red rose
Members-
Content count
190 -
Joined
-
Last visited
Content Type
Profiles
Forums
Calendar
Blogs
Everything posted by red rose
-
Meri ankhoon mein basay ho tum Ek dua ban kar Tumhein zindagi bhar yunhi chahoongi Aitbaar karo Mere hathoon par likha hai tumhara naam Chahat kai rangoon nai Isai dharkan mein basaoongi Aitbaar karo Meri har soch mein shamil hai khayal tumhara Isai sansoon mein rachaongi Aitbaar karo Yun to har pal tum rehtay ho mere hi sath humdum Tumhein saibaaan mein banaoongi Aitbaar karo Hai laboon par mere jo naam tumhara hai Tumhein apna mein banaoongi Aitbaar karo Hain kathin rah-e-wafa janaa to kya hota hai Dil jala kar mein nibhaoongi Aitbaar karo Mujhe tumse hai mohabbat tumhein khabar hai yeh Mein isai zindagi mein laoongi Aitbaar karo Tumhara hi chehra basa hai meri in ankhoon mein Tumhein tabeer banaoongi Aitbaar karo Tumhein pakar ho jai gi sehal zindagi meri Yehi dua bus mangoongi Aitbaar karo Kabhi khawaboon mein kabhi khayaloon mein Kehti hoon tumse yehi Mein zindagi tum sang sajaoongi Aitbaar karo
-
Us Ney Kaha Mujhe Se Kitna Pyaar Hai Main Ney Kaha Sitaron Ka Koi Shumar Nahi Us Ney Kaha K Kon Tumhe Hai Bohat Aaziz Main Ney Kaha Dil Pey Jis Ka Ikhtiyar Hai Us Ney Kaha Kon Sa Tofah Tumhe Main Doon Main Nay Kaha Wohi Shaam Jo Abhi Tak Udhar Hai Us Ney Kaha Khizan Main Mulaqat Ka Jawaz Main Ney Kaha Qurb Ka Matlab Bahar Hai Us Ney Kaha SiankroOn Gham Zindagi Mein Hai Main Ney Kaha Gham Nahi Jab Gham saar Saath Hai Us Ney Kaha Saath Kaha Tak Nibhao Gay Main Ney Kaha Jitni Yeh Saans Ki Taar Hai Us Ney Kaha Mujh Ko Yaqeen Aaye Kiss Tarah Main Ney Kaha Naam Mera Usman Hia!!!!
-
Gungat Mein Tujhe Dekha To Dewanna Hua, Sangeet Ka Taraana Hua, Shamaa Ka Parwana Hua, Masti Kamastaana Hua, Jaise Hi Gunghat Uthaya Is Duniya Se Ravana Hua «ºôº» «ºôº» «ºôº» «ºôº» «ºôº» «ºôº» «ºôº» «ºôº» «ºôº» Teri LOVELY EYES Ne Mujpe Ek EFFECT Kiya Hai Ki Meene Sabko REJECT Karke Tujko SELECT Kiya Hai «ºôº» «ºôº» «ºôº» «ºôº» «ºôº» «ºôº» «ºôº» «ºôº» «ºôº» Ek Ladki Ko Dekha To Aisa Laga Doosri Ladki Ko Dekha To Vaisa Laga Jab Dono Ke Joote Lage...To Ek Jaisa Laga!!! «ºôº» «ºôº» «ºôº» «ºôº» «ºôº» «ºôº» «ºôº» «ºôº» «ºôº» Bewafa Tum Ho To Wafadaar Hum Bhi Nahi, Besharam Tum Ho To Sharamdaar Hum Bhi Nahi, Pyaar Ke Is Mode Par Aake Kehte Ho Shadishuda Ho To Kya Hua Darling...Kunware Hum Bhi Nahin! RED ROSE
-
Kuch Khwaab kuch khwaab ajeeb say anjanay say ubhertay hain meri aankhon main kuch baatain naee purani si bikhri hain meri sochon main her khwaab, her baat main mere aik hi shaks ki tasveer si hay woh kon hay main to janta nahi shayad koi baat ya mera khwaab koi hamdam na raha koi sahara na raha hum kisi k na rahay koi hamra na raha sham tanhai ki hay aay gi manzil kese jo mujhay raah dikhaay woh ishara na raha aay nazaron na hanso mil na sakoonga tum say woh mere ho na sakay main bhi tumhara na raha kiya bataon main kahan yuonhi chala jata hoon jo mujhay phir say bulaay woh ishara na raha koi humdam na raha koi sahara na raha jeena yahan merna yahan is k siva jana kahan Janay kon sa Khwaab Chupaa hai Meri in pur num aankhon main ek ajeeb si khushboo rachee hai meri in chund saanson main na janay kyon mera dil kho sa jata hai bahaar k rangeen nazaaron main yaa shayad yeh koi wehem hay mera in khoobsoorat shaamon main jaisay koi chahyaa hua hai Khwaabon main khayalon main ya shayad kisi ki yaad ka rang bikhraa hai phir say in aankhon main jaanay kon sa khwab chupa hai meri in pur num aankhon main ......... "RED ROSE"
-
:D Thankyou to all
-
"jab sawan main tanha bheego gay jab angan khalee pao gay jab sahil say takrati lehron main apni tanhae main kho jao gay jab raat kay tanha daman main tum chaand ko adha pao gay jab khud say batain kartay kartay tum door kahin kho jao gay jab dil ki baat chupanay ko ham say nazar tum churao gay "main tum say mohabat karti hoon" har baar yay sunna chaho gay in sab lamhon main jaan lena kay tum tum nahi "HUM" ban jao gay......
