mun akk mundir hay
mundir meiN akk morat hay
mun mundir ki morat meiN
diyotayoN jesa roop hay
jub bhi koyi nazar
ass roop se takrati hay
to nazar be-sakhta hi
ahtraman jhok jati hay
aur
hum khod ba-khod
mun mundir meiN
basi morat ki parastish kerney ligtey hay
aur
her sham
mun mundir meiN
deep jala ker
poja meiN kho jate heiN
aur khabi khabi poja meiN kho ker
hum khod sey bhi be-ganey ho jate heiN
(Naheed umer Baloch)