Jump to content
CooLYar Forums - A Friendly Community by CooLYar

MuhammadAmjadIqbal

Members
  • Content count

    500
  • Joined

  • Last visited

Everything posted by MuhammadAmjadIqbal

  1. MuhammadAmjadIqbal

    Ummat-e-muslima K Naam

  2. MuhammadAmjadIqbal

    Sent Drood Pak To (hazrat Muhammad P B U H)and Get Swab

    Beautiful mashaAllah. Reading Durood Sharif on Jum'a
  3. MuhammadAmjadIqbal

    Happy Valentine's Day

    @Waqas: I am sorry for harsh words, but you have a higher position i.e. administrator and so becomes your responsibility. Hadith Sharif ka mafhoom hai k jo bhi buri baat shuru karay ga, jo jo us baat ko karay ga, start karnay waalay ko us gunah mai se hissa milta rahay ga. Same goes for someone who starts a good thing. Being an administrator, you must not have started this Un-Islamic topic. Simple. @Ramz: Perhaps, I was so much straight forward. In any way, what I meant was that if we are supporting one thing, we must not do against it. Like if someone posts article against Valentine's day, and I say yes, it's nice, then I should not post in support of valentine's day. What do you think?
  4. MuhammadAmjadIqbal

    Happy Valentine's Day

    Aua wr wb, I won't say anything to other people who just post any shit chahay is k liay un ko apni Islamic identity he majrooh karni parhay, but... Chinky: Aap mashaAllah itni Hadith Sharif (SalAllaho Alaihi waSallam) post karti rehti ho, aap ko yahan post kartay dekh kar dukh hua. Ramz: You post so many good Islamic articles mashaAllah. After commenting on Ariba's recent post about Innovations, you should not have posted here. I am sorry, but it looks hypochrisy to me :( If people like you would do that, nadaan and jaahil logon ka kia banay ga?
  5. MuhammadAmjadIqbal

    ~*hadith Of The Day*~

    Abu Darda' (RadhiAllaho Anha) reported: I heard the Messenger of Allah (Sall Allahu 'alaihi wa sallam) saying (interpretation), Whenever a Muslim supplicates for his (Muslim) brother in his absence, the angels say: `May the same be for you too'. [Muslim Sharif]
  6. MuhammadAmjadIqbal

    To Call The Awliya Allah For Help

    786 92 Aua wr wb, Everyone, do read something about Waseela term too, there is a difference between both Shirk (haram) and Waseela (halal)... although ehtiyaat laazim hai. Ariba, Nabi Kareem {SalAllaho Alaihi waSallam} k baaray main aap apni ma'loomat update karain. Agarchay la'ilm ko muafi mai rakha jata hai magar mera khayal hai aur dil bhi chahta hai k jo bhi Islamic discussions main itna positively participate karay, us ko kam az kam Aaqa Jee {SalAllaho Alaihi waSallam} ki azmat say khoob waaqif hona chahiay. wasSalam, A m J a D ----------- Hayat-un-Nabi hain Janab-e-Muhammad Wo darbar-e-Rabb main muqarrab Muhammad Khuda maanta hai jo keh dain Muhammad Hum mar jaaein gay kehtay kehtay Muhammad {SalAllaho Alaihi waSallam}
  7. MuhammadAmjadIqbal

    Deeni-gherat

    Nice sharing but I think 1 addition is required. It is NOT a correction but the phrase "Huzoor S.A.W ne shair parhnay say mana farma diya k aainda k halaat Allah he ko ma'loom hain." needs ELABORATION. Aaqa Jee {SalAllaho Alaihi waSallam} nay is liay nahi mana' farmaya tha k Un {SAW} ko aainda ki baatain nahi ma'loom theen, balkay aajzi k izhar k liay aur Ummat ki hidayat aur humko shirk say ehtiyaat sikhaanay k liay farmaya tha taakay Ummat ko Allah Mian {SWT} aur Aaqa Jee {SAW} k darmayan farq rakhay. Warna to Allah Mian {SWT} nay Un ko awaleen o aakhireen ka ilm ataa kiya hai. I had to say this because a 1 aam parhnay waalay k dil main yeh khayal na aaey k Nabi Jee {SAW} ko aanay waalay waqton ka kuch pata nahi, balkay Qur'an Hadees ki roshni main Allah Mian {SWT} nay Nabi Kareem {SAW} ko na sirf qayamat tak, balkay qayamat k baa'd aanay wali zindagi aur halaat ka bhi idraak aur mushahida bakhsha hai. Yeh Allah {SAW} ka Un {SAW} par khaas fazal hai. wAllaho A'lam bisSawaab.
  8. MuhammadAmjadIqbal

