yea teri jheel si ankhon main ratjagon k bhanwar
yea teray phool say chahray pay chandni ki phuwar
yea teray lab yea dayar_e_yaman k surkh aqeeq
yea aainain si jabin , sajda gah_e_lail o nahar
yea be nayaaz ghanain janglon say baal teray
yea phoot ti hui sarson ka aks gaalon per
yea dharknon ki zuban boltay huay abru
kamand daal rahay hain meray khayalon per
yea narm narm say hathon ka garm garam sa lams
gudaaz jism pay balor ki tahon ka saman
yea ungliyan , yea zamurd tarashi shakhain
kiran kiran teray daanton pay motion ka guman
yea chandni main dhulay paon jab bhi raqs karain
fiz main un ginay ghungru chanaknain lagtay hain
yea paon jab kisi rastay main rung barsain
to mousmon k muqadar chamknain lagtay hain
teri jabeen pay agar haadson k naqsh ubhrain
mizaaj gardish_e_doran bhi larkhra jayay
tu muskurayay to subhain tujhay salam karain
tu ro paray to zamanain ki ankh bhar ayay
tera khayal hai khushbu ,tera libaas hai kiran
tu khaak zaad hai ya asman say utri hai?
main tujh ko daikh k khud say sawaal karta hon
yea moj_e_rung zameen pay kahan say utri hai
main kis tarha tujhay lafzon ka pairhan bakhshon ?
meray hunar ki bulandi to sirnagon hai abhi
teray badan k khadokhaal meray bas main nahi
main kis tarha tujhay sochon ,yahi junon hai abhi
milay hain youn to kai runh k haseen chahray
main be nayaaz raha moj saba ki tarha
teri qasam teri qurbat k mousmon k baghair
zameen pay main bhi akaila phira khuda ki tarha
magar main shahr e hawadis k sung zaadon say
yea aainain sa badan kis tarha bachaon ga
mujhay yea dar hai kisi roz teray kurb samait
main khud bhi dukh k sumandar main doob jaon ga
mujhay yea dar hai k teray tabasmon ki phuaar
youn hi wafa ka taqaaza haya ka toor naan hua?
tera badan ,teri dunia hai muntazir jis ki
main sochta hon mera jan wo koi or naan ho
main sochta hon magar sochnain say kia hasil
yea teri jheel si ankhon main ratjagon k bhanwar
urdu shayari