar Yeh Samajhtay Hain...

    Bhir main ik ajnabi ka samana acha laga sab se chup kar vo kisi ka dekhna acha laga surmai ankhon k niche phul se khilne lage kahte kahte kuch kisi ka sochna acha laga bat to kuch bhi nahi thi lekin us ka ek dam hath ko honton pe rakh kar rokna acha laga chay main chini milana us ghari bhaya bahut zer-e lab vo muskurata shukriya acha laga dil main kitne ahad bandhe the bhulane ke use vo mila to sab irade torna acha laga beirada lams ki vo sansani pyari lagi kam tavajjo ankh ka vo dekhna acha laga nim shab ki Khamushi main bhigti sarkon pe kal teri yadon k jalo main ghumna acha laga us udu-e-jan ko 'Amjad' main bura kaise kahun jab bhi aya samne vo bevafa acha laga
  12. kamal

    Hum Aksar Yeh Samajhtay Hain...

    Aik Bar Kar K Aithbaar Likhdo, Kitna Hai Mujhse Pyaar Likhdo, Kat'ti Nahi Yah Zindagi Ab Tere Bina, Kitna Aur Karun Intezar Likhdo, Taras Rahe Hain Bari Muddat Se, Is Bar Apni Muhabbat Ka Izhar Likhdo, dewanay Ho Jayein Jissay Parh K Hum, Kuch Aisa Tum Mere Yaar Likhdo, Zadha Nahi Likh Saqtay Toh Mat Likho Tum, Muhabbat Bharay Alfaz Do ChAar Likhdo, Aik Bar Likho Muhabbat Hai Mujhe Tumse, Phir Yahi Jumla Bar Bar Likh Do....!!!!
  13. kamal

    Hum Aksar Yeh Samajhtay Hain...

    Kabhi Aati Hai Khamoshi Se Chupke Se Dheeme Dheeme Se Sargoshi Se Aahista Aahista Andheri Raat Mein Bheegi Barsaat Mein Kabhi Veerane Mein Kabhi Anjaane Mein Kabhi Mehfil Mein Kabhi Tanhaai Mein Mehakte Phoolon Si Khilte Gulaabon Si Behakte Lamhon Si Sisakte Zakhmon Si Kya Khabar Kyu Aati Hai Waqt Be-Waqt Ye Kiss Wajah Se Kiss Ke Liye Kiss Ki Khaatir Kya Bataane Kya Samjhaane Ye Aati Hai Ye Kya Hai Ek Ehsaas Hai Ek Pyaas Hai Ek chaahat Hai Ek Mohobbat Hai Phir Bhi Acchi Lagti Hai Anjaani Si Be-Gaani Si Par Jaani-Pehchaani Si Ek Khoobsurat Yaad Haan, Bas Teri Hi Yaad Pal Pal Ye Aati Hai Lamha Lamha Mujhe Sataati Hai.......
  14. kamal

    Member For The Month Of April

    My vote goes to WISE_GUY
  15. kyun tum achay lagtay ho? waqt mila tu sochain gaay tum main kya kya dekha ha? waqt mila tu sochain gaay sara sheher shanasai ka davaydar tu hay lekin kon hamara apna ha waqt mila tu sochain gaay hum nay usko likha tha.... kuch milnay ki tadbeer karo usnay likh ker bheja ha waqt mila tu sochain gaay mosam khusbu, baad e saba chand shafaq aur taaron main kon tumharay jesa ha? waqt mila tu sochain gaay
  16. kamal

    ~~ Kyun Tum Achay Lagtay Ho? ~~

    Labon ki sirsirahat se badan k choor hone tk main tuJ ko is trah chahon k teri saans ruk Jaye khataon pr khata'ein hon na ho kuch baat kehne ko main tuJ mei Yun sma Jaon k teri saans ruk Jaye na himat tuJ mei ho baqi na himat muJ mei ho baqi magr itna qareeb aaon k teri saans ruk Jaye tere honton pe Jb rakhon main apne hont kuch aesey Ya Teri teri pyaas buJh Jaye YA TERI SAANS RUK JAYE..!
  17. kamal

    ~~ Kyun Tum Achay Lagtay Ho? ~~

    Samajh raha tha mai apna jisay zamanay mai hai pesh pesh wahee ab mujhay mananay mai khushi na pehli si ab hai tumharay aanay mai k gham bhi hota nahee'n abb tumharay janay mai zamana khudd hi tumhay aik din bata daiga nahee'n hai mujh sa koi ba_wafa zamanay mai Mohabbato'n k taqazay badal gaye hain bohot nahee'n hai kutch bhi maza abb tau dil laganay mai badal gaye hain shab o rauz wo nahee'n badla milay ga kia usay harr baar aazmanay mai hawa nay naqsh thai jitnay mita diye 'KISHWAR" k mainay umr guzari jisay bana nay mai
  18. kamal