-
Bolti Ankhein Dhala Hai Chand, Lo Akhir-e-Shab Hai Ab So To Jaayen.. Kaho In Bolti Ankhon Se Ke Khamosh Ho Jaayen.. Andheri Raat Mein Roshan Sitara Kis Ne Dekha Hai.. Samundar Ke Safar Mein Haan Kinara Kis Ne Dekha Hai.. Sanbhal Jaa Aae Dil Ke Tumhein Samjhaaye Jaatey Hein.. Kaheen Aisa Na Ho Hum InKi Gehraai Mein Kho Jaayen.. Kaho In Bolti Ankhon Se K Khamosh Ho Jaayen.. Yeh Chaha Kub Tha InKi Aseeri Chore Jana Hai.. Magar Kismat Mein Likha Tha So Likha Tha Humne Mana Hai.. Humein Aise Jo Dekhain Gay To Ab Bhi Na Paayen Gay.. Na Paas aao Ke Jaatey Wakt Hum Qurbat Pe Ro Jaayen Gay.. Kaho In Bolti Ankhon Se K Khamosh Ho Jaayen.. Humara Muskra Kar Alwida Kehna Inhe Bhaaya.. Magar Yeh Kia Abhi Se In Mein Saawan Utar Aaya? Inhe Rooko Humare Dil Ka Yun Na Imtihaan Lain Ab.. Yeh Baadal Ab Kaheen Mun Ko Humare Na Bhigo Jaayen.. Kaho In Bolti Ankhon Se K Khamosh Ho Jaayen.. Dua Hai Yeh Sadah Hansti Rahein Roshan Rahein Har Dum.. Zamane Bhar Ki Hon Khushian, Yeh Na Dekhen Ab Koi Gham.. Meri Ankhon K Jugno Bhi Inhi Ki Shaam Mein Chamkein.. Khudaya ! saare Mausam In Mein Rang o Bu Sama jaayen.. Kaho In Bolti Ankhon Se K Khamosh Ho Jaayen RED ROSE
-
Mohabbat ki tabiyat main ye kaisa bachpana qudrat nai rakha hai…. Keh ye jitni purani jitni bhi mazboot ho jay,,,,, Isay tayed e taza ki zaroorat phir bhi rehti hay,,,, Yaqeen ki aakhri hadon tak dilon main lehlahati ho! Nigahoon say tapakti ho,,lahoo main jagmagati ho! Hazaroon terah kay dilkash ,,haseen halay banati ho! Isay izhaar kay lafzoon ki hajat phir bhi rehti hai,, Mohabbat mangti hai yoon gawahi apnay honay ki Keh jaisay tifl e saada sham ko aik beej boay Aur shabb main baarha utthay ,, Zameen ko khod kar dekhay ,keh poda ab kahan tak hai,, Mohabbat ki tabiyat main ajab takrar ki khoo hai… Keh ye iqrar kay lafzoon ko sunnay say nahi thakti,, Bichadrnay ki ghadri ho ,ya koi milnay ki saat ho Isay bas aik hi dhun hai Kaho mujh say mohabbat hai Kaho mujh say mohabbat hai Tumhayn mujh say mohabbat hai, Samandar say kahin gehri,sitaron say siwa roshan Piyaron ki terah qaym ,,hawaon ki terah daym, Zameen say aasmaan tak jis qadar achhay manazir hain Mohabbat kay kanay hain wafa kay isteaaray hain,,hamaray hain, Hamaray wastay ye chandni ratayn sanwerti hain,sunehra din nikalta hai, Mohabbat jis taraf jay zamana sath chalta hai, Kuch aisi besakooni hai wafa ki sar zameenon main Jo ehl e mohabbat ko sada bechain rakhti hai, Keh jaisay phool main khushboo,, Keh jaisay haath main para Keh jaisay shaam ka tara Mohabbat karnay walon ki sehar raton main rehti hai Gumaan kay shakhchon main aashiyan banta hai ulfat ka Ye ain wisal main bhi hijar kay khadshoon main rehti hai Mohabbat kay musafir zindagi jab kaat chuktay hain Thakan ki kirchiyan chunnay wafa ki ajrakayn pehnay Samay ki rahguzar ki aakhri sarhad pe ruktay hain To koi tootti sansoon ki dosri thaam kar Dheeray say kehta hai,, Yeh sach hai na ,,,,,,,!!!! Hamari zindagi aik dosray kay naam likhi thi!!!! Dhundalka sa jo aankhon kay qareeb o door phela hai Isi ka naam chahat hai Tumhayn mujh say mohabbat thi Tumhayn mujh say mohabbat hai RED ROSE
-
Hey ! where is my Avater? <_<
-
wellcome coolyar
-
Waoooooooo :o nice mountains........
-
nice cute_sweeti