msalman
Members-
Content count
401 -
Joined
-
Last visited
Content Type
Profiles
Forums
Calendar
Blogs
Everything posted by msalman
-
Bohat shukriya dost...................................
-
Gham-e-Hayat sataye to hum bhi maanen gay Labon pe shikwa na aaye to hum bhi maanen gay Udas aankhon main likhay hoye sawalon ka Sahi jawab bataye to hum bhi maanen gay Suna hay us ko to PARAS zamana kehta hay Hamen wo SONA banaye to hum bhi maanen gay Suna hay onchay paharon pe wo barasta hay Zameen ki pyas bujhaye to hum bhi maanen gay Zabani daaway to aakhir zabani daaway hain Wo kuch kar k dikaye to hum bhi maanen gay Khalish acchon say to sab nibha hi laita hain Buron say koye nibhaye to hum bhi maanen gay
-
Thanks Chinky..........................
-
Hijr ki bad-dua na ho jana Dekh laina saza na ho jana Mor to be-shumar aayen gay Thak na jana juda na ho jana Ishq ki intiha nahin hoti Ishq ki intiha na ho jana Aakhir shab udas chand k sath Ek bujhta diya na ho jana Be irada safar pe niklay ho Raaston ki hawa na ho jana Zindigi dard say ibarat hay Zindigi say khafa na ho jana Ek tumhi ko khuda say maanga hay Tum kahen be-wafa na ho jana
-
Thanks dost............................
-
Bohat umdah Sahir.................................
-
jab Mohaabat ka junoon tha wo zamana aur tha Ab ANA ka masla hay wo khud chal k aaye ga
-
Bohat shukriya dost...........................
-
Thanks Chinky..............................
-
Bohat shukriya Nice Friend............................
-
Us ko aata hay Qaid rakhnay ka fun Sari pabandian utha kar bhi
-
Be-chain bohat phirna ghabraye hoye rehna Ek aag si jazbon ki dehkaye hoye rehna Aadat si bana li hay tum nay to Muneer apni Jis shehar main rehna uktaye hoye rehna
-
Thanks Nice Friend............................
-
Bohat shukriya Chinky....................... Keep viewing....................
-
Thanks Chinky.................................... Keep viewing............................
-
Thanks Chinky..............................
-
Aaj k daur main aye dost ye manzar kyon hay Zakhm har sir pe har ik hath main patthar kyon hay Jab haqeqat hay k har zarray main tu rehta hay Phir zamen par kahin masjid kahin mandir kyon hay Apna anjaam to maloom hay sab ko phir bhi Apni nazron main har insaan sikandar kyon hai Zindigii jenay k qaabil hi nahin ab Fakhir Warna har aankh main ashkon ka samandar kyon hay
-
Main aur us ko bholon Nasir kaisi baten kartay ho Surat to phir surat hay wo naam bhi pyara lagta hay
-
Ameer-e-Shehar ki nazron main ye bhi ek baghawat hay Main kaghaz k sipahe kaat k lashkar banata hon
-
Nice Cindrell@.......................................
-
Thanks Paree jee...................................
-
Thanks Nice Friend............................
-
Thanks alot Nice friend.................................
-
Aaj dekh laitay hain wus'atain kahan tak hain Dasht aur is dil ki wehshatain kahan tak hain Ik sawal kartay hain har qadam pe ruk ruk kar Dil terey irado'n ki himmatain kahan tak hain Aao jaanch laitay hain dard ko tarazo par Kis ka gham kahan tak hay shiddatain kahan tak hain Kuch aziz logon se pochna to parta hay Aaj kal mohabbat ki qeematain kahan tak hain Aik shaam aa jao khul k hal-e-dil keh lain Kon janey sanson ki mohlatain kahan tak hain (Aitbaar Sajid)
-
Be-sabab hi talash karta hon Wo meray aas pas bikhra hay