    ~~ Kyun Tum Achay Lagtay Ho? ~~

    us kii hasarat hai jise dil se miTaa bhii na sakuu.N Dhuu.NDhane us ko chalaa huu.N jise paa bhii na sakuu.N Daal kar Khaak mere Khuun pe qaatil ne kahaa kuchh yeh mehandii nahii.n merii ke miTaa bhii na sakuu.N zabt kam_baKht ne aur aa ke galaa gho.NTaa hai ke use haal sunaa_uu.N to sunaa bhii na sakuu.N us ke pahaluu me.n jo lejaa ke sulaa duu.N dil ko niind aisii use aaye ke jagaa bhii na sakuu.N naqsh-e-paa dekh to luu.N laakh karuu.Ngaa sajade sar meraa arsh nahii.n hai ki jhukaa bhii na sakuu.N bevafaa likhate hai.n vo apanii kalam se mujh ko ye vo qismat kaa likhaa hai jo miTaa bhii na sakuu.N is tarah soye hai.n sar rakh ke mere zaano.n par apanii so_ii hu_ii qismat ko jagaa bhii na sakuu.N
  19. kamal

    ~~ Kyun Tum Achay Lagtay Ho? ~~

    Mohabbaton ki ye wardaten koi sune ga to kya kahe ga Ye bahki bahki hamari baten koi sune ga to kya kahe ga Raqabaton ki qayamaton se khandaren tabdeel ho rahi hain Hamari chahat ki kaynaten koi sune ga to kya kahe ga Tumhare Khat se ye lag raha hai ki rote rote likha hai tumne Ye ankahi si tumhare baten koi sune ga to kya kahe ga Hami hain mazloom hum hi hian zalim hami hain maqtool hami hain qatil hami hain mohre hami hain baesaten koi sune ga to kya kahe ga tere tasawur ka aana jana mere takhayyul ki wadiyon me Beghair dhole ki ye baraten koi sune ga to kya kahe ga
  20. kamal

    ~~ Kyun Tum Achay Lagtay Ho? ~~

    kisi ke sath ab saya nahiN hai koi bhi aadmi poora nahiN hai. mere andar jo andesha nahiN hai to kya mera koi apna nahiN hai. koi pattaa kahiN parda nahiN hai to kya ab dasht meiN dariya nahiN hai. to kya ab kuchh bhi darparda nahiN hai ye jungal hai to kyuN khatraa nahiN hai. kahaaN jaati haiN barish kii duaayeN shajar par ek bhi pattaa nahiN hai. darkhtoN par sabhi phal haiN salaamat parinda kyuN koi thehra nahiN hai. khila hai phool har gamle meiN lekin koi chehra taro-taza nahiN hai. dhuaaN hi hai faqat gaaRii ke peechhe yahaaN kya ek bhi bachcha nahiN hai. samajhna hai to deewaaroN ko samjho humare shehr meiN kya kya nahiN hai.
  21. kamal

    ~~ Kyun Tum Achay Lagtay Ho? ~~

    Na gila Hai Koi Halaat Se Na Shikayatein Teri Zaat Se, Khud Hi Saray warq Juda Hue Meri Zindagi Ki Kitab Se, Tujhay Chaha Tha Tujhay Pa Liye, Tujhay Pa K Bhi Tujhay Kho Diya, Mujhe Khuwaishon Ki Thi Aarzu Meri Zindagi Mein Aazab Thay, Meri Wehshaton Ki Raah Mein Faqat Mehfilon K Sarab Thay, Kati Umer Jinki Talash Mein Mere Raat Jagon K Wohi Khuwab Thay, Yun Bhatak Bhatak K Tamam Umer Kabhi Asar Hi Na Hua, Jinhein Kho Diya Tere Ishq Mein Woh Sapnay Be-Hisaab Thay.....!!!!
  22. kamal

    ~~ Kyun Tum Achay Lagtay Ho? ~~

    Kyun Bhool Gaye HumKo Rishta Toh Purana Tha, Ik Yeh Bhi Zamana Hai Ik Woh Bhi Zamana Tha, Rangeen Fizayein Thi Shokh Adayein Thi, Jazbon Ki Jawani Thi Mousam Bhi Suhana Tha, Seenay Se Lagaya Tha Aankhon Pe Bithaya Tha, Maloom Na Tha Tum Ne Yun Chor K Jana Tha, Kyun Hum se Khafa Ho Kyun Humse Juda Ho Tum, Kya Jurm Hua Humse Itna Toh Batana Tha, Nafrat Se Bhari Nazrein Meri Jaan Hi Ke Bethi, Tukre Bhi Kiye Dil K Kya Khoob Nishana Tha.....!!!!
  23. kamal

    Magar Us Ne Mujhe Chaaha Bahut Ha

    Tu Kisi Aur Ki Jageer Hai Ai Jaan-e-gazal Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal Pehele Haq Tha Teri Chahat Ke Chaman Par Mera Pehele Haq Tha Teri Khushbu-e-badan Par Mera Ab Mera Pyaar Tere Pyaar Ka Haqdar Nahi Main Tere Gesu-o-rukhsar Ka Haqdar Nahi Ab Kisi Aur Ke Shano Pe Hai Tera Aanchal Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal... Main Tere Pyaar Se Ghar Apna Basaun Kaise Main Teri Maang Sitaron Se Sajaun Kaise Meri Kismat Men Nahi Pyaar Ki Khushboo Shayad Mere Haathon Ki Lakeeron Men Nahi Tu Shayad Apni Taqdeer Bana Mera Muqaddar Na Badal Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal... Mujhse Kehtin Hain Ye Khamosh Nigahen Teri Meri Parvaaz Se Oonchi Hain Panahen Teri Aur Gairat-e-ehsaas Pe Sharminda Hun Ab Kisi Aur Ki Bahon Men Hain Bahen Teri Ab Kahan Mera Thikana Hai Kahan Tera Mahal Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal...
×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.