    ~*hadith Of The Day*~

    Once Musa (AS) asked Allah SWT: O Allah! you have granted me the honor and of talking to you directly. Have you given this privilege to any other person? Allah swt replied, O Musa during the last period I am going to send an ummah, who will be the ummah of Muhammad SalAllaho Alaihi waSallam, with dry lips, parched tongues, emaciated body, with eyes sunken deep into their sockets, with livers dry and suffering the pangs of hunger-when they call out to me in dua they will be much closer to me than you O Musa! While you speak to me there are 70000 veils between you and me but at the time of iftar there will not be a single veil between me and the fasting ummati of Muhammad SalAllaho Alaihi waSallam. O Musa I have taken upon myself the responsibility that at the time of iftar I will never refuse the dua of the fasting person!
  9. MuhammadAmjadIqbal

    Do You Know?

    Chinky, your answer was 100% correct. Bohat acha copy paste kiya tum ne, hehehe :p Q: How many angels are mentioned in the Qur'an Sharif? their names??? A: 4 angels: a) Jibraeel Ameen.(Alaihis salaam) b) Meekaeel.(Alaihis salaam) c) Haroot.(Alaihis salaam) d) Maroot.(Alaihis salaam) Chal, ab next question ka jawab day, shabash!
  10. MuhammadAmjadIqbal

    The Complete Quran

    786 92 Aua wr wb, Aap nay kaam to bohat acha kiya Naseema baji, par links kuch theek nahi lag rahay. Kuch is ka ejaaj karain, thanks. Error The file could not be found. Please check the download link.
  11. MuhammadAmjadIqbal

    Ibadaat O Wazaif {ramdan Special}

    Was wr wb, Nice Posty! aapay v kareen kaaka :p Agar aap yeh sub na bhi kar sakain to sirf Durood Sharif aur wo bhi chotay wala ya'ni SalAllaho Alaihi waSallam ziada say ziada parhnay ki koshish karain, aur kam az kam 1 Tasbeeh (100 times) rozana, bila-naagha to zuroor he parhain. Durood Sharif k fazaayil be-inteha hain mashaAllah say aur buzurgon say suna hai k ba'z awliya faqat Durood Sharif ki waja say waasil-e-Khuda, waasil-e-Rasool huway, to is ki kam az kam ta'daad ko apna ma'mool bana lain, kiyoon k Hadees Sharif ka mafhoom hai k Allah Mian ko wo amal pasand hai jis main naagha/chutti na ho, agarchay wo thorha he kiyoon na ho. Mati da bawa saab, twaada ninja kithay gaya? wasSalam
  12. MuhammadAmjadIqbal

    Do You Know?

    786 92 Aua wr wb, Har baar Tukka nahi lagta I guess :p How many Surah in the Qur'an have the titles named after different Prophets? Hint: 6 Ramadan Mubarak ho Everybody :) wasSalam
  13. MuhammadAmjadIqbal

    ~*hadith Of The Day*~

    786 92 Aua wr wb, Aaqa Jee {SalAllaho Alaihi waSallam} ki Hadees Sharif ka mafhoom hai; Whoever asks Allah {SWT} one hundred (100) times to bless me (recite Durood Sharif) on a Friday will be forgiven the sins of eighty (80) years. {Dalail ul Khairat} Meem: 4 Haa: 40 Meem: 8 Daal: 40 --- 92 --- * Jum’a Mubarak * wasSalam, Ghareeb-ul-Amal
  14. MuhammadAmjadIqbal

    Do You Know?

    786 92 Aua wr wb, Surah A'laq (96) ???
  15. MuhammadAmjadIqbal

    Shab Barat Fazaiil O Nawafil

    Aua wr wb, Beautiful sharing Chinky :) JazzakAllah Khair.
  16. MuhammadAmjadIqbal

    Shab-e-barat

    786 92 Aua wr wb, I think, 15 Sha'ban ko Roza rakhnay main koi haraj bhi nahi. Ulama and elders of Ummah have been fasting on the 15th of Shabaan and have been taking it an advisable practice, akhir koi baat hogi tabhi na! Waisay bhi fasting on 13, 14 and 15 of every month is a Sunnah. Do check this Hadith Sharif {SalAllaho Alaihi waSallam} too; When the Middle Night of Shabaan arrives, you should stand (Praying) in the night and should fast in the day following it. Reported by Sayiddna Ali {R.A} recorded by Ibn Majah and Baihaqi.
  17. MuhammadAmjadIqbal

    Naqli Roza

    wAllaho A'lam bisSawaab!!!
  18. MuhammadAmjadIqbal

    Prophets Can Make Mistakes.....

    786 92 Aua wr wb, Ambiyaa and Rusul {ASA} ma'soom hotay hain aur un say jo ghaltiyaan hoti hain wo hamari tarha nahi hoteen, balkay wo apni Ummat ko sikhaanay ka aik tariqa hai. Hazrat Moosa {AS} aur Hazrat Khizar {AS} k qissay main agar zahiri taur par Hazrat Moosa {AS} nay ghaltiyaan keen, magar agar aqal iste'maal kee jaey to us main Allah Mian nay humaray liay kafi seekhnay ka samaan rakha hai. Isi tarha Hazrat Aadam {AS} say jab Hazrat Moosa {AS} nay poocha k aap Gandam ka daana na khaatay to aaj hum Jannat main mazay say rehtay hotay. Hazrat Aadam {AS} nay jawab diya k Moosa! aap Taurat parhtay ho aur fir mujh ko aysa kehtay ho. Allah Mian nay hazaron saal pehlay yeh likh diya tha k Aadam {AS} ghalti karay ga, to wo main nay karni he thi na. Magar Jab Allah Mian nay Aadam {AS} say poocha k aysa kiyoon kiya jab Main nay mana kiya tha to wo bolay, "Rabbana Zalamna Anfosana" aap muafi day dain, warna hamara bohat nuqsan hoga. Is par Allah Mian nay un k Darajaat bhi buland kiay aur Shaitan ko qusoor waar thehraya k us nay Jhooti qasam utha kar Aadam ko gumrah kiya. Is liay, zaahiri cheezon par nahi jana chahiay, warna aap na jaantay huway bay-adabi main ja saktay hain aur yeh baat Ambiyaa-o-Rusul say hoti hui agar hamaaray pyaaray Aaqa Jee {SalAllaho Alaihi waSallam} tak jaa pohnchi to apnay emaan ki khair manaein. wAllaho A'lam bisSawaab. Lab Kushayee main na hon Gustaakhiyaan Us* taraf Khaamosh rehna Chahiay!!!
  19. MuhammadAmjadIqbal

    Do You Know?

    786 92 Aua wr wb, Ahem, tukka lagg gaya :P How many angels are mentioned in the Qur'an Sharif? their names???
  20. MuhammadAmjadIqbal

    Do You Know?

    786 92 Was wr wb, Answer: Ghussa By the way, there's a spelling mistake (should be August instead of Augest) in the picture :) wasSalam
  21. MuhammadAmjadIqbal

    ~*hadith Of The Day*~

    786 92 Aua wr wb, Attached: Hadith-Gold-Rememberence-Wife.jpg JUM'A Mubarak!!! wasSalam
  22. MuhammadAmjadIqbal

    ~*hadith Of The Day*~

    786 92 Aua wr wb, Hazrat Ali (radi Allahu anhu) reports that Sahib-il-Wasila {Sall Allahu alaihi wa Sallam) said (interpretation); The real miser is he, in whose presence I* am mentioned and then he fails to recite Durood on me*. Jum’a Mubarak!!! wasSalam, AmjaD =-=-= Ho khatm, Jaah-o-Hashm, na Emaan khatm ho Parh kar Durood-e-Pak, teri Jaan khatm ho
  23. MuhammadAmjadIqbal

    ~*hadith Of The Day*~

    786 92 Aua wr wb, An individual who used to recite DUROOD SHARIF e.g. SalAllaho Alaihi waSallam, 100 times on Fridays, he, when comes on the Day of Judgment, would be having with him such (splendored) Shining light (and in so profuse form) that if the same is distributed amongst the entire creations (of Almighty Allah SWT) it would suffice all of them. {Dalayl-ul-Khayrat}
  24. MuhammadAmjadIqbal

    ~*hadith Of The Day*~

    786 92 Aua wr wb, Hazrat Abdullah bin Mas’ood (Radi Allahu anhu) narrates that Aaqa Jee {SalAllaho Alaihi waSallam} said (interpretation of the meanings): On the Day of Qiyamah, the closest to Me from among the people will be those who have read the most amount of Durood Shareef. {Tirmidhi Sharif}
  25. MuhammadAmjadIqbal

    Say- Astagfirullah

    Aaqa Jee {SalAllaho Alaihi waSallam} ki Hadees Sharif ka mafhoom hai; Jo shakhs Astaghfaar ki pabandi karay ga, to Allah Mian us k liay; 1. Har Tangee say nikalnay ka raasta banata hai. 2. Har Gham say najaat ataa karta hai. 3. Aysi jaga say Rizq deta hai jahan uska khayal bhi nahi hota. {Abu Da'ood Sharif}
×

Important Information

We have placed cookies on your device to help make this website better. You can adjust your cookie settings, otherwise we'll assume you're okay to continue.